async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Hazir o nazir ka bayan part 4

Thursday, July 2, 2015

Hazir o nazir ka bayan part 4

post #4

Hazir o nazir

Aayat#5:

Tarjuma: " Aur agar jab woh apni jaanon par Zulum karen to Ae Mehboob tumharey Huzoor haazir hon, phir ALLAH se Maafi chahen aur RASOOL in ki Shafa'at farma den, to Zarur ALLAH ko bohat Tobah karney waala Meherbaan paaen"..
(Parah#5, Surah#4, Aayat#64)

Is se Maaloom huwa k Gunahgaaron ki Bakhsish ki sabeel sirf yeh hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Bargah main Haazir ho kar Shifa'at maangen, aur HUZOOR Karam Kareemaana se Shifaa'at farma den, aur is ka yeh to Matlab hosakta nahin k Madiney PAk main Haazir hon, warna phir hum Faqeer Pardesi Gunahgaaron ki Magfirat ki kiya Sabeel hogi, aur Maaldaar bhi Umar main ek Do Baar Puhanchtey hain, aur Gunah din raat kartey hain, Lihaazah Takleef Ma Foq'ul'Taaqat hogi, Lihaaza Matlab yeh huwa, k tumharey pass mojood hain, tum Gayab ho, to tum bhi Haazir hojao, k Mut'tawwaj'jah hojao..
Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) har jagah Haazir hain..



Aayat#:6:

Tarjuma: " Aur hum ne tum ko bheja magar Rehmat Saarey jahaan k liye"..
(Surah Al Hajj, Aayat#107)

Phir farmaata hai:

Tarjuma: " Aur meri Rehmat har cheez ko gheray hai "..
(Parah#9, Surah#7, Aayat#33)

Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) jahaanon k liye Rehmat hain, aur Rehmat Jahaanon ko Gheray huwe hain, Lihaazah HUZOOR (ALEH SALAM) Jahaanon ko Gheray huwey hain, Khayaal rahey, RAB ki shaan hai RAB'BUL'AALAMEEN, HABEEB ki Shaan hai REHMAT'Ul'LIL'AALAMEEN, Maaloom huwa k ALLAH jis ka RAB hai, HUZOOR (ALEH SALAM) us k liye REHMAT hain..


Aayat#7:

Tarjuma: " Aur ALLAH ka kaam nahin k Azaab karey, jab tak Ae Mehboob tum in main Tashreef farma ho "..
(Parah#9, Surah#8, Aayat#33)

Yaani Azaab-E-ILAAHI is liye nahin aata k in main AAP (ALEH SALAM) Mojood hain, aur Aam Azaab to Qayaamt tak kisi jagah bhi na Aawey ga, is se maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) Qayaamat tak har jagah Mojood hain, Balkey ROOH-Ul-Bayaan main Faramya hai k HUZOOR (ALEH SALAM) Har Saeed O Shaki k saath rehtey hain..



Aayat#8:

Tarjuma: " Jaan lo tum sab main RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Tashreef farma hain "..
(Parah#26, Surah#49, Aayat#7)

Yeh khitaab tamaam Sahaba-E-Karaam se kiya gaya tha, aur Sahaba-E-Karaam to Mukhtalif jagah rehtey the, Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) sab jagah in k Pass the..



Aayat#9:

Tarjuma: " Aur isi tarah hum Ibrahim ko dihkatey hain, Saari Baadshahi Aasmanon aur Zameenon ki"
(Parah#7, Surah#6, Aayat#75)

Is se Maaloom huwa k Hazrat Ibrahim (Aleh Salam) ko Rab ne tamaam Aalam Ba Chashm-E-Sir (Yaani Sir ki aankhon se)Mulaahizah kara diya, HUZOOR (ALEH SALAM) ka Darjah in se Aala hai, Lihaazah Zauri hai k AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne bhi Aalam ko Mushaahidah farmaya ho, is Aayat ki Tehkeek Behes-E-ILM-E-GAIB main Guzar chuki..


Continue

No comments:

Post a Comment