Bismillah-ir-Rahman-ir-Raheem
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Shab-e-Qadr Ki Ahmiyat Aur Is Mein Maangi Jane Wali Dua
Maah-e-Ramadan ke aakhri ashre ki taaq raaton yani 21, 23, 25, 27 aur 29 ko aksar ye dua padhein:
اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنَّا يَا كَرِيمُ
Allahumma innaka Afuwun tuhibbul afwa fa’ fu anna ya Kareem.
Tarjuma:
"Aye Allah! Tu bohot zyada maaf karne wala hai, maaf karna pasand karta hai, toh humein bhi maaf farma, aye Kareem!"
Allah Ta'ala is mubarak mahine ki taaq raaton ke sadqe aur apne pyare Habeeb ﷺ ke waseele se hum sab ke gunahon ko maaf farmaaye. Jaise hum Ramadan mein joosh-o-jazbe se nekiyan karte hain, waise hi poore saal karne ki taufeeq ata farmaaye.
Ameen Bijaah Shafi'ul Muznibeen ﷺ
Shab-e-Qadr Ki Fazilat
Huzoor ﷺ ne farmaya:
"Jab Shab-e-Qadr hoti hai toh Hazrat Jibrael (alaihiSalam) ek jama'at farishton ke saath zameen par utarte hain aur jo banda khade ho kar ya baith kar Allah ﷻ ki ibadat mein mashgul hota hai, uske liye dua-e-maghfirat karte hain."
(Baihaqi Shareef)
Allah Ta’ala ne Surah Al-Qadr mein is mubarak raat ka zikar farmaya hai:
Surah Al-Qadr
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- إِنَّا أَنْزَلْنَاهُ فِي لَيْلَةِ الْقَدْرِ
- وَمَا أَدْرَاكَ مَا لَيْلَةُ الْقَدْرِ
- لَيْلَةُ الْقَدْرِ خَيْرٌ مِنْ أَلْفِ شَهْرٍ
- تَنَزَّلُ الْمَلَائِكَةُ وَالرُّوحُ فِيهَا بِإِذْنِ رَبِّهِمْ مِنْ كُلِّ أَمْرٍ
- سَلَامٌ هِيَ حَتَّى مَطْلَعِ الْفَجْرِ
Tarjuma:
- "Beshak humne is (Quran) ko Shab-e-Qadr mein nazil kiya."
- "Aur tumhe kya maaloom Shab-e-Qadr kya hai?"
- "Shab-e-Qadr hazaar mahino se behtar hai."
- "Is raat mein farishte aur Rooh-ul-Ameen (Jibrael A.S) apne Rab ke hukum se har maamla le kar utarte hain."
- "Ye raat puri salamat hai, jo subah tak rehti hai."
Shab-e-Qadr Mein Kya Karna Chahiye?
Is raat ki ibadat 1000 mahino (83 saal 4 mahine) ki ibadat se behtar hai, is wajah se humein isko zaya nahi karna chahiye.
✅ Namaz-e-Tahajjud – Is raat ki sabse badi ibadat hai.
✅ Kasrat se Astaghfar – Apne gunahon ki maafi maangni chahiye.
✅ Dua aur Munajat – Allah Ta’ala is raat har dua qubool karta hai.
✅ Durood Shareef – Huzoor ﷺ par durood bhejne ki bohot fazilat hai.
✅ Sadaqa aur Khairat – Gareebon ki madad karna bohot afzal hai.
✅ Tilawat-e-Quran – Quran padhna aur samajhna is raat bohot barkat wala hai.
Shab-e-Qadr Ki Khaas Dua (Jo Huzoor ﷺ Ne Sikhayi)
Hazrat Aisha (RadiAllahuAnha) ne Huzoor ﷺ se pucha:
"Ya RasoolAllah ﷺ! Agar mujhe maloom ho jaye ke ye Shab-e-Qadr hai toh main kya dua maangu?"
Huzoor ﷺ ne farmaya:
اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
Allahumma innaka Afuwun tuhibbul afwa fa’ fu anni.
Tarjuma:
"Aye Allah! Tu maaf karne wala hai, maaf karna pasand karta hai, toh mujhe bhi maaf farma."
(Tirmidhi: 3513)
Allah Ta'ala humein is raat ki barkat nasib farmaaye, humein maaf farmaaye aur baar baar apne pyare Habeeb ﷺ ke Rauza-e-Mubarak ki ziarat naseeb farmaaye.
Ameen Ya Rabbal Aalameen!