async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Khuda ki har aeb se paaki

Sunday, July 5, 2015

Khuda ki har aeb se paaki

Part 4
Aqeeda-khuda ke liye aeb aur naqsh muhal hai
Jaise jhuth jahal bhul julm behayai wagairah
Tamam buraiyan khuda ke liye muhal hai
Aur jo yah mane ke khuda jhuth bol sakta hai lekin bolta nahi to goya woh yeh manta hai ki khuda aebi to hai lekin apna aeb chhupaye rahta hai
Fir ek par hi kya khatm sab buraiyon ka yehi hal ho jayega ke usme hai to lekin karta nahi
Jaise julm chori fana tawalud aur tanasul wagairah uyoube kasira
Khuda ke liye nakhsh aur aeb ko mumkin janna khuda ko aebi manna hai
Balki khuda hi la inkar karna hai
Allah aise gande aqeede se har aadmi ko bachaye rakhe

Taqdir- Allah ta'ala ke me jo kuchh tha aalam me hone wala tha aur jo kuchh bande karne wale the uslo Allah ta'ala ne pahle hi se jan kar likh liya
Kisi ki kismat me bhalai likhi aur kisi ki kismat me burai likhi
Is likh dene ne bande ko majbur nahi kar diya ki jo Allah ne likh diya hai woh bande ko majburan karna padta hai
Balki banda jaisa karne wala tha waisa hi usne likh diya
Kisi admi ki kismat me burai likhi to isliye ke yeh aadmi burai karne wala tha
Agar bhalai karne wala hota to uski kismat me bhalai hi likhta
Allah ke ilm ne ya Allah ke likh dene ne kisi ko majbur nahi kar diya

Masla-taqdir ke masle me gour aur bahes mana hai
Bas itna samjh lena chahiye ki aadmi patthar ki tarah majbur nahi hai ki uska irada kuchh ho hi nahi
Balki Allah ta'ala ne aadmi ko ek tarah ka ikhteyar diya hai
Ki ek kam chahe kare chahe na kare
Isi ikhteyar par neki badi ki nisbat bande ki taraf hai
apne apko bilkul majbur ya bilkul mukhtar samjhna dono gumrahi hai

Bure kaam ki nisbat kiski taraf ki jaye

Masla - bura kaam karke yeh na kahna chahiye ke be adbi hai ke lhuda ne chaha to hua
Taqdir me tha kiya
Balki huqm yeh hai ki achhe kaam ko kahe khuda ki taraf se aur bure kaam ko apne nafs ki shararat shamat jane

Qanoon e shariyat page 11

No comments:

Post a Comment