async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Khuda ta'ala ki tanzih

Friday, July 3, 2015

Khuda ta'ala ki tanzih

Khuda ta'ala ki tanzih

Post 2

Aqeeda- Allah ta'ala jism aur jismaniyat se paak hai
Yaani woh na jism hai na usme woh baate paai jati hain jo Jism se talluk balki yeh uske haqq me muhal hai

Lihaza woh zaman aur makan taraf aur jehat shakl aur surat
Wajan aur mikdar zyada aur nuqsan (yani kami aur beshi) hulul (sama jana) ya awatrit hona aur ittehad (yani do chijon ek ho jana ) tawalud tanasul  harkat aur intekal tagayyur tabddul wagairah tamam ausaph aur ahawale jism se munzzan aur bari hai

Aur quran aur hadees me jo baaz aise alfaz aaye hain maslan (yad) hanth wajAhihi (chahera) rujal (pair) zehak (hansna) wagairah jinka zahir jismiyat par dalalat karta hai

Uske zahiri mayene lena gumrahi aur badmazahabi hai

Is kism ke alfaz me tawil ki jati hai kyu ki iska zahir murad nahi ku uske haqq me muhal hai
Maslan yad ki tawil qudrat se aur wajahihi ki zaat sd istewa ki galba aur tawjjoh se ki jati hai

Lekin bahter aur Asalam yeh hai ki bila zarurat tawil bhi na ki jaye balke haqw hone ka yakin rakhe aur murad ko Allah ke supurd kare
Ki wahi jane apni murad

Hamara to Allah aur rasool ke qoul par imaan hai ki istEwa haq hai yad haq hai aur istewa makhluq sa istewa nahi uska yad makhluq sa yad nahi

Uska kalam dekhna sunna makhluq sa nahi

Aqeeda- Allah ta'ala ki zaat aur sifaat na makhluq hai na maqdur

Kya chijen hadees hai aur qadeem

Aqeeda- zaat aur sifaat e ilaahi ke alawa jitni chijen hai sab hadees hai yani pahle na thi fir moujud hui

Aqeeda-sifaat e ilaahiya ko makhluq kahna ya hadees batana gumrahi aur bad deeni hai

Aqeeda- jo shakhs Allah ta'ala ki zaat aur sifaat ke alawa kisi aur chij ko qadeem mane ya aalam ke hadees hone me shak kare woh kafir hai

Aqeeda- jis tarah Allah ta'ala aalam aur aalam ki har chij ka khaliq hai usi tarah hamare aamal aur af'aal ka bhi wahi khaliq hai

ALLAH TA'ALA KI KHALQIYAT AUR WAJUD AUR WAJUD KE MAYNE

Allah ta'ala wajubul wajud hai yani uska wajud Zaruri hai
Aur adam mural hai (namumkin)

Qanoon e shariyat page 8 aur 9

No comments:

Post a Comment