Page 29
Muatazala aur kiramaya aur ruwafiz Ke Quran ko makhluk kahte hai us kible ki taraf namaz nahi padhte nafs e masle ka juziya lijiye imaam mazhab e hanfi sayyadina imaam Abu Yusuf radi allahu anhu kitabe al- khiraj me farmate hai:
Jo shakhs musalman ho kar rasool Allah sallahu alaihi wassallam ka dushman de ya huzur ki taraf jhut ki nisbat kare ya huzur ko kisi tarah ka aib lagaye ya kisi wajah Se huzur ki shaan gathaye woh yakinan kafir aur khuda ka munkir ho gaya aur us ki joru uske nikah Se nikal gayi!
Dekho kaisi saaf sarih hai Ke huzur akdas sallahu alaihi wassallam ki tankise shaan karne Se musalman kafir ho jata hai us ki joru nikah Se nikal jati hai! Kya musalman alhe- kibla nahi hota ya alhe-kibla nahi hota ? Sab kuch hota hai magar Mohammad rasool Allah sallahu alaihi wasallam ki shan me gustaki Ke sath na kibla qabool na kalma makbool
Salesan asal baat ye hai Ke istelahe aayimma me alhe kibla woh hai Ke tamam zaruriyate-deen par imaan rakhta ho un me Se ek baat ka bhi munkir ho to katan yakinAn ijmaan kafir murtad hai aisa Ke Jo us kafir na kahe khud kafir hai shifa sarif dabzazayeh aur darro-garr aur fatwa khairayah wagairah me hai:
Tamam musalmane ka ijma hai Ke Jo huzur akdas sallahu alaihi wassallam ki shaane paak me gustaki kare woh kafir hai aur Jo uske muajjab ya kafir hone me Shak kare woh bhi kafir hai mazmul anhar aur dure mukttar me hai
No comments:
Post a Comment