Page 35
999 maane aur sirf ek na maane to qurane-azim farma raha hai Ke woh un 999 Ke manne Se musalman nahi balke sirf un ek Ke na manne Se kafir hai duniya me us ki ruswahi hogi aur akhirat me us par shakht tar azab Jo abdul-abad tak kabhi makuf hona kya mani ? Ek aan ko Halka bhi na kiya jayega na Ke 99 ka inkar kare aur ek ko maan le to musalman thahere ye musalmano ka aqida nahi balke ba-shadat qurane-azim khud sarih kufr hai!
Khamsan asal baat ye hai Ke fukahaye-kiram par un log ne jita aftara uthaya unhone hargiZ kahi aisa nahi farmaya balke unhone ba-khaaslate yahud
Yahudi baat ko us ke thikane Se badalte hai tehrif tabdil karke kuch ka kuch banaliya fukaha ne ye nahi farmaya Ke jis shakhs me ninanwe baat kufr ki aur ek Islam ki ho woh musalman hai! Hasha lillah! Balke tamam ummat ka ijma hai Ke jis me ninanwe hazar baate Islam ki aur ek kufr ki ho woh yakinan kat.an kafir hai!
99 karte gulab me ek bund paisab ka padjaye sab paisab ho jayega magar ye jahil kehte hai Ke nin-anwe karte paisab me ek bund gulab ka dal de sab tayyab tahir ho jayega hasha Ke fukaha to fukaha koi adana tazim wala bhi aisi jihalat bake! Balke fukaha-e-kiram ne ye. Farmaya hai Ke jis musalman Se koi lafz aisa sadar ho jis me 100 pehlo nikal sake un me 99 pehlu kufr ki taraf jate hai aur ek Islam ki taraf to jab tak sabit na ho jaye Ke is ne khas koi pehlu kufr ka murad rakha hai hum us Se kafir na kahenge Ke akhir ek pehlu islam ka bhi to hai kya malum shayad us ne yahi pehlu murad rakha ho aur sath hi farmate hai Ke agar waqay me us ki murad koi pehlu e-kufr hai to hamari tawil Se usse fayda na hoga woh indallah kafir hi hoga!
Us ki misal ye Hai Ke masalan zaid kahe umro ko ilme katayi yakini gaib ka hai kalma me itne pehlu hain
1) umro apni jaat Se gaibdan hai ye sarih kufr aur Shirk hai
No comments:
Post a Comment