async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Farman e Hazrat e ali radi Allahu Anhu | Quotes of Hazrat Ali

Friday, November 27, 2015

Farman e Hazrat e ali radi Allahu Anhu | Quotes of Hazrat Ali

101
Jab Aankhein Nafs ki Pasandeeda Cheezein Dekhne Lage To Dil Anjaam Se Andha Ho Jata hai.

102
Kisi ko Tum Chaho Aur Woh Tumhe Thukra De To Yeh Uski Badnaseebi hai. Aur Agar Koi Tumhe Na Chahe aur Tum Use Zabardasti Apna Banana Chaho To yeh Tumhare Nafs Ki Zillat Hai. 

103
Great Words :-
1 Khalis Dosti Ek Accha Rishta Hai.
2 Agar Tum Badshah ho Tab Bhi Apne Walid or Ustad Ke Taazeem k Liye Khade Ho Jao.
3 Na Umeedi Se Rooh Mar Jati Hai.
4 Zuban Esa Darinda Hai Jise Agar Khula Chod Diya Jaye To Phaad khaye.
5 Neki Ka Iradah Hashra Ki Aag ko Bujata Hai.  

104
Zindagi Ustaad Se Bhi Zyada Sakht Hoti Hai, Ustad Sabaq De Kar Imtehan Leta Hai Aur Zindagi Imtehan Le Kar Sabaq Deti Hai. 

105
Gusse ki haalat me koi faisla mat karo aur agar khush ho to koi vaada mat karo.

106
Insaan Ka Kirdaar Uski Zaban Ke Neeche Dafan Hota Hai. Agar Kisi Shakhs Ke Kirdaar Ka Pata Lagana Ho To Use Sakht Gusse Ki Haalat Me Dekho.

107
5 Cheezon ki 5 Jagah Par Hifazat Karo:
1-Mehfil Me Zaban Ki.
2-Bazar Me Aankh Ki.
3-Namaz Me Dil Ki.
4-Dastarkhan Par Pet Ki.
5-Nigah Me Haya Ki.

108
Jab Insaan Narazgi Khatam Karne Me Pehl Karta Hai To Iska Yeh Matlab Nahi Ki Wo Ghalat Tha, Iska Matlab Hai Ki Use Aan Se Zyada Rishta Aziz Hai. 

109
Hamesha Apni Choti Choti Ghaltiyon se Bachne ki Koshish karo, kyunki Insaan Pahadon se Nahi Balki Chote Chote Pattharon se Thokar Khata Hai. 

110
Tumhari Niyyat ki Aazmaish us Waqt hoti hai? Jab tum kisi aise Insaan ki madad karo jis se tumhe koi cheez ki umeed na ho.

111
Insaan Ko Acchi Niyyat Pe Wo Inaam Milta Hai, Jo Use Acche Aamal Par Bhi Nahi Milta.

112
Agar Tumhe Ek Doosre Ki Niyyaton Ka Pata Chal Jaye, To Tum Ek Doosre Ko Dafnana Hi Chhod Doge. 

113
Jab Main Dastarkhan Par Do Rang Ke Khane Dekhta Hoon to Main Mayus Ho Jata Hoon ki Aaj Phir kisi ka HAQ Mara Gaya. 

114
Pareshani Khamosh Hone Se Kam, Sabr Karne Se Khatam Aur Shukr Karne Se Khushi Me Badal Jati Hai.

115
Sabr Ki Do Surtein Hai. Jo Na-Pasand Ho Use Bardasht Karna Aur Jo Pasand Ho Uska Intezar Karna.

116
Kabhi Bhi Apni Jismaani Taaqat Aur Daulat Par Bharosa Na Karna Kyunki Bimaari Aur Ghurbat Aane Me Der Nahi Lagti.

117
Tum Gulaab Ka Phool Ban Jao, Kyunki Yeh Phool Uske Haathon Me Bhi Khushboo Chhod Jata Hai Jo Ise Masal Kar Phenk Deta Hai.

118
Momin Woh Nahi Jiski MEHFIL Paak Hai, Momin Woh Hai Jiski TANHAI Paak Hai. 

119
Agar Kisi Ko Yeh Ghuroor Ho Ki Wo Tumse Jitni Martaba Naraz Ho To Tum Use Mana Loge To Behtar Hai Tum Uska Ghuroor Tootne Na Do. 

   
120
Jo Tumhe Khushi Me Yaad Aaye Samajhlo Tum Us Se Mohabbat Karte Ho. Aur Jo Tumko Gham Me Yaad Aaye Samajhlo Wo Tumse Mohabbat Karta Hai.

121
Jab Tum Kisi Se Mohabbat Karo To Us Se Zara Bhi Mohabbat Na Maango, Kyunki Tum Ne Mohabbat Ki Hai Tijarat Nahi. 

122
Jo Apne Aap Ko Mohtaaj Banata Hai Wo Hamesha Mohtaaj Hi Rehta Hai.

123
Azaadi Ki Hifazat Na Karne Wala Ghulami Me Giraftar Ho Jata Hai. 

124
Lambi Umeedon Se Parhez Kiya Karo, Kyunki Yeh Doosri Neimaton Ko Tumhari Nazar Me Chota Bana Deti Hai Aur Tum Unki Shukr Guzari Nahi Karte.

125
Agar Tum Kisi Ko Chota Dekh Rahethe Ho To Tum Use Door Se Dekh Rahe Ho Ya Phir Ghuroor Se. 

126
Hazrat Ali Radiallahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya Ki: "Main Poori Zindagi Me Sirf Ek Raat Sukoon Se Soya Hoon".Poocha Gaya "Wo Kaunsi"?  Hazrat Ali Radiallahu Ta’ala Anhu ne farmaya: "Jis Din Huzur Alyhis-Salam Ne Farmaya Ki Aye Ali! Kal tumhe (Amanate) Maal-e-Ghanimat Taqseem Kar Ke Aana Hai. Kyunki Sirf Us Raat Mujhe Yaqeen Tha Ki Main Subha Zinda Uthunga"

127
Kisi Ko Paane ki Tamanna Mat Karo, Balki is Qabil Hojao Log Aapko Paane Ki Tamanna Kare..

128
Agar Kisi Par Ehsaan Karo To Use Doosron Se Bhi Chupaya Karo. 

129
Tum Kala Libaas Mat Pehna Karo, Kyunki Beshak Yeh Fir’on Ka Libaas Hai.

130
Har Kisi Ko Itni Ehmiyat Do Jitni Wo Tumko Deta Hai. Agar Kam Doge Ghamandi Kehlaoge Aur Agar Zyada Doge Khud Ghir Jaoge. 

131
Mushkilat Hamesha Behtareen Logon Ke Hisse Me Aate Hai. Kyunki Wo Usko Behatreen Tareeqe Se Anjaam Dene Ki Salahiyat Rakhte Hai. 

132
Kisi Se Mohabbat Karne Se Pehle Apne Dil Me Qabristan Banalo, Ta Ki Uski Choti Choti Ghaltiyon Ko Dafna Sako.

133
Hazrat Ali (RadiAllahu Anhu) Farmate Hai...
» Uss Waqt Tak Koi Faisla Na Karo Jab Tak Tumhare Khoon Ki Gardish Aur Dil Ke Dharkan Pur-Sukuun Na Ho Jaye.

134
» Jisne Tujhe Tere Aib Bataye Agar Tujhe Aqal Ho Tou Beshak Usne Tujh Par Ehsaan Ki Inteha Kardi.

135
» Insan Ka Apne Dushman Se Inteqam Ka Sab Se Accha Tarika Ye Hai Ki Wo Apni Khubiyo Me Izafa Kare.

136
» Jo Shakhs Tumhara Ghussa Bardasht Kar Le Aur Sabit Qadam Rahe, Wohi Tumhara Sacha Dost Hai.

137
Kisi Per Ehsan Karo Tou Uss Ko Chupao Agar Tum Per Koi Ehsan Kare Tou Usey Jahir Karo.
– Hazrate Ali (Radi Allahu Anhu)

138
‘Gunaho Se Taubah Ka Faida Ye Hai Ki Sazaa Se Najat Milti Hai,
Buri Aadato Se Paak Hone Ka Faida Ye Hai Ki Jannat Aur Usme Unche Darjat Milte Hai.
Mehboob (Huzoor) Ki Khushi Ke Sath Nazdiki Ka Faida Ye Hai Ki
Khusi Ke Sath Allah Ta’ala Ke Didar Ki KhushKhabri Milti Hai,
Farshito Ki Ziyarat Ka Mauka Milta Hai, Buzurgi Me Barkat Hoti Hai”
– (Tohfa-e-Najat, Part-9 Page-87)

139
Boori Aadat Ki Taaqat Ka Andaza Tab Hota Hai Jub Usey Chodney Ki Koshish Ki Jaati Hai.

140
“Agar Log Subah Ki Namaz Ka Sawaab Aur Fazilat Ko Jaan Len Tou Raat Ko Iss Darr Se Sona Chhorh De Ke Kahi Neend Ki Wajah Se Namaz Na Reh Jaye.”

141
Hazrat Ali (RadiAllahu Anhu) Farmate Hai Ke :
“Jab Tumhe Mehsoos Ho Ke Tumhari Tabiyat Ko Zikr-e-Khuda Se Mohabbat Ho Gayi Hai, Tou Jaan Jao Woh (Allah Ta’ala) Tumhe Pasand Karta Hai”.

142
(Aye Ibne Aadam!) Zaahir Par Na Ja! Aag Dekhne Me Surkh(Lal) Lagti Hai Par Uska Jalaya Hua Sia Ho Jata Hai, Pus Duniya Bazaahir Khubsurat Aur Uska Jalaya Hua Badd’surat Hai.
– Hazrat Ali (Radi’Allahu Anhu)

143
Jab Tum Sukoon Ki Kami Mehsoos Karo Tou Apne Rabb Ki Bargaah Me Taubah Karo, Kyun Ke Insan Ke Gunaah Hii Hai Jo Dil Ko Bechain Rakhte Hain.

144
Hazrate Ali (Radi’Allahu Anhu) Se Pucha Gaya Ke:
Allah Qayamat Ke Din Ek (1) Hee Waqt Saari Kainaat Se Hisaab Kaise Lega ?
Hazrate Ali (Radi’Allahu Anhu) Ne Farmaya – Jaise 1 Hee Waqt Me Saari Kainaat Ko Rizq De Raha Hai.

145
Jiski Nigahain Azad Ho Uss Ka Dil Ranjeeda Hota Hai, Jo Baar Baar Azadaana Nigaah Karta Hai Wo Hamesha Hasrato Me Mubtla Rehta Hai.

146
“Soorat” Aur “Seerat” Me Sab Se Bada Farq Yeh He Ke Soorat “Dhoka” Deti He Jab Ke Seerat “Pehchaan” Karaati He.

147
Jo ‘Khuda’ Ko Naraaz Kar Ke Logo’n Ki Khush-Nudi Haasil Karna Chaahey Tou ‘Khuda’ Uss Ko Logo’n Par Hi Chod Deta Hai.

148
(Aye Ibne Aadam)! Ilm Haasil Kar, Ilm Dil Ko Roshni Deta Hai,
Doulat Ki Laalach Se Bach, Doulat Ki Laalach Andha Bana Deti Hai.
– Hazrate Ali (Radi’Allahu Anhu)

149
Doosron K "Mahel" Mein Gulami Karne Se Behtar Hai K Insan Apni Jhonpdi Main Hukumat Kare.

No comments:

Post a Comment