async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Fazail E Umar Farooque E Aazam Radi Allahu Anhu

Tuesday, November 10, 2015

Fazail E Umar Farooque E Aazam Radi Allahu Anhu


Fazail E Umar Farooque E Aazam Radi Allaho Anho

Fazail E Hazrat Sayyidna Farooque E Aazam Radi Allaho Anho
Naam Wa Nasab : Khalifa E Duwam Naam Umar Ibn Khattab, Kunniyat Abul Hafas, Lakab Farooque E Aazam.
Walid Ka Naam Khattab Walida Ka Naam Antma jo Hisham ibn Mugeera Ki Beti Hai.
Aathwi 8th Pusht Me Aapka Sazra E Nasab Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه و آله وسلم  Se Mil Jaata hai.
Waqya E Fil K 13 Saal baad aapki wiladat huwi Ailan E Nabuwat K Chatte Baras 27 Saal Ki Umr me Aapne Islam Huzoor Rehmat E Aalam ki Dua Se Kabool Kiya.
Hazrat Umar Makkah k  Ashraaf Wa Akabir Quraish Me The.
(Imam Suyuti Tarikhul Khulfa Pg : 183)

Nabi E Rehmat صلى الله عليه و آله وسلم  Ki Mubarak Dua Hai Umar ibn Khattab Radi Allaho Anho Kaa Imaan
Jab Sahaba E Kiram Rizwanullahi Azmayeen Huzoor Nabi E Karim Se Arz Gujar Huwe k Ya Rasool Allah Aap Dua Farmade k ALLAH Islam Ko Kuwwat de, Us wakt me 02 Shaks Abu Jahel Aur Hazrat Umar ibn Khattab Radi Allaho Anho Makkah k Takatwar me Shumar Kiye jaate the us Wakt ALLAH k Nabi Ne Hazrat Umar aur Abu
Hadees 01:
“Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسل Ne Dua Farmayi, Aye ALLAH Islam Ko Faukiyat De Abu Jahl bin Hisham YA Umar ibn Al Khattab k Jariye Se.
Pass Agle Roz ye Huwa K Hazrat Umar Ibn Khattab Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسل  k pass aaye Aur Islaam Kabool kar liya”
Reference :
(Jamai Tirmizi Vol :03, Pg :363, Kitabul Manakib, Baab : Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسل Ki Dua Se Umar Radi Allaho Anho Ka Islaam laana,  Hadees : 4047, English No : 3683)
(Jamai Tirmizi Vol :03, Pg :362, Kitabul Manakib, Baab : Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسل Ki Dua Se Umar Radi Allaho Anho Ka Islaam laana,  Hadees : 4045, English No : 3681 Ye rivayat Hazrat ibn Umar Radi allaho Ahnho Se Hai Imam Tirmizi Farmate Hai Ye Hadees HASAN HAI)
Hadees 02:
“Hazrat Ayesha Siddiqa Radi Allaho Anha Se Rivayat Hai Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسل Ne Dua Farmayi, Aye ALLAH Islam Ko Umar Ibn Khattab k Jariye Se Kuwwat De”
Reference :
(Sunan Ibn Majah Vol :01, Pg :65 ,Kitabal Mukaddam,Hadees :110)
Hazrat Umar Radi Allaho Anho k Islam laane Ka Wakya Aksar logo ko pata hai k wo nikle to the Wo Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه و آله وسل k taraf Talwar leke par jab unhe Maloom Huwa k Unki Bahen Aur Bahnoyi Ne Islam Kabool Kar Liya to gusse me unhe hi marne jaa pahuche aur bahnoyi ko maara bhi par Islam par Istekamat dekh dhang reh gaye.
Us Wakt Unki bahen Surah Taha ki tilawat kar rhi thi Umar k kaano me Jaise hi Tilawat E Kalam E Paak Gunji Dil badal gaya ab Umar k dil me Imaan aachuka tha unhone Quran ko waju kar padha aur fauran Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه و آله وسل k pass jaa pahuche unke behnoyi ne kaha MUBARAK HO UMAR MAI UMMID KARTA HOON TUM HI DUA E RASOOL HO. Phir Hazrat Umar Radi Allaho Anho Imaan laake Dakhil E Islam Hogaye.
(Tarikhul khulfa Lil Suyuti Pg :90)

Umar ibn Khattab Radi Allaho Anho Kay Imaan Laane Par Aasman K Farishto Ne Khusiya Manayi
Hadees 03:
Sayyeduna Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه se riwayat hai jiss waqt Hazrat E Umar farooq e Aazam رضي الله عنه  musharraf ba islam huwe,Hazrat e Jibreel e Ameen علیہ السلام haazir e khidmat huwe aur arz kiya Yaa Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسل  yaqeenan Umar رضي الله عنه ke islam qubool karne par ahle aasmaan ne khushiyaan manayi.
References :
(Sunan Ibne Majah, Vol : 01, Pg : 41, Kitabus Sunnah, Baab Fazl Umar رضي الله عنه Hadees : 108)

Umar ibn Khattab Radi Allaho Anho Kay Imaan Laane Se Islam Ko Kuwwat Mili
Hadees 04:
Hazrat Abdullah bin Masood Radi Allaho Anho Farmate Hai Hazrat Umar Radi Allaho Anho K Islaam laane K Baad Se Phir Hume Hamesha Kuwwat Wa Izzat Haasil Rahi.
Reference :
(Sahi Bukhari Vol :05, Pg : 31,Kitabul Manakib Al Ansar, Baab : Hazrat Umar Radi Allaho Anho Ka Islam Laana, Hadees : 3863)
(Sahi Bukhari Vol :05, Pg : 32, Kitabul Manakib E Ashabun Nabi, Baab : Manakib Umar ibn Khattab, Hadees : 3684)

Hazrat Umar Radi Allaho Anho ‘FAROOQUE’ Hogaye
Islam laane k Baad jab Hazrat Umar Radi Allaho Anho Huzoor E Akdas صلى الله عليه و آله وسل k paas the us wakt Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه و آله وسل ne 02 Saff banaye Ek Taraf Hazrat Umar ko Liya Aur Dusri Taraf Hazrat Hamjah Radi Allaho Anhuma Azmayeen ko liya aur Bahar nikal aaye Musalmano ki Shan o Shaukat Dekh k Kuffar jal gaye,
Us Din Islam Zahoor E Islam Haqq aur batil me imtiyaz hojane k wajah se Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه و آله وسل Ne Hazrat Umar ko FAROOQUE ka Lakab ata farmaya
(Tarikhul Khulfa Lil Suyuti Pg : 90)

Farooque E Aazam Ka Ilm Khwaab E Mustafa صلى الله عليه و آله وسلم
Hadees 05:
“Hazrat Abdullah Ibn Umar Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسل Ne Farmaya,
Mai So Raha Tha ki Dauran E Khwab Maine Itna Doodh piya Jiski Taazgi Mere Nakhoono Se Jaahir Hone Lagi Phir Bacha Huwa Doodh Maine Umar ibn Khattab Ko De Diya. Log Arz Gujar Huwe Is Doodh Se Kya Murad Hai ? Faramya ILM Murad hai”
Reference :
(Sahi Bukhari Vol : 01, Pg :104,  Kitab No 03 Kitabul Ilm, Baab : Fazail E Ilm, Hadees : 82)
(Sahi Bukhari Vol :05, Pg :30, Kitab No 62 Fazail E Ashab Un Nabi, Baab : Manakib E Umar Ibn Khattab, Hadees : 3681)
(Sahi Bukari Vol :09, Pg :98,105, Kitab No 91 Kitabut Tabeer, Hadees : 7006,7007,7027)
(Jamai Tirmizi Vol :04, Pg : 325,Kitab Ut Tabeer,Hadees : 2284)

Farooque E Aazam Radi Allaho Anho Muhadis E Ummat E Muslima
Hadees 06 :
‏ لَقَدْ كَانَ فِيمَا قَبْلَكُمْ مِنَ الأُمَمِ مُحَدَّثُونَ، فَإِنْ يَكُ فِي أُمَّتِي أَحَدٌ فَإِنَّهُ عُمَرُ ‏"
“Hazrat Abu Hurraira Radi Allaho Anho Se rivayat Hai Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسل ne Farmaya Tumse Pehle Ummato Me Muhadis Huwa karte The Agar Meri Ummat Me Koi Muhaddis hai To Wo Umar Hai”
Reference :
(Sahi Bukhari Vol : 05, Pg :34, Kitab Manakib E Ashabun Nabi, Baab :Manakib E Umar Ibn Khattab, Hadees : 3689)
Quran E Karim Ki Aayat E Mubaraka Farooque E Aazam Radi Allaho Anho k Mawakif Nuzool Hoti
“Ibn Marduyea ne Imam Mujahid se rivayat ki k Hazrat Umar Radi Allaho Anho Jo Kuch Ray (Opinion) Ahem Masail Me Dete To Quran E Hakim Ki Aayat Uske Mutabik Nazil hoti,
Imam Ibn Asakir Ne Maula Ali Radi allaho Anho ka Kaul Nakl kiya k Quran me Aksar Aayat Umar ibn Khattab ki Ray hai, Ibn Umar Farmate Hai Baaj Masail Me Logo ki ray kuch aur hoti aur Umar ibn Khattab ki aur to Quran Hazrat Umar Radi Allaho Anho k MAWAKIF Nuzool hota”
(Imam Suyuti Lil Tarikhul Khulfa Pg : 137)
Jinme Se Kuch Aayat E Karima ye hai
1)Makam E Ibrahim Par Namaz :
“Aur Ibrahim k Khade Hone Ki Jagah Hone Ko Namaz Ka Makam Banao”
(Surah Baqrah Ayat 125)
2) Ummahatool Momineen k Parda :
“Aur Jab Tum Unse baratne Ki KOi Cheez Maango To Parde k Bahar Se Mango”
(Surah Ahzaab Ayat 53)
3) Iftaar K baad Apni Khwateen Se Mubashirat Ki Izazat :
“Rozo’n Ki Raato Me Apni Aurato K Paas Jana Tumhare Liye Halal Huwa”
(Surah Baqrah Ayat 187)
4) Jo Allah, Rasool Aur Farishto Ko Dushman Rakhe :
“Aur Jo Koi Dushman Ho ALLAH AUR USKE FARISHTO AUR USKE Rasoolo aur Jibrail Aur Mikhael Ka To ALLAH Dushman hai Kafiro Ka”
(Surah Baqrah Ayat 98)
5) Munafikeen Ki Nishani :
“Kya Tumne Unhe Dekha K Jinka Dawa Hai K WO Imaan laaye Us Par Jo Tumhare Upar Utra Aur Uspar Jo TUmse Pehle Utra Phir Chahte Hai K Shaitan Ko Apna Hakim Banaye”
(Surah Nisa Ayat 60)
6) Hazrat Umar Ne Munafik Ka Sar Jism Se Alag Kar Diya :
“Aur Aye Mehboob Wo hargiz Musalman Na Honge Jab Tak Apne Aapas k Jhagdo Me Tumhe Apna Hakim Na Banaye Phir Jo Kuch Tum Farmao Apne Dilo Se Us Se Naa Maane”
(Surah Nisa Ayat 65)
Is tarah k Bahot Se Aayat E Karima Hai ab Har Aayat ko Tafseel Se yaha likha Nahi Jaa Sakta hai Ummid Hai k padhne waale Samajh chuke honge iski tafseer bhi.
Hadees 07:
“Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه  Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه و آله وسل Ney Farmaya :
Allah Ta’ala Ney Haque Ko Umar Ki Zabaan Aur Dil Par Jaari Kar Diya Hey.
Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه  Farmatey Hain :
Jab Kabhi Logon Ko Koi Mas’ala Darpeysh Huwa Aur Logon Ney Us Mey Baat Ki Aur Hazrat Umar رضي الله عنه  Ney Bhi Us Mas’aley Par Kuchh Kaha To Qur’ane Hakeem Hazrat Umar Farooque رضي الله عنه  Key Qaul Key Muwaafik Naazil Huwa.”
References :
(Jamai Tirmizi, Vol : 06, Pg :362, Kitabul Manakib, Baab : Beshak ALLAH ne Hazrat Umar Ki Jaban Par Haq Jaari Farmaya, Hadees : 3682)
ALLAH Taala Ne Farooque E Aazam Radi Allaho Anho K Dil O Jaban Pe Haq Jaari Farmaya
Hadees 08 :
Abu Jarr Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Unhone Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم ko Farmate Suna
"‏ إِنَّ اللَّهَ جَعَلَ الْحَقَّ عَلَى لِسَانِ عُمَرَ وَقَلْبِهِ ‏"‏
“Allah Ne Umar Ki Jabaa’n Aur Dil Par Haq Jaari Farmaya”
References :
(Sunan Abu Dawood, Vol : 03, Pg : 138, Kitab No 20 Kitab Al-Kharaj, Wal-Fai' Wal-Imarah, Hadees : 2962)   
Albani ne bhi is hadees ko Sahi Likha
(Jamai Tirmizi, Vol : 05, Kitab No 49 Kitabul Manakib,Hadees : 4046 {English Version Hadees No : 3682})  Is hadees ko Hazrat Nafi Ne Ibn Umar se rivayat kiya.
(Sunan Ibn Majah, Vol : 01, Kitab Al Mukaddama, Hadees : 108)  
Huzoor Khatimeen Nabiyeen Hai Warna Farooque E Aazam Radi Allaho Anho Nabi Hote
Hadees 09:
Hazrat Uqba ibn Aamir Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai k Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم  ne farmaya
"Agar Mere baad Koi Nabi Hota To Wo Umar ibn Khattab Hote”
References :
(Jamai Tirmizi, Vol : 05 , Kitabul Manakib, Hadees : 4050)
Shaitan Kabhi  Farooque E Aazam Radi Allaho Anho k Raste Se Nahi Gujarta
Hadees 10 :
Sa`d bin Abi Waqqas Se rivayat Hai Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  ne farmaya "Aye Umar Mujhe Us Zaat Ki Qasam Jis Ke Qabze Me Meri  Jaan Hai,Jis Raaste Se Tum Guzaro Ge Us Raste Se Shaitan Nahi Guzarega Bulke Wo Dosre Raaste Se Jayega."
References :
(Sahih Bukhari Book No : 62 kitabul Fazail e Ashabun Nabi, Baab : Manakib e Umar Bin Khattab, Hadees : 3683 {English Version - Sahih Bukhari Book 57, Hadith 32  English})
(Sahih Bukhari, Kitab No : 78 Kitab Al Adab, Baab : Muskurane Ka Bayan, Hadees : 6085)
(Sahih Bukhari Book No : 59 kitabul Badi al Khalk (Begining of Creation), Baab : Sifat e Iblees Wa Zunudihi (Iblees aur Uski Fauz ki sifaat), Hadees : 3294 )
(Sahih Muslim Book No : 44 kitabul Fazail e Sahaba, Baab : Manakib e Umar Bin Khattab, Hadees : 2396 {English Version : Sahih Muslim Book 44, Hadith 32})
Ilm E Gaib E Nabi Hazrat Umar Shaheed Kiye Jaynge
Hadees 11:  
“Hazrat Anas bin Malik Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلمUhad K Pahad Par Tashreef Farma The Aapke Saath Hazrat Abu Baqr, Umar, Aur Hazrat Usmaan Bhi The k Uhad Ka Pahad hilne Laga Huzoor Nabi E Karim Ne Apna Kadam E Mubarak Uspe Rakha Aur Farmaya Aye Uhad Taherja Tujhpe Aur Koi Nahi Ek Nabi, Ek Siddiq Aur Shaheed Khade Hai”
References :
(Sahi Bukhari,  Kitabul Manakib, Baab : Fazail E Umar Ibn Khattab, Hadees : 3686 & 3675)
(Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib,  Hadees : 4062 Eng No : 3697)
Is Hadees E Paak Se Ilm E Gaib E Mustafvi صلى الله عليه و آله وسلم ki Dalail Mauzood Hai Jo Saaf hai Nabi Se Murad to khud Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه و آله وسلم ki Jaat E Aqdas Hai, Siddiq Se Murad Abu Baqr Siddik Radi Allaho Anho Hai aur Shaheed Se Hazrat Umar Ibn Khattab Aur Usman Radi Allaho Anhuma Azmayeen Hai.
Hazrat Umar Radi Allaho Anho Wo Jalilul Qadr Sahabi Hai Jo Ashra E Mubashhara Me Shamil Hai jinhe unki Jindgi me hi Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم Ne Jannati hone ki basharat di thi.
Ameerul Momineen Hazrat Umar Ibn Khattab Radi Allaho Anho Maah E Jumadil Ukhra 13 hizri Me Masnad E khilafat Huwe.
10 Saal 04 maah Khilafat Me Rahe aur lagbhag pure Arab Me yaha tak k Baitul Mukaddas ko Islami Sultanat bana diya.
23 Hizri Me Aap Radi Allaho Anho Ko Abu Lulu Mazoosi Ne Masjid Me Shaheed kiya us wakt Aap Radi Allaho Anho ki umr 63 baras thi.
Hazrat Umar Radi Allaho Anho Ne Phir Apne Madfan k liye Pahlu E Rasool Me Jagah ki izazat Ummul Momineen Ayesha Siddiqa Se Mangi jo unhone de di aur Aap Radi Allaho Anho ka Madfan Wahin huwa.

No comments:

Post a Comment