async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Khaaq-E-Karbala: 72 Shohda Se Muqable Ke Liye Lashkar Bheja Gaya Aur Neher-E-Furaat Ka Paani Band Kar Diya Gaya

Tuesday, November 10, 2015

Khaaq-E-Karbala: 72 Shohda Se Muqable Ke Liye Lashkar Bheja Gaya Aur Neher-E-Furaat Ka Paani Band Kar Diya Gaya


Khaaq-E-Karbala: 72 Shohda Se Muqable Ke Liye Lashkar Bheja Gaya Aur Neher-E-Furaat Ka Paani Band Kar Diya Gaya
Part: 13
Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ka Qafila
Maidan-E-Karbala Me Khemazan Ho Gaya Aur Phir Dopaher Ho Gayi Aur Karbala Ki Dopaher Allah Allah Aasman Se Aag Baras Rahi Thi Aur Zamin Se Shole Uog Rahe The. Garam Loo Ke Thapedo Se Jism Jhulas Rahe The Aur Khakh-E-Karbala Ke Jarro Se Chingari Si Nikal Rahi Thi Magar Qurban Us
Nawasa-E-Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Par Jo Nana-E-Pak Ki Shane Imamat Dikha Gaya Aur Nisar Hou Un Gaziyo Par Jo Khadaan-E-Nabuwat Ki Laaj Rakh Gaye....
Ek Taraf Se Gubar Padta Hua Nazar Aaya
Sayyeda Ke Laal Ne Samza Ki Sayad Kahi Se Koi Madad Aa Gayi Hai Aur Phir Ghodo Ki Tapo Ki Aawaz Aane Lagi Imam Aali Makam Ne Jana Ki Koi Fauji Dasta Hai Jo Hamari Kumak Ko Aaya Hai Magar Jab Ghode Karib Aaye To Dekha Ki Umar Wa Saa'ad Hai. Jo
Ek Lashkare Jarrar Ke Saath Maidan-E-Karbala Me Utar Raha Hai. Logo Ki Aqal
Hairan Hai Ki Sayyeda Ke Laal Ne Jab
Madina Se Kuch Kiya To Ahle Madina Ne
Aap Ko Mana Kiya Jab Makka Se Aap
Rawana Hue To Makka Walo Ne Rasta Roka Safah Ke Makam Par Farjook Saayar Ne Kufa Na Jane Ki Iltejah Ki Raste Me Tarah Bin Adi Ne Iraq Na Jane Ki Darkhwast Ki Sa'alba Ke Makam Par Baqr As'adi Ne Roka Aur Phir Hoor Bin Riyahi Ne Kisi Aur Taraf Nikal Jane Ka Maswara Diya Magar Na Aap
Ne Madina Walo Ke Mana Karne Par Rukte Hai Na Hi Makka Walo Ki Darkhwast Manzoor Karte Hai Na Hi Farjook Saayar Ki Iltijah Mante Hai Na Hi Tarah Bin Adi Ki Na Hi Baqr As'adi Ka Maswara Qubool Karte Hai. Na Hi Hoor Ka Aakhir Ye Baat Kya Thi Ki
Kya Aap Ke Dil Me Koi Taqabbur wa Guroor Paida Ho Gaya Tha???
(MazALLAH) Nahi
Hargiz Nahi...
To Phir Bade Hi Tajjub Ki Baat Hai Ki Hazrate Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Kisi Ki Bhi Baat Nahi Mani Aur Apne Atal Irade Se Aage Badhte Hi Gaye Mumkin Hai Ki Kisi Ke Pareshan Jahen Me Ye Sawal Paida Ho Aur Kisi Be Aqal Ki Aqal Hairan Ho Ki Aap Ne Aisa Kyu Kiya Magar Mujhe To Is Me Koi Tajjub-O-Hairani Ki Baat Nazar Nahi Aati Aur
Fatema Ke Laal Ko Roknewale Isi Duniya
Me Rahenewale The Aur Isi Zameen Par
Basnewale The Balqi Mai To Kaheta Hu Ki Agar Aasman Se Jibril ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Bhi Rokte To Aap Na Rukte Aur Aap Ko Rukna Bhi Na Chahiye Tha....
Is Liye Ki Jab Zuban-E-Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Se Aap Ki Sahadat Ki Khabar Nikal Chuki Thi Aur Yahi Taqdeer Thi To Phir Un Roknewalo Ki Haisiyat Kamali Wale Aaqa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Mukable Me Kya Thi?
To Phir Kaun Si Taqat is Ko Rok Sakti Thi....
Haan !!!
Albatta Tajjub Hai Us Baat Par Aur Aqale
Insani Hairan Hai To is Par Ki Ye Kitni Sitam Jharfi Hai Ki Jin Logo Ne Apne Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Nawase Ko Aur Apne Peshwa ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ke Bete Ko Saikdo Khutoot Aur Hazaro Qasid Bhej Kar Bulaya Aur Phir Subah Se Shaam Tak Apni Chato Par Chad Kar Us Ki Raah Dekhte Aur Jinhone Hazrat Muslim ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ke Haath Par Baith Kar Ke Wafadaari Aur Jaan
Nisari Ka Ahed Bandha Tha Aur Yazeed Ki Huqumat Ke Khilaf Half Utahaya Tha Magar Aaj Jab Ki Un Ke Nabi ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ka Nawasa ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Aur Un Ke Peshwa ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ka Beta Ek Mua'azaz Maheman Ki Haisiyat Se Sarzameene Kufa Me Dakhil Hota Hai. To Wahi Log Us Ka Isteqbaal Chamakti Hui Talwaro Se Karte Hai
Aur Aqidat-O-Muhabbat Ke Bajaye Us Ki
Ziayfat Teero Ki Barish Se Karte Hai Aur Un Ke Muqaddas Mahemano Ko Sharbat Pilane Ke Bajaye Un Par Aur Masoom Bachcho Par Paani Tak Bhi Band Kar Dete Hai Aur Apne Bulaye Hue Mahemaano Ko Na Shaher Me Dakhil Hone Date Hai Aur Na Hi Wapas
Jane Dete Hai Aur Yazeed Ki Ba'it Par
Majboor Karte Hai.....
Aur Phir Ye Hairat-O-Tajjub Ki Baat Hai 72 Inssano Ki Mutthi Bhar Aur Gair Musllah Jamat Ke Saath Jang Karne Ke Liye Ek Laskar-E-Jarrar Maidan Me Lane Ki Kya Zaroorat Is Ki Misal Duniya Me Nahi Milti.....

Un 72 Nufus-E-Qudsiya Ke Samne Itna Bada Laskar Utarne Ki Agarche Misal Nahi Milti Magar Chuki Unhone (Yazeediyo) Ne Sher-E-Khuda ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ko Khaibar Ke Qile Ka Darwaza Apne Haatho Par Uthate Dekha Tha Aur Marhab Ki Laash Jhulfekaare Haidari Ki Zarb Se Zamin Par Tadapti Dekhi Thi Aur Woh Jange Badr-O-Hunain Me Shahe Marda Ki Tehg-E-Burra Ki Kaat Dekh Chuke The Aur Gazwae Khandak Me Amr Bin Abde Uod Ke Mukable Me Ali Ki Quwat-E-Parwardigar Dekh Chuke The Aur Woh Jante The Ki Agarche Ye Mutthi Bhar Jama't Hai Gair Musallh Hai Magar Woh Ye Bhi Jante The Ki In Ke Rago Me Usi Sher-E-Khuda Ka Khoon Hai. Unke Seeno Me Usi Shahe Marda
Ka Dil Hai Aur Un Ke Baazuo Me Wahi
Quwat-E-Parwardigar Hai Aur Woh Ye Bhi Jante The Ki Aise Islam Ke Shero Ka
Muqabla Aasan Nahi Is Liye Woh Itni Badi Fauj Aur Itna Bada Laskar Le Kar Maidan Me Aaye The Aur Usi Khauf Ki Bina Par Un Zalimo Ne Aale MUHAMMAD ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Par Pani Band Kar Diya Taki Sakht Garmiyo Me Pyas Ki Siddat Se Jab Ye Log Kamzor Ho Jayege To Phir Ladayi Suru Ki Jayegi.

Amr Saad Apne Laskar Ko Jab Puri Tarah Se Karbala Me Utar Chuka Aur Kheme Lagaye Gaye To Us Ne Mazloom-E-Karbala Imam Hussain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Se Mulakat Ke Liye Qasid Bheja Aapne Manzoor Kar Liya Aur Phir Alahida Kheme Me Sarfat Wa Wahesat
Ki Mulakaat Hui Aur Neki Wa badi KI Mulakat Hui Imam Aali Makam ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Farmaya Ki Meri Ye 3 Khawaise ibne Ziyad Tak Pahucha Do

1. Mai Wapas Laut Jata Hu
2. Mujhe Muslmano Ki Kisi Sarhad Par
Bhej Diya jaye
3. Mai Damishq Ja kar Yazeed Se Mil Kar
Muamila Taye Karunga

Kisi Pareshan Zahen Me ye Sawal Paida Ho Sakta Hai. Kya Ye Khwaish Kisi Dar Ke Wajah Se Pesh Ki Gayi Thi?
Kya Jaan Ke Khatre Ke Pesh-E-Nazar Un Ko Ibne ziyad Ke Aage Rakha Gaya Tha??
Nahi Hargiz Nahi Balki Itminaan-E-Hujjat Ki Bina Par Aisa Kiya Gaya Tha Aur Is Liye Kaha Gaya Tha Taki Aman Wa Salamati Ke Is Paikare Mujassam Par Jang Ko Dawat Dene ka Ilzam Na Lagaya Ja Sake. Agar Imam Husain Ko Jaan Jane Ka Dar Hota To Woh Apne Nana Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Roza-E-Aqdas Ko Chod kar Madine Se Na Nikalte Aur Agar Un Ko Apni Aur Apne Bachccho Ki Jaane Aziz Hoti To
Woh Allah Ke Ghar Ko Salam Kar Ke Makka Se Kuch Na Karte Aur Woh Nana Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ki Is Hadees-E-Paak Par Amal Karne Ke Liye Nikle the Ki
"AL JANNATU TAH'TA ZILLIYUSSAIF"
Ki Jannat Talwaro Ke Saye Me Hai Aur Woh Qiyamat Tak Aane Wale Muslmano Ko Ye Sabaq Dene Ke Liye Maidane Karbala Me Aaye The Ki .....
" NA MASJID ME NA BAITHULLAH KI
DIWARO KE SAYE ME.....
NAMAZ E ISHQ ADA HOTI HAI TALWARO KE SAYE ME."

Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ ki Ye 3no
Khawaishe Amr Sa'ad Ke Qasid Ke Zariye Ibne Ziyad Tak Pahucha Di Gayi Magr Ibne Ziyad Ka Patthar Dil Narm Na Ho Saka Aur Us Ne Jawab Me Amr Sa' ad Ko Likha Ki Hussain Ibne Ali ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Pahele Yazeed Ki Ba'it Qubool Kare Phir Dusre Mua'amlat Par Gaur Kiya Jayega Aur Tumhe (Amr saad) Ko Hussain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ka Sar Lene Bheja Hai Sulah Karane Ke Liye
Nahi!!!
Khabardaar !!! Hussain Ibne Ali ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Se Us Waqt Tak Koi Riya'at Nahi Jab Tak Woh Yazeed Ki Ba'it Qubool Na Kare Aur Agar Tum Ne Mere Is Huqm Ki Nafarmani Ki To Har Qism Ke In'aam O Iqram Se Maheroom Kar Diye Jaoge Aur Tum Se Tamam Aezaza'at Chin Liye Jayege ...

Muharram Ul Haram Ki 7 Tarikh Ko Samr Bin Jhoshan Ibne Ziyad Ka Dusra Huqm Le Kar Amr Saad Ke Paas Pahucha Ki Nahere Furat Par Fauran Qabza Kar Liya Jaye Aur Hussain Ibne Ali ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ke Khemo Me Pani Ki Ek Bund Bhi Jane Na Di Jaye.

Chunache In Berahemo Aur Zalimo Ne Fauj Ka Ek Dasta Bhej Kar Nahere Furat Par Puri Tarah Qabza Kar Liya Pani Band Kar Dene Ke Baad Bhi Amr Saad Paiyam Par Paiyam Aur Qasid Par Qasid Bhejata Raha Ki Ab Bhi Waqt Hai Yazeed Ki Ba'it Ka Iqrar Kar Lo Warna Saza Bhuktne Ke Liye Tayyar Ho Jao. Magar Ye Imam Husain Yahi Jawab Dete Rahe Ki Mai Apna Sab Kuch Qurban Kar Dunga Lekin Ek Fasiq Ki Ba'it Nahi Karunga. Jab Sulah Ki Koi Surat Na Nikal Saki Aur
Hazrat Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Samz Liya Ki Ab Jang Ho Kar Hi Rahegi To Aap Apni Biwi Saher Baano ke Paas Gaye Aur Farmaya Ki Tumhe Ye Din Dekhna Pada Hai Ki Tum Aur Tumhare Bachcche Pani Ke Ek Qatre Ko Taras Rahe Hai Aur Mai Janta Hu Ki Tum Par Ye Musibat Ki Raate Aur Dukho Ke Din Sab Mere Hi Liye Hai Aur Ab Chuki Halat Laheza Ba Laheza Bigadte Ja Rahe Hai Aur Pata Nahi Ki Kis Waqt Dusmano Ki Taraf Se Jang Ka Ailan Ho Jaye
Isi Liye Ab Behtar Ye hai Ki Tum Apne Baal Bachccho Ko Le Kar Iran Chali Jao Ya Jahan Tum Chahti Ho Wahan Chali Jao Mai Us Ka Intzam Kar Deta Hu....

Magar Qurban Jau Us Ghamgusaar Biwi Ki Kadmo Ki Khakh Par Ki Jis Ne Aakhri Waqt Me Bhi Apne Shohar Ka Saath Na Choda Apne Bachccho Ki Qurbani De Kar Apne Shohar Ki Aan Bacha Gayi Aur Jo DasteKarbala ki Tapte Hue Registaan Me Garmi Ki Siddat Me Bhuq Pyas Bardast Kar Ke Wafadar Biwi Ka Haq Ada Kar Gayi ... Imam Aali Makam ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ki Is Gufatgu Se Biwi Saher Bano Par Riqqat Taari Ho Gayi Aur Shohar Ke Kadmo Me Geer Padhi Aur Arz Kiya Ki Aye Mere Aaqa Khuda
Ke Liye Aakhri Waqt Mujhe Apne Darwaze Se Dhakka Na Do Aur Apne Kadmo Se Door Na Karo
Is Ke Baad Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Har Kheme Me Gaye Har Ek Ka Haal Pucha.

Amr Saad Ka Qasid Aa Pahucha Aur Kaha,
Aye Hussain Ibne Ali ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ibne Ziyad Ka Aakhri Paigam Aa Gaya Hai Ki Hussain Yazeed Ki Ba'it Ka Iqrar Kare To Bahetar Hai Warna Ab Unhe Aur Mahulat Na Di Jaye Thode Se Gaur Ke Baad Aap Ne Farmaya Ki Amr Saad Se Kaho Ki Nahere Furat Par Qabza Kar Ke Aur Aulad-E-Fatema Par Pani Band Kar Ke Tune Jis Gair Insani Sulook Ka Sabut Diya Hai. Woh Tumhare Haq Me Lanat Ka Bais Hai Aur Ye Kya Sitam Hai Ki Tera Laskar Aur Laskar Ke Ghode To Pani Pi Sakte Hai Magar Nabi Ki Aulad Pani Ki Ek Bund Ko Taras Rahi Hai Aur Khandane Nabuwat Ka Gharna Aaj Wuzu Ke Bajaye Tayammum Kar Ke Namaz Padh Raha Hai. Magar Mujhe Ye Sab Kuch Manzoor Hai Lekin Mujh Se Ye Tawaqquh Na Rakho Ki Fatema Ka Laal Yazeed Ki Ba'it Qubool Kar Lenga Aur Aaj Ki Raat Mujhe Muhalat Dedo Taaki Hum Bargahe Rabbul Izzat Me Ji Bhar Ke Hazri de Le Aur Apni Khatao Ki Muafi Mang Le Kal Subah Hum Ladne Ke Liye Tayyar Hai.

Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab

No comments:

Post a Comment