async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Khaaq-E-Karbala: Hazrate Maula Ali Mushkil Kusha Radiallahu Anhu Aur Muhabbat-E-Rasool

Tuesday, November 10, 2015

Khaaq-E-Karbala: Hazrate Maula Ali Mushkil Kusha Radiallahu Anhu Aur Muhabbat-E-Rasool


Khaaq-E-Karbala: Hazrate Maula Ali Mushkil Kusha Radiallahu Anhu Aur Muhabbat-E-Rasool
Part-2
Hazrate Abu Zar ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Farmate Hai Ki Mai Ne Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ko Farmate Hue Suna Ki.
"MERI AHELE BAIT KI MISAL AYE
MUSLMANO TUMHARE LIYE HAZRAT NOOH ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ KI KASTI KI HAI JO SHAKHS BHI US ME SAWAR HO GAYA BACH GAYA JO SAWAR NA HUA HALAQ HO GAYA".....
Hazrat Zaide Bin Arqam ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Farmate Hai ki Ek Din Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Hum Me Khade Hue Aur Farmaya ki....
"AYE MUSLAMNO MAI TUMHARE ANDAR DO BADI HI UMDA CHIZ CHOD RAHA HU EK ALLAH KI KITAB KI US ME HIDAYAT BHI HAI AUR NOOR BHI AUR DUSRI CHIZ MERI AHLE BAIT HAI".....
(✒Muslim Sharif Jild 2,Page no.279; Miskat Sharif Page no.568)
Nasle Insani Ki Hidayat wa Rahenumai Ke Liye Rasool E Aqram ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ne Is Hadees E Paak Me Jin Do Chizo Ka Ziqr Farmaya Hai un Me Ek Quraan E Paak Hai Aur Dusri Ahele Bait-E-Athaar ﺭﺿﻮﺍﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻬﻢ ﺃﺟﻤﻌﻴﻦ ....

To Jo Muslman In Dono Chizo Ko
Mazbooti Se Pakdega Woh Kabhi Bhi
Gumrah Nahi Honga Garz Ki Batana ye
Maqsood Tha ki Qura'an Paak Ki Azmat ke Saath-Saath Ahle Bait Ki Tazim wa
Taqreem, Muhabbat Wa Ulfat Gulami Wa
Niyazmandi Bhi Ek Kalma Padhene Wale Muslman Ke Liye Zaroori Hai Agar Koi Muslman In Dono Me Se Kisi Ek Ko Hi Markaze Hidayat Samzega to Umar Bhar Raah-E-Haq Se Bhatka Rahega Jaise Ki Baaz Log Quraan-E-Paak Ko Chod Kar Sirf Ahle Bait Ko hi Marakaz-E-Hidayat Samzte Hai. Aur Baaz Ahle Baith ko Chod Kar Sirf Quraan Ko Hi Mamba-E-Haq Wa Sadakat Jante Hai Pahele Firqa Rafziya Aur Dusra
Kharjiya Hai Magar Allah Ke Fazl O Karam Aur Kamli Wale Aaqa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ka Sadka Hai Ki Ek Hi Firqa Ahle Sunnat Wa Jamat Hai jo Huzur ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ki Is Hadees-E-Paak Par Puri Tarah Amal Paira Hai Aur Woh Jahan Qura'an Ko Nasl-E-Insani Ke Liye Hidayat Naama Mante Hai Wahi
Ahle Bait Ko Bhi Apni Rahenumai Aur
Peshwayi Ke Liye Mas'aale Raah Mante
Hai....
Aur Isse Badh Kar Itrat-E-Paigambar ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ki Aur Kya Shaan Hongi Ki Agar Koi Muslman Namaz Me Saara Qura'an Bhi Padhe Ruku wa Sujood Me Karoodo Baar Tashbih Bhi Padhe Magar Jab Tak
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIV WA ALA AALE MUHMMADIV Na Padhega Namaz Hongi Hi Nahi.....
Gaur Talab Amr ye Hai Ke Aakhir Khuda
Talah Ko Aisi Kaun Si zaroorat Pesh Aayi Ke Usne Apni Namaz Me Aale Muhammad ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Lafz Ko Wajib Kar Diya To Maloom Hota Hai ki Chuki Allah Rabbul Izzat Ko Ye Ilm Tha ki Karbala Ke Haq Wa Batil Ke Khunain Marke Me Isi Aale
Muhammad ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Apni
Bachche Ki Qurbani De Kar Mere Naam Ko Buland Rakhna Hai Isi Liye Us Ne Apni Namaz Me Aale Muhammad ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ko Samil Kar Diya Taki Un Ka Naam Bhi Muslmano Ki Zubano Par Aakar Qiyamat Tak Ke Liye Buland Rahe.....
Ab InsahAllah Ahele Baite Athaar Ke
Alahidah Fazail Wa Manaqib Likhne Ki
Sa'adat Hasil Karta Hu Taki Unko Padh Kar Har Sahi Ul Aqida Musalman Apne Deen Wa Iman Ki Rooh Ko Taza Kare Aur Dushmanane Itrat-E-Paigambar ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ki Gustakhiyo Aur Un Ke Sharmnaak Hamlo Ki Madafi'at Kar Sake.

Shere Khuda ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Aap Ki Walida Ka Naam Fatema Binte Asad
ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Hai Aur Walid Ka Imran
Aur Qunniyat Abu Talib Hai... Aap Khana E Kaba Me Paida Hue Aap Ameer
ul Momineen Hai Islam Ke Chauthe Khalifa Hai Imam Ul Muttaqin Bhi Hai Shere Khuda Bhi Hai Aur Mushkil Kusha Bhi Muratza Bhi Hai Damade Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Bhi Nafs-E-Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Bhi Hai Aur Jauz-E-Batool Bhi Hai...
Kaun Ali ???
Jis Ne Khaibar Ke kile Ko Ukhada
Kabhi Marhab Ibne Uod Ko Pachada Jis Ki Talwar Kabhi Uhad Ke Maidan Me Chamki Aur Kabhi Badar Ke Registaan Me !!!
Jis Ki Shamsheer-E-Burra Kabhi Gazwa-E-Tabuq Me Laherayi Kabhi Gazwa-E- Khandak Me Kufr Par Giri Jisne Apni Bahaduri Wa Suja'at Ke Sile Me Allah Ki Taraf Se
"LA FATAH ILLA ALI LA SAIFA ILLA
JULDIQAAR"
Ka Tamagae Jurrat Hasil Kiya....
Kaun Ali ???
Woh Jo Kaba Me Paida Hua Aur
Saheed Masjid Me Jo Sahaba Ka Mushir Hai. Momino Ka Ameer Hai Sunniyo Ka Peer Hai Aur Jo Use Na Mane Woh Sareer Hai....
Kaun Ali ???
Woh Jis Ne Hijrat Ki Raat Maheboob-E-Khuda ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Bistar Par
Basar Ki...
Kaun Ali???
Woh Jis Ko Nabi-E-Kareem Ne
Farmaya..
ANA MADINATUL ILM WA ALIYUN
BAABUHA Jis Ke Ilm Ka Ye Haal Jise
✒Shahib e Ruhul Bayan Ne Jild 2 Page No 105 Par Naql Farmaya 🏻
Madina Munawwara Me Baaz Munafiqeen Ne Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Ilm-E-Gaib Par Aitraaz Kiya Hazrat Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Pata Chala Aap Ne Saare Shaher Me Munadi Kara di Aur Jab Madina Ke Saare Log Masjid-E-Nabvi Me Jama Ho Gaye
To Aap Mimbar-E-Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Par Chad Gaye Aur Farmaya Ki "Mere Nabi Ke Ilme Gaib Par Aitraaz Karne Walo !!!
Mai Nabi Nahi Ali Hu Aur Nabi Ka Gulam Hu. Aur Phir Farmaya Ki Aaj Mujh Se Jo Puchna Hai Pucho Mai Aaj Tum Ko Arsh-E-Aazam Ki Baat Batauga."

Phir Kisi Ne Hazrat Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Se Pucha Aap Ko Itna Ilm Kahan Se Aa Gaya To Aapne Jawab Diya Ki Ye Sab Kuch Mere Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Lu'aab-E-Paak Ka Sadka Hai.....
Ta'eid-E-Haq Me Paheli Sahadat Ali Ki Hai....
Paigamabari Nabi Ki, Wilayat Ali Ki Hai!!!!
Maulad Bhi Mohtram Hai Walad Bhi
Mohtaram.....
Kaba Hai Aur Jaye Wiladat Ali Ki Hai!!!!
Maulood E Kaba Ke Liye Mashad Bhi Khoob Tha....
Masjid Me Allah Allah Sahadat Ali Ki Hai!!!!!
Kaba Se Ibteda Hai To Masjid Pe Inteha....
Markoom Do Haram Me Hikayat Ali Ki Hai!!!!

✒ Tafseere Ruhul Bayan, Jild 3; Page
No.348
Jang-E-Khaibar Se Wapsi Par Shaiba Ke
Makam Par Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Farmaya...
"Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Mai Thak Gaya Hu To Hazrat Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne Arz Ki Ya RasoolAllah ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Mere Jaanuo Par Sar Rakh Kar Let Ja'eeye Chunanche Sayyed Ul Mursaleen ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Hazrat Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Jaanuo Par Sar Rakh Kar Let Gaye.."

Gaur Karo Ki Jholi Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Hai Aur Sar Nabi e Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ka
"Zamin Par Arshe Aala Ke Nishan Maloom Hote Hai....
Ali Ki Goud Me Dono Jaha Maloom Hote
Hai!!!

Aur Ittefaq Aisa Tha Ki Hazrt Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne Abhi Namaz-E-Asar Nahi Padhi Thi Aur Suraj Guroob Hota Ja Raha Tha.Magar Woh Mujassam E Deen O Iman, Paikare Ilm-O-Irfaan Aur Sarapa-E-Tafseer-E-Qura'an Ishq-E-Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Aur Ita'at e Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Me Aisa Mahaw Tha Ki Na Namaz Ki Qaza Ho Jane Ki Fiqr Thi Aur Na Hi Ek Ahem Fariza Chut Jane Ka Gum!!!
Bas Nigahe Muratza Ki Thi Aur Rookhe Anwar Mustafa Ka!!!
"Meri Namaz Hai Yahi Mera Sujood Hai
Yahi...
Meri Nazar Ke Samne Jalwae Husn-E-Yaar Ho!!!!
Woh Jante The Aur Unka Aqeeda Yahi Tha ki...
"MAN UTIURRASOOLA FAKAD ATA ALLAH"
Ki Jisne Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ki Ita'at Ki Usne Allah Ki Ita'at Ki...

Lekin Is Ke Muqable Me Agar Aaj Ka Koi
Gustakh Mulla Hota To Kamliwale Aaqa Ko MazaALLAH Apni Misl Samajh Kar Jaga Kar Namaz Padh Leta Magar Woh Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ The Jo Raaz Daar-E-Sirre Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ The Aur Baab-E-Madinatul Ilm The Aur Woh Jante The Ki...

"Namaze Phir Ada Ho Agar Qaza Ho...
Nigaho Ki Qaza Ye Kab Ada Ho!!!!
Ki Namaz Qaza Ho Gayi Phir Padh Lunga
Magar Khuda Jane Maheboobe Khuda ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ka Sar-E-Aqdas Meri Jholi Me Phir Aaye Ki Na Aaye.

ALLAH Ta'ala Farmata Hai:

مَنْ يُّطِعِ ٱلرَّسُولَ فَقَدْ أَطَاعَ ٱللَّهَ ۖ وَمَن تَوَلَّىٰ فَمَآ أَرْسَلْنَٰكَ عَلَيْهِمْ حَفِيظًا  (4:80)

Urdu: 🏻
اس رسول (صلی اللہ علیہ وسلم) کی جو اطاعت کرے اسی نے اللہ تعالیٰ کی فرمانبرداری کی اور جو منھ پھیر لے تو ہم نے آپ کو کچھ ان پر نگہبان بنا کر نہیں بھیجا.

Urdu Roman:
Is Rasool(Sallallahu alaihi Wasallam) Ki Jo ita'at Kare Usi Ne Allah Ta'ala Ki Farmabardari Ki Or Jo Muh Pher Le To Humne Aapko In Par Nigahbaan Bana Kar Nahi Bheja.
(Surah Nisa(4) Aayat No. 80)

Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab

No comments:

Post a Comment