Part 9 Wahabi najdi ki haqiqat
Bani Mudar Ki Tareekh ki study kerne se pata chala ke ye qabeela bahut jungju aur fitna fasad wala tha. Ye qabeela hamesha se he hakoomat k khilaaf baghawatain kerne wala tha. Jab bhi moqa milta isko ye baghawat ker deta tha. Na khud jeete aur na doosroon ko jeene dete thy. Aur yahan ye bhi pata chala ke ye log apni hadood ki hifazat ke liye ahle Iraq aur ahle shaam waloon se muqabla kerte nazar aate thy. Matlab wazeha howa ke ye qabeela Najd Mein he rehta tha aur yahan se woe ahle iraq aur ahle shaam se fight kiya kerta tha kion ke Najd ki Hadood shaam aur iraq se lagti hain.
Ab Ham Ahadees Ki Roshni Mein Dekhte Hain Ke Bani Mudar Kahan Rehti Hain Aur Bani Rabiya Kahan Rehti Hai.
ہم ایک لمبی حدیث کا ایک حصّہ بیان کرتے ہیں
Ham aik lambi hadees ka aik hissa bayan kerte hain
Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam! Ham sirf hurmat wale mahinoon mein he aap ki khidmat mein hazir ho sakte hain kion ke hamaray aur aap ke darmiyan ye mudar qabeela ke kuffaar hail hain. Sahih bukhari vol 1 page 13
Hadees
Ibn Abbas radi Allah anhuma se marvi hai wo kehte hain ke wafd abdul qais Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam ki Khidmat Mein Aya aur Arz Kiya
Ya Rasoolallah! Ham rabiyya ka qabeela hain aur kuffaar mudar hamaray aur aap ke darmiyan rakawat hain lehaza ham aap ki khidmat mein siwaey sheher e haram ken he aa sakte.. ……. Reference full hadees : Sahih Bukhari, Hadees 1502, Page 1467
تبصرہ
ان احادیث میں بتایا گیا کہ قبیلہ قیس کے مسلمانوں اور مدینہ والوں کے درمیان مضرکا کافر قبیلہ حائل ہے۔ اب ہمیں دیکھنا پڑیگا کہ یہ قبیلہ قیس کے لوگ کہاں
کے رہنے والے تھے۔ قبیلہ قیس بنی ربیعہ کی ایک شاخ ہے،
Comment
Is hadees mein bataya gia ke qabeela qais ke musalmanoon aur madina waloon ke darmiyan mudar ka kafir qabila rakawat hai. Ab dekhna hai ke ye qabeela qais ke log kahan ke rehne wale thy. Qabeela qais bani rabiyya ki aik shaakh hai.
Hadees
Aey Allah! Abdul qais ki maghfirat farma ke ye raza mandi se kisi ke jabr ke baghair musalman ho gaey hain ab ye sharminda hoongy aur na he halaak, Jab ke hamari qaum ke kuch log us waqt tak musalman nhe hote jab tak ruswa aur halaak na ho jaeen, phir Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam ne Apne Chehray ka rukh morrtay howe qibla ki janib kiya aur farmaya Ahle Mashraq mein sab se behtareen log Banu Abdul qais hain.
Musnad Ahmad bin Humble, vol 7, page 360 Hadees 17983.
Ye wafd Bahrain ka rehne wala tha. Matlab ke Madina ke mashraq mein Bahrain ata hai
Is ki sharah mein ibn hajjar asqalani kehte hain ke
is mein daleel hai ke qabeela abdul qais qabail mudar se pehle musalman hua aur mudar qabeela abdl qais aur madeena ke darmiyan abad tha aur abdl qais ka ilaqa Bahrain aur iraq ki atraaf se is ke sath milne wale ilaqay thy.
Fathul bari vol 1, page 132
AB HAM IMAM NOWAWI KI SHARAH KI ROSHNI MEIN DEKHTE HAIN.
IMAM NOWAVI QABEELA ABDUL QAIS KE BARAY MEIN APNI SHARAH MEIN LIKHTE HAIN.
Ahle Mashraq mein se afzal abdul qais ka wafad tumaray pass pohanch chukka hai. Un mein ashaj asri bhi hain wo ehad torne ya tabdeel krne wale nhe aur na he shak kerne wale hain. Kion ke qaum abi tak musalman nhe hoi yahan tak ke wo un se tanha ho gay hain. Sharah sahih muslim, vol 1 page 33
No comments:
Post a Comment