async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Najd ki haqiqat

Monday, November 16, 2015

Najd ki haqiqat

Part 28 wahabi najdi  ki haqiqat

DEFINATION OF IRAQ

Iraq ka matlab kiya hai pehle ye parh lete hain ta ke ye baat pata chale ke aya is se murad Najd to Nahe Ya koi aur Matlab hai

Defination Of Iraq:

Mashoor iraq kahi shehroon per mushtamil hai. Iraqan bol ker koofa aur basra murad lete hain. Iraq ko iraq is liye kehte hain ke ye iraq al'qurbata se makhooz hai, Mashkeezy ke nichay wala sorakh kharz jissay dohra kiya jata hai. (ke arab ki sar'zameen ki nisbat gehrai mein waqiya hai aur satah samunder ke qareeb hai.

Abul Qasmi Zajaji farmate hain ke ibn ehrabi ne kaha hai ke iraq ko iraq kehne ki asal wajah ye hai ke najd ki nisbat past o nasheet ilaqa hai aur samunder ke qareeb hai. Ye iraq al'qurbata se makhooz hai yanni mashkeezay ka nichay wala soraakh.

Alama Yaqoot Hamwi, Ma'jum Al'baldan, Page 93

Comment: Iraq ki definition parhne se pata chala ke ye to nichi zameen ko kehte hain. Iraqan bol ker koofa aur basra murad lete hain matlab koofa aur basra ki zameen satah samunder ke qareeb ter hai. Nichi zameen hai jab ke Najd ke meaning ubhri hoi zameen oonchi hight wali zameen hai. To ye to sabit howa ke najd aur iraq ka apas mein koi talluk nahe. Iraq Iraq Hai Aur Najd Najd hai. Is per koi doosri roy nahe hai.

کوفہ اور بصرہ کی آبادی کب ہوئی اور انکے دور فاروقی سے پہلے کیا نام تھے

Koofa Aur Basra Ki Abadi Kab Hoi Aur Inke daur e farooqi se pehle kiya naam thy?

Yaad rahe basra aur koofa pehle abad nhe the.

Koofa Ka daur e farooqi se pehle ka naam

Sar'zameen e koofa ko iski abadkari se pehle soristan ka naam diya jata tha. (majum al'baldan)

Issay daur e farooqi mein basaya gia (Tareekh islam 354)

Basra ka Purana Naam

Basra ko iski abadkari se pehle arz al'hind ke naam se pukara jata tha.

(al'bidaya wan'nihaya 7/49

Comment: is se hamain pata chala ke koofa aur basra mein ya to abadi nahe thi ya phir bahut kam thi. Jis ki wajah se in 2 shehroon ko Hazrat Umer Radi Allah anho Ne basaya.

Ab dekhna hai ke in new cities mein kaun se log aa ker bas gaey thy.

Koofa Aur Basra Ki Abadi Mein Banu Tamim Ka Kitna Percentage tha?

کوفہ اور بصرہ کی آبادی میں بنو تمیم کی کتنے لوگ آباد تھے؟

Basra Ki Abadi Mein Banu Tamim Ka Percentage

Daur e farooqi mein basra ke 7 hissoon mein se 2 hissoon mein banu tamim abad ho gaey.

Alama hamwi likhte hain ke: in barray mehloon mein 2 khareeba mein thy aik zabooqa mein aur 2 banu tamim mein

(Majum al'baldan 1/432)

Is hisab se basra ke kul abadi ka ka 28 feesad tamimi thy

Al'bidaya wan'nahaya 6/347)

Koofa Ki Abadi Mein Banu Tamim Ka Percentage

Koofa ki abadi ke mutaliq likhte hain ke: koofa ki abadi mein 50 hazar ghar rabbiya aur mudar qabeeloon ke thy aur 24 hazar baqi saray arab ke aur Yemen waloon ke 6 hazar thy.

(majum Al'baldan 4/492)

No comments:

Post a Comment