async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Roze ke makhruhat ka bayaan

Thursday, November 12, 2015

Roze ke makhruhat ka bayaan

Jhoot, gibat, chugli, gaali dena, behudi baat kehna kisi ko taqleef dena yeh cheezein waise bhi najaiz o haraam hai,
Roze mein aur ziada haraam aur inki wajah se bhi roza makhrooh hota hai.

Koi chiz kharidi aur uska chakhna zaruri hai ki na chakhega toh nuqsaan hoga chakhne mein koi harz nahee.
Aurat ka bosa lena aur gale lagana aur badan chuna makhrooh hai jabki yeh darr na ho ki inzaal ho jayega ya jema mein mubtila ho jayega aur honth aur zabaan chusna toh roze mein mutlaqan makhrooh hai yun hi mubasharat fahesha bhi makhrooh hai.

Roze mai miswaak karna makhrooh nahee balki jaise aur dino mai sunnat hai waise hi roze mai bhi sunnat hai.

# Qanoon e Shariat Page no. 209/210
Rozadaar ko bila uzr kisi chiz ka chakhna ya chabana makhrooh hai. Chakhne ke liye uzr yeh hai ki maslan shohar ya aaqa bad mizaaj hai namak kam o besh hoga toh uski naraazgi ki baais hoga to iss wajah se chakhne mai harj nahee.

chabane ke liye yeh uzr hai ki Itna chota baccha hai roti nahee kha sakta aur koi narm giza bhi nahi jo usse khilai jaye, na koi aur be roza aisa hai jo usse chaba kar dede to bacche ko khilaane ke liye roti wagaira chabana makhrooh nahee.

Chakhne se muraad yeh hai ki zabaan par rakh kar maza pehchaan le aur use thook de isme se halak me kuch na jaane paye nahi toh roza jaata rahega.

# Qanoon e Shari'at Page no. 209/210

Gulaab ya mushk wagaira sunghna, darhi muchh me tel lagana aur surma lagana makhrooh nahee, magar jabki zeenat ke liye surma lagaya ya iss liye tel lagaya ki darhi barh jaye halaki ek musht darhi hai to yeh dono baatien begair roze ke bhi makhrooh hai, aur roze mai badarja ula.

Rozadaro ke liye kulli karne aur naak me paani charhane mai mubaalga karna (bhar moonh paani lena) makhrooh hai.

Wazu wa gusl ke alawa thand pohuchaane ki garaz se kulli karna ya naak me paani charana ya thand ke liye nahana balki badan par geela kapda lapetna makhrooh nahee, Haan agar pareshaani zahir karne ke liye geela kapda lapeta to makhrooh hai iss liye ki ibadat mai dil tang hona achhi baat nahee.

Moonh me thook ekthha karke nigal jaana begair roze ke bhi acha nahee aur roze mein to yeh makhrooh hai.

# Qanoon e Shari'at, Page no. 210

No comments:

Post a Comment