Surah Anam Ayat 50 Pe Wahabi ko Jawab
Mai Yaha Tamheed ko halaat e jamana k maddenazar rakhte huwe bandh rha hu taaki jab koi padhe wo khud realise karle k jo likha gaya hai aaj yehi horaha hai chunki ye sab humne aanhko se dekha hai aur hum khud in logo se bahes kar chuke hai ye article shayad lamba ho par jarur ba jarur pura padhe ek baar save karle yaad karle In Sha ALLAH Taala Zindagi bhar aane waali naslo k liye bhi ye ek azeem ilmi sarmaya hai jisko padhne k baad aap bol padoge aisa mazmoon aaj tak nhi padha hai naa suna hai.
Daur E Haajir Me Musalmano k darmiyan bahot se firke wajood me hai bilkhusus ek fitna awaam me failaya gaya hai Wahabio k Jariye se K Quran ko Khud Samjho Tarjuma padhke har insaan Quran Se apne matlab k Masle nikal sakta hai aur apni baat ko sahi saabit karne k liye ye jahil bewakuf group jo nahi sudhra to jahannam me jayga QURAN ki aayat bhi pesh karte hai jo ye hai
وَلَقَد يَسَّرنَا القُرآنَ لِلذِّكرِ فَهَل مِن مُدَّكِرٍ
“Aur Humne Quran Ko Nasihat Hasil Karne K Waaste Aasan Kar Diya To Koi Hai Jo Nasihat Hasil Kare”
(Surah No 54 Surah Qamar Ayat 17 -Translation of Ashraf Ali Thanvi)
aur bhi is trah k ayat hai jo pesh karte hai
إِنّا أَنزَلناهُ قُرآنًا عَرَبِيًّا لَعَلَّكُم تَعقِلونَ
“Aur Humne Is Kitab Ko Arabi Me Naazil Kiya Taaki Tum Samjho”
(Surah Yusuf Ayat 02 - Translation of Ashraf Ali Thanvi)
maine translation bhi Aala Hazrat Ka Nhi likha unke shaikh ka hi hai warna ye naa kahe apna translation hai aur isi trah ki kuch aur aayat e paak wo padte hai aur khte hai dekho Quran samajhna aasan hai hume khud se samajhna chahye in Mullao k jhagde me mat pado ye maulvi log bas apna pet bharte hai kaum ko ladate hai yehi baat aaj ka nauzawan karta hai jo aapne khud dekha hoga.
Lihaja ye horha hai har 02 04 kitab padhne waale ladke jinko thek se ye nhi pata k Quran me kitne kism ki aayat hai Naseekh Mansookh kya hai etc wo apne jaahil ustado k saath bethke 10 by 10 k kamre me Quran kholte hai English Translation + Google jo Yahudio ka banaya Search engine hai aur in jahilo ka asli ustad hai uski madad se QURAN ki aayato pe Research karte hai aur unki tehkeek bas kuch aayato pe aake ruk jaati hai wo kuch aayato se apna akeeda khud banate hai.
Dekhen Ek Hota hai Quran ko Padhna Samajhna Dusra Un Ayato Pe Akeeda banana dono me fark hai bahot Quran aasan hai jarur koi shak nahi magar Hidayat aur Nasihat k liye Koi shaks Quran padhe aur usme se Namaz ki takeed waali ayat le aur namaz padhe jhut na bole acche amal kare ye hai Nasihat isliye QURAN aasan hai par Maamla tab bigadta hai wo log jinka ilmi muttala fakat 04 kitabo ka bhi nahi jinko ye nhi pata hai k kis aayat se masle nikalte hai kis aayat se akeeda banta hai kis aayat ka hukm mansookh hai kiska naseekh kis aayat ko aayat ko Ayat E Mutasabihat kehte hai wagaeira wagaira unko ye lafz bhi nhi pata hota aur wo jahil 02 04 aayat ratta maare aur akeeda bana liya unko lagta hai aaj humne jo research ki QURAN ki jis aayat ko dhunda wo shayad kisi ne nahi padhi bas aaj 1400 saal baad wo mysteri humne pata ki hai natiza ye hota hai wo jhola chaap log bazar me, ghar me aate hai tum shirk kar rhe ho tumhara akeeda Quran k khilaf hai saari Quran ki aayat ye kehti hai Maulvi ye kehte hai QURAN ko maan’na ya maulvi ko maanu yehi baat failate hai.
Magar afsos un jahilo pe jinke tehkeek bas ek aayat ko padhke ruk jaati hai wo koshish bhi nhi karte k hum aage kuch padhe apne aapko bahot bada muhakkik ibadat guzar aabid aalim samajhne lagte hai jo khud gumrah hogaye ab dusro ko gumraah karne lage.
Par wo bhul jaate hai k 1400 saalo me Quran ki 150 se zyada Tafseer likhi jaa chuki 20 20 jildo me wo mufasireen jinki puri zindagi bas Quran ki ek ek aayat me gaur o fikr karte nikli puri zindgi apne baal tak safed kar diya raat raat Kalam e Ilahi ko padhte rhe unme se kisi ne ye maana aayat ka naa liya aur jo samjha aaj 1400 saal baad in awaara gadho ko pata chala jo ye jahilo ne gada hai ye soch pe akeeda banane lage hai.
Ye aisa fitna hai jo bahot se bilkhusus nawjawano ko khaa raha hai wo nauzawan aur kharji wahabi mullah jo chand aayat pesh krte hai unme sabse ahem ye ayaat hai unki dalil ki jo wahabi hamesha aapko sunate milenge aur apni la ilmi ka mukkamal saboot denge padte QURAN ki aayat sahi hai par akeeda aur matlab galat nikalte hai.
Allah aise gumraho se Hamare Imaan ki hifazat farmaye..
قُل لا أَقولُ لَكُم عِندي خَزائِنُ اللَّهِ وَلا أَعلَمُ الغَيبَ وَلا أَقولُ لَكُم إِنّي مَلَكٌ ۖ إِن أَتَّبِعُ إِلّا
ما يوحىٰ إِلَيَّ ۚ قُل هَل يَستَوِي الأَعمىٰ وَالبَصيرُ ۚ أَفَلا تَتَفَكَّرونَ
“Tum Farmado Mai Tumse Nahi Kehta K Mere Pass Allah K Khajane Hai Aur Na Ye Kahoo’n Ki Mai Aap Gaib Jaan Leta Hoon Aur Naa Mai Tumse ye Kahoon k Mai Farishta Hoon Mai To Uski Farmadari Karta Hu Jo Mujhpe Wahi Ki Jaati Hai , Tum Farmao Kya Barabar Hai Andhe Aur Aankh Waale To Kya Tum Gaur Nahi Karte”
(Al Quran , Surah Al Anam Ayat 50)
Is aayat ko padhke wo badmazhab aksar Musalmano ko sunate hai aur ek aam musalman ko pareshan karte hai aur ek musalmaan soch me pad jaata hai. Khair ab ye aayat padhke wo jo batana chahte hai wo ye hai 02 chiz. WAHABI KA AKEEDA
01) Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ko Gaib Ka Ilm Naa Tha
02) Huzoor E Akram صلى الله عليه و آله وسلم Ko Ekhteyar Na Tha Naahi Koi Khazana Aap صلى الله عليه و آله وسلم k Pass
Ab aaye dekhe Is aayat ka maane kya tha aur in naam nihad roshan khayal khawarijeen munafikeen ne maane kya liya hai.
Al Jawab :
Awaal to Is ayat e paak se Khazano ke malik hone ki nafi ya Ilm-e-Ghaib ki nafi ki dalil banana kam ilmi hai.
Is ayat me Khazaain aur Ilm-e-Ghaib ki nafi/inkar kab hai?
Balki Daawe ka inkar hai.
Misal ke taur pe Mai koi daawa nahi karta ki mai Koi Aalim hu. To kya iska ye matlab hua ki mere paas Ilm hi nahi? Ek Gair Mukkalid So Called Sapoot e Wahabiya Ahle Hadees Janab ne kaha k jab Direct Straight Forward aagayi k Ilme Gaib nahi hai Khazana nahi hai to kisi Mullah ki kyu maanu ?
Iske pehle hum dalail aur is aayat ki tafseer iska pasmanzar bayan kare ek hadees e paak padhe taaki in naam nihaad ande se nikle baccho k hosh thikane aajaye.
Quran Me Tafseel Bil Rai Karne Waala Jahannami Hai
Hadees 01 :
Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivaayat hai ke, Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم ne Farmaya
" مَنْ قَالَ فِي الْقُرْآنِ بِغَيْرِ عِلْمٍ فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ "
“Jo Shakhs ne Qur’an me (Baghair Ilm ke) apni Raa’i chalaayi Wo Apna Thikaana JAHANNUM me bana le.”
Reference :
(Jamai Tirmizi, Vol : 04, Kitab No 47 - Kitab Tafseer Al Quran, Hadees : 3204)
Hadees 02 :
Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivaayat hai ke, Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم ne Farmaya
" وَمَنْ قَالَ فِي الْقُرْآنِ بِرَأْيِهِ فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ
“Jo Shakhs baghair Ilm ke Qur’an me Kalaam kare, Wo Apna Thikaana JAHANNUM me bana le.”
Reference :
(Jamai Tirmizi, Vol : 04, Kitab No 47 - Kitab Tafseer Al Quran, Hadees : 3205)
I) Ye aayat Jaati Ilme Gaib Par Dalalat Karti Hai
Proof 01 : Tafseer e Nishapuri Is Aayat Ki Tafseer Me Likhte Hai
لا أَعلَمُ ka idraak لا أَقولُ par hoga Yaani Aye Mehboob Farma Do Ki Mai Gaib Nahi Jaanta To Isme Dalalat Us Par Hogi Ki Gaib Bil Isteklaal Yaani Jaati Siwaye ALLAH k koi Nahi Jaanta.
Proof 02 : Tafseer e Baizawi
وَلا أَعلَمُ الغَيبَ iski tafseer me likhte hai Mai Gaib Nahi jaanta Jab Tak Uski Mujh Par Wahi Naa Ki Jaaye Ya Koi Dalil Us Par Kayam Na Ho Yaa Is se Murad Tamam Ilm Ki Nafi (Inkaar) Hai.
Proof 03 : Tafseer e Kabir Imam Fakrudin Razi
“Ye Farmaan K Mai Gaib Nahi Jaanta Huzoor K Is Ikraar Par Dalalat Karta Hai Ki Aap Saare Malumaat Nahi Jaante Ya ye Kalam Bataur E Tawajo Ya Insaar Farmaya Gaya.”
Is tarah ki bahot tafseer hum yaha likh sakte hai par bataur e dalil filhaal 03 hi motebar tafseer kaafi hai jisme wajeh huwa k ye aayat ILME GAIB E JAATI K NAFI (INKAAR) LIYE NAAKI ATAYI Ki
Aasan lafz me Is aayat me ye hai Nabi e Karim Khud se nahi jaante aur naa ye dawa kiya balki jo Rabbe Kadir bata de wo jaan jaate hai.
II)Is ayat me mushrikeen ke sawalo ka jawab diya ja raha hai. Jo unhone Nabi صلى الله عليه و آله وسلم se kiye the.
Mushrikeen ka 1st Pehla Sawal
Tafsir Khazin me isi ayat ke tehet hai:
يقولون للنبي ( صلى الله عليه وسلم ) إن كنت رسولاً من الله فاطلب منه أن يوسع علينا عيشنا ويغني فقرنا
Mushrikeen Makka ne Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم se Kaha ki agar aap Rasool صلى الله عليه و آله وسلم hain to aap hume Khazane taqseem kar dijiye daulat dekar maaldaar Karen. Taki hum mohjtaj na rahen. Aur apnio zindagi aish wa ishrat se guzaren.
(Tafsir Khazin Under Tafseer Of Surah Anam Ayat 50)
Mushrikeen ka 2nd Dusra Sawal
قالوا له : أخبرنا بمصالحنا ومضارنا في المستقبل حتى نستعد لتحصيل المصالح ودفع المضار
Agar aap ALLAH ke Rasool صلى الله عليه و آله وسلم hain to hamare mustaqbil ki khabar dijiye. Hamare Aaindah kaam me nuqsan hoga ya nafa taki hum pehle hi apna intezam kar len.
Mushrikeen ka 3rd Teesra Sawal
( وذلك أنهم قالوا : ما لهذا الرسول يأكل الطعام ويمشي في الأسواق ويتزوج النساء
Agar aap ALLAH ke Rasool صلى الله عليه و آله وسلم hain to khate peete kyun hain ? Aur bazaron me kyun chalte hain? Nikha aurton se kyun karte hain? (Ye to sab Bashar ke kaam hain)
Ye 03 Sawal kahen ya objection jo mushrikeen kuffaro ne kiye the Sawal Huzoor Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم se Huwa ab jawab me Allah Tabarakwatala ne diya k ALLAH Paak ye bhi farma sakta tha k Aye MEHBOOB صلى الله عليه و آله وسلم aapko maine aisa koi ilm khazana naa diya balki Quran me Rab Tabarakwatala ne is andaaz me nuzool e wahi ki hai wo ye hai
Al-Quran: Aye Mehbub صلى الله عليه و آله وسلم ! Farma dijiye:
“Mai tumse nahi kehta ki mere paas ALLAH ke khazane hain aur na mai Ghaib janta hu aur na mai ye kehta hu ki mai koi farishta hu. Mai to usi ke taabe hu jo mujhe wahi aati hai. Aye Pyare Mehbub Sallallaho alaihe wasallam! Unko farma dijiye kya andhe aur ankh wale barabar ho jayenge. Kya tum ghaur nahi karte”
(Surah Anaam ayat 50)
aur ek bahot ahem nuktaa aap pura Quran padh daale jitni aisi aayatein mubaraka hai uska matlab yehi hai Jaati Ilme Gaib ka Naaki Inkaar e Ataiyi Pure Quran me bhot se makam me hai k Ilme Gaib ki kunjiya ALLAH k pass hai Allah Hi Tamam gaib ka jaan ne waala hai par koi ek aayat pe aisi nahi jisme ye kaha ho k ALLAH apne Gaib ka ilm kisi ko ata nahi karta koi aayat bhi nahi hai aisi par ye mauzood hai k ALLAH GAIB KA ILM APNE BANDO Ko ata karta hai wo aage bayan krunga.
III)Is Ayat me ALLAH TABARAKWATALA ne Khitaab Kinse kiya hai ?? Kuffaro Mushrikeen Se
Tafsir Khazin me lafz-e-Qul ke baad mufassir farmate hain:
: ( قل أرأيتم ( أي قل يا محمد لهؤلاء المشركين
Aye Mehbub صلى الله عليه و آله وسلم ! Farma dijiye in mushrikeen ko farma dijiye ki mai tumse nahi kehta Sabit hua ki “Lakum” ye khitab Mushrikeen ko hai. Ki mai tumse ye daawa nahi karta. Ki mere paas Khazain Ilaahiya hain. Aur na ye ki mai ghaib janta hu.
Kisi Mufassir ne ye nahi kaha ki Aye Nabi صلى الله عليه و آله وسلم apni Ummat se farma dijiye.
Nabi E Rehmat صلى الله عليه و آله وسلم ne yaha khitab farmaya kinse hai wo Mushrikeen aur kuffaro se to kya Kaum e Wahabiya bhi Khud ko Kaafir O Mushrik maanti hai shayad isliye is aayat ko apni taraf se pesh karti hai ??
IV)Imaan Laaya Kyu Jaata Hai ?
Imaan ALLAH AUR RASOOL KI RAZA KI KHATIR laaya jaata hai taaki insaan gumrahiyat se nikal k jahannam ka rasta chod jannat ki taraf aajaye ye muktasar se taroof hai warna ispe jildo me kitabe aajayngi.
Is aayat se maloom hua k ye “Kaafiro ka tarika tha k wo kehte the majakiya tanziya aitraaz me aap Allah K Rasool hai to hume khoob daulat aur maal dijiye taaki hum kabhi mohtaj na rahe hamare liye pahad ko sona bana dijiye aur kabhi kabhi kehte hume pichle aur agle dino ki khabar do taaki hum apne liye nafa talash kar sake aur nuksaan se bachne k liye apna bandobast kar sake.
Hume kayamat ka wakt batayi kab aaygi kabhi kehte k Aap Rasool ho aur khana bhi khate ho nikah bhi karte ho”
Is aitraaz k jawab me ye aayat aayi chunki Imaan isliye nahi laaya jaata k apne future ka ilm jaan lo k profit hai dunya me yaa nuksaan garibi hai ya amiri balki uske sawahid takaze kuch aur hai.
Magar kaum e wahabiya bugz k aise chasme lagayi hai k inko kuch nazar hi nahi aata.
Ye Humne Surah Anam ayat 50 ki tafseer aur nuzool k pasmanzar par mukhtasar si roshni daali hai taaki sab clear hojaye Is aayat se saaf jaahir hua k is aayat se Huzur e karim صلى الله عليه و آله وسلم k gaib batane ki nafi lena aur ye kahna k aap nahi jaante ye wohi mushriko kaafiro ka tarika th Aur ispe agar akeeda bana liya jaayga to bahot si aayato ka inkaar hojayga ayate ek dusre se takra jaaygi sahi hadeeso ka inkaar karna padega Jo hum yaha pesh karnge.
Part 02 : Dalail Ka Bayan
ILM E GAIB E NABI KA SABOOT QURAN E KARIM SE
وَما كانَ اللَّهُ لِيُطلِعَكُم عَلَى الغَيبِ وَلٰكِنَّ اللَّهَ يَجتَبي مِن رُسُلِهِ مَن يَشاءُ ۖ فَآمِنوا بِاللَّهِ وَرُسُلِهِ ۚ وَإِن تُؤمِنوا وَتَتَّقوا فَلَكُم أَجرٌ عَظيمٌ
"Aur ALLAH ki yeh Shaan Nahin Hai k Ae Aam logon Tum ko GAIB ka ILM de, haan ALLAH chun leta hai apne Rasoolon main se jis ko Chahe".
(Al Quran PARAH : 4,Surah : Al-Imran, Aayat: 179)
Is ayat ki tafseer me
Proof 01 : Tafseer E Be Zaawi main isi Aayat k Ma Tehet hai.
"Khuda Ta'ala tum main se har kisi ko ILM-E-GAIB nahin dene ka Matla'a kare, is KUFAR O EEMAAN par jo dilon main hota hai, Lekin ALLAH ne Pegambari k liye jis ko Chun leta hai, Pas Us ki taraf Wahi farmata hai, aur Ba'az Gaiyoob (gaib Ki jama) ki Un ko Khabar deta hai, Ya un k liye Aese Dalael farmata hai, jo GAIB par Rehbari karen"
(Anwaar Ul Tanzeel, Vol :1, Pg:308, Matbooa Mustafal Baabi, Misar)
Proof 02 :Tafseer E Khazan main hai.
Tarjuma: " Lekin ALLAH chun leta hai, Apne RASOOLON main jise ko chahta hai, Pas UnkoKhabardaar karta hai, Baaz ILM-E-GAIB par."
(Al Baab Taweel fi Ma'ani Ul Tanzeel Ul Ma'aroof, Tafseer E Khazan, Vol : 1, Pg : 308, Matbooa Daar Ul Ma'arfah, Beroot)
Proof 03 : Tafseer E Kabeer Imam Fakruddin razi rehmatullah alaih isi Aayat k Ma Tehet hai.
" Lekin In Baaton ka Batareek, GAIB par Matla'a hone, k Jaan lena, Yeh AMBIYA KARAAM Ki KHOOSOSIYAT hai".
(Tafseer Ul Kabeer, Vol : 09, Pg: 111, Matbooa Daar ul Fikar, Beroot)
Proof 04: Tafseer E Jalalen masnavi sharif me maulana rumi rehmatullah alaih likhte hai.
"Maaenay (meaning) yeh hain k ALLAH apne Rasoolon main jis ko Chahta hai,Chun leta hai, pas In ko GAIB par Matla'a Kar deta hai".... "KHUDA TA'ALA tum ko GAIB par Matla'a nahin karneka, Taa k Faraq karne se pehle Munaafiqon ko Jaan lo. Lekin ALLAH jis ko chahta hai, Chaant leta hai, to us ko Apne GAIB par Matla'a farmata hai, jese NABI (ALEH SALAAM) ko Munaafiqeen k haal Par Matla'a farmaya".
(Tafseer-E-Jalaalen, Page 92, Matbooa Daar Ul Hadees Al Qaira)
ROOH Ul BAYAAN main hai Allama Ismail hakki al hanfi likhte hai.
"Q k Haqeeqaton aur Haalaat k GAIB Zaahir nahin hote Bager RASOOL (ALEH SALAAM) k Waastay se".
(Tafseer E ROOH Ul Bayaan, Vol :02, Pg:162, Matbooa Daar Ul Ahya At Turaas Ul A'arabi, Beroot)
Is Tafseer se simply maaloom hota hai, k ALLAH TA'ALA ne NABI (ALEH SALAAM) ko Apne Ba'az GAIB k ILM par Matla'a farmaya..
Is ayat se pata chala k gaib ka ilm Allah Tabarakwatala apne pasandida Nabio bando ko bhi ata karta hai to ab ek aam jahen se soche to kya Quran ki ek ayat dusre se takra rahi hai nazar aati hai magar ye sirf la ilmi hai insaan ki asal me Quran ki koi ayat ya sahi hadis e paak quran se nahi takrati hai.
ALLAH KA ILM JAATI HAI USKA KHAZANA JAATI HAI ALLAH KO YE ILM KHAZANA KISINE DIYA NAHI.
JABKI NABI E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم KA ILME GAIB ALLAH KA DIYA HUA HAI ATAI HAI AUR KHAZANA BHI ALLAH NE DIYA HAI.
Ikhteyar E Nabi صلى الله عليه و آله وسلم Quran Aur Sahi Hadees Se NABI E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم KO ALLAH NE KHAZANE ATA KIYE HAIN
“Aur Unhe Kya Bura laga yehi Na k Allah aur Uske Rasool ne Apne Fazl Se Unhe Gani Kar Diya”
(Surah Tauba Ayat : 74)
Allah Taa’la yaha ye bhi kah sakta tha k sabko gani sirf mai karta hoon aur koi nahi par Yaha Baat Gani Karne Ki Aayi To ne apne Mehboob ko bhi shamil kiya khud k saath Pata Chala Gani Allah bhi karta aur uski ata Se Uske Mehboob صلى الله عليه و آله وسلم bhi karte hai.
Ab Hadees e Paak Se Saboot
Hadees 01:
Hazrat Uqba Ibn Aamir رضي الله عنه farmate hai ek din Huzur e karim صلى الله عليه و آله وسلم tashreef laae aur uhaad k shadeedo ki kabr pe namaz padhi aur Apne Mimber pe tashreef laae aur farmaya mai tum par gawaah hu aur kasam khuda ki mai is wakt bhi yaha se apna hauze kausar dekh raha hu.
ALLAH SUBHANU TAALA NE JAMIN K SAARE KHAZANE KI KUNJIA MUJHE ATA KAR DIYE YA YE FARMAYA K MUJHE KHAZANE DE DIYE ZAMIN K Aur ALLAH KI KASAM MUJHE IS BAAT KA KHAUF NAHI K TUM MERE BAAD SHIRK KAROGE.
Mujhe sirf is baat ka khauf hai k tum dunya talbi me ladoge
References :
(Sahi Bukhari Vol : 1, Pg : 189 Kitab No : 23 Kitabuz Janaiz, Baab :As Salate Alash Shaheed, Hadis 1344 “English Book No 23, Hadees : 428)
(Sahi Bukhari , Kitabur Riqak, Hadees : 6426 & 6590)
(Sahi Muslim Vol : 02, Book No 43, Kitabul Fazail, Baab : Isbaati Hauzin Nabiyana Wa sifatihi, Hadees : 2296 “ English Book No 30 Hadees : 5688)
(Musnad e Ahmad ibn Hambal Vol: 04, Pg:154, Hadees : 17532)
Is hadees e paak se wajah hogya hai k Ummat e muslima shirk nahi karegi magar aaj ye tauhid k contracter bane ghum rahe naam nihad wahabi puri ummat e muslima ko mushrik kehte phr rahe hai.
Hadees 02:
Hazrat Sauban رضي الله عنه se rivayat hai K Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya
Aye Logo Allah ne jamin ko mere liye lapet diya hai yaha tak k maine jamin k mashrik ko bhi dekh liya aur magrib ko bhi dekh liya hai aur Allah ne do khazane mujhe ata kiya ek surkh khajana aur ek safed (white) khajane.
References :
(Sahi Muslim Vol : 02, pg : 390,Kitab No 54 kitabul Fitan, Baab : Fitno aur kayamat ki nishaniyo ka bayan, Hadees : 2889, ‘English Version Book No 24 Hadees : 25’)
(Sunan Abu Dawood, Kitab No 37, Kitab Al Fitan Wa Al Malahim,Baab : Fitno Ka Aur Uski Nishaniyo Ka Bayan, Hadees : 4252, ‘English Version Book No : 37, Hadees : 13’)
(Jamai Tirmizi, Vol : 03, Kitab No : 33 Kitabal Fitan, Hadees : 2176, ’ English Version Book No 33 Hadees : 39’)
(Sunan Ibn Majah, Book No 36, Kitabul Fitan, Hadees : 3952, ‘English Version Book No 36 Hadees : 27)
Is Hadees ki sharah me Muhadisin ne likha hai k Tamam khajane Allah ne Apne Mehmoob صلى الله عليه و آله وسلم ko Ata kar diye par Surkh Aur Safed ko khas taur pe mukhatib karke ye baat ki taraf ishara diya gaya hai k yaha se murad Surkh se murad Sona (Gold) aur Safed se murad Chandi(Silver) hai.
Hadees 03:
Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi allahu anha farmati hai k Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya
Aye Ayesha, Allah ne mujhe wo ektheyar diya hai k mai chahu to ye Pahad(Mountain) Sone (Gold) k ban jaaye aur Sone (Gold) k Hoke mere Saath chale.
References :
(Mishkat Sharif Jild : 03, Kitabul Fitan Baab : Fi Akhlakihi Wa shamailihi , Hadees : 5586)
(Imam Baghawi As Shafai, Sharaus Sunnah, Hadees : 3683)
Yaha dekho kya ekteyar bayan kiya Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم ne Apna Ye Farmaya k Mai CHAHOON TO SONA (GOLD) Hojaye aur mere saath chale. Tum kiske niwale se QURAN hadees padh aaye ho ALLAH jaane ALLAH tum akal k pujario ko akal de.
MALIK E KONAN HAI JO PAAS KUCH RAKHTE NAHI
DO JAHAAN KI NAEMAATEIN HAI UNKE KHALI HAATH ME
Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم Bayan kar rhe hai k ALLAH ne wo Ekteyar aur wo Khazane Ka Malik Banaya Hai agr Ishara kardu to ye bhi sona hojaye ye ekteyar hai tumhe aaj tak ye hadees e hi nahi mili ??
Hadees 04:
Hazrat Abu Hurrairah رضي الله عنه se rivayat hai k Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya k Allah subhanutaa’la ne mujhe tamam jabano ka jaan ne waala banake bheja aur Allah ne raob k saath meri madad ki aur Ek Raat soya huwa tha k Mujhe dunya k tamam Khazano ki chabia (key) mujhe ata ki.
Abu Hurraira رضي الله عنه farmate hai Aye logo Ab Allah k Nabi صلى الله عليه و آله وسلم hamare darmian se tashreef le gaye aur wo khazane se tum aaj nafa utha rahe ho jo Allah ne Apne Nabi صلى الله عليه و آله وسلم ko ata kiya tha.
References :
(Sahi bukhari Vol : 02, Kitab No 91 Kitabul Tabeer i.e .Interpretation of Dreams, Baab : Raat k Sapno Ka Bayan, Hadees : 6998, ‘English Version Book No 91 Hadees 17’)
(Sahi Bukhari Vol : 02, Kitab No : 56, Kitabul Jihad Washayri ALLAH KI RAAH ME JIHAD KARNA, Hadees : 2977)
(Sunan Nasai Vol :02, Book No 25 Kitabu Jihad, Baab : Wuzubil Jihadi, Hadees :3087)
(Sahi Muslim Vol: 01 pg: 99 Kitab No : 05, kitabul Masajid wa Mawadius’salat, Hadees : 523, ‘English Version Book No 04 Hadees 1063’)
(Sahi Bukhari, Vol : 02, Kitab No 96 Kitabal Aitesaam Ba Kitab Wal Sunnat, Baab : Huzoor Nabi e Karim ko Jawami Al Kilam K Saath Maboos Kiya Gaya, Hadees : 7273 ye Rivayat Hazrat Saeed bin Mussayab رضي الله عنه se marvi hai)
Is Hadees Ka Khulasa :
1) Nabie E Rehmat صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya MUJHE KHAZANO KI KUNJIYA ATA KAR DI GAYI ab jisko Kunjiya de di kya wo ALLAH Ki ata se Malik naa huwa ?
2) Farman E Nabi صلى الله عليه و آله وسلم k baad Sahabi e Rasool صلى الله عليه و آله وسلم Hazrat Abu Hurraira Ka Akeeda dekho farmate hai Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم humare darmiyan mauzood nahi hai par wohi khazana hai jisko aaj nafa utha rhe ho. SUBHAN ALLAH
Hazrat Abu Hurraira رضي الله عنه ne to haddi tod di wahabiyo ki aur apna akeeda bhi wajeh kar diya.
Hosakata Hai k is hadees pe WAHABI ye kahe k yaha To khwab ki baat hai wo hujjat nhi ye ek Aitraaz kar sakte hai chunki jab koi rasta nhi hota inke pass bhagne ka to is trah ki baat karte hai uska bhi jawab yaha likh rhe hai.
Jawab : Awwal to ye k in Khabiso ko ye jaan na aur samajhna chahye k AMBIYA ALAIHUMUSALAM ka khwab Mashkook nahi hota jaise aam awaam jo khwab dekhe uska sach hona naa hona tabir hona naa hona dono mumkin hai par AMBIYA ALAIHUMUSALAM jo khwab dekhe wo hakikat hota hai.
Iski taaed Me Quran Aur Hadees Dono Mauzood Hai
Proof Hadees e Paak se :
Proof Hadees e Paak se :
AAP صلى الله عليه و آله وسلم NE Umool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha se FARMAAYA AYE AYESHA MERI AANKH SOTI HAI MERA DIL NAHI SOTA.
Reference :
(Sahi Bukhari, Vol : 02, Kitab No. 61 Manakib e Nabi Wa Ashabun Nabi , Baab : Nabi ki aankh Soti Hai par Dil Jhagta Hai, Hadees : 3569)
(Sahi Muslim, Kitab No 06, Kitabul Salat e Musafireen Wa Kasarihi, Hadees : 738)
(Sunan Nasai, Vol : 03 , Book No : 20 Kiyam Al Lail, Hadees : 1697)
(Sunan Abu Dawood, Vol 01,Book No 05 Kitabus Salat, Hadees : 1341)
(Jamai Tirmiz, Vol :01 Book No 02, kitabus Salat, Hadees : 439)
(Al Muwatta Imam Malik, Vol : 01, Kitab Salatul Lail, Hadees : 263)
tum ek dalil ka mutabla karte ho pura ka pura daftar khan kholke derahe hai is hadees se wajeh huwa k Huzoor Nabi E Karim Ka Dil hamesha Jhagta hai to khwab bhi saccha hai hosakata hai ab bhi koi inkaar karde isliye Quran e Paak se bhi ek dalil pesh hai
Quran se jawab: Yaha Us Khwab Ka Zikr Hai Jo Hazrat Ibrahim Alaihi Salam ne dekha tha Hazrat Ismail Alaihi Salam ko Qurban karne k talluk se
“Phir Jab Wo Uske Saath Kaam K Kaabil Hogaya, Kaha Aye Mere Bete Maine Khwab Dekha Mai Tujhe Jibah Karta Hoon Ab Tu Dekh Teri Kya Raay Hai !
Kaha Aye Mere Baap Kijiye Jis Baat Ka Aapko Hukm Hota Hai, Khuda Ne Chaha To Karib Hai ki Aap Mujhe Sabir Paynge - Ayat 102 ”
“To Jab Dono Ne Hamare Hukm Par Gardan Rakhi Aur Baap Ne Bete Ko Maathe K Bal Litaya Us Wakt Ka Haal Na Puch -103”
“Aur Humne Usse Nida Farmaye Aye Ibrahim- 104 ”
“Beshak Tune Khawab Sach Kar Dikhaya - 105”
(Surah Saaffat, Ayat 102 to 105)
pata chala k Ambiya Alaihi salam k khwab bhi sacche hote hai warna khwab me na hone ka imkaan hota to Hazrat Khalilullah Alaihsalam itna bada faisla kyu lete k Hazrat Ismail Alaihi salam ko jibah karne le gaye ? In dalilo se ALHMADULLILAH is subaahat ka bhi jawab wajeh kiya hai k yaha khwab sach hai.
Aksar ye bhi dekha gya hai aur normally ye hota hai log hadees bayan kardete hai au usko samjhate nahi hai jis se padhne k baad bhi log samajh nhi paate isliye ab jo kuch upar bayan huwa uska kuch ahem khulasa yaha hum kar rhe hai.
Conclusion : Ab upar bayan karda Dalail Par Kuch Ahem Points
1)In Dalail se pata chala k us aayat ka matlab ye nhi hai k Huzoor Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم ka waha ye kehna mai nahi jaanta is lihaaj se tha k khud se nahi jaanta waha Inkaar tha jaati hone ka aur Quran ki dusri aayat se humne wajah kiya k ALLAH Taala ne apne Rasoolon ko bhi Gaib kuch ka ilm ata kiya hai.
2)Us Aayat me Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم ne jawab kuffaro ko diya hai kya Wahabi bhi khud ko mushrik kaafir samajhte hai ?
3) Us aayat me hai k Khazane nahi hai to dusri sahi hadees se humne wajeh proof kiya k ALLAH k Nabi صلى الله عليه و آله وسلم ko ALLAH ne khazana bhi diya hai agr ye hadees bhi aap nahi maante to kya maante ho ?
4) Sahaba k saamne Nabi صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya Mujhe Khazana ata kiya kunzia di gayi !! Sahaba ko to ye aayat pesh karni thi Surah Anam Ayat 50 k Aye Aaka صلى الله عليه و آله وسلم Quran me to ye likha hai aur aap ye dawa kar rhe hai hum Quran maane ya ye maane jo Aap صلى الله عليه و آله وسلم ne bayan kiya magar kisi ek sahabi ne wo jinki puri jindagi Quran ki taleem ko aam karne me gayi kisi ek ne ye sawal naa kiya chunki wo jaante the k is aayat ka wo maana hai hi nahi balki akeeda to Sahabi ka Hazrat Abu Hurraira ne bayan kiya WO KHAZANA hai jis se tum Nafa utha rhe ho ye akeeda hai Subhan ALLAH 05)Sahaba se leke Tabain Tabe tabaim Fukaha Muhadiseen Mufasireen 1400 saalo se wo jinki puri jindagi ilme Quran aur hadees me guzri unhone bhi is aayat ka matlab ye nhi liya kyuki wo jaante the ye fakat Kuffaro k jawab k liye tha par mauzooda munafikeen ne isko khud k akeede pe liya aur khud bata diya k Islam se aur Soch fikr e Sahaba se to talluk hi nahi hai inka rista e talluk to mushkireen yahudio se hai awaam ko smajhna chahye.
06) Jab Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم ne ye kaha k Mujhe Khazane Ata kiye gaye Chalo Sahaba e Kiram Rizwanullahi Azmain ne to sawal kuch naa kiya aur naa Surah Anam ayat 50 pesh ki thek. Par Kya ALLAH ko nhi pata tha k Maine ye ayat bheji koi khazana nhi aur Aye Mehboob صلى الله عليه و آله وسلم aap yaha ye dawa kar rhe hai Aapne Shirk kar diya ALLAH ne bhi koi Aayat kyu naa bheji ??
Jo 1400 saal baaad aaye ye kide makode ne liya hai unme se kisi ko nhi samjha aaj tum Yahudi Search engine google k students ko samajh aaya ? Gaur to karo tum mar kiski muhabbat me jaa rahe ho ?
BE ISHQ E MUHAMMAD صلى الله عليه و آله وسلم PADHTE HAI JO
BUKHARI AATA HAI UNHE BUKHARI NAHI AATI
Kayamat tak ka wakt dete hai jawab nhi aayga hmare dalail ka
Bail Dudh De Sakta Hai, Murga Anda Desakta hai Par Jawab nahi aayga
haa yaa waha se gaaliya aayngi bina haath pair ki taweeel laaynge par jawab nahi aayga ?
Kis Mooh se khud ko Ahle Hadees bolne lage ho ? kyu nazar nahi aati ye tamam hadees tum khabeeso ko isliye k jab Tum Quran Hadees padte ho to sabse phle apni NAFS aur apne Dimag k suitable akeede k liye padte ho jo tumhare akeede ki ho wo maan lo baaki sab chodo dusra ahem nukta tum jab bhi padte ho to dhundte kya ho ? yehi to sabse ahem hai aakhir tum kitab me talash kya karte ho ?
Tum jab Quraan uthate ho aayat talash karte ho k kis trah ALLAH k Mehboob tarin bando ko kamzor saabit kiya jaaye kis trah aayat dhundi jaaye k Musalmano koi Mushrik Declare kar diya jaaye kis tarah dhunde k Nabi صلى الله عليه و آله وسلم ko ekhteyar naa tha gaib naa tha yehi niyaat se padhte ho lihaja hota ye hai chunki niyat me hi khot bugz hai QURAN ki aayat sahi padhke mafoom bigad k maane galat lete ho aur Quran padhke bhi gumraah hote ho.
Jiska zikr jo khud Quran me hai k isko padhke bhi gumraah honge. Mulahiza ho aayat
Al Quran : “Allah Bahutero ko Is se Gumraah karta hai Hai (yaani Quran Se) Aur Bahutaro ko Hidayat farmata hai aur Gumraah unhe karta hai jo behukm hai”
(Al Quran, Para 01, Surah Al Bakra, Ayat : 26)
pata chala k Quran padhke bhi log gumraah honge aur Farmaan E Nabi صلى الله عليه و آله وسلم bhi hai jo Ibn Katir ne likha Hai K Mujhe Meri Ummat Pe Quran Ka Bhi Khatra hai chunki Iske Padhane waale Munafik bhi honge”
Yakinan Tum Mardoodo ne kisi munafik khawarij k dastarkhwan me bethke QURAN padha hai tumhe NAARI ilm mila hai NOORIE ilm nahi mila Tum Kis Mooh Se Bukhari kaa naam lete ho jabki Dur Dur tak Imam Bukhari Rahimullah k Mazhab aur Aqaid pe nahi ho tumko to ab tak Bukhari ki hawa bhi nahi lagi hai bas naam chori kar rakh liya Ahle hadees khauf karo Kis Kharjio ki Muhabbat me mare ho kya tumhare kaam aaynge ? Ya Wo Rehmat e AALAM صلى الله عليه و آله وسلم ki jaat e Aqdas besharmo jinse Shafat ki Ummid rakhte ho unki shaan e Aqdas me hi hai nukta chin karte ho SHARM nahi aati kis mooh se jaaoge baroze mehshar ? Thande dimag se sochna jarur.
Agar Koi Haq ki niyat se thande dimag se ye padhle to mujhe Rabbe Qadir Se Ummid Hai k wo haq ko samajh lega aur sahi raah pe aajayga.
ALLAH UMMAT E MUSLIMA KO TUMHARE MAKR FAREB JAAL SAAZI SE MEHFOOZ FARMAAYE. AAMEEN
No comments:
Post a Comment