Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
⏩ Bhool kar khaaya ya piya toh roza nahee tutega.
⏩ Makhi ya dhuwa halak mai jaane se roza nahee tutega, lekin agar qasdan khud dhuwa pahonchaya to roza tut jayega jabki rozadaar hona yaad ho. Maslan dhuwnai, agarbatti, lobaan wagaira ko moonh ke kareeb karke dhuwe ko naak se khincha to roza jaata raha.
⏩ Baat karne me thuk se honth tar ho gaye aur use pee gaya to roza nahee tutega, magar in baato se ehtiyaat chahiye.
⏩ Daant se khoon nikal kar halak tak pahoncha magar halak se niche na utra to roza nahee tutega.
⏩ Dawa, kooti, ya aata , chaana iska maza halak me malum huwa to roza nahee tutega.
⏩ Kaan me paani chala gaya to roza nahee tutega.
# Qanoon e Shari'at, Page No. - 207/208
Sehri aur iftari
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ
Roze ke liye sehri karna baa barkat hai Sunnat hai beshumar fazilat hai magar yeh roza Sahih hone ki shart nahee! Agar kisiko Sehri karne ka mauka na mila to bagair sehri kiye roza rakh sakta hai.
Roza aur Iftaar mein uss jagah ka aitbaar hai jaha aadmi roza rakhte Aur iftaar ke waqt maujood ho.
Agar koi shakhs arab mulk se roza rakh kar hindustaan aaya to usse hind ke waqt ke mutabik iftaar karna hoga aur jo shakhs hind se roza rakh kar arab mulk gaya to usse waha ke gurub ke baad iftaar karna hoga. uske liye ab hind ke gurub ka aitbaar nahee.
# Raddul Mohtaar Jild, 2 Safah, 419
No comments:
Post a Comment