Tv or iliyas makkar ke gulamo ke liye
ASSALAMU AALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUHU
Markaz e Ahlesunnat Bareli Sharif Ka Faisla
Deen Ki Tableeg Ke Liye Tasweer Ki Zarurat Nahi. Ye Kaam Awaaz Ke Zariye Asaani Ke Sath Ho Sakta Hai. iske Liye TV Ka istemal Shaitani Dhoka Hai. Markaz e Ahlesunnat Bareli Sharif Ka Aaj Bhi Yahi Fatwa Hai Ke "TV Aur Video Me Nazar Aane Wali Soorat'en Tasweer Hi Hain Jo Sarkar Sallallaho Ta'ala Alaihe Wasallam Ke irshad Ki Raushni Me Haram Hain." Sayyedna Imam Ahmad Raza Rahematullah Alaih Ki Kitab "Ataya-Al-Qadeer" Se Yahi Sabit Hai Ke Tasweer Khenchna Ya Banana, Chahe Kisi Tareeqe Se Ho, Haram Hi Hai. Hadees Me Kisi Khas Tareeqe Ka Zikr Nahi Hai. Tasweer Banane Ke Kai Tareeqe Paida Huey Hain Aur Aainda Bhi Hote Rahe'n Ge. Sarkar Sallallaho Ta'ala Alaihe Wasallam Ne irshad Farmaya "Beshak Qayamat Ke Din Sab Se Ziyada Sakht Azab Un Par Hoga Jo Jandar Ki Tasweer Banate Hain."
TV Aur Video Ki Waja Se Mu’aashre Ko Zabardast Nuqsan Pahonch Raha Hai. Har Taraf Gunahon Aur Be-Hayaiyon Ka Sailab Aa Gaya Hai. Bad-Aqeeda Jamate'n Badi Tezi Ke Sath Musalmanon Ko Apna Shikar Bana Rahi Hain. Aise Nazuk Halaat Me Logon Ke iman Ki Hifazat Aur Paigame AlaHazrat Ghar Ghar Pahonchane Ke Liye Huzoor Tajushshariya Ki Ejazat Se Jamat Razae Mustafa Ke Zere Ehtemam Raza Audio Channel Shuru Kiya Gaya Hai Jo Mulk Ke Kai Shaheron Me Suna Ja Raha Hai. Jis Shaher Me Ye Shuru Karna Ho Wahan 1 Laptop Computer Rakha Jata Hai Jo internet Se iska Program Leta Rahta Hai. isme Sirf Awaz Hoti Hai Jo Cable Wire Ke Zariye Har Ghar Me Maujood Speaker Box Me Pahonchai Jati Hai. iska Program Rozana 15 Ghante Chalta Hai Jisme iman Afroz Bayanaat, 5 Waqt Ki Azan, Naate Paak, Tilawat Wo Tarjuma e Kanzul-iman, Deeni Masail, Wazu Gusl Aur Namaz Ka Tareeqa Wagaira Aate Hain. Jis Shaher Ya Elaqe Me Ye Shuru Ho Jae Wahan Sunniyat Mahfooz Aur Mazboot Ho Jati Hai.
Raza Audio Channel Ka Program
Raza Audio Channel Me Rozana Sub'ha 5 Baje Se Raat 11 Baje Tak Nihayat Dilkash Awaz Me 5 Waqt Ki Azan, Naate Paak, Manqabat, Salato Salam, Shajra, Sharai Masail Wo Maloomat Par Mushtamil Sawal Wo Jawab, Wazu Gusl Aur Namaz Ka Tareeqa, Roza Aur Zakat Ke Masail, Huzur Tajushsharia, Huzur Mohaddise Kabeer Aur Deegar Akabir Ulma Ke Shandar Bayanat, Har Shaher Ki Taqweem Yani Namaz Ke Time Table Ke Mutabiq Namaz Ka Waqt Khatm Hone Se Pahle Warning Ka Elan Ta'ke Jis Ne Abhi Tak Namaz Na Padhi Ho, Fauran Padh Le. Misal Ke Taur Par Zohar Ka Waqt Khatm Hone Se Pahle is Tarah Elan Hota Hai: "Samaeene Kiram! Namaze Zohar Ka Waqt Khatm Hone Me Sirf 30 Mint Baqi Hain. Agar Aap Ne Abhi Tak Zohar Ki Namaz Ada Nahi Ki Hai To Jald Ada Kar Len." Is Elan Ki Waja Se Bahot Se Logon Ki Namaz Waqt Par Ada Ho Jati Hai Aur Wo Gunah Se Bach Jate Hain.
is Me Rozana islami Maheene, Tareekh Aur Saal Ka Elan Hota Hai Jiski Waja Se Ghar Ke Har Adami Ko islami Tareekh Yaad Raheti Hai. Agar Kisi Buzurg Ke Urs Ya Wiladat Ka Din Ho To Uska Bhi Elan Hota Hai Aur Unki Zindagi Ke Bare Me Bhi Bayan Hota Hai. Din Me Kai Baar Naate Pak Pesh Ki Jati Hai Jo Akabir Wo Mustanad Ulma Ki Likhi Hui Hoti Hain Yani Bilkhusoos Hadaiqe Bakhshish, Samane Bakhshish, Zauqe Naat, Qabala e Bakhshish, Safeena e Bakhshish Wagaira Ke Kalam Pesh Kiye Jaate Hain. Zikr Wali Naaten Bilkul Nahi Pesh Ki Jati Magar Kuchh Mash'hoor Naate'n Jinka Zikr Computer Ke Zariye Nikal Diya Gaya Hai Wo Pesh Ki Jati Hain. Ramzanul Mubarak, Baqra-Eid, Moharram, Rabiul-Awaal Shareef Aur Rabiul-Aakhir Shareef Wagaira Ke Mauqe Par Kai Kai Roz Tak Aise Shandaar Program Pesh Kiye Jate Hain Jise Sun Kar iman Taza Hota Hai Aur Zabardast Deeni Maloomat Hasil Hoti Hai. Tilawate Quraane Paak Kanzul-iman Ke Tarjume Ke Sath Rozana Sub'ho Sham Pesh Ki Jati Hai Jis Me Para Number, Rukoo Number Aur Soora Ka Naam Bhi Bataya Jata Hai. Huzur Tajushsharia Ki Aawaz Me Bayanaat Ke Elawa Rozana Naate Paak Bhi Pesh Ki Jati Hai. Tahirul-Padri Aur Zakir Naik Jaise Gumrah Logo'n Ke Bare Me Bhi Mudallal Bayanaat Hote Hain Ta'ke Awam in Se Mahfooz Rah Sake'n.
Huzoor Tajushsharia Ki Karamat
Aaj Ke Pur-Fitan Daur Me Muslamano'n Ke iman Wo Aqeede Ki Hifazat, Maslake Ala-Hazrat Ke Farog, Aur Nawjawano'N Ko Deen Se Qareeb Karne Ke Liye Raza Audio Channel Jaisi Koi Cheez Nahi Hai. Yaqeenan Ye Huzur Tajushsharia Ki Karamat Hi Hai Ke Deen Ki Tableeg Ke Liye Bilkul Naey Aur Jaiz Tareeqe Se Raza Audio Channel Qaim Hua Aur Badi Kamyaabi Ke Sath Phail Raha Hai. Jin Shahero'N Me Ye Shuru Hua Hai Wahan Ki Sunniyat Mazboot Hui Hai Aur Ek inqelab Paida Ho Gaya Hai.
Raza Channel Agar Kisi Masjid Ya Madrase Ki Nigrani Me Shuru Kiya Jaey To Wahan Par Hone Wale Program Usme Live Sunaey Ja Skate Hain. isi Tarah Agar Koi Elan Karna Ho To Wo Bhi Kiya Ja Sakta Hai. is Tarah Awam Se Rabta Bhi Mazboot Rahta Hai Aur Logo Tak Ahem Khabar Pahonchane Ka Zariya Bhi Hota Hai.
Aaj Har Kisi Ke Paas itna Waqt Aur Salahiyat Nahi Hai Ke Wo Deeni Kitabe'n Chhap Sake. Doosri Baat Ye Ke Har Koi Padhna Nahi Janta Aur Jo Padh Sakte Hain Un Me Kuchh Urdu Aur Kuch Hindi Wale Hain. iske Baad Bhi iski Koi Zamanat Nahi Ke Zarur Padhen Ge. Ek Baat Ye Bhi Ke Kya Kitab Hamesha Aur Har Topic Par Chhapi Ja Sake Gi? Kyonki Sirf Ek Martaba Chhapne Se Kaam Poora Nahi Hoga. isi Tarah Deeni Jalso'n Me Bhi Ekhrajaat Bahot Hote Hain Aur Dalail Aur Hawalon Ke Sath ilmi Taqrir Karne Wale Muqarrir Bahot Kum Hain. is Tarah Ek Jalse Me Jitna Kharch Hota Hai Utni Raqm Se Raza Audio Channel Shuru Kiya Ja Sakta Hai Jo Hamesha Chlta Rahe Ga Aur Rozana 15 Se 16 Ghante Program Sunata Rahe Ga. iske Zariye Poore Mulk Me Hone Wale Ahem Jalse Aur Conference Ki Taqareer Ghar Baithe Log Sun Saken Ge Aur 5 Waqt Ki Azan, Naate Paak Aur Tilawate Quran Wo Tarjuma Bhi Sune'n Ge. is Tarah Koi Kitab, Literature Aur Jalse Ke Bagair Bhi Shaher Ki Sunniyat Tar-o-Taaza Rahe Gi.
Appeal
Hum Aap Se Guzarish Karte Hain Ke Raza Audio Channel Ke Ta'aa'ruf Ki Audio File Download Karke Mobile Aur internet Ke Zariye Aam Kijiye Aur iske Poster Ko Flex Par Print Karker Apne Shaher Ki Ahem Jaga Ya Masjid Ke Paas Lagwa Dijiye. Agar Flex Na Ban Sake To Kum Se Kum A4 Size Ke Paper Par Kuch Colour Print Nikalwa Kar Lagwa Dijiye. Maslake AlaHazrat Ke Mission Ke Liye Aap Ki Ye Qurbani insha-Allah Ta'ala Khuda Ki Bargah Me Qubool Hogi Aur Sawab Ka Zariya Bane Gi.
JAZAKALLAHU KHAIRAN KASEERA
No comments:
Post a Comment