Kuch Aisa Kar de Mere Kirdgaar Aankho me
Kuch Aisa Kar de Mere Kirdgaar Aankho me
Hamesha Naqsh Rahe Roo-e-Yaar Aankho me
Wo Noor De Mere Parwardigar Aankhon Me
Ki Jalwagar Rahe Rukh Ki Bahaar Aankhon Me
Tumhaare Qadmo pe moti nisaar hone ko
Hain be shumaar meri Ashkbaar Aankho me
Unhe na dekha to kis kaam ki hai ye Aankhe
Ke Dekhne ki he saari Bahaar Ankho me
Nazar me Kaise samayenge phool Jannat ke
Ke bus chuke hai Madine ke Khaar Aankho me
Ajab nahi ke likha Lauh ka Nazar Aaye
Jo Naqshe Paa ka laga’o Ghubaar Aankho me
Khule hain deeda-e-Ushaaq Khwaabe marg me bhi
Ke Us Nigaar ka he intizaar Aankho me
Wo Subz Subz Nazar Aa raha he Ghumbad-e-Subz
Qaraar Aa gaya yoo be Qaraar Aankho me
Wahee mujhe Nazar aaye Jidhar Nigah Karu
Unhi Ka Jalwa rahe Aash kaar Aankho me
Ye Dil Tarap Ke Kahee Aankho me Na Aajaye
Ke Phir Rahaa hai kisi ka Mazaar Aankho me
Karam ye mujh pe kiya he mere tassawur ne
Ke Aaj khinch di Tasweer-e-Yaar Aankho me
Farishto Poochte ho mujh se kis ki Ummat ho
Lo Dekh lo ye hai tasweer-e-Yaar Aankho me
Ye Kya sawaal he mujh se ke kis ka banda he
Me jis ka banda hoo he Noor Baar Aankho me
Piyaa he Jaam-e-Muhabbat jo Aap ne NOORI
Hamesha Us ka rahega Khumaar Aankho me
No comments:
Post a Comment