Sar ta ba-qadam hai tan e sultane zaman phool
Sar ta ba-qadam hai tan e sultane zaman phool
Lab phool, dahan phool, zakan phool, badan phool
Sadqe me tere baagh to kya laye hai ban phool
Iss guncha e dil ko bhi to imaa ho ki ban phool
Tinka bhi hamare to hilaye nahi hilta
Tum chaho to ho jaye abhi kohe mehan phool
WALLAH jo mil jaye mere ghul ka paseena
Maange na kabhi itr na fir chahe dulhan phool
Dil-basta wa khu-gashta na khusbu na latafat
Kyo guncha kahu hai mere AAQA ka dehan phool
Shab yaad thi kin daanto ki shabnam ki dam e subh(a)
Shokhane bahari ke jada-u hai kiran phool
Dandaan o lab o zulf o rukhe shah ke fidayi
Hai durre adan la'ale yaman mushke khotan phool
Bu hoke nahi ho gaye taabe rukhe shah me
Lo ban gaye hai ab to haseeno ka dahan phool
Ho baare gunah se na khazil doshe azeeza(n)
Lillah meri na'ash kar aaye jane chaman phool
Dil apna bhi shaidayi hai us naakhun e paa ka
Itna bhi mahe nou pe na ay charkhe kuhan phool
Dil khol ke khu ro le game aarize shah me
Nikle to kahi hasrat e khu-naaba shudan phool
Kya gaaza mala garde madeena ka jo hai aaj
Nikhre hue joban me qiyamat ki phaban phool
Garmi ye qiyamat hai ki kaante hai zabaa(n) par
Bulbul ko bhi ay saaqi e sahba wa laban phool
Hai kaun ki girya kare ya faatiha ko aaye
Bekas ke uthaye teri rehmat ke bharan phool
Dil ghum tujhe ghere hai khuda tujhko wo chamkaye
Suraj tere khirman ko bane teri kiran phool
Kya baat Raza us chamanistaan e karam ki
Zahra hai kali jisme husain aur hasan phool
No comments:
Post a Comment