Wasfe Rukh Unka Kiya Karte Hai
Wasfe Rukh Unka Kiya Karte Hai, Shar-he Wash-shamso Zuha Karte Hai
Unki Hum Madd-ho Sana Karte Hai, Jinko Mahmood Kaha Karte Hai
Maahe Shak Gashta Ki Soorat Dekho, Kaap Kar Mehr Ki Raj'at Dekho
Mustafa Pyare Ki Qudrat Dekho, Kaise Ayjaz Hua Karte Hai
Tu Hai Khursheed E Risalat Pyare, Chup Gaye Teri Ziya Me Taare
Ambiya Aur Hai Sab Mah-Paare, Tujhse Hi Noor Liya Karte Hai
Ay Balaa Be Khirdi-E Kuffar Rakhte Hai Aise Ke Haq Se Inkaar
Ki Gawahi Ho Gar Usko Darkaar Be Zabaa(n) Bol Utha Karte Hai
Apne Maula Ki Hai Bas Shaan E Azeem, Jaanwar Bhi Kare Jinki Ta'azeem
Sang Karte Hai Adab Se Tasleem, Ped Sajde Me Gira Karte Hai
Rif'ate Zikr Hai Tera Hissa, Dono A'alam Me Hai Tera Charcha
Murge Firdous Pas Az Hamde Khuda Teri Hi Madho Sana Karte Hai
Ungliya Paayi Wo Pyari-Pyari, Jinse Dariya E Karam Hai Jaari
Josh Par Aati Hai Jab Gamkhwari, Tishne Sairaab Hua Karte Hai
Haa Yahi Karti Hai Chidiya(n) Fariyaad, Haa Yahi Chahti Hai Hirni Daad
Isi Darr Par Shutrane-Naashaad Gil-E Ranjo Ana Karte Hai
Aasti Rehmat E A'alam Ulte Kamare Paak Pe Daaman Baandhe
Girne Waalo Ko Kucha E Dohzakh Se Saaf Alag Kheench Liya Karte Hai
Jab Sabaa Aati Hai Taibah Se Idhar Khilkhila Padti Hai Kaliya(n) Yaksar
Phool Jaama Se Nikal Kar Baahar Rukhe Rangi Ki Sana Karte Hai
Tu Hai Wo Badshah E Kouno Makaa(n) Ki Malak Haft Falak Ke Har Aa(n)
Tere Maula Se Shahe Arsh Aywa(n) Teri Daulat Ki Dua Karte Hai
Jiske Jalwe Se Uhud Hai Taba(n) Ma'adane Noor Hai Uska Damaa(n)
Hum Bhi Us Chand Pe Ho Kar Kurbaa(n) Dil E Sangi Ki Jila Karte Hai
Kyo Na Zeba Ho Tujhse Taajwari Tere Hi Dam Ki Hai Sab Jalwa Gari
Malako Jinno Bashar Huuro Pari Jaan Sab Tujh Pe Fida Karte Hai
Toot Padti Hai Balaye Jin Par, Jinko Milta Nahi Koi Yaavar
Har Taraf Se Wo Pur Armaa(n) Fir Kar Unke Daaman Me Chupa Karte Hai
Lab Par Aa Jaata Hai Naam E Janaab Muh Me Ghul Jaata Hai Shahde Nayab
Wajd Me Ho Ke Hum Ay Ja(n) Betaab Apne Lab Choom Liya Karte Hai
Lab Pe Kis Muh Se Ghum E Ulfat Laye(n) Kya Bala Dil Hai Alam Jiska Sunaye
Hum To Unke Kafe Paa Par Mitt Jaye Unke Darr Par Jo Mita Karte Hai
Apne Dil Ka Hai Unhi Se Aaram Soupe Hai Apne Unhi Ko Sab Kaam
Lou Lagi Hai Ke Ab Us Darr Ke Ghulam Chara-E Dard E Raza Karte Hai
No comments:
Post a Comment