async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: March 2016

Tuesday, March 15, 2016

Wahabi ke post ka jawab

Wahabi ke post ka jawab padhiye ye hindi post fir iska jawab mai nichhe deta hun
__________________________---------------------------
कुछ आलिम कयूँ कहते हैं कि क़ुरान समझना सब के बस की बात नहीँ।

1 क्यूंकि क़ुरान कहता है की अल्लाह के सिवाए कोई ग़ैब जानने वाला नहीँ (6:59)
2 क्यूंकि क़ुरान कहता है कि गैरुल्लाह के नाम की नज़रो नियाज़ हरम है (2:173, 5:3)
3 क्यूंकि क़ुरान कहता है कि दुआओं में खालिस अल्लाह को पुकार जाये (10:106)
4 क्यूंकि क़ुरान कहता है की रसूल को ख़ुदा समझना कुफ़्र है (3:80)
5 क्यूंकि क़ुरान कहता है की क़ब्र में दफ़न शुदा लोग नफ़ा नुक्सान पहुचने का इख़्तियार नहीं रखते(16:20, 21)
6 अल्लाह फरमाता है कि हमने क़ुरान को समझनेे के लिए आसान कर दिया तो है कोई नसीहत कबूल करने वाला? (54:17)
7 क्यूंकि क़ुरान कहता है की अल्लाह तुम्हारे करीब है और जब तुम उसे पुकारते हो तो वोह पुकार सुनता भी और दुआ कबूल भी करता है (2:186)
8 क्यूंकि क़ुरान कहता है कि अल्लाह बिलकुल तुम्हारे करीब है उस तक पहुँचने के लिए किसी भी इंसान के ज़रिये की ज़रूरत नहीं (39:3)
9क्यूंकि क़ुरान कहता है की जो क़ब्रों के अंदर हैं वो नहीं सुन सकते (35:22)

दोस्तो अल्लाह ने क़ुरान को नाज़िल ही इस लिए किया है कि इसे समझा जाये और समझ कर अमल किया जाय।
लेकिन कुछ मफाद परसत लोगों की बजह से आज दीन को ढ़ाल बनाकर मुसलमानो को गुमराह कर के इन की जेब पर ये कहकर डांका डाला जा रहा है की फुंला दूध वाला अपने दूध में पानी मिलाकर बेचता है।
कोई पोखर का पानी मिलाता है कोई यमुना,नल और तालाब का पानी मिलाता है । लेकिन मैं अपने दूध में आबे ज़मज़म मिलाता हूँ।
मेरा दूध एकदम शुद्ध है अब बताईये इस दूध में मिलाबट हुई या नहीं। इसी तरह भोले भाले मुसलमानो को धोका दिया जाता है कहा जाता है कि अल्लाह ने क़ुरान को शिफ़ा कहा है इसलिए इसे ताबीज बना कर गले में लटकाने से शिफ़ा मिलती है।
लेकिन अगर हम मुसलमानो ने क़ुरान को वाकई समझ कर पढ़ा होता तो मालूम पड़ता की अल्लाह ने शहद को भी शिफ़ा कहा है तो हमने शहद की बोतल को अपने गले में क्यूं नहीं लटकाया क्युकी शहद अंदर पहुँच कर ही शिफ़ा देगा?
यही बजह है की लोगों की जेब और ईमान पर डंका डालने के लिए इन्हें क़ुरान से दूर रखा जाता है।
दो चार नहीं हज़ारों आयतें ऐसी हैं जो हमारे बाप दादाओं के अक़ीदे के बिलकुल खिलाफ हैं अगर हमने इन्हें समझ लिया तो इन नाम निहाद आलिमों की पोल खुल जायेगी।
हमे ये कहकर गुमराह किया जाता है।
की क्या तुम्हारे बाप दादा गलत हैं क्या अपना बाप बदलना चाहते हो।ऐसी बातें कहकर और क़ुरान से दूर कर दिया जाता है दोस्तों सच्ची बात हमेशा कड़वी होती है इसलिए हक़ को पहचानो क़ुरान के पैग़ाम को घर घर मैं आम करो।
सारे इख़्तिलाफात खुद व खुद मिट जाएंगे इल्म का जमाना है हर ज़बान मैं तर्जुमा मौजूद है इसलिए खुद बिना किसी की बातों में आये हुए क़ुरान को पढें और अपनी निजात का जरिया बनायें।
आमीन)))
__________________________---------------------------

MaazAllah summa maazAllah iska kahne ka matlab ye ki kisi Aalim ki mat suno khud padho Qur'aan aur khud samjho aur isne aqli qayas bhi kiya in sab ka jawab baad me, pahle dekhte hain isne jo 9 aayaat ka Hawaala quote kiya, jisme khudki baat apne matlab se kahi aur Usey Qur'aan Bataaya,...
Neez Apni Baat Ka Jo Jo hawala usne diya kya sach me Qur'aan Shareef me waisa hi hai??

1.
Tarjuma :
Aur usi ke paas hai kunjiya gaib ki unhe wahi jaanta hai aur jaanta hai jo kuchh khushki aur tari me hai aur jo patta girta hai woh usey jaanta hai aur koi daana nahi zameen ki andheriyon me aur na koi tar aur khushk jo ek roushan kitaab me na likha ho
(6: 59 = yaani surah 6 ayat 59)
Jiska us wahabi ne hawala diya, usne kya likha hai ap khud padh lije aur uske hawale me kya likha hai ap khud hi padh ke faisla kijiye ke ye wahabi kitne bade haraami hain, Nabi e PAAK Sallallaho Ta'ala Alaihe Wasallam ko Allah Ta'ala ne ilm e gaib ata farmaaya hai, dekhiye Qur'aan Shareef
Tarjuma: "Aur ALLAH ki yeh Shaan nahi hai k Aye Aam logon tum ko GAIB ka ILM de, haan ALLAH chun leta hai apne Rasoolon me se Jis ko chahe". (PARA 4, Surah  Al-Imran, Aayat 179)

Aur dusri jagah farmata hai,

Tarjuma: " Aur yeh NABI, GAIB batane main Bakheel nahi".(Surah Taqveer)
Ye 2 ayaat hui,
ilm e gaib ke saboot me zyaada jaankari ke liye aur wahabi log jo aayat aur Hadees pesh karte hain Nabi e Paak Sallallaho Ta'ala Alaihe Wasallam ke ilm e Gaib Se Inkaar me Sab ka Jawaab aur Khulasa,
18 aayaat e Mubaaraka aur 54 Ahaadees e Paak se Aur BuzurgoN ke tafseer se sabit kiya gaya hai,
click kar ke padhiye

https://m.facebook.com/Ilm-e-gaib-e-Mustafa-sallallahu-alaihi-wasallam-373230126207501/

2.
Tarjuma:
"Usne Yahi Tum par haraam kiye hain murdaar aur khoon aur suwar ka gosht aur wo janwar jo gair khuda ka naam lekar zibah kiya gaya (2: 173 = yaani surah Baqrah aayat 173)

Tarjuma,
"Tumpar haraam hai murdaar aur khoon aur suwar aur woh jiske zibah me gair khuda ka naam pukara gaya (5: 3 = yaani surah maida, Aayat 3)

Ap padh ke khud faisla kariye is khabees ne Qur'aan par jhuth bandha, isliye inhi dono Aayat ka hawala De kar likha
'Gairullah ki nazro'n niyaz haraam hai' maazAllah jab ki in Aayat me aisa kuchh nahi,
Koi bhi musalman Gairullah ke naam par jaanwar zibah nahi karta, ye wahabi log use Gairullah ke naam par zibah kahte hain jo Aulia ke naam se ho, matlab mai batata hun Aqeeqa kis ke naam se hota hai ??
Qurbaani kis ke naam pe hota hai??
Lekin qurbaani me bhi Allah ka naam lekar hi zibah kiya jaata hai aur Aqeeqa me bhi Allah ka naam lekar hi zibah kiya jaata hai,
Ab samjhe aap ye wahabi log bhi to qurbaani karte hain apne naam se aur Aqeeqa bhi apne naam se.
To samjh me aaya isi tarah buzurgo ke naam par jaanwar mansoob hota hai lekin Zibah Allah ke naam par hi hota jise wahabi bhi jante aur samjhte hai lekin fir bhi ye logo ko gumrah karne ke liye hatdharmi karte hai,

3.
Tarjuma:
"Aur Allah ke siwa uski bandagi na kar jo na tera bhala kar sake na bura. Fir agar aisa kare to us vaqt tu zaalimo'n me hoga, (10: 106 = yaani Surah Yunus aayat 106)

Ap dekhiye khud usne kya likha aur Aayat me kya hai ,

4.
Tarjuma,
"aur Na Tumhe yeh hukm hoga ki farishto'n aur paigambaro'n ko khuda thah'ra lo, kya tumhe kufr ka hukm dega baad iske ki tum musalman ho liye (3: 80 = yaani surah al imran Aayat 80)

Is wahabi se koi ye puchhe ki paigambaro'n ko kon khuda bana liye zara ye bhi batao, kon Rasool ko khuda samjhta hai??

5.
Tarjuma:
"Aur Allah ke siwa jinko pujte hain wo kuchh bhi nahi banaate aur khud banaaye hue hain
Murde hain zinda nahi aur unhe khabar nahi log kab uthaye jaayeinge (16: 20, 21 = yaani surah an nahl Aayat 20 aur 21)

Ap Aayat check kariye aur fir wahabi ne jo likha wo check kariye sabse badi baat is wahabi ko yehi nahi malum ke ye buto'n ke liye hai,

6.
Tarjuma
"aur beshak Hamne Qur'aan Yaad Karne ke liye Aasan farma diya, to hai koi yaad karne wala, (54:17 yaani surah qamar Aayat 17)

Hansiye mat ye wahabi aise hi hote hain, apni marzi se kuchh bhi likh ke kahte hain ye Qur'aan me hai aur hawala bhi de marte hain fir jab hawala dekha jaata hai to isi tarah inki makkari samne aati hai
Usne likha hai samjhne ke liye Allah ne Quran Aasan kiya jabki Aayat me yaad karne ko Aasan kaha gaya,

7.
Tarjuma:
"Aur aye Mahboob jab tumse mere bande mujhe puchhe'n to mai nazdeek hun dua qubul karta hun pukaarne waale ki jab mujhe pukaarte, to unhe chahiye mera hukm maanein aur mujhpar imaan laayein ki kahi'n raah paaye'n (2:186 = Yaani surah baqrah aayat 186)
Jitna bhi wahabi ne likha hai sab apni taraf se likha hai,
Ye wahabi Baaz Aayat ko na samjh ke baaz Aayat ka inkar kar lete hain, maazAllah aur Alhamdulillah ham Sunniyon ka Qur'aan Shareef ki har Aayat par Imaan hai,,

8.
Tarjuma:
"haan khaalis Allah hi ki bandagi hai, aur jinhone uske siwa wali (sarparast) bana liye kahte hain to unhe sirf itni baat ke liye pujte hain ki hame Allah ke paas nazdeek kar denge, Allah unme faisla kar dega us baat ka jisme Ikhtelaaf kar rahe hain, beshak Allah raah nahi deta use jo jhutha bada naa-shukra ho, (39:3 = yaani surah ghafir Aayat 3)

Ye bhi Aayat buto'n ke liye hai,
Lekin is wahabi ne is Aayat ke Hawaala Dekar apni taraf se jo likha, usse ye waseele ka inkaar karna chahta hai to Aaiye dekhte hain Qur'aan Shareef Ka Kya irshad hai :

->Tarjuma:
ALLAH Se Daro, Aur Uski Taraf Waseela Dhoondo (Sura Maida Aayat 35) Yahan Waseela Se Muraad Mehbubaane Khuda Hain Mazeed Wazaahat K Liye Shah Abdul Aziz Muhaddis Dehalwi Ki ALQau'Lul JAMEEL Ka Mutalya karen,

9.
Tarjuma:
" Aur baraabar  nahi zinde aur murde, beshak Allah sunaata hai jise chaahe aur tum nahi sanaane wale unhe jo qabro'n me pade hain, (35:22 yaani surah fatir Aayat 22)

Is ke kisi bhi likhe jaisa Aayat me nahi hai isme isne likha jo qabro'n ke andar hai wo nahi sun sakte,
Is Aayat me kaafiro'n ko murde se tashbih di gayee ki jis tarah murde suni hui baat se nafa nahi utha sakte aur nasihat haasil nahi karte, bad'anjaam kaafiro'n ka bhi yehi haal hai ki woh hidayat aur nasihat se nafa nahi uthate, is Aayat se murdo'n ke sunne par istidlaal karna sahi nahi kyunki Aayat me qabr walo'n se muraad kaafir hain na ki murde aur sunne se muraad woh sunna hai jis par Raah paane ka nafa mile, raha murde ka sunna to wo kayee hadeeso'n se saabit hai, is mas'ale ka bayaan 20ve paare ke dusre ruku me dekha ja sakta hai'

Ab aaiye isne jo apne marzi se kuchh bhi likh kar Qur'aan ka hawala de maara aur isse ye bataane ki koshish ki ke sunni musalman shirk karte hain maazAllah aur isne jo buto'n ke liye Aayat thi usey Waliyon aur Nabiyon par fit karne ki koshish ki maazAllah
Aise logo ko Ham Hadees e Paak se hi jawab denge

Hazrat Ibn Umar Radi Allahu Ta'ala Anhum Farmate hain k Ye tamam makhlooq me Bad'taren hain Q K ye Qur'aan ki Un Aayaton ko Jo buto'n K bare me Nazil hui hain unhe ALLAH walon par chaspa karte hain"
(Bukhari Jild 2 Page 1024)
Isi liye Ham Sunni Barelvi Log, wahabi ko badtareen makhloq kahte hain.
Aur dekhiye....
Nabi Paak Sallallahu Alaihi Wasallam farmaate hain

Allah ki Qasam Mujhe tum Par koi Khauf Nahi ke Mere Baad Shirk karo Ge (Sahi-Bukhari J#2 P#975 H#6102)

Ab samjhe ap haqeeqat kya hai ab aaiye jo isne Qur'aan ko samjhne ke liye kaha tha uska bhi jawab isko Qur'aan se hi dete hain,
Tarjuma, Allah Bahutero ko Is se Gumraah karta hai Hai (yaani Quran Se) Aur Bahutaro ko Hidayat farmata hai aur Gumraah unhe karta hai jo behukm hai”
(Surah Al Baqrah, Aayat 26)

Ab Aap in Aayat aur hadees e paak se wahabi ki haqeeqat jaan gaye honge Aur isne jo apni Manmaani se likhkar Qur'aan ka hawala diya (maazAllah) usse to saaf zahir hogaya ke ye wahabi musalman nahi,
Ab last me iske taweez par aiteraz ka jawab dedeta hun,

Hazrat Amr bin shab Radi Allahu Ta'ala Anhu ke walid Majid ne unke jadde amjad se riyawat ki hai ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam  pareeshaani ke waqt kahne ke liye ye kalimaat sikhaya karte
"" اَعُوْذُ بِكَلِمَاتِ اللّٰه التَّامَّةِ مِنْ غَضَبِهِ وَ شَرِّ عِبَادِهِ وَمِنْ هَمَزَاتِ الشَّيٰطِيْنِ وَاَنْ يَّحْضُرُوْنَ ""
Chunaanche HazratE Abdullah bin Umar Radi Allahu Ta'ala Anhum ne ye dua apne un beto ko sikhaya karte jo samajhdaar hote aur jo naa samajh (umr me chhote) hote unke galo men likh kar latkaa diya karte
(Abu dawood shareef kitabuttib)

Taweez ke mas'ale ko tafseel se dekhne ke liye yahan click kare'n
http://serajrazvi.blogspot.com/search/label/taweez%20pahanna%20quran%20o%20hadees%20ke%20roushani%20me?m=0

Ab samjh gaye ap wahabi jo khud Qur'aan padh ke samjhne ka daawa karte hain ye khabees kis qadar deen se nikal gaye,
Aur haqeeqat ye hai ki Qur'aan ye log padhte hi nahi balke sirf wo Aayat dhundh ke padhte hai jisme bazahir uska matlab inke man ke motabik ho aur usko ye log badal ke logo ko pesh kar ke gumrah karte hain.

Tarjuma "Ilm Walon Se Poocho Agar Tumhen Ilm Na Ho" (Sura e Ambiya Aayat 7)

"Ita'at Karo ALLAH Ki Aur Ita'at Karo RASOOL Aur Hukum Walon Ki Jo Tum Me Se Hen" (Al-Nisa Aayat 59)

wasle moula chahte ho to waseela dhoond lo, be waseela najdiyo(wahabiyo) hargiz khuda milta nahi"..

Wahabiyon touba kar lo,
Warna agar himmat hai to mere likhe jawab par aiteraz kar ke dikhao,
Mai saabit karunga tum qur'aan ke saare Aayat par imaan nahi rakhte aur ham sunni bareilvi alhamdulillah saare Aayat par imaan rakhte hain,

(Mohammad serajuddin urf seraj razvi +966 55 435 6135)
__________________________

Friday, March 4, 2016

Mazar par jana sunnat hai

mazar par jana sunnat hai
Har Sal awlia Allah ke parda farmane(urs)ke din unki mazarat ki ziyarat karna sunnat hai:

Hazrat Abu huraira radi Allahu anhu hazrat saad bin abi waqas radi Allahu anhu
Hazrat mohammed bin ibrahim radi Allahu anhu hazrat ukhb a bin omer radi Allahu anhu
se riwayat hai ke

huzoor(SALLALLA HI ALIHI WASALLAM)har saal shohda e uhad ki mazar par tashrif le jate aur unhe farmate tum par salam ho kyun ke tumne sabar kiya. Aur akhirat ka ghar kaisa achha hai.

Aur isi tarha hazrat abubakar radi Allahu anhu hazrat omer radi Allahu anhu
Hazrat Usman radi Allahu anhu
Hazrat ali radi Allahu anhu
bhi har sal shohda-e-uhad ke mazar-e-mubarak ki ziyarat karte the
>Sharah al sudoor pg210, >tafsir jamia al biyan13/ 96, >ibne kasir2/ 791, >tafsire kabir19/ 45, >qurtabi pg313 jild5 jaz9, musanif abdul razaak hadiss6814,baih aqi, umdatul qari sahi bukhari,tafsir ibne jurair)

Tabligijamat deobandar ahle hadis  log kehte hai har sal AwliaAllah ki mazarat ki ziyarat karna shirk  biddat hai (maazAllah)

Jab tumme se kisi ki koi shai gum ho jaye, ya tumme se koi Madad chaahe aur woh aisi jagah ho jaha uska koi madadgaar bhi na ho, to use chaahiye ke yu'n pukaare,aye ALLAH ke bando meri madad karo, aye ALLAH ke bando meri madad karo, yakinan ALLAH ke aise bhi bande hai jinhe hum dekh nahi, sakte aur ye aazmudah baat hai.

(tabara ni,f il muajjam ul kabir , jild 17, page 117, hadees 290)

Allah ke nek bandon ki jagah par jakar duwa mangna nabion ki sunnat hai:

hazrat Zakaria(Alaihis salaam)ko barso se tamanna thi ke unhe beta ho aur unhone kai bar Allah se duwa mangi yaha tak ke aap zahif ho chuke the.

jab unhone hazrat e maryam( radi Allahu anhu)ki ibadat ki jagah dekhi ke waha be mausam phal ate hai to us waqt unhone waha duwa mangi aur aap ki duwa qubol hogayi (para 3 al imran 37,39)

Ahle hadis, wahabi, deobandi, tabligi jamat ke log kehte hai Allah kr nek bandon ki jagah par jakar duwa mangna shirk hai. Ma'azallah

Azmat e awlia: Jab Allah kisi bande se mohabbat farmata hai.to hazrat e jibrail alaihissalam se farmata main falaan se mohabbat karta hun. tum bhi usse mohabbat karo.
phir jibrail alaihissalam asman me elan karte hai ke Allah falaan se mohabbat karta hai tum bi usse mohabbat karo phir asman wale bhi usse mohabbat karte hai phir uske liye zamin me maqboliyat rakh di jati hai (sahin muslim jild2 pg331)

is hadis se malum huwa ke awlia Allah se mohabbat karna Allah ki sunnat hai aur inse mohabbat karne walo se Allah khush hota hai. Aur shaitan Allah ke nek bando se nafrat karta hai jaise tabligi jamat aur ahle hadis ke log karte hain. Aur dekho ye wahabi deobandar kya kehte hai: Inke paas iskaa koi soboot hai kya???? : - >

Jis Urs main sirf QURA'AN parha jae , us main Shareek hona bhi durust nahin hain . (Fatawa E Rasheediya, PAGE#147, MOLVI RASHEED AHMED GANGOOHI)

Ab ap khud hi faisla karen kon Allah aur uske habib wala aur kon shaitan wala

Note, mazar shareef par jaya karen lekin bilkul adab ke saath dil aur dimag ko paak kar ke jaye karen mazar shareef par jakar koi aisi galati na kare jisse sahibe mazar par ungi uthe (matlab jitna ho sake utna adab baja layen