✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 7
RUKANA PEHELWAAN➡
Bani haashim mein ek mushrik shaksh Rukana naami bada zabardast pehelwaan tha . Uska record tha ki usey kisi ne na giraya tha , wo ek jungle mein jisey izam kehte the raha karta tha , bakriyaan charata tha aur bada maaldar tha . Ek din Huzoor salallaho alaihi wasallam akele us taraf jaa nikle , rukana ne aapko dekha to aapke pass aakar kehne laga Ae Mohammad (salallaho alaihi wasallam ) ! Tu hi wo hai jo hamare laat wa ujja ki tauheen o tehkeer karta hai , apne ek khuda ki badaai bayaan karta hai ? agar mera tujhse talluq rehmi na hota to aaj main tujhe maar daalta (Maazallah). Aa mere saath kushti kar , tu apne khuda ko pukaar , main apne laat o ujja ko pukarta hoon , dekhein to tumhare khuda main kitni taaqat hai ? Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : Rukana ! agar kushti hi karna hai to chal main tayyar hoon, rukana ye jawab sunkar awwal to hairaan hua aur phir bade guroor ke saath muqaable mein khada ho gaya.
Huzoor salallaho alaihi wasallam ne pehli hi jhapat mein usey gira liya aur uske seene par chadkar baith gaye , rukana umar mein pehli martaba girkar bada sharminda hua aur hairaan bhi , bola : Ae Mohammad (salallaho alaihi wasallam) ! mere seene se uth khada ho, mere laat o ujja ne meri taraf dhyaan nahi kiya , ek baar aur mauqa do , doosri martaba kushti ladein , Huzoor seene se uth khade huye aur dobara kushti ke liye rukana bhi utha . Huzoor salallaho alaihi wasallam ne doosri martaba bhi rukana ko pal bhar mein gira liya . Rukana ne kaha : Are Mohammad (salallaho alaihi wasallam) ! Mujhe maaloom hota hai ki mera laat o ujja mujh par naaraz hai aur tera khuda teri madad kar raha hai , khair ek martaba aur aao , abki dafa laat o ujja zaroor meri madad karenge . Huzoor salallaho alaihi wasallam ne teesri dafa ki kushti bhi manzoor farmayi , teesri martaba bhi usey pachaad diya , ab to rukana bada hi sharminda hua aur bola : Ae Mohammad (salallaho alaihi wasallam)! Meri un bakriyon se jitni chahe bakriyaan lelo. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : rukana mujhe tumhare maal ki zaroorat nahi , haan ! musalmaan ho jaao taaki jahannam se bach jaao , wo bola : Ya Mohammad salallaho alaihi wasallam musalmaan to ho jaaoon magar nafs jhijhakta hai ki madina aur nawaah ki aurtein aur bacche kya kahenge , itne bade pehelwaan ne shikasht khayi aur musalmaan ho gaya.....
Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : tera maal tujhi ko mubaraq , ye kehkar aap waapas tashreef le aaye . Idhar Hazrat Abu Baqr Siddique aur Hazrat Umar Faaroque radiallaho ta aala anhuma aapki talaash mein the aur ye maaloom karke ki Huzoor salallaho alaihi wasallam waadi e izam ki taraf tashreef le gaye hain , bechain the ki us taraf rukana pehelwaan rehta hai , mubaada Huzoor ko izaa de . Huzoor salallaho alaihi wasallam ko waapas tashreef laate dekhkar dono Huzoor ki khidmat mein haazir huye aur arz kiya Ya Rasoolallah salallaho alaihi wasallam aap udhar akele kyon tashreef le gaye the ? jabki us taraf rukana pehelwaan jo bada zor aawar aur dushman e islam hai rehta hai . Huzoor ye sunkar muskuraaye aur farmaya : jab mera Allah har waqt mere saath hai phir kisi rukana ki kya parwaah , lo us rukana ki pehelwaani ka kissa suno ! Chunanche Huzoor salallaho alaihi wasallam ne saara kissa sunaya , Hazrat Siddique e Akbar aur Hazrat Farooque e Aazam radiallaho ta aala anhuma sun sunkar khush hone lage aur arz kiya : Huzoor wo to aisa pehelwaan tha ki aaj tak usey kisi ne giraya hi na tha, usey girana Allah ke Rasool hi ka kaam hai .
(Abu Daawood jild 2 safa 206)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam har fazl o kamaal ke mamba'a o makhzan hain . Duniya ki koi taaqat Huzoor ke muqaable mein nahi theher sakti , mukhalifeen ke dil bhi Huzoor ke fazl o kamaal ko jaante hain , lekin duniya ke khauf se uska iqraar nahi karte .
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
No comments:
Post a Comment