✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 15
BAADLON PAR HUQUMAT➡
Madina Munnawara mein ek martaba baarish nahi huyi thi , kehetsaali ka aalam tha , log bade pareshaan the. Ek juma ke roz Huzoor salallaho alaihi wasallam jabki waa'az farma rahe the , ek aeraabi utha aur arz karne laga Ya Rasoolallah salallaho alaihi wasallam maal halaaq ho gaya aur aulaad faaka karne lagi , dua farmaiye baarish ho. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne usi waqt apne pyaare - pyaare noorani haath uthaaye , raawi ka bayaan hai ki aasmaan bilkul saaf tha , abr ka naam o nishaan tak na tha , magar Sarkaar ke haath mubaraq uthe hi the ki pahadon ki maanind abr chaa gaye aur chaate hi meh barasne laga , Huzoor mimbar par hi tashreef farma the ki meh shuru ho gaya itna barsa ki chat tapakne lagi , Huzoor ki resh anwar se paani ke qatre girte humne dekhe , phir ye meh band nahi hua balki hafta ko bhi barasta raha , phir agle din bhi aur phir ussey agle din bhi hatta ki lagatar agle juma tak barasta hi raha. Huzoor salallaho alaihi wasallam jab dusre juma ka waa'az farmane uthe to wahi aeraabi jisne pehle juma mein baarish na hone ki takleef arz ki thi utha aur arz karne laga Ya Rasoolallah salallaho alaihi wasallam ab to maal garq hone laga , aur makaan girne lage , ab phir haath uthaaiye ki ye baarish band bhi ho. Chunanche Huzoor ne phir usi waqt apne pyaare - pyaare noorani haath uthaaye aur apni ungli mubaraq se ishaara farmakar dua farmaayi ki Ae Allah tabarak wa ta aala hamare ird gird baarish ho , hum par na ho , Huzoor ka ye ishaara karna hi tha ki jis jis taraf Huzoor ki ungli gayi us taraf se baadal hat' ta gaya aur Madina Munnawara ke upar se sab aasmaan saaf ho gaya.
(Mishqaat Sharif safaa 528)
Sabaq : Sahaba qiraam mushkil ke waqt Huzoor salallaho alaihi wasallam hi ki baargah mein fariyaad lekar aate the , unka yaqeen tha ki har mushkil yahin hal hoti hai , waaqai wahin hal hoti rahi hai , isi tarah aaj bhi hum Huzoor ke mohtaaz hain , bagair Huzoor ke waseela ke hum Allah se kuch bhi nahi paa skate , Huzoor salallaho alaihi wasallam ki huqumat baadlon par bhi jaari hai.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
No comments:
Post a Comment