✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 14
EK SEHRAAI KAAFILA➡
Arab Sharif ke ek sehra mein ek bahut bada kaafila raah e paima tha ki achanak us kaafila ka paani khatm ho gaya , us kaafila mein chote bade boodhe jawaan aur mard wa aurtein sabhi the , pyaas ke maare sabka bura haal tha , door tak paani ka nishaan tak na tha , paani unke pass ek qatra tak baaki na raha tha , ye aalam dekhkar maut unke saamne raqs karne lagi , un par ye khaas karam hua ki :
Achanak do jahaan ke fariyaadras Huzoor Mohammad Mustafa salallaho alaihi wasallam unki madad farmane wahaan pahunch gaye , Huzoor ko dekhkar sabki jaan mein jaan aa gayi , sab Huzoor ke gird jama ho gaye , Huzoor ne unhe tasalli di aur farmaya ki wo saamne jo teela hai uske peeche ek syaah rang habshi gulaam oontni par sawaar jaa raha hai , uske pass paani ka ek mashkeeza hai , usko oontni samet mere pass le aao , chunanche kuch aadmi teele ke us paar gaye to dekha ki waaqai ek oontni par sawaar habshi jaa raha hai wo us habshi ko Huzoor ke pass le aaye. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne us habshi se mashkeeza le liya , apna dast e rehmat us mashkeeza par pherkar uska munh khol diya , farmaya : aao ab jis qadr bhi pyaase ho aate jaao aur paani pee peekar apni pyaas bujhaate jaao , chunanche saare kaafile ne us mashkeeza se jaari chasma e rehmat se paani peena shuru kiya phir sabne apne apne bartan bhi bhar liye , sab ke sab sairaab ho gaye , sab bartan bhi paani se bhar gaye. Huzoor salallaho alaihi wasallam ka ye mojiza dekhkar habshi bada hairaan hua , Huzoor ke dast e anwar choomne laga , Huzoor salallaho alaihi wasallam ne apna dast e anwar uske munh par pher diya to us habshi ka syaah rang kaafoor ho gaya , wo safed purnoor ho gaya , phir us habshi ne qalma padhkar apna dil bhi munawwar kar liya. Musalmhikar hokar jab wo apne maalik ke pass pahuncha to maalik ne poocha tum kaun ho ? Wo bola tumhara gulam hoon , maalik ne kaha : tum galat kehte ho , wo to bada syaah rang ka tha , wo bola ye theek hai magar main us mamba e noor zaat e ba barkat se milkar aur us par imaan laakar aaya hoon jisne saari qaaynaat ko munawwar farma diya hai , maalik ne saara kissa suna to bhi imaan le aaya.
(Masnawi Sharif)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam Allah tabarak wa ta aala ki ataa se do jahaan ke fariyaadras hain aur museebat ke waqt madad farmaane waale hain , phir agar koi shaksh yun kahe ki Huzoor kisi ki madad nahi farma sakte aur kisi ki fariyaad nahi sunte to wo shaksh kis qadar jaahil o bekhabar hai , pas apna aqeeda ye rakhna chahiye ki -
Fariyaad ummati jo kare haal e zaar mein
Mumkin nahi ke khair e bashar ko khabar na ho
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
No comments:
Post a Comment