✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 26
JUNGLE KI HIRNI➡
Ek jungle mein ek hirni rehti thi , uske do bacche the , ek baar wo baahar nikli to kisi shikari ne jaal bicha rakha tha , bekhabar hirni us jaal mein fans gayi , jab usne dekha ki main to fans gayi hoon to badi pareshaan huyi , uski khushqismati dekhiye ki usi jungle mein Huzoor salallaho alaihi wasallam tashreef laate huye usey nazar aaye , jab usne Huzoor Rehmat e Aalam salallaho alaihi wasallam ko dekha to pukari Ya Rasoolallah! mujh par rehem farmaiye , Huzoor ne uski pukar suni aur uske pass tashreef laakar farmaya : kya haajat hai ? wo boli Huzoor! main is aarabi ke jaal mein fans gayi hoon , mere do chote chote bacche hain jo is qareeb ke pahadon mein hain , thodi der ke liye aap meri jamaanat dekar is jaal se mujhe aazad kara dijiye taaki main aakhri baar ek martaba bacchon ko doodh pila aaun , Huzoor! main doodh pilakar phir yahin wapas aa jaaungi. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : accha! jaao main tumhari jamaanat deta hoon aur tumhari jagah yahin theherta hoon , tu bacchon ko doodh pilakar jaldi wapas aa jaa , chunanche hirni ko aapne riha kar diya aur wahan khud qayaam farma ho gaye. Aarabi jo musalmaan na tha , kehne laga : agar mera shikaar wapas na aaya to accha na hoga , Huzoor ne farmaya : tum dekho to sahi ki hirni wapas aati hai ya nahi ? Chunanche hirni bacchon ke pass pahunchi aur bacchon ko doodh pilakar fauran wapas lauti , aate hi Huzoor ke qadmo par sar daal diya , ye aejaaz dekhkar wo aarabi bhi qadmo par gir gaya -
Jhuk gaye sar hirni wa kaafir ke dono saath saath
Mustafa ne unke sar par rakh diya rehmat ka haath
Phir basharat usko aur isko mili sarkar se
Jaal se aazad tu aur tu azaab e naar se
(Shifa Sharif jild 2 safaa 76)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam jaanwaron tak ke liye rehmat hain , jaanwar bhi Huzoor ke huqm ki taameel karte hain , phir jo insaan hokar Huzoor ka huqm na maane wo jaanwaron se bhi gaya guzra hai ya nahi ?
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
No comments:
Post a Comment