✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 24
KABOOTAR KE BACCHE➡
Ek aarabi apni aasteen mein kuch chupaaye huye Huzoor salallaho alaihi wasallam ki khidmat mein haazir hua aur kehne laga ae Mohammad (salallaho alaihi wasallam) agar tu bata de ki meri aasteen ke andar kya hai ? to main maan loonga ki waaqai tu saccha nabi hai. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : waaqai iman le aaoge ? Usne kaha : haan waaqai iman le aaunga , farmaya : to suno tum ek jungle se guzar rahe the , tumne ek darakht dekha jis par kabootar ka ek ghonsla tha , us ghonsle mein kabootar ke do bacche the , tumne in dono bacchon ko pakad liya , bacchon ki maa ne jab dekha to wo maa apne bacchon par giri to tumne usey bhi pakad liya , wo dono bacche aur unki maa is waqt bhi tumhare pass hai aur is aasteen ke andar hai.
Aarabi ye sunkar hairaan reh gaya aur jhat pukar utha -
Ash hadu al la ilaha ill Allah wa ashadu anna ka Mohammad Ur rasoolallah
(Jaami ul mojizaat safaa 21)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam se koi cheez pinha nahi hai , ek aarabi bhi is haqeeqat ko jaanta tha ki jo nabi ho wo gaib jaan leta hai , phir jo baraaye naam padha likha hokar Huzoor ke ilm ko tasleem na kare wo ujjad aur ganwaar se bhi zyada badtar hai.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
फिर ऊस अरबी ने उन कबूतरो का क्या किया ,,, क्या उनकौ काटा ,,क्या वो अरबी उन कबूतरो को काटते तो नबी उसकौ जायज मानते???
ReplyDeleteAap ka name kya hai?
ReplyDelete