async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Kooze me dariya

Thursday, August 18, 2016

Kooze me dariya

✨SACCHI HIQAYAT✨

🍁HISSA AWWAL🍁

PEHLA BAAB

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

HIQAYAT NO. 13

KOOZE MEIN DARIYA➡

Hudaibiya ke roz saare lashkar e sahaba mein paani khatm ho gaya hatta ki wuzu aur peene ke liye bhi paani ka ek qatra tak na raha. Huzoor salallaho alaihi wasallam ke pass ek kooza paani ka tha , Huzoor jab us kooza se wuzu farmaane lage to sab log Huzoor ki taraf lapke aur fariyaad ki ke Ya Rasoolallah salallaho alaihi wasallam! hamare pass to ek qatra bhi paani ka baaki na raha , na to wuzu kar sakte hain aur na hi apni pyaas bujha sakte hain , Huzoor ye aap hi ke kooze mein paani baaki hai , hum sabke pass paani khatm ho gaya aur hum pyaas ki shiddat se bechain hain. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne ye baat sunkar apna haath mubaraq us kooze mein daal diya logon ne dekha ki Huzoor ke haath mubaraq ki paancho ungliyon se paani ke paanch chashme jaari ho gaye , sab log in chashmon se sairaab hone lage , har shaksh ne jee bhar ke paani piya aur pyaas bujhaai , sabne wuzu bhi kar liya. Hazrat Jaabir radiallaho ta aala anho se poocha gaya ki lashkar ki taadad kitni thi ? To farmaya us waqt agar ek lakh aadmi bhi hote to wo paani sabke liye kaafi tha magar hum us waqt 1500 ki taadad mein the.

(Mishqaat Sharif safa 524)

Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam ko Allah tabarak wa ta aala ne ye ikhteyaar o tasarruf ata farmaya hai ki aap thodi cheez ko zyada kar dete hain. Naa se Haan aur Maadoom se Maujood karna Allah ka kaam hai aur thode se zyada kar dena Mustafa (salallaho alaihi wasallam) ka kaam hai , ye Allah hi ki ata hai.

Ungliyan hain faiz par toote hain pyaase jhoom kar
Naddiyaan punjaab e rehmat ki hain jaari wah wah!

⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔

No comments:

Post a Comment