✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
PEHLA BAAB
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 29
RAAT KA CHOR➡
Ek martaba Huzoor salallaho alaihi wasallam ne Hazrat e Abu Huraira radiallaho ta aala anho ko sadqa e fitr ki hifazat ke liye muqarrar farmaya , Hazrat e Abu Huraira radiallaho ta aala anho raat bhar us maal ki hifazat farmate rahe , ek raat ek chor aaya aur maal churane laga , Hazrat e Abu Huraira ne usey dekh liya , usey pakad liya , farmaya : main tujhe Huzoor salallaho alaihi wasallam ki khidmat mein pesh karunga , us chor ne minnat samajat karna shuru kar di , kaha : khudara! mujhe chod do main sahib e ayaal hoon aur mohtaaj hoon , Hazrat Abu Huraira ko rehem aa gaya aur usey chod diya , subah Hazrat Abu Huraira jab baargah e risalat mein haazir huye to Huzoor salallaho alaihi wasallam ne muskurakar farmaya : Abu Huraira! wo raat waale tumhare qaidi ne kya kiya ? Hazrat Abu Huraira ne arz kiya : Huzoor! usne apni ayaaldaari aur mohtaaji bayaan ki to mujhe rehem aa gaya aur maine usey chod diya , Huzoor ne farmaya : usne tumse jhoot bola , khabardar rehna aaj raat wo phir aayega. Hazrat Abu Huraira radiallaho ta aala anho kehte hain ki main dusri raat bhi uske intezaar mein raha , kya dekhta hoon ki wo waaqai phir aa pahuncha aur maal churane laga , maine phir usey pakad liya , usne phir minnat khushamad ki aur mujhe phir rehem aa gaya aur maine phir usey chod diya , subah jab Huzoor ki baargah mein haazir hua to Huzoor ne phir farmaya : Abu Huraira ! wo raat waale qaidi ne kya kiya ? maine phir arz kiya : Huzoor ! wo apni haajat bayan karne laga to mujhe rehem aa gaya aur maine phir usey chod diya , Huzoor ne farmaya : usne tumse jhoot kaha khabardaar , aaj wo phir aayega. Hazrat e Abu Huraira radiallaho ta aala anho kehte hain ki teesri raat wo phir aaya , maine usey pakadkar kaha ki kambakht aaj na chodunga aur Huzoor ke pass zaroor lekar jaaunga , wo bola Abu Huraira ! main tumhe chand aise kalimaat sikhana chahta hoon jinko padhne se tu nafaa mein rahega , suno jab sone lago to aayat ul qursi padhkar soya karo , issey Allah tabarak wa ta aala tumhari hifazat farmayega aur shaitaan tumhare nazdeek nahi aa sakega. Hazrat e Abu Huraira farmate hain : wo mujhe ye kalimaat sikhakar mujhse rihaai paa gaya , maine jab subah Huzoor salallaho alaihi wasallam ki baargah mein ye saara kissa bayaan kiya to Huzoor ne farmaya : usne ye baat sach kahi , haanlaki khud wo bada jhoota hai , kya tu jaanta hai Ae Abu Huraira ki wo teen raat aane waala kaun tha ? Maine arz kiya : nahi Ya Rasoolallah main nahi jaanta , farmaya : wo shaitaan tha.
(Mishqaat Sharif safaa 177)
Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam guzre huye aur hone waale sab waaqiat ko jaante hain , Hazrat e Abu Huraira radiallaho ta aala anho ke pass raat ko chor aaya to Huzoor ne khud hi farmaya ki Abu Huraira raat ke qaidi ne kya kiya ? phir ye bhi farmaya ki aaj phir aayega , chunanche wahi kuch hua jo Huzoor ne farmaya , maaloom hua ki Huzoor salallaho alaihi wasallam aalim e maa kaana wa ma yakoon hain.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
No comments:
Post a Comment