async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: SURAJ PAR HUQUMAT

Thursday, August 18, 2016

SURAJ PAR HUQUMAT

✨SACCHI HIQAYAT✨

🍁HISSA AWWAL🍁

PEHLA BAAB

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

HIQAYAT NO. 17

SURAJ PAR HUQUMAT➡

Ek roz maqaam e sehbaa mein Huzoor salallaho alaihi wasallam ne namaaz e zuhar adaa ki aur phir Hazrat e Ali radiallaho ta aala anho ko kisi kaam ke liye rawana farmaya , Hazrat e Ali radiallaho ta aala anho ke waapas aane tak Huzoor salallaho alaihi wasallam ne namaz e asr bhi adaa farma li , jab Hazrat e Ali waapas aaye to unki aagosh mein apna sar rakhkar Huzoor so gaye , Hazrat e Ali ne abhi tak namaz e asr adaa na ki thi , udhar suraj ko dekha to guroob hone waala tha , Hazrat e Ali sochne lage , idhar Rasool e Khuda aaram farma hain aur udhar namaz e khuda ka waqt ho raha hai , Rasool e Khuda ka khayaal rakhoon to namaaz jaati hai aur namaaz ka khayaal karoon to Rasool e Khuda ki neend mein khalal waaqay hota hai , karoon to kya karoon ? Aakhir Maula Ali Sher e Khuda radiallaho ta aala anho ne faisla kiya ki namaz ko qaza hone do magar Huzoor salallaho alaihi wasallam ki neend mubaraq mein khalal naa aaye , chunanche suraj doob gaya aur asr ka waqt jaata raha. Huzoor salallaho alaihi wasallam uthe to Hazrat e Ali ko magmoom dekhkar wajah daryaaft ki to Hazrat e Ali radiallaho ta aala anho ne arz kiya ki Ya Rasoolallah salallaho alaihi wasallam maine aapki istiraahat ke pesh e nazar abhi tak namaz e asr nahi padhi , suraj guroob ho gaya hai. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : to gham kis baat ka? Lo abhi suraj waapas aata hai , phir usi maqaam par aakar rukta hai jahaan waqt e asr hota hai , chunanche Huzoor ne dua farmaayi to guroob shuda surah phir nikla aur ulte qadam usi jagah aakar theher gaya jahaan asr ka waqt hota hai , Hazrat e Ali radiallaho ta aala anho ne uthkar asr ki namaz padhi uske baad suraj phir guroob ho gaya.

(Hujjatullah alal aalameen safaa 368)

Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam ki huqumat suraj par bhi jaari hai , aap qaaynaat ke har zarra ke haakim o mukhtaar hain , aap jaisa na koi hua na hoga aur na ho sakta hai.

⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔

No comments:

Post a Comment