async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Mout Janaza Kafan Tadfeen
Showing posts with label Mout Janaza Kafan Tadfeen. Show all posts
Showing posts with label Mout Janaza Kafan Tadfeen. Show all posts

Saturday, November 13, 2021

Mout Janaza Kafan Tadfeen

Part 2

Mayyit ke liye dua karna

Hadees:  Jab Nabi e Kareem Sallallahu alaihi wasallam abu samla RadiAllahutaAlaAnhuma  ki wafaath k baad ghar tashreef le gaye to dua farmaayi ke aye Allah abu salma ko  baqsh de aur us ke darje ko hidaayat yaafta logo me buland farma, us ke baaqi logo ki nigraani farma, aye jahaano ke parvardigaar hame aur use baqsh de aur us ki qabar us ke liye kushaada aur munawwar farma de {Sahi Muslim Hadees No. 920}.

Mayyit ko Kisi kapde se dhaanpna:


Hadees: Nabi e Paak Sallallahu alaihi wasallam ki wafaat ke baad Aap Sallallahu alaihi wasallam ko dhaari daar chaadar se dhaanp diya gaya tha {Sahi Bukhari Hadees No. 5814}.

Halaate ehraam mein inteqaal karne waale ka chehra na dhaapa jaaye


Hadees: ek sahabi RadiAllahutaAlaAnhu ehraam pehene hoye the aur apni sawaari se gir kar faut hogaye to Nabi e Kareem Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke ise paani aur beri ke patto ke saath ghusul do aur use us ke ehraam ke duno kapdo me kafan do, use khushbu mat lagaao aur us ke sar aur chehre ko mat dhaanko, bilasubah use qayamat ke din talbiya kehte hoye hee uthaya jayega {Sahi Bukhari Hadees No. 1265}.

Mayyit ke kafan dafan me jaldi karni chahiye

Hadees: Sarkar Sallallahu alaihi wasallam ne faramaya janaaze ke saath jaldi karo, kyo ke agar wo nek hai to tum us ko bhalaayi ki taraf nazdik kar rahe ho aur agar wo us ke siva hai to ek shar hai jise tum apni gardano se utaarte ho {Sahi Bukhari Hadees No.1315}.

Mayyit ke Chahre se kapda hatana Aur bosa lena jaiz hai

Hadees: Hazrat.Abubakr Siddiq RadiAllahutaAlaAnhu ne Rahmat e Do Aalam Sallallahu alaihi wasallam ki wafaat ke baad Aap Sallallahu alaihi wasallam ke chehre se kapda hataya aur jhuk kar chehre Mubarak ko busa diya aur rone lage (yaani do aankho ke darmiyaan busa liya) {Sahi Bukhari Hadees No. 4452}.

Mayyith ke rishtedaar sabr kare aur inna lillaahi wa inna ilaihi rajioon kahe


Hadees: Nabi e Kareem  ne ek khatoon rishtedaar se farmaya sabr to jab sadma shuru ho us waqt karna chahiye aur Mayyit par rona pitna haraam hai {Sahi Bukhari Hadees No. 1283}.

Hadees: Sarkar e do jahan Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jis ne kisi ki Mout par rukhsaaro (Gaal) ko pita, girebaan ko phada aur jaheliyat ki baate baki, wo hum me se nahi{Sahi Bukhari Hadees No.1294}.

 

Aulaad ki wafaat par sabr ki fazilat:


Hadees: Nabiyon ke sardar Sallallahu alaihi wasallam ne ansaari aurto se farmaya tum me se jis aurat ke 3 bacche faut ho gaye aur us ne sabr se kaam liya to wo jannat me daakhil hogi, ek aurat ne pucha kya 2 baccho ke liye bhi yahi maamla hai, Aap Alaihissalam ne faramaya haan. {Sahi Muslim Hadees No. 2632}.

Ghar waalo ke rone se mayyit ko azaab hota hai


Hadees: madine ke tajdar Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke mayyit par us ke ghar waalo ke baaz rone se use azaab hota hai {Sahi Bukhari Hadees No.1287}.

Mayyat par rone ki jaayez surat:


Hazrat Jabir RadiAllahutaAlaAnhu ne kaha ke jab mere waalid Shaheed ho gaye to main un ke chehre par pada hua kapda kholta aur rota tha, dosre log mujhe rokte the lekin Nabi kareem Sallallahu alaihi wasallam kuch nahi keh rahe the.{Sahi Bukhari Hadees No. 1244}.
(Yaani mayyath ko dekh kar agar rona aaye to koi baat nahi lekin nuha nahi karna chahiye yaani cheekh wa pukaar).

Ittela dene waale ko chahiye ke mayyit ke liye isteghfaar ki talqeen kare { Sahih ibn maja Hadees No.1957}.

Wirsa ko chahiye ke jald az jald mayyit ke qarz ko ada kare
Hadees: Aaqa e nemat Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya momin ki ruh qarz ke saath us waqt tak muallaq rehti hai jab tak use ada nahi kar diya jaata .
Hadees:  Nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jis shakhs ne logo se ada karne ke iraade se maal haasil kiya (phir kisi wajeh se wo zindagi me ada na kar saka) to Allah ta’ala us ki taraf se ada farma denga, (yaani intezaam farma denga) aur jis ne logo se halaak (zabt) karne ki niyyat se maal liya to Allah ta’ala bhi use halaak kar denga.{Sahi Bukhari Hadees No. 2378}.

Biwi ke siva mayyat par 3 din se gham kisi ke liye jaayez nahi hai
Hadees: umme habiba RadiAllahutaAlaAnha ne kaha ke Sarkar Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke kisi aurat ke liye jo Allah aur yaume aakhirat par imaan rakhti ho jaayez nahi ke wo 3 din se zyaada kisi ka gham manaaye sivaaye shuhar ke (ke us ka soog) 4 mahine 10 din tak hai {Sahi Bukhari Hadees No. 5334}.

Marne waale ko gaaliya dena mamno hai:


Hadees: Nabi e Kareem Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya murdo ko gaali mat do, kyo ke unhone aage bheja hai use haasil kar liya hai {Sahi Bukhari Hadees No. 1393}.

Mayyat ka gusl:
Zinda afraad par musalmaan mayyit ko gusl dena waajib hai
Hadees: jab Nabi Alaihissalam ki beti ki wafaat huyi to Nabi Sallallahu alaihi wasallam waha tashref laaye aur faramaya ke ise 3 ya 5 ya is se bhi zyaada martaba gusl do {Sahi Bukhari Hadees No. 1253}.

Miya biwi ek dosre ko ghusl dene ke zyaada haqdaar hai
Hadees: Sarkar Sallallahu alaihi wasallam ne Hazrat Aisha RadiAllahutaAlaAnha se farmaya ke agar tu mujh se pehle faut ho gayi to main tujhe ghusl donga{ Sahih ibn maja Hadees No. 1197}.

Hadees: Hazrat Aisha RadiAllahutaAlaAnha ne kaha ke agar mujhe us baat ka ilm pehle ho jaata jis ka ilm mujhe takheer se hua to Sarkar Alaihissalam ko sirf Aap Sallallahu alaihi wasallam ki azwaaj hi ghusl deti { Sahih ibn maja Hadees No.1196}.

Ghusl sete waqt parde ka ehtemaam zaruri hai:

Hadees: Nabi e paak Alaihissalam ne farmaya na koi mard kisi mard ke satar ko dekhe aur na koi aurat kisi aurat ke satar ko dekhe {Sahi Muslim Hadees No. 338}.

Ghusul kitne martaba de?:
Hadees: Hazrat Umme Atiya RadiAllahutaAlaAnha se marvi hai ke Nabi E paak Alaihissalam hamaare paas us waqt aaye jab hum Aap Sallallahu alaihi wasallam ki saahebzaadi ko ghusl de rahe the ,Aap Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ise 3 martba ya 5 martaba ya is se bhi zyada martaba ghusl do agar tum zarurat mehsoos karo.

Ghusl paani aur beri ke pattho se do aur aakhir me kuch kaafur daal lena aur ghusl se faarig ho kar mujhe ittela dena. {Sahi Bukhari Hadees No. 1235}.

Ya kafoor ljism par lagaya jaaye ya kafoor ko paani me mila kar paani sala jaaye.

Is ke 2 fayeda bataaye gaye hai ta ke mayyit khusbodaar ho jaaye aur dosra ye ke koi mauzi jaanwar mayyath ke qareeb na aaye.

Ghusl ke liye autrat ke baal kholna:
Hadees: Hazrat Umme Atiya RadiAllahutaAlaAnha ne Aap Sallallahu alaihi wasallam ki beti ko ghusl dete waqt un ke baalo ko khola aur unhe dhoya aur phir un ki 3 mendhiya bana di {sahi Bukhari Hadees No.1260}.

Mayyat ko ghusl dete waqt narmi se pesh aana chahiye
Hadees: Nabi e Kareem Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya mayyit ki haddi ko todna zinda insaan ki haddi ko todne ki tarah hai { Sahih abu dawood Hadees No.2746}.


Friday, November 12, 2021

Mout Janaza kafan Tadfeen

Part 1
BismillahirRahmanirRaheem

Al Quran:
Har jaan ko Mout ka maza chakna hai {Surah aale imraan ayath 185}

Janaza ke maani: mayyit ke liye jo chize tayyar hoti hai use janaza kehte hai.. kafan waghayra..

Mayyit ke maani: mara hua, jis ke upar Mout taari ho gayi.

Mout ke maani: zindagi ka baraks.

Mout ko kasrat se yaad karna chahiye:
Hadees Shareef me hai: Lazzate khatam kar dene waali cheez yaani Mout ko kasrat se yaad karte raho {Sahi Ibn Maja Hadees No.3434}.

Hadees Shareef:  Nabi e paak Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya aqal mand wo shaqs hai jo Mout ko kasrat se yaad kare aur Mout ke baadh aane waale waqt ke liye Khoob acchi tarah tayyaari kare {Sahih ibn maja Hadees No. 3435}.

Sarkar Sallallahu alaihi wasallam ke ummat ki Umr (Age Life):

Hadees Shareef: Aaqa Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya meri ummat ki Umar 60 se 70 saal tak hai, aur un me se bahut kam aise honge jo us had se tajawaz karenge {Sahih ibn maja Hadees No.2969}.

Maut se momin raahat haasil karta hai aur kaafir se dunya raahat haasil karti hai.


Hadees Shareef: Sarkar e do jahan Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya momin aadmi dunyaavi thakaawato se chutkaara haasil kar ke Allah ki rahmat me araam haasil paata hai aur faajir wa gunehgaar aadmi se log, abaadiya, darakht aur chaupaaye araam paate hai {Sahih Bukhari Hadees No. 6512}.

Mout ki sakhti na-qaabil bardaasht hai: {Surah Qaaf Ayaath-19}


Hadees Shareef: Mustafa jaane Rahmat Sallallahu alaihi wasallam ki wafaat ka waqt jab qareeb aya to Aap Sallallahu alaihi wasallam ke saamne paani ka ek pyaala rakha hua tha jis mein paani tha, Nabi e paak Alaihissalam us pyaale me apne haath ko daalte aur us se apne chehre par pherte aur farmaate, La ilaha illallah inna lil Mouti sakraath – Allah ta’ala ke siva koi mabood barhaq nahi, yaqinan Mout ke waqt sakht takleef hoti hai {Sahi Bukhari Hadees No. 6510}.

Hadees Shareef: Nabi e paak Sallallahu alaihi wasallam ne Hazrat Fatima RadiAllahutaAlaAnha  se farmaya ke tumhaare waalid ko wafaat ke waqt aisi takleef pahonchi hai jo qayaamat tak kisi ko nahi pahonchegi {Sahih ibn maja Hadees No. 1320}.

Shaheed ko Mout ke waqt chunti kaatne ke baraabar takleef hoti hai:

Hadees Shareef: Nabi e Kareem ne farmaya shaheed ko qatal ke waqt utni takleef hoti hai jitni tum me se kisi ko chunti kaatne ki takleef hoti hai {Tirmizi Hadees No.1668}.

Khud khushi haraam hai:


Hadees Shareef:  Nabi e Rahmat Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jis ne khud ko pahaad se gira kar khud khushi kar li wo jahannam ki aag me hoga aur hamesha hamesha usi me pada rahega, jis ne zeher pi kar khud khushi ki to wo zeher us ke haath me rahega aur jahannam ki aag mein wo zeher pita hee rahega aur jis ne lohe ke kisi hathyar se khud khushi ki, to wo hathyar us ke haath me hoga aur jahannam ki aag me hamesha hamesha us hathyar ko apne pet me maarta rahega {Sahi Bukhari Hadees No. 5778}.


Mout ki tamanna karna jaayez nahi:

Hadees Shareef: Nabiyon ke sardar Alaihissalam ne farmaya tum me se koi bhi koi darpesh musibat ya takleef ke sabab hargiz Mout ki tamanna na kare, 

aur agar zaroorhi tamanna karna chahte ho to is tarah keh le, aye Allah mujhe us waqt tak zindah rakh jab tak mere liye zindagi behtar hai, aur us waqt mujhe faut kar dena jab mere liye wafaath behtar hogi {Sahi Bukhari Hadees No. 2351}.

Shahaadath ki tamanna ki ja sakti hai {Sahi Bukhari Hadees No.2797}

Buri mout se panaah maangna jaayez hai:


Nabi e paak Sallallahu alaihi wasallam ye dua maanga karte the Aye Allah beshak main budhaape ki mout se, bulandi se gir kar marne se, kisi malbe waghayra ke niche gir kar marne se, gham se aane waali muut se, jal kar marne se aur doob kar marne se teri panaah maangta hoon, aur wafaath ke waqt shaitaan ke hamle se panaah maangta hoon, teri raah me Jihaad me peeth pher kar bhaagte huye marne se panaah maangta hoon aur kisi zehrile jaanwar ke dasne se aane waali muut se bhi teri panaah maangta hoon. {Sahih nasai Hadees No. 5105}.


Achaanak mout


Hadees Shareef:  Nabi e paak Alaihissalam ne farmaya achaanak Mout Allah ta’ala ki naraazgi ki pakad hai kaafir ke liye aur Allah ta’ala ki rahmat hai momin ke liye {Abu dawood Hadees No. 3110}.

Marne ke baad kya hoga:

Nabi e Kareem Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: bila shuba jab momin bande ka dunya se rukhsat hone ka aur aakhirat ki taraf safar karne ka waqt ata hai, to asmaan se roushan chehro waale farishte us ki taraf utarte hai, goya ke un ke chehre suraj ki manind chamakdaar hai, un ke paas jannat ke libaas ka kafan hota hai aur jannat ki khushbu bhi hoti hai, wo us ke qareeb baith jaate hai, phir Mout ka farishta momin ke paas aata hai aur us ke qareeb baith jaata hai, aur kehta hai aye pakiza Ruh Allah ta’ala ki maghfirat aur raza mandi ki taraf nikal. Phir wo ruh aise asaani se nikal padti hai jaise mashqize se paani ka qatra nikal padta hai, wo farishta use pakadta hai aur us ke haath me ruh ko ek lamha bhi nahi guzarta ke dosre farishte use pakad lete hai aur use jannat ke libas aur khushbu me lappet lete hai, phir wo farishte use le kar asmaan ki taraf chadte hai, aur farishto ke jis giroh ke paas se bhi guzarte hai wo kehte hai ye paakiza ruh kaun hai? To wo kehte hai ye falah ka beta falah hai aur us ka wo behetreen naam zikr karte hai jis ke saath use dunya me pukara jaata tha yaha tak ke asmaani dunya mein pahonchte hai aur darwaza khola jata hai, aur har asmaan ke muqarrab farishte us ke saath dosre asmaan tak pahonchte hai yaha tak ke wo saatwe asmaan tak pahonchta hai, yaha tak ke Allah ta’ala farmaata hai ke mere bande ka amaal nama iliyyin me rakh do aur use zameen ki taraf us ke jism me lauta do, phir us ke paas qabar ke farishte aa kar sawaal karte hai .

Aur jab kaafir ki ruh qabz karne ka waqt ata hai to us ke paas siyah chehre waale farishte utarte hai, badbudaar taat ka kafan hota hai, us ke qareeb baith jaate hai, phir Mout ka farishta us ke sar ke qareeb baith jaata hai, aur kehta hai aye Khabees ruh, nikal ke tera rab tujh se bada naraaz hai, us ki ruh us ke jism se nikalna nahi chahti lekin wo farishta use khinch kar nikaal leta hai, aur ek malha bhi ruh us ke haath me nahi rehti ke dosre farishte use taat me lappet kar asaman ki taraf chadte hai aur jab bhi farishto ki kisi jamaat ki taraf se guzarte hai, to ye daryaaft karte hai ke ye kaun khabees ruh hai, wo jawaab dete hai ke ye falan beta fala hai, aur us ka wo sab se bura naam bataate hai jis ke saath use dunya me pukara jaata tha, yaha tak ke use le kar asmaani dunya me pahunchte hai aur darwaza kholwaate hai, us ke liye darwaza nahi khola jaata… phir Allah ta’ala farmaata hai is ka amaal nama zameen ke nichle hisse sijjiyeen me daal do phir us ki ruh ko phek diya jaata hai aur us ke jism mein lauta diya jaata hai aur farishte us se sawaal karte hai. {Musnad ahmad 287/4}.

Jise apni Mout ka yaqeen ho jaaye wo kya kare:


1. Maghfirath ki dua karni chahiye
Hadees Shareef:  Nabi e paak  apni wafaat ke waqt ye dua pad rahe the aye Allah mujhe baqsh de, mujh par rahem farma{ Sahi Bukhari Hadees No. 4440}.

Kalima shahaadath ki talqeen karni chahiye


Hadees Shareef  Nabi E paak Alaihissalam ne farmaya aise shakhs ko la ilaha illallah ki talqeen karo {Sahi Muslim 916}.


qareeb Mout waale kaafir ke paas ja kar daawate Islam pesh karna jaayez hai


Hadees Shareef:  ek yahodi baccha Nabi e Kareem Sallallahu alaihi wasallam ki khidmat kiya karta tha, to Nabi e paak Alaihissalam us ki iyaadat ke liye gaye aur us ke sar ke paas baith gaye, Aap Sallallahu alaihi wasallam ne us se farmaya tu muslmaan ho ja, us ladke ne apne waalid ki taraf dekha to us ne us se kaha ke Nabi paak Alaihissalam ki baat maan le, phir wo baccha musalmaan ho gaya, phir Nabi Kareem  ye kehte hote baaher nikle ke tamaam tareef Allah ke liye hai jis ne use aag se bacha liya. Phir jab wo baccha faut ho gaya to Sarkar Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya apne saathi salaatul janaza padho {Ahmad 175/3}.


Allah ke faisle par raazi rahe


Hadees: Nabi e Aakhiruzzama Sallallahu alaihi wasallam ne faramaya tum me se hargiz koi faut na ho magar sirf is haal me ke wo Allah ke saath accha gumaan rakhta ho .{Sahi Muslim Hadees No.2877}.


yaani jaisi bhi haal me Mout ho, Allah par ghalat gumaan nahi karna chahiye, tawakkal Allah hee par rakhna chahiye ke khaatema qair ke saath ho.

Allah ta’ala se mulaqaat ki aarzo rakhe:


Hadees: Sarkar E do jahan Alaihissalam ne farmaya jab momin ki Mout ka waqt ata hai to use Allah ki khushnudi aur us ke paas izzat ki khushkhabri di jaati hai, us waqt momin Allah se mulaqaat ka khahishmand ho jaata hai aur Allah bhi us ki mulaqaat ko pasand karta hai.{Sahi Bukhari Hadees No. 6507}.


wasiyat kar dena chahiye


Hadees: Aaqa Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya kisi bhi musalmaan ke liye jis ke paas qaabil wasiyat koi maal ho, durust nahi ke do raate bhi wasiyat ko likh kar apne paas mehfooz kiye bagayr guzare {Sahi Bukhari Hadees No. 2738}.


wasiyat 1/3 se zyaada nahi karni chahiye
Hadees: Hazrat Saad bin abi waqqas RadiAllahutaAlaAnhu ke puchhne par Nabi e paak Alaihissalam ne farmaya ke tihaayi maal ki wasiyat kar sakte ho aur ye bhi zyaada hai {Sahi Bukhari Hadees No.2742}.


wirsaa ke liye wasiyat karna jaayez nahi hai:


Hadees:  Mohammad Mustafa Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah ta’ala ne har haq waale ko us ka haq ata kar diya hai, lehaza kisi waaris ke liye wasiyat karna jaayez nahi hai {Sahih abu dawood Hadees no. 2494}.


#Rishtedaar jo waaris nahi hote, un ke haq me wasiyat karna jaayez hai. 

wasiyat karte waqt insaaf karna chahiye {Surah Baqra Ayaat 180}


wirsa ko apni tajheez wa takfeen me sunnat apnaane ki wasiyat karni chahiye


Hadees: Hazrat Saad bin abi waqqaas RadiAllahutaAlaAnhu ne apni wafaat se pehle wasiyat ki thi ke mere liye bagli qabar banana aur mujh par kachchi eente nasb karna jaisa ke Nabi Sallallahu alaihi wasallam ke saath kiya gaya tha { Sahih ibn maja hadees No.1263}


Husn Khaatame ki alaamat
:

Inteqal ke waqt Kalma Shahadat padhna

Abu dawood Hadees No.2673}

# Wafaat ke waqt peshaani par pasina namudaar hona { Tirmizi Hadees No. 982}


# Juma ki raat ya din me inteqaal hona { Tirmizi Hadees No.1074}.


# Maidaane qitaal me shahaadat ki Mout haasil hona,
aur doob kar marne wala, aur Jo Allah ke raaste me tibi Mout se mar gaya wo bhi Shaheed hai,(Sahi Muslim Hadees No.1915}.


# 7 qism ki shahaadate hai, Abu Dawood Hadees No.3111 and Musnad Ahmad, al-Hakim and Ibn Hibban, Sahih..}
Ta’on(plague) me halaak hone wala,
2.pet ki bimaari se halaak hone wala,
3.doob kar marne wala,
4.malbe waghayra ke niche dab kar marna wala,
5.Allah ki raah mein shahaadat paane waala,
6.pahlo ke dard se, jal kar
7. aur aisi aurat jo dauraane hamal faut ho jaaye.
# Apni jaan maal izzat , ahal wa ayaal ki dafa me Mout ana,
# Kisi bhi nek amal par Mout ana (jaise roza, salaah.),
# Loga ka mayyit ki tareef karna
{Sahi Bukhari, Sahi Muslim & Al-Tabarani}


Inteqaal karne waale ke mutaalliq ehkaam ka bayaan:


Mayyith ki aankhe bandh karna

Hadees: Nabi Kareem Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jab tum murdo ke paas haazir ho to un ki aankhe band kar diya karo kyo ke nazar ruh ka picha karti hai aur achchi baat kaho kyo ke mayyit ke ghar waalo ki baat par ameen kahi jaati hai { Sahi Muslim Hadees No. 920 & Sahi ibn maja Hadees No.1190}