async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: NABI aur rasool
Showing posts with label NABI aur rasool. Show all posts
Showing posts with label NABI aur rasool. Show all posts

Sunday, July 19, 2015

Anbiya ke rutbe

Anbiya ke rutbe

Sabse pahla insan aur sabse pahla nabi

Hazrat adam alaihissalam sabse pahle insan hain
Unse pahle insan ka wazud na tha
Sab aadmi unhi ki aulad hai
Ye hi sabse pahle nabi hain
Allah ta'ala ne unko be maan. Baap ke
Mitti se paida kiya
Aur apna khalifa banaya
Tamam chijon aur unke naam ka ilm diya farishto ko huqm diya ki adam ko sajda karo
Sabne sadja kiya siway e shaitan ke
Unse inkar kiya aur hamesha ke liye malun aur mardud hua
Hazrat adam alaihissalam se lekar
Hamare nabi Mohammad sallallahu alaihi wasallam tak bahut nabi aayen
Hazrat nuh Hazrat Ibrahim Hazrat moosa Hazrat isa aur inke alawa hazaron yeh charon nabi bhi then aur rasool bhi
Sabse aakhiri nabi aur rasool saari makhlooq se afzal sabke peshwa habib e khuda hamare aaqa Hazrat ahmad e muztaba Mohammad mustafa sallallahu alaihi wasallam hain
Ap ke baad koi nabi
Na hua na hoga
Jo jo shakhs hamare nabi ke baad
Ya ap ke jamane me kisi aur ko
Nabi mane ya nabuwwat milni jayez jane woh kafir hai

Hamare nabi ki khas khas fazilat e aur kamalaat
Sallallahu alaihi wasallam
Allah ta'ala ne hamare Huzoor ko
Tamam jahan se pahle apne noor ki tajalli se paida farmaya Anbiya farishte zameen aur aasman arsh kursi tamam jahan ko Huzoor ke noor ke jhalak se banaya
Allah ya Allah ka barabar wala hone ke siwa jitne kamal jitni khubiyan hain sab Allah ne hamare Huzoor ko diya
Tamam jahan me koi kisi khubi me Huzoor ke barabar nahi hosakta
Huzoor afzal ul khalk aur Allah ta'ala ke naib e mutlak hai
Huzoor tamam Anbiya ke nabi hain
Aur har shakhs par ap ki pairawi lazim hai
Allah ta'ala ne apne tamam khazano ki kunziya Huzoor ko baqsh di
Dunya aur deen ki
Sab neamato ka dene wala khuda hai aur batne wale Huzoor hain
Allah ta'ala ne ap ko
Meraj ata farmai
Yani arsh par bulaya
Aur apna didar aankhon se dikhaya
Apna kalam sunaya jannat dojakh arsh kursi wagairah tamam chijo ki share karai ye sab kuchh raat ke thore se vaqt me hua
Qayamat ke deen ap hi sabse pahle shafaat karenge
Yaani Allah ke yahan logo ki shifarish karenge gunah muaf karayenge
Darz e buland karayenge iske alawa aur bahut se khasais hai jinke zikr ki is mukhtasar jagah me gunzaish nahi

Sallallahu alaihi wasallam

Qanoon e shariyat page 14

Friday, July 17, 2015

Nabi ki taraf taqayya ki nisbat ka huqm

Post 2

Jo ye kahe ki kuchh ahkam taqayyatan yani logo ke dar se ya kisi aur wajah se nahi pahochaya woh kafir hai

Anbiya tam makhlooq se afzal hai
Yahan tak ki un farishton se bhi afzal hain jo rasool hain

Vali ko nabi se afzal manne ka huqm

Vali kitne hi bade marta wala ho kisi nabi ke barabar nahi ho sakta
Jo kisi gair nabi ko kisi nabi se afzal bataye woh kafir hai

Aqeeda nabi ki tazeem farz e aen balki tamam farayaz ki asal hai
Kisi nabi ki adna touheen ya takzeeb kufr hai
Saare nabi Allah ta'ala ke nazdik badi wajahat aur izzat wale hain
Unko Allah ta'ala ke nazdik maazAllah chuhde chamar ki misl kahna khuli gustakhi aur kalimay e kufr hai

Nabi ki hayat
Anbiya alaihissalam apni apni kabron me usi tarah zinda hain jaise dunya me the
Allah ka wada pura hone ke liye ek aan unhe mout aai hai fir woh zinda hogaye
Unki zindagi shaheedon ki zindagi se bahut badhkar hai

Nabi ka ilm
Aqeeda Allah ta'ala ne anbiya alaihissalam ko gaib ki baate batai
Zameen aur aasman ka har har zarra har nabi ki nazar ke samne hai
Yeh ilme gaib Allah ke diye se hai lihaza yeh ilm atai hua
Aur Allah ka ilm chunki kisi ka diya hua nahi balki khud use hasil hai
Lihaza zaati hua
Ab jabki Allah ke ilm aur rasool ke ilm ka fark maLum hofaya to zahir hogaya ki nabi aur rasool ke liye khuda ka diya hua ilm e gaib manna shirk nahi balki imaan hai
Jaisa ki aayaton aur hadees se sabit hai

Aqeeda koi ummati juhad aur taqwa aur ibadat me nabi se nahi badh sakta
Anbiya site jagte har vaqt yaade ilaahi me lage rahte hain
Aqeeda anbuya ki tadat muqarrar karni najayez  hai unki puri tadat ka sahi ilm Allah hi ko hai

Qanoon e shariyat page 13

Thursday, July 16, 2015

Nabi aur rasool

Jis tarah Allah ta'ala ki zaat aur sifaaton ka janna zaroori hai usi tarah yeh bhi janna lazimi hai ki nabi me kya kya baaten honi chahiye aur kya na honi chahiye taaki aadmi kufr se bacha rahe
Rasool ke mayene

Rasool ke mayene hain khuda ke yehan se bando ke paas lhuda ka paigam lane wala

Nabi kon hota hai

Nabi woh aadmi hai jiske paas wahi yani khuda ka paigam aaya logon ko khuda ka rasta batane ke liye khwah yeh paigam nabi ke paas farishta lekar aaya ho ya khud nabi ko Allah ki taraf se iska ilm hua ho
Kaee nabi aur kaee farishte rasool hai

Nabi sab mard the na koi jinn nabi hua na koi aurat nabi hui

Ibadat riyazat ke zariye se aadmi nabi nahi hota mahez Allah ta'ala ki maherbani se hota hai

Isme aadmi ki koshish nahi chalti albatta nabi Allah ta'ala usi ko banata hai jisko is layek paida karta hai
Jo nabi hone se pahle hi tamam buri baaton se door rahta hai aur achhi baaton se saNwar chukta hau
Nabi me koi aisi baat nahi hoti jise log nafrat karte hon

Nabi ka chalan shakl aur surat hasab aur nasab
Nabi ka chal chalan shakl surat hasab nasab tour tarika baatchit sab achhe aur be aeb hote hain
Nabi ki aql kamil hoti hai
Nabi sab aadmiyon se zyada aqlmand hote hain
Bade bade hakim falsafi ki aql nabi ki aql ke lakhwin hissa tak bhi nahi pahochti
Jo yeh mane ke koi shakhs apni koshish se nabi ho sakta hai woh kafir hai
Aur jo ye samjhe ki nabi ki nabuwwat chhini ja sakti hai wo bhi kafir

Maasum koun hai?

Nabi aur farishta maasum hota hai yaani gunah usse nahi ho sakta
Nabi aur farishta ke aalawa kisi imam aur woli ko maasum manna gumrahi hai
Aur badmazahbi hai
Agarche imamon aur bade bade woliyon se bhi gunah nahi hota lekin kabhi koi gunah ho jaye to
Shar'an muhal bhi nahi
Allah ka paigam pahuchane nabi se bhulchuk nahi ho sakti muhal hai

Qanoon e shariyat page 12