async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Noor o bashar ka bayan
Showing posts with label Noor o bashar ka bayan. Show all posts
Showing posts with label Noor o bashar ka bayan. Show all posts

Thursday, July 2, 2015

Noor o bashar ka bayan part 5

Noor o BAshar Part 5

Hadees Hazrat Jabir RaddiAllah hu tala Anho say marvi hai keh SARKAR E AZAM Alaihisslam nay irshad farmaya ay Jabir (RaddiAllah huta’ala Anho) be shaq Allah Ta’ala nay sub Ashiya (things) say pehly tere Nabi Alaihisslam ka NOOR apnay NOOR (keh faiz) say paida farmaya.
Bahawala= Mawahib eLudonya, Zarqani Sharif Jild 1 page no 42
Hadees Hazrat Ibne Abbas RaddiAllah tala Anho bayan kerty hain aik raat main apni Khala Syeda Maimona RaddiAllah Tala Anha keh therah (stay) gaya (Imam Muslimfarmaty hain) is keh baad poora qissa hai. Ta hum is main chehry (face) aur bazo (Arm) dhonay (wash) ka ziker nahe hai bal keh yeh mazkoor hai keh Aap Alaihisslam mashkeezy keh pas tashirf laye is ka muh (Mouth) kholaaur darmiyany drjy ka wazu kiya phir App Alaihisslam bister per ja ker so gaye. Phr dobara baidar hue, mashkeezy ke pas aye aur mukamilwazu kiya (Muslim farmatyhain is riwayat main dua ke alfaz main) mujy NOOR bana dy, ke bajae “mery NOOR mai izafa ker dy” key alfaz hain.
Bahawala = Muslim Sharif Jild 1 Book Salah wal Musafireen w Qasar ha, Raqam al Hadis1693 Page 596 Matbua Shabeer Brothers Lahore Faeda (benefit). Huzoor Alaihisslam ka dua farmana keh mery Mola Azzwajal mery NOOR mai izafa ker dey, is baat ke taraf ishara hai keh mery AQA Alaihisslam NOOR to thyhe is lea to apnay NOOR mai izafa ke dua ke. Aqeeda. Sub say pehly martabah e Nabawut Huzoor Alaihisslam ko mila. Roze Misaaq tamaam Ambia Alaihisslam sya Huzoor Alaihisslam per eman lany aur Huzoor Alaihisslam ke nusrat kerny ka ahad liya gaya aur issi shart per yeh mansab e AZAM Huzoor Alaihisslam ko diya gaya. Huzoor Alaihisslam Nabi ul Ambia hain aur tamaam Ambia Huzoor Alaihisslam key ummati sub nay apnay apnay ahad e Karim mai Huzoor Alaihisslam ke niyabat mai kam kiya. Allah Azzwajal nay Huzoor Alaihisslam ko apni zaat ka mazhar banaya ur Huzoor Alaihisslam keh NOOR say tamaam alam ko munawar farmayar.
Bahar e Shariyat, Hissa awal
Aqeeda aik Musalman ka yahe honachahea ke SARKAR E AZAM Alaihisslam bazahar bashr hain magar bai misaal bashr bashriyat mai bhi aap ka koi sani nahe lakin apke Haqeeqat noor he hai. In tamaam Ahadees e Mubaraka say yeh bat sabit hue ke SARKAR E AZAM Alaihisslam NOOR ul AALA NOOR hain balkeh Aap Alaihisslam keh noor say hai Kayenaat (Whole World) mai NOOR hai. Bashriyat ka falsafa. Al Quran. Turjuma. Aap farmao keh zahri soorat bashri main to mai tum jesa hoon.
Sorah Qahaf, Ayat 110 Parah 15-16
Is Ayat e Karima may SARKAR E AZAM Alaihisslam say Alla Ta’ala nay Bashr kehlwaya yaha lafz e bashr kehna Aap Alaihisslam ke inkesari hai jaisy koi Hakim e WAqat apni riaya say kahay keh mai to ap ka khadim honn. Khadim kehna Hakim e Waqat ke ajizi o inkesari hai kehny say wo khadim hargiz na ho ga SARKAR E AZAM Alaihisslam say Allah Ta’ala nay bashr kehalwaya, khud Rabbe Karim nay basher na kaha. Ba’az mufaseerin nay is ayat ka yahe matlab bayan kiya hai keh kissi insane ko yeh haq hasil nahe hai keh Nabi ko aam insano jaisa bashr kahay Ambia e Kiram Alaihisslam ko apnay jaisa bashr samjna Iblis aur kufar ka tareeqa hai. Sub say pehly Nabi ko hiqarat say bashrkehny wala Shaita tha, Hazrat Adam Alaihisslam keh baray mai shaitan nay kaha. Al Quran. Turjuma. Bola mjhy zeba nahe keh mai bashr ko sajda karu.
Sorah Hijrat Ayat 33 Parah 26
Maloom huwa keh Ambia e Kiram Alaihisslam ko hiqarat say bashr kenay ka agaz Shaitan say huwa phr is ky chaily kuffar o mushriqeen bhi Ambia e Kiram Alaihisslam ko apnay jaisa basher kehty thy. Chunachy Hazrat Nooh , Hazrat Saleh , Hazrat Hood Alaihisslam ke qoom key kafir nay in say kaha.
Al Quran.
Turjuma. Tum to hum he jaisy bashr ho.
Sorah Ibraheem , Ayat 10 Parah 13
Hazrat Shoaib Alaihisslam ke qoom keh kafiroo nay kaha.
Al Quran.
Turjuma. Tum to nahe magar hum jaisy basher.
Sorah Sho’ra’a Ayat 186 Parah 20
In tamaam Ayaat say amloom huwa keh Ambia e Kiram Alaihisslam ko apnay jaisa bashr kehna Shaitan aur is keh pair o kar kuffar o mushriqeen ka amal hai Mominoo ka tareeqa nahe hai.
Question. SARKAR E AZAM Alaihisslam Bashri libaday mai kiv tashreef laye…??
Answer. Is ka jawab Barasgeer (subcontinent) keh Muhaddis Muhaqiq Shah Abdul Haq Muhadis e Dehlvi Aleherahma apni Book Madaraj al Nabuwat Jild Awal keh page 109 , 110 per dety hue farmatyhain ke SARKAR E AZAM Alaihisslam sar say lai ker Qadam tak saray ke saray NOOR he NOOR thy, SARKAR E AZAM Alaihisslam Chand (moon) aur soraj (sun) ke tarha roshan thy agar SARKAR E AZAM Alaihisslam bashriyat ka parda pehnay hue na hoty to kissi ko dekhny ke taqat he na hoti

Noor o bashar ka bayan part 4

Noor o BAshar Part 4

Al Quran. Ayat.. “WA ANZALNAA ELYEKUM NOORAN MUBEENA” Turjuma… Aur hum nay tumhari taraf roshan noor utara.
Tafseer. Is ayat mubaraka mai roshan noor sya murad SARKAR E AZAM Alaihisslam ke zaat hai.
Al Quran. Chahty hain ke Allah ka noor apnay muh (mouth) say bujha dain aur Allah na manay ga magar apnay noor ko poora kerna paray bura na manain kafir.
Sorah Tobah Ayat no 32 Parah 10.
Tafseer. Mufasreen is ayat ke tafseer main likhty hian ke is Ayat mai NOOR say murad SARKAR E AZAM Alaihisslam hain. kuffar chahty thy ke SARKAR E AZAM Alaihisslam ko (Ma’az Allah) qatal ker diya jae Quran e Majeed ke is ayat mai wazih hai ke Allah Ta’ala nay apnay Mahboob Alaihisslam ke qatal per kissi ko qudrat nahe di. In Ayat aur tafaseer say yeh baat sabit ho gae ke SARKAR E AZAM Alaihisslam NOOR hain.
NOOR E MUSTAFA Alaihisslam AHADEES KE ROSHNI MAIN.
Hadees
“AWWA LU MA KHALAQALLAHE NOORI”
Turjuma. SARKAR E AZAM Alaihisslam nay irshad farmaya tamam makhlooqat say pehly Allah Ta’ala nay meray NOOR ko paida farmaya..
Ba hawala: Tafseer e Rooh ul bayan….jild 2 page no 191
Madiraj alnabawut jild 2 page 2, Ma’arij al Nabawaut Jild 5 page no 135
Hadees “ANA MIN NOORILLAHE WALKHALAQU KULLIHUM MIN NOORI”
Tarjuma. SARKAR E AZAM Alaihisslamnay irshad farmaya keh main Allah Ta’ala keh NOOR say hu aur sari makhlooq mey NOOR say hai.
Bahawala = Ma’arij al Nabawaut, Musanaf Shah Abdul Haq Muhaddis e Dehalvi Alerahma

Continue

Noor o bashar ka bayan part 3

Noor o BAshar Part 3

Hadees
Huzur (Sallal Lahu Alaihi Wasallam) ne Sahabio ko Raat din ke Roze Rakhne se mana Farmaya . Sahabi ne Arz kiya Ya RasoolAllah aap to Wisal k Roze Rakhtehain .Huzur ne farmaya Me Tumhari tarha (Aam Insan) nahi hun ,Muje Rizk diya jata hai.
Muslim V2 page 774
Bukhari V2 Page 693
Nisai Vol2 page 241
Quran Ae Imanwalo apni Awazein Unchi naklaro,, Uss Gaib batane wale (Nabi) ki Awaz se .. Or unke Huzur baat Chilakar na kaho ,, Jese Aapas me ek Dusre ko Chillate ho .kahi Tumhare Amaal Akaarat na ho jaye Or Tumhey Khabar na ho.
Para 26 Ruku 13 Ayat 2
Quran me Nabi ko Rehmat kaha gaya .. Quran Humne bheja jo Rahmat (Muhammad Sallal Lahu Alaihi Wasallam) hai Zamane ke liye .
Surh Ambiya Ayat 107
Hadees Huzur Sallal Lahu Alaihi Wasallam Irshad karte hai jese meri Zindsi Tumhare liye Rehmat ) hai wese hi mera Parda farmana b Tumhare liye Rehmat hai
musnad Vol 1 page 397
Manaahil Al-Safa Pg 31 Hadees 8
Al ksasis sl Kubra Vol 2 pg 281
Majma al Zawwad
To isko thoda Tafseel se Samajne ki zarurat hain.
Masla Noor o Bashr. Aqeeqa Ahl e Sunnat Quran o Hadis ke roshni mai issey read kijea aur aaj ke is pur fiten door mai apnay aqeday Ko deen ke choro say mahfooz rakhea.
Question..? Kya Sarkar e Azam peace be upon him NOOR hain aur dunia mai libad e Bashri mai tashreef lae hain QURAN o HADIS ke roshni mai jawab?
Answer:- Islami Aqayed mai yeh baat mojood hai Ke Nabi e Kiram Alaihisslam NOOR ke paiker hain SARKAR E AZAM Alaihisslam bhi NOOR hain magar is dunia main libas e Bashriyat main Tasreef laye hain. Lehaza SARKAR E AZAM Alaihisslam ka NOOR hona un ke haqeeqat hai aur bashriyat aap Alaihisslam ke sifat hai isliyea hamai SARKAR E AZAM Alaihisslam ke bashriyat aur Noraniyat dono par eman rakhna zroroi hai. Al Quran. Ayat…:
LA QAD JAA’AKUMMENALLAHE NOOR. (Sorah Ma’aeda Ayat 15 Parah 6)
Turjuma.. “Be shaq tumhary pas a gaya Allah ke taraf say 1 noor”
Tafseer.. Tafseer e Ibne Abbas page no 72…
Tafseer e Kabbir page no 396 jild 3…
Tafseer e Khazin page no 417 Jild awal
Tafseer e Madarik page no 470 Jild 1
Tafseer e Rooh alma’ani page no 87 Jild 6
Tafseer e Rooh ul bayan page no 548 Jild 1
Tafseer e Durr e Mansoor page no 231 Jild 3
Tafseer Jalalain..Tafseer Ibne e Jareed…Maraj un nabuwat…..aur Mawahib al ludunia
tamaam Mu’utabar tafaseer mai mufasreen nay is ayat mai NOOR say SARKAR E AZAM Alaihisslam murad lia hai.

Continue

Noor o bashar ka bayan part 2

Noor o BAshar Part 2

Al’Quran
Quran Beshak Tumhari taraf Allah ki tarf se Noor (Sallal Lahu Alaihi Wasallam) aya hai ,, Or Roshan Kitab ... !!
surh Maida Para 6 Ayat 15
Tafseer ibn Abbas Pg.72
Quran Chahte hain ki Allah ke Noor ko apni ,, Muh ki Phoonko se Bujha den ,, Lekin Allah apne Noor ko ,, Pura Farma ke Rahega .. chahe ye Kafiro ko bura lage ... !!
Surh Toaba ayat 32
Hadees Huzur (Sallal Lahu Alaihi Wasallam) ne Farmaya Me Adam ke paida hone se pehle ,, Rab ke Huzur me Noor tha ... !!
(Ahkam Ibnal Quhtan ,, (Tafseer Durre Mansoor)
Ibne Sabah Farmate hain Huzur Pur Noor ke Khais me tha ,, Ke Aap ka Saya ,, Zameen par na padta tha. (Zurqani ,, Khasais ul Bubra)
Hadees Hazrat Ali (RaziAllahu Anho) farmate hain Jab Huzoor (Sallal Lahu Alaihi Wasallam) kuch Irshaad farmate ,, To unke Mubarak Daanton ke beech me se Noor ki kirne Phut ti dikhai deti thi ... !! Mawahibul Laduniyah V1 page 270
Anwaarul Muhammadiya Page132
Zurqaani Shareef
Hadees Me Aulade Aadam me ,, Sabse zyada Mukkarran .. Or Sabse Zyada Muazzam hun ... !!
Tirzimi ,, Abwabul Manaqib
Hazrat Aisha (RaziAllahu Anha) farmati hain Main Andheri raat me sui (Needle) me dhaage puro leti thi ,, Huzoor ke Noor ki Roshni se ... !!
Shara Shifa Hashia Naseemur Riyaz V1 Page 328
Hadees Hazrat Umar RaziAllahu Anhu farmate hain RasoolAllah (Sallalahu Alaihi Wasallam) ne farmaya Main Tum me se kisi ki tarha nahi hun .
Jaam’e Tirmizi V1 page 97
Sahih Bukhari Vol1 page246
Hazrat Ali (RaziAllahu Anhu) farmate hain Mene Huzoor (Sallal Lahu Alaihi Wasallam) ke jesa ,, Kisi ko na paaya .Na unke pehle ,, Na unke baad ... !!
Taareekh-e-Kabeer V1 Page8
Khasaais ul Kubra V1 page181
Tirmizi Shareef V2 page.204

Continue

Noor o bashar ka bayan part 1

Noor o BAshar Part 1

Masla Noor o BAshar ke waqt hume kuch baate zehan mein rakhni chahiye k hum mein or aap mein ikhtalaf kis baat ka hai phir is masle ko sahi tareekey se samjha ja sakta hai. aap or hum is baat par mutafik hain ke Huzoor Sallaho Alaih wasalam bahsar hai . lekin hum dono mein ikhataf is baatka hai k hum kehte hai k Huzoor Afzalul Bashar honey ke saath saath Noor bhi hai or aap kehte ho ke woh noor nahi hain. lekin aap nein jo apne dalail ke tor par jo ayat pesh ki hai unpar to hum mutafik hai kiun ke hum bhi mante hai ke huzoor bashar hai.isliye aap woh apne aqeeday ko sabitkarne ke liye Huzoor Sallahao Alaih eWasalam ki noor na hone ki koi daleel pesh karo na ke bashar honey ki kiun ke Huzoor ke bashar honey par to hum or aap mein itfaq hai. is liye aap ka farz banta hai ke aap apna aqeedah sabit karne ke liye Huzoor Sallah Alaih e wasalam ki noor na hone ki koi daleel pesh karo . or hum Huzoor ke noor hone ki daleelpesh karte hai . umeed hai ke aap ko yeh tajveez achi lagi hogi.

Sabse pehle Allah ne Apne Noor se .. Hamare Nabi (Sallal Lahu Alaihi Wasallam) ke Noor ko paida kiya ... Hadees
Hazrate Jabir (RaziAllahu Anhu) ne Huzoor se jab poocha K Allah Ta'ala ne sabse pehle kis cheez ko paida farmaya .. Ispar RasoolAllah (Sallalahu Alaihi Wasallam) ne Irshad farmaya “Ae jabir! Beshak Allah ne sabse pehle Apne Noor se ,, Tere nabi ke Noor ko paida farmaya ... !!
Mawahibul Laduniyah Sharif V1 Pg9
Zurqaani Shareef V1 Pg.46
Seerat-e-HalbiaV1 Pg37
Anwaarul Muhammadiya Pg9

Hadees
Huzur Sallal Lahu Alaihi Wasllam ne Hazrat Jibrail (AlaihiSalaam) se Farmaya AE Jibrail! Tumhari Uamr Kyai hai Jibrail (AlaihiSalam) ne Arz kiya Huzuur ! Muje Kuchh Khabar Nai ,, Itna Jaanta Hun Ki Chauthe Hijaab me Ek Noorani Taara ,, 70 Hazaar Baras k Baad Chamakta tha ... Mene uss Taareko 72 Hazaar Martaba Chamakte dekha hai ... Huzoor (Sallal Lahu Alaihi Wassalam) ne yeh sunkar Farmaya Mere Rab ki Izzat ki Kasam ,, Me hi woh Noorani Taara hun ... !!
Ruhul Bayaan, V1, Pg974
Hadees Me Allah ke Noor se hun .. Or Tamam Makhlook mere Noor se hai Or sabse pehle Allah ne Mere Noor ko Paida kiya ... !!
Tirzimi page 201
Hadees Ek Sahabi ne Arz kiya Apko Nubuwat kab mili ... Huzur ne farmaya Me uss Waqt bhi Nabi tha ,, Jab Adam Mitti or Rooh ke Darmiyan the ..!! (Sahiul Isnaad) Or Allah ne hamare Nabi ko Noorul Bashar banakar bheja ,, Jo unhe Bashar na Maane uska bhi Iman kharab ... Or jo apni Tarha Bashar Maane uska to Iman hi Janey ka Khatra. Haddeso se Sabit karta hu ki Hamare Nabi Noor the .

Continue