async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Wahabi log kitni Rakaat taraweeh padhte hai?
Showing posts with label Wahabi log kitni Rakaat taraweeh padhte hai?. Show all posts
Showing posts with label Wahabi log kitni Rakaat taraweeh padhte hai?. Show all posts

Saturday, June 4, 2016

Wahabi log kitni Rakaat taraweeh padhte hai?

*Wahabi log Arab shareef me kitni Rakaat taraweeh padhte hai*

Sunni bhaiyon Aaj mai batata hun wahabiyon ki makkari Aap ko..

Mera Arab shareef me Choutha saal hai ye
Mai 2013 ke Ramdan shareef me makkah shareef me tha pura mahina... sharaa hajj, ishara wadi jalil ke paas jo kaaba shareef se 3 ya 4 km ke darmiyan me hai.. aur Jabal al noor (ghare hira) bahut hi kareeb hai wahan se..
Loudspeaker par ye log har namaz padhte hain.. to maine dekha.. ye wahabi log.. 10 rakaat Taraweeh Aur 2 salaam me 3 rakaat vitr padha karte yaani 2 par salaam pherane ke baad fir ek rakaat vitr..
Maine puchha bhi yaman ke aur sudan ke logo se ke ye log kitna taraweeh padhte hai to bataya 10 rakaat.. aur 3 vitr..
Aur fir Aakhri ke 10 din me ye log 10 Rakaat taraweeh padh ke apne ghar ko jaate fir Raat 01:30 baje 8 Rakaat tahajjud aur last me 3 rakaat vitr 2 salaam me...

Achha ye hui baat sharaa hajj ki..
Ab Aaiye dekhte hain. Kaaba shareef me kitni Rakaat taraweeh Hoti hai..
Kaaba shareef me 20 Rakaat taraweeh hoti hai.. aur 3 Rakaat vitr 2 salaam me.. 2 imaam padhata hai.. ek imaam 10 dusra imaam 10 fir last me 3 Rakaat vitr 2 salaam me..
Aur Aakhri ke 10 din me Raat me 1:30 baje 8 rakaat tahajjud bhi padhte hai...
Achha Ye hui baat makkah shareef ki..
Ab 2014 me bhi mai makkah shareef me hi tha.. pure Ramdan..
Aur 2015 me mai shuru ke 12 Din hail me tha..
Hail jo madina shareef se.. 400 km. Iraq ke taraf hai..
Hail ke ek chhote se qariya me mai tha jiska naam tha.. mashash bin jazh ye Al roudha se kareeb hai..

Wahan 8 Rakaat taraweeh padhte the ye log.. aur 3 Rakaat. Vitr 2 salaam me. Aur mai wahan 12 din hi tha lekin.. maalum karne se pata chala. Aakhri 10 din me 8 rakaat taraweeh padhte hai.. aur Raat me 1 baje 8 Rakaat tahajjud fir 3 vitr..
Uske baad mai wapas makkah shareef gaya.. mujhe india chhutti jaana tha to mai madina shareef Haaziri ke liye Rawana hua.. 2 din raha.. madina shareef me bhi masjid e nabvi shareef me 20 rakaat Taraweeh. Aur 3 vitr.. 2 salaam me....

Wahabiyon Ke Imam Ibne Taimiya Ne Apni Kitaab (Minhajus Sunnah V4 P#220) Me Likha "Behaqi Ne Sahi Asnad Ke Saath Riwayat Kya Ke Sahaba Hazrat Umar Ke Dour Me 20 Rakaat Taraweeh Padha Kartey Isi Tarah Hazrat e Usman o Ali Ridwanullahi Alaihim Ajmain Ke Ehad Me Parha Kartey...

Ab Aap khud hi sochiye wahabi kaisa Firqa hai..
Sunni to Alhamdulillah.. pure dunya me Har jagah 20 Rakaat padhta hai..
Aur dunya ke 90% musalman 20 Rakaat hi padhte hain. Taraweeh..
Lekin afsos wahabiyon. Par ki haramain shareefain me 20 Rakaat. Aur makkah shareef me dusre jagah 10 rakaat. Aur Arab shareef ke dusre ilaqon me 8..

Aur khud inke imam ne bhi likha ki Hazrat e umar o Usman o Ali Radi Allahu anhum ke Ahed me.. 20 Rakaat taraweeh hoti thi..

Aur ye wahabi firqa kitna nafs ka Gulaam hai. Gour kariye. Aap jab Auraton ke masjid me jaane ki baat Aaye namaz ke liye. To Hazrat umar Radi Allahu anhu.. ko chhod diya.. jab.. Taraweeh ki 20 Rakaat ki baat Aaye to haramain shareefain me 20 padhe logo ke dar se Aur baaki jagah kahin 8 to kahin 10..
Lekin in wahabiyon ko maalum nahi shaayed ke Taraweeh baa jamaat pure Ramdan me padhne ka huqm bhi Hazrat e umar Radi Allahu anhu ne diya.. aur ba jamaat taraweeh pure Ramdan shareef me padhna Hazrat e umar Radi Allahu anhu ke Dour se hi shuru hua..
To ab wahabiyon ko chaahiye ke har jagah 20 Rakaat padhe taraweeh aur dogli policy chhod de...
Warna haramain shareef me bhi 8 padhe.. aur jamaat se padhna band kare.. agar sachche ho wahabiyon. To aisa kar ke dikhao..
Warna tum jhuthe to pahle se ho aur ab bhi sabit huwey.. Aur jhuthon par Allah ki lanat..
Ab bahana ye ke haramain shareefain me 2 imaam mil ke 10, 10 padhte hai, to suno wahabiyon bewkoof use banana jo tumhare haqeeqat se waqeef nahi..
Arey imaam 2 hai na Awam to ek hi hai..
To ye jaan chhuda kar bhagne waali baat mat karo..

Ab last me ek Aur baat tahajjud ke talluq se ye wahabi kahte hain ke tahajjud aur taraweeh ek hi namaaz  hai... to wahabiyon. Tum Aakhiri ke 10 din me haramain shareefain aur dusre jagah me Raat me 1 baje ya 1:30 baje 8 Rakaat tahajjud kyu padhte ho...
Jawaab do wahabiyon..
Bahut hui tumhari makkari..
Hai kisi Wahabi me dam ke mere is post ka jawab de...
(Sunni bhaiyon ye wahabi apne Qoul Aur fel dono me jhuthe hain. Inke baat me mat Aana..)

Taraweeh ke 20 Rakaat  par Hadees e paak se Dalil Aur wahabiyon ke banawati dalil ka khulasa.. link par click kar ke padhiye...

http://serajrazvi.blogspot.com/search/label/taraweeh%20ki%2020%20rakat%20ka%20bayan?m=0

Aur Islamic Jankari ke liye visit kariye..
Site name.. maslak e Alahazrat zinda baad
Site link.. http://serajrazvi.blogspot.com/?m=0