async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: ilm e gaib e Mustafaﷺ hissa 1
Showing posts with label ilm e gaib e Mustafaﷺ hissa 1. Show all posts
Showing posts with label ilm e gaib e Mustafaﷺ hissa 1. Show all posts

Wednesday, August 10, 2016

Post 11


HADEES # 7:
Mishkaat Baab Ul Masaajid Bariwaayat Tarmizi hai:
Tarjuma: " Pas Hamare liye har cheez zaahir hogai aur Hum ne Pehchaan li ".
(Jaamay Sunan Tarmizi Kitaab Ul Tafseer, JILD#5, PAGE#160, RAQAMUL HADEES 3246 Matboo'a Daarul Fikar Beroot)
Imaam Jalaludeen 911 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Tibraani (Rehmatullah Aleh) ne IBN-E-UMAR (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat ki, Inhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, ALLAH AZZAWAJAL ne Saari duniya ko utha kar mere Pesh-E-Nazar kar diya, aur main ise dekh raha hun, aur Qayaamat tak jo kuch us main hone waala hai main use us tarah Waazeh tor par dekh raha hun jese meri yeh hatheli hai, ALLAH AZZAWAJAL ne apne NABI k liye Munqashaf farmaya, jis tarah AAP se pehle NABIYON ki taraf kiya".
(Khasaesul Kubra, JIL#2, PAGE#185, Matboo'a Daarul Kutub Ilmiya, Beroot)
Hadees # 8:
Musnad Imaam Ahmed Bin Hambal main Ba Riwaayat Abu Zar Gafari (Razi ALLAH Anhu) hai:
Tarjuma: " Hum ko HUZOOR (ALEH SALAAM) ne is Haal par chora k koi Parindah apne Par bhi nahin hilaata, Magar us ka hum ko ILM bata diya".
(Musnad Ahmed, JILD#5, PAGE53, Raqamul Hadees 21399, Matboo'a Mosasta, Qurtuba Misar)
IMAAM Bo Saf Bin Ismail Nibhani (Rehmatullah Aleh) Likhte hain".
Tarjuma: " Imaam Ahmed-O-Ibn-E-Saad aur Tabraani (Rehmatullah Aleh) ne Hazrat Abu Zar (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Inhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh Wassallam) ne humen is haal main chora hai, K Fiza-E-Aasmaani main jo parinda par maarta hai AAP ne Az Roe ILM hum se uska Zikar kar diya".
(Musnad Ahmed, JILD#5, PAGE#153, Matboo'a Darul Fikar Beroot)
Imaam Muhammad Bin Ahmed Bin Jamee'e Us Sedaawi 402 Hijri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " HAZRAT ABU ZAR (RAZI ALLAH ANH) se Riwaayat hai k inhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh Wassallam) ne humen is haal par chora k Fiza-E-Aasmaani main jo Parinda par Maarta hai AAP ne Az Roe ILM hum se us ka Zikar kar diya hai".
(Majma-E-Sheyookh, PAGE#142, Matboo'a Mosasta Ur Risaala, Beroot)
Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hjiri main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Hazrat Abu Zar (Razi ALLAH Anhu) Farmate hain k Humen RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Is Haal par chora k Fiza main jo bhi apne Paron se Urne waala Parinda tha, AAP ne humen Us Se Muta'aliq Zikar kiya".
(Musnad Ahmed, JILD#5, PAGE#153, Raqamul Hadees 21399, Matboo'a Mosasta Qurtuba Misar)
Ab Aap Khud faisla karen.. k Kiya Bager ILm k Aasmaan main Urne waale Parinday k K baaray main maaloom kiya ja sakta hai???
Woh bhi tni jaldi maaloom karna, k Parinday k Par Hilaanay se pehle hi dusron ko bhi Parinday k Baaray main bata diya jae...
Ab aap khud hi faisla kar sakte hain, Q k Aasmaan main Urne Waala PArinday k Baaray main Maaloomat to Gaib hai, Q k GAIB har Chupi huwi cheez ko kehte hain, jo kisi Hawaas k bager maaloom na ki ja sake... to is GAIB k ILM ko kiya kahen ge???

Continue

Monday, November 2, 2015

Post 10

Post #10

HADEES # 5:

Mishkaat Ul Masaajid main Abdur Rehman Bin Aaish se Riwaayat hai:

TARJUMA: " HUM ne apne RAB ko achi Soorat main dekha, RAB TA'ALA ne apna Dast Qudrat Hamaray Seenay par rakha, Jis ki Thandak hum ne apne Qalb main Paai, Pas Tamaam Aasmaan O Zameen ki Cheezon ko hum ne jaan liya".

(Sunan Daarmi Kitaab Ur Roya, Baab Fi Roiyyah RAB TA'ALA, Fi Nom, JILD#2, PAGE#51, RAQAMUL HADEES, 2155, Matboo'a Nashar Us Sana, Multan)

Imaam Abdullah Bin Abdur Rehman Daarmi 255 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Mene Apne RAB Azzawajal ko Behtareen soorat main deekha, RAB-E-Zul jalaalne mujh se farmaya k Malaika Muqqabareen kis baat par jhagra karte hain?? Mene Arz ki MOLA tu Khoob jaanta hai, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya phir mere RAB ne apni REHMAT ka HAATH mere donon Shaanon k Darmiyaan rakh diya, mene us ki Thandak apni dono Chaatiyon k Darmiyaan Paai, Pas mujhey in tamaam Cheezon ka ILM hogaya, jo k Aasmaaanon aur Zameenon main thin".

(Sunan Daarmi Kitaab Ur Roya, Baab Fi Roiyyah RAB TA'ALA, Fi Nom, JILD#2, PAGE#51, RAQAMUL HADEES, 2155, Matboo'a Nashar Us Sana, Multan)

IMAAM AHMED BIN HAMBAL 241 Hijri main Riwaayat karte hin:

Tarjuma: " HAZRAT IBN-E-ABBAS (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain k NABI (ALEH SALAAM) ne farmaya AAJ RAAT ko neend main mera RAB Azzawajal Haseen Soorat main mere Pass Aaya, aur farmaya Ae MUHAMMAD! Kiya tum jaante ho k Malaikah kis chez par behes kar rahe hain??

HAZRAT IBN-E-ABBAS (Razi ALLAH Anhu) kehte hain k AAP ne farmaya Nahin..

Phir NABI (ALEH SALAAM) farmate hain, k ALLAH TA'ALA ne apna Haath mere donon kandhon k darmiyaan rakha Hat'ta k Main ne apne seene main is ki Thandak mehsoos ki aur mene in tamaam Cheezon ko jaan liya jo Aasmaanon aur Zameenon main hain".

(Musnad Ahmed, JILD#1, PAGE#368, Raqqamul Hadees 3484, Matboo'a Mosasta Qurtaba Misar)

Hadees # 6:

Sharah Mowaahib Ladniyah main HAZRAT ABDULLAH BIN UMAR (RAZI ALLAH ANHU) ki Riwaayat se hai:

Tarjuma: " ALLAH TA'ALA ne hamare saamne Saari duniya ko pesh farmaa diya Pas hum is Duniya ko aur jo kuch is main QAYAMAT tak hone waala hai is tarah dekh rahe hain, jese apne Haaath ko dekhte hain".

(Sharah Ul Allama Zarqaani Ali Ul Mowaahib Ul Ladniyah Ul Maqsad Us Saaamin Ul Fasal Us Salis Ul Qasam Us Saani, JILD#7, PAGE#206, Matboo'a Darul Ma'arfatah, Beroot)

Continue

Post 9

Post #9

HADEES # 2:

Mishkaat Baab Ul Mojizaat main muslim se Bariwaayat Umar-O-IBN-E-KHATA isi tarah manqool hai magar is main itna aur hai:

Tarujuma: "Hum ko tamaam un Waaqiyaat ki khabar de di, jo Qayaamat tak hone waale hain, Pas hum main bara AALIM woh hai, jo in baaton ka Ziyaadah Haafiz hai".

(Sahi Muslim, JILD#2, PAGE#390, Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana Karachi)

HADEES # 3:

Mishkaat Baab Ul Fitan main Bukhaari O Muslim se Bariwaayat Hazrat Huzefa (Razi ALLAH Anhu) hai.

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne us jagah QAYAAMAT tak koi cheez na chori, magar uski khabar de di, jis ne yaad rakha, yaad rakha, jo bhool gaya woh Bhool gaya".

(Sahi Bukhari, JILD#2, PAGE#977, Matboo'a Karachi)

(Dalaelun Nabuwwah, IMAAM BEHKI, JILD#6, PAGE#313, Matbo'a Daar Ul Qutub Ul Ilmiya, BEROOT)

Haafiz Shaha Buddeen 862 Hijri main likhte hain:

TARJUMA: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ka ek hi Majlis main ROZ-E-QAYAAMAT tak k Ehwaal O Waaqiyaat ka Bayaan farmana, aap ka Azeem mojiza hai, aur AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki SHAAN Taweel Kalaam ko chand jumlon main bayaan karna is ka Aaenadaar hai. aur is ki Misaal ek dusri Jahat se ABDULLAH BIN UMAR O AAS (Razi ALLAH Anhu) ki Hadees main hai Jisay IMAAM TARMIZI (REHMATULLAH ALEH) ne Riwaayat kiya hai, KHUZOOR (ALEH SALAAM) hamaray pass tashreef lae, AAP k haath main 2 kitaaben thin.. Seedhay Haath waali Kitaab k baaray main farmaya yeh Kitaab RABBUL AALAMEEN ki taraf se hai, is main Ahl-E-Jannat aur in k Aaba'a aur in k Kabeelon k naam hain, in par kabhi bhi na koi naam Ziyaadah ho sakta hai aur na ko naam kam ho sakta hai.. Phir AAP (SALLALAHO ALEHE WASSALLAM) ne Baayen Haath waali Kitaab k Baaray main AHLE DOZAKH ki Nisbat isi Misal Bayaan Farmaya".

(Fatah-Ul-Baari, Sharah Sahi Bukhari, JILD#6, PAGE#291, Matboo'a Dar-un-nashar,Kitaab Ul Islaamiya, Lahore)

IMAAM BADARUDDEEN Aeni Hanfi 855 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ka ek hi Majlis main Roz-E-Qayaamat tak k Ehwaal O Waqiyaat ka bayaan farmana AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) k Mojizaat main se ek Azeem mojiza hai, aur aesa q na ho k AAP (ALEH SALAAM) ko is k Saath jo Taweel kalaam ko thoray waqt main bayan karne ka Mojiza bhi ata kiya".

(Umdah Qaari , JILD#15, PAGE#110, Matboo'a Darul Fikar Beroot)

ALLAMA AHMED QAStLAANI bhi 911 Hijri main yahi likhte hain:

(Bahawala: Irshaad Us Saari, JILD#5, PAGE#250)

HADEES # 4:

Mishkaat Baab Fazael Syed Ul Mursaleen main Muslim se Ba Riwaayat Sobaan (Razi ALLAH Anhu) hai:

Tarjuma: " ALLAH ne mere Liye, Zameen samait di, pas main ne Zameen k Mashriqon aur Magribon ko dekh liya".

(Sahi Muslim Kitaab Ul Fitan O Sharaet O Sa'at, JILD#2, PAGE#390, Matboo'a E Qadeemi, Kutub Khaana Karachi)

(Sahi Muslim, JILD#4, PAGE#2216, RaqamUl Hadees#2889, Matboo'a DarUl Kutub Ilmiya, Beroot)

MirQaat Sharah Mishkaat aur sharah Shifa Ul Mulla Qaari O Zarqaani Sharah Muwaahib, Naseem Ur Riyaaz, Sharah Shifa main Hadees # 4 main hai..

Tarjuma: "Is Hadees ka khulasa yeh hai k HUZOOR (ALE SALAAM) k liye zameen samait di gai, aur is ko aesa jama farma diya gaya, jese ek haath main aaenay ko dekhta hai aur zameen ko is tarah sameta k Door waali ko Qareeb kar diya is k Qareeb ki taraf, yahaan tak k hum ne dekh liya un tamaam cheezon ko jo Zameen main hain"..

Continue

Post 8

Post #8
Aayat # 17 :

Surah Yusuf Aayat no. 96

Tarjuma: Fir jab khushi sunane wala aaya,usne wa kurta Yaqub k muh par daalausi waqt uski aankhen fir aai kaha mena kehta tha k mujhe ALLAH ki woh shaani maalum hai jo tum nahi jaante.

Aayat # 18.

Surah Ambiya Aayat no. 74

Tarjuma : Aur Lut ko humne Hukumat aur Ilm diya.

In tamam Aayat se Saabit hai ki ALLAH taala ne Sarkar Sallallahualaihiwasallam k saath Digar Ambiya Alaihissalam ko b ilm e ghaib ataa kiya hai.

ILM-E-GAIB k Saboot Ahadees ki roshni main

HADEES # 1:

Bukhari Kitaab Bada'a Ul Khalq aur Mishkaat, JILD#2, Baab Bada'a Ul Khalq O Zikar Ul Ambiya mainHazrat UMAR-E-FAROOQ (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai:

TARJUMA: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek Jagah Qayaam farmaya, Pas Hum ko Ibtada-E-Pedaish ki khabar de di, Yahaan tak k Jannati log, Apni Apni Manzilon main Puhanch gae, aur Jahannumi log apni main jis ne Yaad rakha , Us ne yaad rakha, aur jo Bhool gaya, Woh Bhool Gaya".

(Sahi Ul Bukhaari, Kitaab Bada'a Ul Khalq, Jild#1, PAGE#453, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi),

(Sahi Muslim Kitaab Ul Fatan, JILD#2, PAGE#390, Matboo'a Qadeemi Kutub khaana Karachi)

(Mishqaat UL Musaabeh, PAGE#506, Matboo'a NOOR Muhammad Qutub Khana)

Is Jagah HUZOOR (ALEH SALAAM) ne 2 Qisam k Waqi'aat ki khabar di

1) AALAM ki Pedaish Ki IBTADA kis tarah huwi..

2) Phir AALAM ki INTAHA kis Tarah hogi..

Yaani Az Roz Awwal ta Qayaamat Ek Ek Zarra Bayaan Kar diya..

Aeni Sharah Bukhari. Fatah Ul Baari, Irshad-Us-Saari, Sharah Bukhari, Marqaat Sharah, Mishqaat main Upar di gai Hadees k Ma Tehet hai:

Tarjuma: "Is HADEES main Dalalat hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek hi Majlis main Saari Makhlooqaat k Saaray Haalaat ki Az Ibtada ta Inteha tak Khabar di".

(Marqaat Sharah Ul Mishqaat, JILD#11, PAGE#$, Maktab-E-IMDAADIYA, Multan)

(Irshaad Us Saari JILD#5, PAGE#250)

(Haashiya Sahi Bukhari, JILD#1, PAGE#453, Matboo'a Qadeemi, Kutub khana Karachi)

IS Hadees aur Sharah se saaf maaloom hota hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko ILM-E-GAIB ata kiya gaya hai, Q k Bager ILM-E-GAIB k woh Az Awwal (Yaani duniya ki Ibtada) se le kar Ta Aakhir (Qayaamat tak) k tamaam Waqiyaat kese bata sakte hain... Unhon ne sab kuch ILM-E-GAIB se hi bataya jo ALLAH TA'ALA ne inko Ata kiya hai...

Continue

Post 7

Post #7

Aayat # 12:

Surah Al-Baqrah Aayat no.31.

Tarjuma: Aur ALLAH taala ne Adam Alaihissalam ko tamam Aashiya k naam sikhaye.phir sab aashiya Malaika par pesh kar k farmaya sacche ho toh in k naam batao..

Tafseer khazan ul irfan me is aayat k baare hai...

ALLAH TAALA ne Hazrat Adam Alaihissalam par tamam aashiya wa jumla masmiyaat pesh farama kar aapko unke isma wa sifat wa afaal wa khuas wa usool uloom wa sana’at sab ka ilm bataur ilham ataa farmaya....

Yaani agar tum apne is khel me sacche ho k me koi makhluq tum se zyada ilm paida na karuga aur khilafat k tumhi mustahak hotoh un chizon k naam batao kyuki khalifa ka kaam tasruf wa tadbeed aur adl wa insaaf hai aur yeh bagair is k mumkin nahi k khalifa ko in tamam chizon ka ilm ho jin par inko mutassruf faramaya gaya aur jin ka is ko faisla karna hai..Masla: ALLAH TAALA ne Hazrat Adam Alaihissalam k Malaika par Afzal hone ka sabab ilm zaahir farmaya isse saabit hua k ilm isma’a khlutu aur tanhai k ibaadat se afzal hai,Masla: is aayat se yeh b saabit hua k Ambiya Alaihissalam Maliaka se Afzal hai.....

Aayat # 13:

Surah Rehman Aayat no 1-4

Tarjuma : Rehman ne apne mehboob ko quran sikhaya insaniyat ki jaan Mohammed ko paida kiya Makaan wa Mayakoon ka bayaan inhe sikhaya.

Tafseer al sawi me hai ki Mohammed Sallallahualaihiwasallam jo al insan al kamil hai jinhe Makaan wa Mayakoon ka ilm ataa kiya gaya hai(woh sab kuch jo ho chuka,jo ho raha hai aur jo hone wala hai.)

ImamAbu Muhammad Husayn b. Mas'ud ibn Muhammad al-Farra' Baghawi al shafi’i (d.516H/1122),apni

Tafseer al baghawi me likhte hai ki “ALLAH ne Mohammed Sallallahualaihiwasallam ko paida kiya aur unhe har woh baat sikha di jo ho chuka aur jo hone wala hai.

وقال ابن كيسان: { خَلَقَ ٱلإِنسَـٰنَ } يعني: محمداًً صلى الله عليه وسلم { عَلَّمَهُ ٱلبَيَانَ } يعني: بيان ما كان وما يكون لأنه كان يبين ع

ن الأولين والآخرينوعن يوم الدين.
( Tafsir al Baghawi under Sura rahman , ayat 3-4).

Ibn Keesan Khalaqal Insaan He created human that is MuHammad Sallallahu ` Alayhi wa Sallam

likhte hai Allamahul Bayaan yani bayan sikhaya woh bayaan jo ho chuka aur hone wala hai.

NOTE : Imam Baghawi ne hadith classics Sharh al-Sunnah and Masabih al-Sunnah likhi jo baad me Mishkat al-Masabih addition k saath al-Tibrizi d.741H.

Ala'uddin Ali Bin Muhammad Khazin al shafi’i [ d. 725 AH] apni Tafsir me likhte hai “Mohammed Sallallahualaihiwasallam ko ma kaan wa ma yakoon ka ilm ataa kiya gaya”
[ Tafsir Al Khazin ]

Aayat # 14 :

Surah Yusuf Aayat no. 37.

Tarjuma :- Yusuf ne kaha jo khana tumhe mila karta hai woh tumhare paas na aane paayega k me uski taabir uske aane se pehle tumhe bata duga.(is aayat se Hazrat Yusuf Alaihissalam ka Ilm e ghaib saabit hai)

Aayat # 15 :

Surah Al-Imran Aayat no. 49.

Tarjuma :- Aur tumhe batata hu jo tum khate aur jo tum apne gharo me jama kar rakhte ho.(Yaani woh jo b chupate apne ghar ki 4 diwari me woh sab Hazrat Isa Alaihissalam ko khabar hai)

Aayat # 16 :

Surah Yusuf Aayat no. 22.

Tarjuma: Aur jab apne pure quwat ko pahucha,humne ise hukum aur ilm ataa farmaya

Continue

Post 6

Post #6

Aayat#9:

Tarjuma: " Aur isi Tarah hum IBRAAHIM ko Dikhate hain. Saari Baadshahi Aasmaanon ki aur Zameen ki".

(Parah#7, Surah#6 Surah An-‘aam, Aayat#75)

Tafseer-E-KHAAZAN main hai:

Tarjuma: " HAZRAT IBRAAHIM (Aleh Salaam) ko Sehra par khara kiya gaya, aur un k LiyeAasmaan khol diye gae, Yahaan tak k Unhon ne Arsh O Kursi aur jo kuch Aasmaanon main hai Dekh liya, aur Aap k Liye Zameen Khol di gai, Yahaan Tak k Inhon ne Zameenon k neeche zameen aur un k Ajaibaat ko dekh liya jo Zameenon main hai".

(La BAab Taaweel Fi Tanzeel, Al Ma'aroof, Tafsser-E-Khaazin, JILD#2, PAGE#126, Matboo'a Darul Qut8b Ilmiya, BEROOT)

Tafseer-E-MADARIK main isi Aayat k MA TEHET hai:

Tarjuma: " Mujaahid ne HAZRAT IBRAAHIM (ALEH SALAAM) k liye saaton (7), Aasmaan khol diye gae, aur Unhon ne dekh liya, jo Kuch Aasmaanon main hai, Yahaan tak k Un ki NAZAR ARSH tak puhanch gai, aur un k liye, Saat (7), Zameen kholi gain k Unhon ne Woh cheezen dekh lin, jo zameenon main hai".

Tafseer-E-MADARIK, JILD#1, PAGE#373, MATBOO'a, MAKTABUL QURA'AN,PESHAAWAR)

ROOH-UL-BAYAAN main is Aayat k Ma Tehet hai:

Tarjuma: " IBRAAHIM ko Aasman O Zameen ki Ajaebaat O Garaebaat dikha diye, aurARSH ki bulandi se Tehet-Suri tak khol diye".

(Tafseer-E-ROOH-UR-BAYAAN), JILD#3, PAGE#72, MATBOO'A Darul Haya, BEROOT)

TAFSEER-E-IBN-EJAREER-ABI-HAATIM main hai:

Tarjuma: " HAZRAT IBRAAHIM pe khuli posheedah tamaam cheezen khul gaen, Pas in par Makhlooq k Aamaal main se bhi kuch Posheedah na raha".

(Jam-E-Ul-Bayaann-Fi-TAFSEER-Ul-Qura'an, Al-Ma'aroof, Tafseer-E-Tibri, JIL#246, Matboo'a Darul Haya, BEROOT)

Tafseer-E-Kibri main hai:

Tarjuma: " ALLAH TA'ALA ne HAZRAT IBRAAHIM (Aleh Salaam0) k liye Aasmaanon ko Cheer diya, Yahaan tak k inhon ne, ARSH-O-QURSI aur jahaan tak Jismaani ILM ki Foqiyat Khatam hoti hai, Dekh liya. Aur Woh Ajeeb O Gareeeb cheezen bhi dekh lin, jo Aasmaanon min hain, aur woh Ajeeb-O-Gareeb cheezen bhi dekh lin, jo zameen k Pait main hai".

(Tafseer-E-Kabeer, JILD#5, PAGE#35, MATBOO'A Darul Haya, BEROOT)

IS Aayaat aur in Tafaaseer se maaloom huwa k ARSH se le k ar Zameen k Andarooni Hissay tak HAZRAT IBRAAHIM (ALEH SALAAM) ko dikhae gae, aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ka ILM in se kahin ziyaada hai to Maanna parega, k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko bhi yeh tamaaam ULOOM Ata huwe.

Khayaal rahe k ARSH k ILM main LOOH-E-MEHFOOZ bhi aagaya aur (LOOH-E-MEHFOOZ main tamaam ULOOM aur sab kuch likh diya gaya hai, DUNIYA O AAKHIRAT k tamaam Mu'aamlaat is main likhe gae hain), Lihaaza yeh ILM-E-IBRAAHIMI ki shaan hai to, aap khud sochen k NABI-E-PAK (Sallalaho Alehe Wassallam) ka kiya ILm hoga, Q k ILM-E-IBRAAHIm (ALEH SALAAM) aur ILM-E-AADAM (ALEH SALAAM) to HUZOOR (ALEH SALAAM) k ILM ka ek Qatra hai..

Aayat#10:

Tarjuma: "Ae Eemaan waalo, Aesi Baaten hamare Mehboob se na pucho, k Agar tum pe zaahir kardi jaawen, to tumhen naagawaar hon".

(Parah#7, Surah#5 Surah Maai’dah, Aayat#101)

Imaam Abu Abdullah Bin Ismail Bukhaari 256 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Ek Shakhs ne kaha Ae ALLAH k NABI (ALEH SALAAM) mera Baap kon hai?? ToAAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya Tera Baap Falaan hai, aur phir yeh Aayat-e-Kareema Naazil huwi, Ae Eemaan waalon Aesi baaten mat pucha karo, k agar tumhare aage, bayaan kardi jaen to tumhen bura lage".

(Sahi Bukhari Kitaab Ul A'atasaam, JILD# 2, PAGE# 1083, MAtboo'a Qadeemi Kutub Khaana, Karachi)

Jab Mu'aanideen Haq ki Gustaakhiyaan haad se barh gaen, aur in ki Taraf Uthaae gae,sawaalaat ka silsila tool Pakar gaya, to HUZOOR (ALEH SALAAM) k Rookh Anwaar parNaaraazgi k Aasaar Namoodaar huwe, Riwaayat main aata hai k AAP (Sallalho Alehe Wassallam) JALAAL main akar mimbar par Jalwa Afroz huwe, aur yeh Aelaaan farmaya, jis ka Zikar HAZRAT ABU MOOSA (Razi ALLAH Anhu) ki riwaayat main yun kiya gaya hai:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) se kuch cheezon k baaray main pucha gaya Jinhen AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Na Pasand farmaya, Jab Sawaalaat ka silsila Tawaalat Aekhtiyaar kar gaya, To AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) naaraaz hogae, phir Logon se farmaya, tum mujh se jis Cheez k baaray main chaho sawaaal karo,

Ek Shakhs ne kaha MERA BAAP KON HAI???

AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya TERA BAAP HUZAAFA hai,

phir dusra shakhs khara huwa, aaur us ne Kaha YA RASOOL ALLAH! MERA BAAP KON HAI??

AAP (Sallalho Alehe Wassallam) ne farmaya tera baap Sheeba ka Ghulaam Saalim hai.

Jab HAZRAT UMAR (Razi ALLAH anhu) ne AAP k Chehray par Naaraazgi ki Kefiyat dekhi to kaha YA RASOOL ALLAH! Hum ALLAH ki baargah main Toba karte hain".

(Sahhi Bukhari, Kitaab Ul ILM, JILD#1, PAGE#19, Matboo'a Qadeemi, Kutub khana Karachi),

(Al Beher Az Khaar, Al Maaroof, Bamusnad al Bazaar, JILD#8, PAGE# 146, Raqam Ul Hadees 3165, Matboo'a Maktabul Uloom O Al Hakam, Ul Madina tul Munawwarah),

(Musnad Abi Ya'ALI, JILD#13, PAGE#288-289, Rakam Ul Hadees 7303),

(Muslim Shareef Baab Fil Fazail, Baaab Touqeer (Sallalaho Alehe Wassallam), JILD#4, PAGE#1834-1835, Rakamul Hadees, 2360)

Hazrat Anus (Razi ALLAH Anhu) se Marvi hai.

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) (Mimbar par) Tashreef lae, aur Khutba diya, ABDULLAH BIN HUZAAFA ne khare ho kar Arz kiya.. MERA BAAP KON HAI?? AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya TERA BAAP HUZAAFA HAI??.. Phir AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) baaar baar farmane lage, mujh se Pucho... HAZRAT UMAR (Razi ALLAH Anhu) ne Do (2) Zaanon beth kr Arz ki HUM ALLAH TA'ALA k RAB hone par, aur ISLAAM k Deen hone par, Aur MUHAMMAD (Sallaho Alehe Wassallam) k NABI hone par Raazi huwe, Aap ne yeh Kalimaat Teen (3) Martabaa Dohrae, Phit HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Sakoot Ekhtuyaar farmaya".

(Sahi Bukhari Kitaab Ul ILM, JILD#1, PAGE#20, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi)

Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri mai Riwayat karte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya tm mjh se jis cheez k Muta'aliq Sawaal Karoge, main tmhen us cheez k Muta'aliq bayaan karunga".

(Musnad Ahmed, JILD#3, PAGE#177, Raqam Ul Hadees 12843,Misar)

Is Aayat aur in Tafaaseer se ILM-E-GAIB ka saboot milta hai, k agar koi yeh Aqeedah rakhta tha, k NABI (ALEH SALAAM) ko ILM nahin hai, to NABI (ALEH SALAAM) k Chehrey Mubarak pe Naaraazgi k Aasaar aa jate the, aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ka Mimbar pe khare ho k Aelaan karna k Jo puchna hai, jisne Puchna hai, Puch le... AAP (ALEH SALAAM) jawaab denge, Jis Par phir yeh Aayat Naazil huwi...

Bad Aqeeedah Logon ko Chahiye k woh Apne Aqaid ILM-E-GAIB k Muta'aliq durust karlen, Q kHAQ aur Baatil un k Saamne hai, jis Raah pe chalna chahen chalay jaen.. Bas itna Zarur yaad rakhna.. HUZOOR (ALEH SALAAM) main ILM-E-GAIB na maanna Munaafiqon ka kaam tha..

Continue

Post 5

Post #5

Aayat#7:

Tarjuma: " Aur yeh NABI, GAIB batane main Bukheel nahin".(Surah Taqveer)

Yeh jab hi hosakta hai, Jab HUZOOR (ALEH SALAAM) ko ILM-E-GAIB ho, aur HUZOOR (ALEH SALAAM) logon ko is se Matle'a farma dete hon.

Mu'aalim U Tanzeel main isi Aayat k Ma tehet hai:

Tarjuma: "HUZOOR (ALEH SALAAM) GAIB aur Aasmani Khabron par aur in Khabron aur Qisson par Bukheel nahin hain. Muraad yeh hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) k Pass GAIB aata hai, pas woh is main tum par Bukhal nahin karte, Balkey tumhen Sikhate hain, aur Tum koKHABAR dete hain, Jese k Kaahin chupate hain, wese nahin Chupaate".

(Mu'aalim U Tanzeel, JILD#4, PAGE#422, Matboo'a Darul Kitaab Ul Ilmiya, Beroot)

Tafseer-E-Khazan main hai:

Tarjuma: "Muraad yeh hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) k pass ILM-E-GAIB aata hai, to tum par is main Bukhal nahin farmate, Balkay tum ko Sikhate hain".

( Lubaab U Taaweel , Al Tanzeel Ul Ma'aroof, Tafseer-E-Khazan, JILD#4, PAGE#357, Matboo'a Darul Ma'arfatah, Beroot)

Is Aayat o Ibaarat se Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) logon ko ILM-E-GAIB sikhate hain. Aur Sikhae ga wohi, jo khud jaanta hoga..

Aayat#8:

Tarjuma: " Aur inko apna ILM-E-LADNI Ata kiya, (Yaani HAZRAT KHIZAR ko)".

(Parah#15, Surah#18 Surah Kahf, Aayat#65)

Be Zaawi main hai:

Tarjuma: " HAZRAT KHIZAR (ALEH SALAAM) ko woh ILM sikhae jo, hamare saath Khaas hain, bager hamare batae koi nahin jaanta aur woh ILM-E-GAIB hai".

(Tafseer-E-Be Zaawi, JILD#3, PAGE#510, Matboo'a Darul fikar, Beroot)

Tafseer IBN-E-JAREER main ABDULLAH IBN-E-ABBAS se Riwayat hai:

Tarjuma: "HAZRAT KHIZAR (ALEH SALAAM) ne farmaya tha, HAZRAT MOOSA (ALEH SALAAM) se k tum mere saath Sabar na kar sako ge, Woh KHIZAR, ILM-E-GAIB jaante the, k Unhon ne Jaan liya".

(Jaame Ul Bayaan, Fi Tafseer Ul Qura'an, Al Ma'aroof, Tafseer Tibri, JILD#15, PAGE#323, Matboo'a Darul Haya, Beroot)

ROOH UL BAYAAN main hai:

Tarjuma: " HAZRAT KHIZAR ko jo Ladni ILM sikhaya gaya, woh ILM-E-GAIB hai aur is GAIB k Muta'alliq Khabar dena hai, KHUDA k Hukum se, jese us taraf IBN-E-ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) gae hain".

(Tafseer-e-ROOH Ul Bayaan, JILD#5, PAGE#321, Matboo'a Darul Haya, Beroot)

Tafseer-E-Madarik main hai:

Tarjuma: " Yaani HAZRAT KHIZAR ko GAIB ki khabren din, aur kaha gaya hai, k ILM-E-LADNI woh hota hai, jo banday ko ILHAAM k Tareeqay par haasil ho".

(Tafseer-E-Madaarik, JILD#2, Page#22, Matboo'a Maktab Ul Qura'an, Peshaawar)

Tafseer-E-KHAAZAN main isi Aayat k tehet hai:

Tarjuma: " Yaani HAZRAT KHIZAR ko ILM-E-BAATIN ILHAAM k Tareeqay par Ata farmaya".

Is Aayat O Tafseeri Ibaarton se Maaloom huwa k RAB TA'ALA ne HAZRAT KHIZAR ko bhi ILM-E-GAIB Ata farmaya tha, jis se Laazim Aya k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko bhi ILM-E-GAIB Ata huwa, Q k Aap Tamaam Makhlooqaat-E-ILAHI main sab se ziyaada Afzal aur AALIM (Yaani ILM waalay) hain, aur HAZRAT KHIZAR (ALEH SALAAM) bhi Makhlooq hain..

Continue

Post 4

Post #4
Aayat#4:

Tarjuma: " Tum Apne RAB k Fazal se Majnoon nahin". (PARAH#29, SURAH#68 (Surah Qalam), AAYAT#2)

Tafseer-E-ROOH UR BAYAAN main isi Aayat k Ma Tehet hai.

Tarjuma: " Yaani Aap se woh Baaten chuip huwi nahin hain, jo Azal main thin, aur jo Abad tak hongi, Q K jin k Maaenay (Meaning) hain chupna, Aap us ko jaantay hain jo ho chuka, aur KHABARDAAR hain us k jo hoga".

Is Aayat ki is Tafseer se Saaf Saaf ILM-E-GAIB k baaray main Maaloom hota hai..

Aayat#5:

Tarjuma: " Aur Ae MEHBOOB agar tum in se puchoge, to kahenge k hum to Yun hi Hansi Khel main the". (PARAH#10, SURAH#9 Surah Tawbah, AAYAT#65)

Tafseer Dar Mansoor O Tarbi main isi Aayat k Ma Tehet:

Tarjuma: " HAZRAT MUJAHID (Razi ALLAH Anho) se riwayat hai, is Aayat k Nuzool k Baaray main hai k Ek Munaafiq ne kaha k MUHAMMAD (Sallalaho Aleh Wassallam) Khabar dete hain, k Falaan ki Oontni (Camel) Falaan JANGAL main Hai, In ko GAIB ki kiya KHABAR". ( Al-Darar Al Masoorni Fi Tafseer, Al-Maasoor, SURAH TOBA, Aayat#65, Jild#3, PAGE#456, Matboo'a Darul Qutub Ul ILMIYA, Beroot)

Bad Aqeedah logon se Darkhuwast hai k Baar baar parhen, k Ek Munaafiq ne kaha tha k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko GAIB ki Kiya khabar.. Arey hosh karo, GUSTAAKHON tum b Munaafiqon k Aqaid pe chalte ho.. hosh karo.. ALLAH ka KHOF karo..

IMAAM MUJAAHID Bin Jabar Al Makhzoomi At'Taba'i, 104 HIJRI main.. (Yaani Aaj se taqreeban 1300 saal pehle) likhte hain:

TARJUMA: " IMAAM MUJAAHID (REHMATULLAH ALEH) is Aayat ki Tafseer main Farmatay hain, k Ek MUNAAFIQ ne kaha MUHAMMAD (ALEH SALAAM) humen yeh HADEES sunaate hain k FALAAN SHAKHS ki Oontni (Camel) FALAAN Waadi main FALAAN FALAAN din hai, Yeh GAIB ko Kiya Jaanen". (Tafseer MUJAAHID, Tehet, Surah TOBA, Aayat#66, JILD#1,PAGE#283, Matboo'a Al Mansooraat, Ul ILMIYA, BEROOT)

IMAAM ABU JAAFAR BIN JAREER TIBRI 311 Hijri main IMAAM MUJAAHID (REHMATULLAH ALEH) se Riwayat nakal karte hain:

" Inhon ne farmaya k Munaafiqeen main se ek SHAKHS ne kaha k MUHAMMAD (ALEH SALAAM) hum se bayaan karte hain k FALAAN ki Oontni Falaan Falaan Waadi main hai, Bhala woh GAIB ki Baaten kiya jaanen". (Jaamay Ul Bayaan, Fi TAfseer Ul Qura'an, Al Maaroof Tafseer Tibri, Surah TOBA, Aayat#65, Jild#10, PAGE#196, Matboo'a Daarul Haya, Beroot)

Is Aayat aur Tafseer se Saaf Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) k GAIB se Inkaar karna MUNAAFIQEEN ka Kaam tha, Jis ko QURA'AN ne Kufar qarar diya..

Aayat#6:

Tarjuma: " Tu Apne GAIB par kisi ko Musallat nahin karta siwae apne Pasandeedah Rasoolon k ".

Tafseer Azeezi main Isi Aayat k Ma Tehet, Page 173 pe hai:

Tarjuma: " Jo cheez Tamaam MAKHLOOQAAT se Gayab ho, Woh Gaib Matlaq hai, jeseQayaamat k Aane ka Waqt, aur Rozaana aur har cheez ki Pedaaishi aur Shar'ai Ehkaamaur Jese Parwardigaar ki Zaat-O-Siffaat Bar Tareeq tafseel, is Qisam ko RAB TA'ALA ka Khaas GAIB kehte hain. Pas Apne Khaas GAIB par woh kisi ko Matle'a nahin karta, Is k Siwa Jis ko pasand farma de, aur Woh RASOOL hote hain, chahey Farishtey ki Jins se hon ya INSAAN ki jins se, Jese HAZRAT MUHAMMAD (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Apne Ba'az GAIB Zaahir farmata hai".

Tafseer-E-Khaazan main isi Aayat k ma Tehet hai:

Tarjuma: " Siwae is k Jis ko apni Nabuwat aur Risaalat k liye Chun liya, pas Zaahir farmata hai, jis par Chahta hai GAIB, Taa k inki Nabuwat par Daleel pakri Jaaway, in GAIB cheezon se jis ki woh Khabar dete hain, Pas yeh in ka Mojaza hota hai. ( Labaab ul Taaweel, Fi Maani U Tanzeel Ul Maaroof, Tafseer-E-Khazan, JILD#4, Page#319, Matboo'a Darul Ma'arfatah Beroot)

ROOH Ul BAYAAN se yahi Aayat:

Tarjuma: " Ibn-E-SHIEKH ne farmaya k RAB TA'ALA is GAIB par jo is se khaas hai, kisi koMatle'a nahin farmata siwae burgazeedah RASOOL k aur jo GAIB k RAB se KHAAS nahin,us par Ger RASOOL ko bhi Matle'a farma deta hai". (Tafseer ROOH Ul BAYAAN, JILD#10, Page#236, Matboo'a Darul Haya, Beroot)

Is Aayat aur In Tafaseer se Maaloom huwa k KHUDA TA'ALA apne Pasandeedah RASOOLON ko ILM-E-GAIB Ata karta hai.. Aur Sab se Ziyadah MEHBOOB ALLAH k Nazdeeq, HAZRAT MUHAMMAD (Sallalaho Alehe Wassallam) hain.. to jo Bad Aqeedah log, HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Shaan kam karne ki koshish karte hain.. unko ALLAH TA'ALA k Azaab se darna chahiye..

Continue

Post 3

Post #3

Aayat#2:

Tarjuma: "Aur ALLAH ki yeh Shaan nahin hai k Ae Aam logon tum ko GAIB ka ILM de, haanALLAH chun leta hai apne Rasoolon main se jis ko chahe". (PARAH#4,Surah # Al-Imran, Aayat#179)

Tafseer E Be Zaawi main isi Aayat k Ma Tehet hai.

Tarjuma: " Khuda Ta'ala tum main se har kisi ko ILM-E-GAIB nahin dene ka Matla'a kare, isKUFAR O EEMAAN par jo dilon main hota hai, Lekin ALLAH ne Pegambari k liye jis ko Chun leta hai, Pas Us ki taraf Wahi farmata hai, aur Ba'az Gaiyoob (gaib Ki jama) ki Un ko Khabar deta hai, Ya un k liye Aese Dalael farmata hai, jo GAIB par Rehbari karen" (Anwaar Ul Tanzeel, Jild#1, PAGE#308, Matbooa Mustafal Baabi, Misar)

Tafseer E Khazan main hai.

Tarjuma: " Lekin ALLAH chun leta hai, Apne RASOOLON main jise ko chahta hai, Pas UnkoKhabardaar karta hai, Baaz ILM-E-GAIB par." (Al Baab Taweel fi Ma'ani Ul Tanzeel Ul Ma'aroof, Tafseer E Khazan, Jild#1, PAGE#308, Matbooa Daar Ul Ma'arfah, Beroot)

Tafseer E Kabeer main isi Aayat k Ma Tehet hai.

Tarjuma: " Lekin In Baaton ka Batareek, GAIB par Matla'a hone, k Jaan lena, Yeh AMBIYA KARAAM Ki KHOOSOSIYAT hai". (Tafseer Ul Kabeer, JILD#9, PAGE#111, Matbooa Daar ul Fikar, Beroot)

Tafseer E Jalalen main hai.

Tarjuma: " Maaenay (meaning) yeh hain k ALLAH apne Rasoolon main jis ko Chahta hai,Chun leta hai, pas In ko GAIB par Matla'a Kar deta hai".... " KHUDA TA'ALA tum ko GAIB par Matla'a nahin karneka, Taa k Faraq karne se pehle Munaafiqon ko Jaan lo. Lekin ALLAH jis ko chahta hai, Chaant leta hai, to us ko Apne GAIB par Matla'a farmata hai, jese NABI (ALEH SALAAM) ko Munaafiqeen k haal Par Matla'a farmaya". (Tafseer-E-Jalaalen, Page 92, Matbooa Daar Ul Hadees Al Qaira)

Is Tafseer se simply maaloom hota hai, k ALLAH TA'ALA ne NABI (ALEH SALAAM) ko Apne Ba'az GAIB k ILM par Matla'a farmaya..

ROOH Ul BAYAAN main hai.

Tarjuma: " Q k Haqeeqaton aur Haalaat k GAIB Zaahir nahin hote Bager RASOOL (ALEH SALAAM) k Waastay se". (Tafseer E ROOH Ur Bayaan, JILD#2, PAGE#162, Matbooa Daar Ul Ahya At Turaas Ul A'arabi, Beroot)

Aayat#3:

(Surah # Al-Nisaa,Aayat no # 113)

Tarjuma: " Aur tum ko Sikha diya jo kuch tum na jaante the, aur ALLAH ka tum par bara fazal hai".

Tafseer-E-Jalaleen, Page 97, main hai.

Tarjuma: "Yaani Aahkaam sikhae, aur ILM-E-GAIB sikhaya"

IMAAM Hussain Bin Mas'ood Bagwi 516 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " (Aur ALLAH ne aap ko woh sab Ilm Ata kar diye jo, aap nahin jaante the) YaaniEhkaam main sab, aur ILM-E-GAIB main se. (Tafseer Mo'allam Ul Tanzeel, Jild#1, Page#479, Matboo'a Darul Ma'arfa'a, Beroot)

Ab yeh jo baat likhi gai hai, yeh Tafseer aaj se Taqreeban 900 saal pelhle likhi gai, agar yeh baat galat hoti, to Kiya in likhne waale sahab ko roka na jaata???

Tafseer-E-Madarik main hai.

Tarjuma: " Deen aur Shariyat k Umoor Sikhae, aur chupi huwi baaten, Dilon k Raaz batae".(Tafseer-E-Madarik, Jil#1, Page#282, Matboo'a Maktab Ul Qura'an, Peshawar)

Jaame Al Bayaan main hai.

Tarjuma: " Yaani Aap ko woh sab baaten bata din, jo Aap Qura'an k Nuzool se pehle na jaante the". (Tafseer-E-Tibri, Jild#5, Page#270, Matboo'a Dar Ul Fikar, Beroot)

Is Aayat aur in Tafaseer se maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko tamaam Aaenda aur Guzishta Waakiyaat ki Khabar di gai, Yaani ILM-E-GAIB..

Continue

Post 2

Post #2

ILM-E-GHAIB ka inkaar KUFAR hai

Q : ILM-E-GHAIB kya hai ?

A : ILM-E-GHAIB, future may honay walay WAAQIYAAT hain.

Q : Kya hum ALLAH-TALA ko GHAIB keh saktay hain ?

A : HAAN, kyun k ALLAH-TALA ki zaat MAKHFEE hai, is liyay.

Q : Hum ko ALLAH-TALA ki zaat k baray mai kaisay pata chala ?

A : hum ko ALLAH-TALA kay baray mai pyaray nabi ( (sal-lal-lahu alai hi wa sallam)) nay bataya.

Q : is ka matlab yay howa kay agar pyaray nabi ( (sal-lal-lahu alai hi wa sallam)) ki zaat nahi hoti,
to hum ko ALLAH-TALA ki zaat k baray may pata nahi chalta ?

A : jee haan offcourse, ap nay sahi farmaya.

To sabit yay howa k ALLAH-TALA ki zaat GHAIB hai.

hum ko ALLAH-TALA k baray mai pyaray nabi ( (sal-lal-lahu alai hi wa sallam)) say pata chala.

jis nay pyaray nabi ( (sal-lal-lahu alai hi wa sallam)) kay ILM-E-GHAIB ka inkaar kiya...goya.

us nay ALLAH-TALA ki zaat ko man-nay say INKAAR kiya.

aur jo ALLAH-TALA ko man-nay say INKAAR karay.

wo KAAFIR nahi to aur kiya hai ?

ZAATI aur ATAAI Ilm e Ghaib

ZAATI :- ALLAH taala ka Ilm Zaati hai,Yaani Khud ka Ilm,use kisi ne diya nahi,woh apni Qudrat se har chiz karta hai,use Har pal o zarre ki khabar pehle se hi maalum hai,ALLAH k liye ghaib kuch nahi yaani ALLAH k liye koi chiz chupi hui nahi hai.

ATAAI :- Humare Sarkar Sallallahualaihiwasallam ka ilm Ataai hai,Yaani k ALLAH se ilm e ghaib ataa hua hai,Humare Sarkar Sallallahualaihiwasallam ka jo ilm e ghaib hai woh ALLAH ki ataa se hai,khud se kuch nahi aur ALLAH ne kitna Ilm e ghaib ataa kiya yeh baat toh lauh e mehfooz ko b khabar nahi,aap Sallallahualaihiwasallam ko ALLAH ne Bepanha ilm ataa kiya hai.

ILM-E-GAIB k Saboot QURA'AN ki roshni main.

Aayat#1:

Tarjuma: " Aur Ae MEHBOOB tum ko in sab par Nigehbaan bana kar hum la denge ".(PARAH#5,Surah#4(Nisaa),Aayat#41)

Tafseer Nesha Poori main isi Aayat k Ma Tehet hai.

" Is liye Huzoor (Aleh Salaam) ki Rooh Mubarak tamaam Roohon aur Dilon aur Nafson ko dekhne waali hai, Q k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya k ALLAH ne jo pehle peda farmaya woh mera NOOR hai".

Tafseer ROOH UL BAYAAN main Isi Aayat k Ma Tehet hai.

" HUZOOR (ALEH SALAAM) par Aap ki ummat k Aamaal Subah-O-Shaaam pesh kiye jaate hain, Lihaaza Aap UMMAT ko Un ki Alaamaat se Jaante hain, aur In k Aaamaal ko Bhi, Is liye Aap in par GAWAHI denge".

Tafseer Madarak main Isi Aayat K Ma Tehet hai.

" HUZOOR (ALEH SALAAM) Gawah hain, Mominon par Un k Eemaan k Kaafiron par un k Kufar kAur Munaafiqon par un k Naffaaq k".

Is Aayat aur In Tafaaseer se Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) Az Awwal ta Qayaamat tum logon k Kufr-o-Eemaan-o-Naffaaq-o-Aamaal wagera sab ko Jaante hain, is liye Aap sab ki Gawahi denge, Yeh hi to ILM-E-GAIB hai..

Continue

post 1

Post #1

ROMAN ILM E GHAIB BOOK

Assalamwalekum wa rehmatullahi wa barakatahu

Is Kitaab ko Likhne ka maqsad hai ki humare Sunni Bhaiyon k saamne ILM e Ghaib jaankari baatna,in sha ALLAH is kitab me har woh chiz maujud hai jo Humare Sarkar Sallallahualaihiwasallam ka Ilm e ghaib saabit karta hai aur yaha tak ki Wahbi,Deoband,Ahle Hadees aur digar firqe jo Ilm e ghaib ka inkaar karte hai aur jo ALLAH ki ataai pe ungli uthate hai.Unka ka b parda fash kiya gaya hai aur saath hi un k sawalaat o jawabaat b diye gaye hai.

ALLAH se dua hai ki Humne is kitaab me jo likha hai use ALLAH apni bargah me qabul kare aur humare Tamam Sunni Sahi ul Aqeeda mazboot kare..

Aameen...Sum Aameen....

Index

1) GHAIB k Maine.

2) Ahle Sunnat wal jama’at ka Aqeeda ILM e Gaib par..

3) ZAATI aur ATAAI Ilm e Ghaib

4) ILM-E-GAIB k Saboot QURA'AN ki roshni main.

5) ILM-E-GAIB k Saboot Ahadees ki roshni main

6) Ilm e ghaib woh aayat jo ALLAH ka Zaati aur Khaas Ilm e Ghaib saabit karti hai lekin Gustakh use NABI Sallallahualaihiwasallam ki ilm e ghaib ki nafi ki dalil lete hai...

7) Ilm e ghaib ki woh Hadees jise Gustakh ILM e Ghaib ki Nafi k liye Dalil lete hai aur unke jawabaat...

8) Imamo’n ke Qawl Ilm e Ghaib par

9) Ilm e Ghaib ke khilaf ibarat fukah ke bayan me

10) Ilm e Ghaib per Akli aitrazaat ke Bayaan me

GHAIB k Maine

Gaib woh chupi hui chiz hai jis ko INSAAN na to Aankh, Kaan, Naak wagera, ya kisi Hawaas se Mehsoos kar sake, aur na Bila Daleel Aqal main Aasake.

For E.g:

Khanon ki lazzaten (TASTE), aur in ki Khushbu wagera hamare liye GAIB nahin, q k Yeh Aankh se Chupay hone k Baawajood, dusre Hawaas (Naak, zabaan) se Mehsoos ki ja sakti hain,

Ab Gaib kya hoga...

Jinnat, Malaika (Farishtey), aur Jannat aur Dozakh Wagera hamare liye is waqt GAIB hain..

Q k Yeh na Hawaas se maalooom hosakte hain, aur na hi Bila Daleel E Aqal se,..

Ab GAIB hote hain, 2 tarah k..

1) Woh GAIB, jis par koi Daleel Qaim hosake, Yaani Dalael se maaloom hosake..

For E.g: Jese Jannat, Dosakh aur ALLAH TA'ALA ki Zaat o SIFFAAT... k In Baaton ka Andaza, Is DUNIYA ki Cheezen dekh k aur QURA'ANI AAYAAT dekh kar pata chalta hai..

2) Dusra GAIB woh jis ko Kisi DALEEL se Bhi Maaloom na kiya ja sake,

FOR E.g:

QAYAMAT ka ILM, K Kab hogi??, INSAAN kab Marega??, Aur Aurat k Pait main Larka hai ya Larki, Bad Bakht (Buri) Aulaad hai, Ya NAIK BAKHT (NAIK) AULAAD, yeh woh Baaten hain, jin ko Daleel se bhi maaloom nahin kiya ja sakta...

Isi Dusrey GAIB (TYPE) ko Mafateh-AL-GAIB, kaha jata hai..

Ek Aayat hai Qura'an ki (Parah#29, Surah#72, Aayat#26,27).. Uski Tafseer Bezaawi main is hi Aayat k Tehet, Gaib ki Kuch yun Taareef ki gai hai:

"GAIB se Muraad woh chupi huwi CHEEZ hai, jis ko Hawaas na Pa saken aur na Badahatan usko Aqal chahe"

Tafseer Kabeer Suarh Baqar k Shoru main Isi Aayat k Ma Tehet hai:

" Aam Mufassareen ka Qol hai, k GAIB woh hai, jo Hawaas se Chupa ho, Phir GAIB ki 2 Qismen hoti hai, Ek to woh jis par Daleel ho, dusri woh jis par koi Daleel nahin"

Tafsser ROOH ur Bayaan main Shoru SURAH E BAQAR k Ma Tehet hai:

" GAIB woh hai, jo HAWAAS aur AQAL se poora poora chupa ho, is tarah k kisi Zariye se bhiIBTADA'AN, KHULLAM KHULLA maaloom na hosake, GAIB ki 2 QISMEN (TYPES) hain, Ek woh jis par koi Daleel na ho, woh hi is Aayat se Muraaad hai, k ALLAH TA'ALA k Paass GAIB ki Kunjiyaan (CHABIYAAN) hain, dusri Qisam woh jis par Daleel Qaim ho, Jese ALLAH TA'ALAaur Uski Siffaat, woh hi is Jagah Muraad hai"

(YEH TAMAAM TAFASEER IS LIYE LIKHI HAIN TAA K AAP KO YEH NA LAGE K MAIN GAIB KI TAAREEF APNI MARZI SE BATA RAHA HUN, Yeh Taareef Muffassareen se Sabit haii,..JazakALLAH)

Ahle Sunnat wal jama’at ka Aqeeda ILM e Gaib par..

Ap Salallaho Alaihi Wasalam ka Ilm e Gaib Atai ha aur Jis Waqt Quran ki Akhri Ayat Nazil Hui Ap SalAllaho Alaihi Wasalam ka Ilam Mukamal hogaya. Yani AP SALALLAHO ALAIHI WASALAM KO PEHLE ILAM ATA KIA GAYA PHIR AHISTA AHISTA QUL ILAM ATA KERDIGA AYA...

HAWALA MUQALAAT E KAZMI PAGE 111 JILD 2 PE AND 156 HAQ PER KON HAI.

GAIB ki Taareef aur is ki IQSAAM (TYPES):

Gaib k meaning hy..Aisi chizen jo Aam Adami Na dekh Sake..Aur...Gaib ki khabar dene waaale ko Nabi kehte hai.

Nabi to kehte hi use hai Jo Gayb Ki khabar deta ho...

Aur hmaare Aaqa sal-lal-lahu alai hi wa sallam to Nabi k saath saath RASOOL BHI HAIN..

kya kisi ne kabi ALLAH (Subhana wa taaala) KO DEKHA HAI..?

KABHI JIBRAEL Alaihis Salaam KO DEKHA HAI..

KABHI KISI FARISHTE KO DEKHA HAI..

Beshak nai... to in GAIB Ki cheezon par Imaan kaise laaya ..

Nabi ne hi to bataaya ...aur Agar koi kahe...Nabi ko Gayb ka Ilm nai tha tab to Uska Imaan hi khaariz hogya..

Quraan may aata hai...."Wa maa yantikhu anil hawaa". "Aur woh apni marzi say kuch nahi kehtay (Muhammad Sallallahu alai wa salam)

"Khudaa ki Razaa pay razii Muhammad
Razaa e Muhammad pay Razii Khudaa"

Shaykh al-Islam, Hafiz Ibn Hajar al-'Asqalani, writes:
"One of the qualities bestowed upon a Prophet is the quality that he knows what has already happened in the past and what will happen in the future"..Urdu translation..."Nabi ki ek Khubi yeh hai k ..Wo Jante hy jo ho chuka hy past (mazi)me, aur kiya hoga future (mustaqbil) me.."
[Fath al-Bari, chapter on 'The Anbiya']

Continue