async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: ilm e gaib e Mustafaﷺ hissa 2
Showing posts with label ilm e gaib e Mustafaﷺ hissa 2. Show all posts
Showing posts with label ilm e gaib e Mustafaﷺ hissa 2. Show all posts

Monday, November 2, 2015

Post 22

Post #22
HADEES # 28:

BESHAK IMAAM HASAN AUR IMAAM HUSSAIN (Razi ALLAH Anhu) JANNATI NOJAWAANON K SARDAAR HAIN:

Imaam Abu Eesaa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abu Saeed Khadri (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain, RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, Hasan aur Hussain (Razi ALLAH Anhu) Jannat k Nojawaanon k Sardaar hain"..

(Sunan Tarmizi, Hadees Hasan Sahi, Jild#5, Page#656, Raqam Ul Hadees 3768, Matboo'a Daar Ul Ahya at Turaas Al Arabi, Beroot)

Allama Abu Abdullah Muhammad Bin Ahmed Maliki 668 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat Hussain (Razi ALLAH Anhu) aur Baray BhaiHazrat Hasan (Razi ALLAH Anhu) k Muta'alliq farmaya:

" Beshak Imaam Hasan aur Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) Jannati Nojawaanon k sardar hain"..

(Musnad Ahmed, Jild#3, page#623)

(Ibn-E-Maaja, Raqam Ul Hadees 118)

Yeh Batana k, Hazrat Imaaam Hasan Aur Hazrat Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) Jannati aur Jannati Nojawaanon k Sardaar hain, yeh Gaib hai ya nahin??

Faisla Aap k Haath main hai..

Hadees # 29:

SAB SE PEHLE MUJH SE WOH MILEGI JO TUM SAB MAIN DARAAZ-E-DAST HAI:

Tarjuma: " Muslim (RehmatULLAH) ne Hazrat Aayesha Siddique'ah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, tum Azwaaj main se woh Zoja mujhey sab se pehle milegi, , jo tum sab main Daraz-E-Dast hai, to hum naapnti thin, k kis ka Haath Taweel hain, to woh Hazrat Zainab (Razi ALLAH Anhu) thin, un k Haath taweel the, q k woh apney haath se Amal kartin, aur Sadqa kiya karti thin"..

(Khasais ul Kubra, Jild#2, PAge#219, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah Beroot)

Imaam Muhammad Bin Habbaan Bin Ahmed Abu Haatim 354 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Woh (Zainab (Razi ALLAH Anhu)) RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ki Wafaat hone waali sab se pehli Biwi thin"..

(As Suqaat, Jild#3, PAge#144,Bar Raqam 485, Matboo'a Daar Us Saadir Beroot)

Imaam Ibn-e-Abdul Bar (RehmatULLAH ALEH) likhte hain:

Tarjuma: " Woh (Zainab (Razi ALLAH Anhu)) sab se pehle milne waali biwi thin"..

(Al Isti'aab, Jild#4, PAge#1850, Bar Raqam 3355, MAtboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Bhi Yahi Riwaayat karte hai:

(Ba Hawaala: Al Jaamay Us Sageer, Fi Ahaadees Ul Basheer Un Nazeer, Jild#1, Page#168, Raqam Ul Hades 2832, Matboo'a Daaar Ul Kutub Ul Ilmyah Beroot)

Allama Abu Al Qaasim Abdur Rehmaan Bin Abdullah 571 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Hadees Shareef main hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne apni Azwaaj E Mutah'hiraat se kaha, tum main sab se pehle mujhey woh milegi, jis k Haath lambay honge, Azwaaj E Mutah'hiraat (Razi ALLAH Anhu) ek jagah jama ho kar apne haathon ki Pemaish karne lageen, Hazrat Soodah (Razi ALLAH Anhu) k Haath Taweel the, Magar in main Sab se pehle, Hazrat Zainab (Razi ALLAH Anhu) ka Wisaal huwa, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Haath ki Tawaalat se Sadqah aur Neki main Ziyad'dati ki muraad li thi, aur yeh khoobi Hazrat Zainab Bint-E-Hajash (Razi ALLAH Anhu) main Paai jaati thi"..

(Roz Ul Atfaal Man Sharah Shura, Jild#2, Page#364, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Muhaddis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abdur Rehman Abzi (RehmatULLAH) kehte hain k main ne Madina Munawwarah main Hazrat Ibn-E-Umar (RAzi ALLAH Anhu) k peeche, Zainab (Razi ALLAH Anhu) Zoj-E-NABI (ALEH SALAAM) ki Namaz-E-Janaza Parhi, AAP (Sallalaho Alehe Wassllam) k Pardah farmane k baad, Hazrat Zainab (Razi ALLAH Anhu) pehli Azwaj E Mutah'hira thin, Jinhon ne wafaat paai, Aur Hazrat Ibn-E-Umar (Razi ALLAH Anhu) ne in ki Namaz main 4 Takbeeren Kahin"..

(Halya Tul Oliya, Tabkaat Ul Asfaya, jild#8, PAge#211, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Arabi, Beroot)

Imaam Abu Bakar Ahmed Hussain Behki 258 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Woh Zainab Bint-E-Hajazh (Razi ALLAH Anhu), RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ki Wafaat hone Waali sab se pehli Biwi thin"..

(Dalael Un Nabuwwah, Jild#7, Page#285, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Abi Al Abbas Ahmed Bin Al Khateeb 810 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Woh (Zainab Bint-E-Hajash (RAzi ALLAH Anhu) sab se pehli milne waali Biwi thin"..

(Waseela E Islaam, Matboo'a Daar Ul Garb Ul Ul Islaami, Beroot)

Faisla Aap karen.. k jis NABI (ALEH SALAAM) ne yeh bata diya, k Unki Azwaaj main Sab se pehle un ko Woh Zoja milengi jin k Haath Taweel honge (Yaani Zainab Bint-E-Hajash (Razi ALLAH ANhu)) unhen Gaib ka Ilm hai ya nahin

Continue

Post 21

Post #21
HADEES # 27:

Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) aur ILM-E-GAIB MUSTAFA (Sallalaho Alehe Wassallam):

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Ibn-E-Asakar (RehmatULLAH Aleh) ne Muhammad Bin Umro Bin Hasan (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha Hum Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) k saath karbala ki neher par the, Aap ne Shamar Bin Zil Joshan ko dekh kar farmaya, ALLAH TA'ALA aur us k RASOOL (ALEH SALAAM) ne such farmaya, Goya main Chitkabray kuttay ko dekh raha hun, jo meri Ahl-E-Bait ka khoon pee raha hai, Q k Shamar Mal'oon Bars k marz main mubtala tha"..

(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, Page#213, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH Aleh) ne Shobi (RehmatULLAH Aleh) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha Hazrat Ibn-E-Umar (Razi ALLAH Anhu) Madina Munawwara Aae, Unhen Maaloom huwa k Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) Iraq ki taraf Rawaana ho chukay hain, to woh madinay se do din ki musaafat par jaa kar un se mile aur un se kaha ALLAH TA'ALA ne apne NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ko duniya O Akhirat k darmiyaan ekhtiyaar karne ko farmaya to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Aakhirat ko ekhtiyaar kiya aur dunya ko rad kiya, q k AAP, RASOOL (ALEH SALAAM) k juzo hain, Khuda ki Qasam AAP main se kisi ko Duniya kabhi nahin haasil hogi, aur ALLAH TA'ALA ne AAP Hazraat se is duniya ko is cheez k saath Pher diya hai, aur jo AAP Hazraat k liye is se behtar hai, lihaaza AAP waapis chaliye, Magar Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) ne waapisi se inkaar kar diya, to Ibn-E-Umar (Razi ALLAH Anhu) ne aap se yeh kehte huwe Mu'aanikah kiya k AAP ko AALAH TA'ALA k Supard karta hun, Q k AAP Shaheed hain"..

(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, Page#213, Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)

Hafiz Abu Bakar Bin Hussain Behki 458 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai unhon ne kaha k Main neRASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ko ek din dopeher k waqt khuwaab ki haalat main dekha k AAP k Baal Mubaarak Gard Aalood hain, aur AAP k dast E Mubarak main khoon ki botal hai, mene Pucha yeh kiya hai??

AAP ne farmaya Yeh HUSSAIN (razi ALLAH Anhu) aur in k Saathiyon ka khoon hai.. Aaj main Shoru din se is khoon ko is waqt tak jama karta raha hun, to mene apne khuwaab k waqt ko yaad rakha to yehi waqt tha, jis din woh shaheed kiye gae"..

(Dalael Un Nabuwwah, Jild#7, Page#48, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah, Beroot)

Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Ammar Bin Abi Ammar (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain k Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne kaha, mene khuwaab main dekha k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) k baal bikhre huwe, aur Gubaar Aalood hain, aur AAP dopeher k waqt ek Sheeshi uthae hain, jis main khoon bhara huwa hai, mene arz kiya, Ya RASOOL ALLAH! Yeh kiya Cheez hai??

AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, yeh Hussain (Razi ALLAH Anhu) aur in k Ashaab (Razi ALLAH Anhu) ka khoon hai, main aaj din se le kar ab tak yeh khoon jama kara raha hun, Hazrat Ammaar Ibn-E-abi Ammaar (Razi ALLAH Anhu) farmaatey hain k hum ne woh din yaad rakha, phir maaloom huwa, k Hazrat Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) ko usi din Shaheed kiya gaya tha"..

(Musnad Ahmed, Jild#1, PAge#242, Raqam Ul Hadees, MAtboo'a Mosasta, Qurtuba, Misar)

Imaam Hafiz Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Umm-E-Salma (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k unhon ne kaha k meneRASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ko khuwaab main dekha k AAP k Sar-E-Mubaarak aur AAP ki Daarhi Shareef Gard Aalood hai, yeh haal dekh kar mene Arz kiya, Ya RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Aap ka kiya haal hai??

AAP ne farmaya, Abhi Abhi Maqtal-E-Hussain se Aaraha hun"..

(Dalael Un Nabuwwah, Jild#7, Page#48, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah, Beroot)

Fasila Aap k haath main.. Haq ki pehchaan khud karen..

Continue

Post 20

Post #20

Imaam Abdul MAalik Bin Hashaam 213 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya kiya main tumhen tamaam logon main se do Bad Bakht Aadmiyon k mutaa'alik na bataon??

Hum ne Arz ki zarur Ya RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM), HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya ek Qom E Sammod ka woh shakhs jis ne Ooontni ki koonchen kaat din thin, aur dusra woh shakhs, jo Ae ALI! tere is maqaam par Zarb lagae ga ( HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Apna Dast E Aqdas HAZART ALI (Razi ALLAH Anhu) k Sir ki choti par rakha), yahaan tak k is maqaam k khoon se yeh jagah bhi tar hojae gi"...

(As Seearah Un Nabuwwah Al Maaroof Seerat Ibn E Hasshaam Gazwah E Asheerah, Jild#3, Page#144, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Imaam Ali Bin Mehmood Bin Saood Al Khazai 789 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Yeh Mojizaat E NABI (ALEH SALAAM) main se hain, aur yeh Akhbaar Ul GAIB k baab main se hai"..

(Takhreej Ur Dalaalaat Us Samee'a Ul Fasal Fi Zakar O Akhbaar, Page#188, Matboo'a Daar Ul Garab Ul Islaami, Beroot)

Faisla aap khud karen.. k HAZRAT ALI (Razi ALLAH Anhu) ko batana k un ki Shahaadat kis tarah hogi yeh Ilm-E-GAIB hai ya nahin..

HADEES # 26:

ZAMEEN PAR CHALTA PHIRTA SHAHEED DEKHO:

Imaam Abu Ul Hasan Ali Bin Habeeb Ul Mawardi 429 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Jaabir (Razi ALLAH ANhu) se Riwaayat hai k NABI-E-KAREEM (Sallalaho Alehe) ne farmaya, jo iraadah rakhta ho k main Zameen par chalta phirta Shaheed dekhun to use chahiye k Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekhey"..

(Aalaam Un Nabuwwah, Al Baab Us Saani, Ashar Fi Anzaarah Bama Sehdas baada, Page#181, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Arbi, Beroot)

Imaam Ibn-E-Abdul Bar (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:

Tarjuma: " Beshak HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya jo chahay k zameen par chalta phirta Shaheed dekhun to use chahiye k Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekhay, PhirTalha (Razi ALLAH Anhu) Yom E Jaml main Shaheed huwe"..

(Dalael Un Nabuuwah Al Behki, Jild#3, Page#32, Matboo'a Dar Ul kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)

Imaam Abu Abdullah Muhammad Bin Abdul Waahid Hambli Ul Muqaddasi 643 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Moosa Bin Talha (Razi ALLAH Anhu) ne apne waalid se Riwaayat ki k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne farmaya, Jo Mehboob rakhta hai k Zameen par Chalta phirta Shaheed dekhe, to ue Chahiye k Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekhey, is Hadees E Mubaraka ki Sanad Hasan hai"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#211, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)

Imaam Ibn-E-Maaja (RehmatULLAH Aleh) Riwayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Jaabir Bin Abdullah (Razi ALLAH Anhu) Riwaayat karte hain k Hazrat Talha (Razi ALLAH Anhu) ek martaba NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) k pass se guzrey toAAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Shaheed Zameen par chal raha hai"..

(Sunan Abi Maaja, Fazal Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu), Jild#1, Page#46, Raqam Ul Hadees 125, Matboo'a Daar Ul Fiqar Beroot)

Imaam Abdul Maalik Bin Hasshaam 213 Hiri main Likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abdul Aziz (RehmatULLAH Aleh) ne Zikar kiya k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne farmaya jo Shakhs kisi Shaheed ko Zameen par Chalta Phirta dekhna chahay woh Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekh le"..

(As Seerat Un Nabuwwah Al Maaroof, Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#4, Page#29, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Imaam Abu Eesaa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain:

Jaabir Bin Abdullah (Razi ALLAH Anhu) farmatay hain k mene HUZOOR (ALEH SALAAM) ko farmate huwe suna,

Tarjuma: " Jo Shakhs Shaheed ko zameen par chalte phirte dekhne se khush ho woh Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekh le"..

(Sunan Tirmizi, Jild#5, Page#644, Raqam Ul Hadees 3739, Matboo'a Daar Ul Haya, Beroot)

Ab yeh batana k Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) Shaheed honge, yeh Gaib ka Ilm hai ya nahin??

Continue

Post 19

Post #19

HADEES#24:

* TUMHARAY PASS AHL-E-JANNAT KA EK SHAKHS AARAHA HAI:

Muhammad Bin Abdullah Abu Abdullah Al Haakim NeshaPuri 405 Hijri main HAZRAT ABDULAH BIN MAS'OOD (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hum NABI-E-KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Bargah main Haazir the, to RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya tumharay pass Ahl-E-Jannat ka ek Shakhs aaraha hai, to HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE (Razi ALLAH Anhu) aae, aur Salaam kar k Beth gae"..

(Al Mustadrik Kitaab Ma'arfah l Sahabah, Jild#3, Page#73, RaqamUl Hadees 4443, MAtboo'a Daar Ul Qutub ilmiyah Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Seyooti 911 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Haakim (RematULLAH Aleh) ne SAHI bata kar HAZRAT IBN-E-MAS'OOD (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat ki, Unhon ne kaaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho ALehe Wassallam) ne farmaya tumharay pass Ahl-E-Jannat ka ek Shakhs aarha hai, to HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE (Razi ALLAH Anhu) aae, aur Salaam kar k Beth gae"..

(Khasa-E-s Ul Kubra, Jild#2, page#180, MAtboo'a DarUl Qutub Ilmiyah Beroot)

Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Ali Khateeb Baghdaadi 463 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Jaabir Bin AbdULLAH (RAZI ALLAH ANHU) bayaan karte hain k Hum NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ki Bargaah main Haazir the k, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Irshaad farmaya, Is Waqt tum par woh Shakhs Chmakay ga k, ALLAH ne mere Baad us se Behtar O Buzrug tar kisi ko nahin banaya, aur us ki Shafa'at Ambiya ki Shafa'at ki misal hogi, Pas Hum Haazir hi the k HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE (RAZI ALLAH ANHU) Aae, to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Qayaam farmaya Phir in ko Boosa diya uar Galay lagaya"..

(Taareekh-E-Baghdaad, Jild#3, Page#123-124, Matboo'a Dar ul Fiqar Beroot)

Imaam Muhib Ud Deen Tinri (RehmatULLAH ALEH) farmatay hain:

Tarjuma: " HAZRAT JAABIR BIN ABDULLAH (RAZI ALLAH ANHU) Bayaan kart hain k HumNABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ki Bargaah main Haazir the, k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne irshaad farmaya, is Waqt tum par woh Shkahs Chamkay ga, k ALLAH ne mere Baad us se Behter O Buzrug Tar Kisi ko Nahin banaya aur us ki Shafa'at Ambiya ki Shaffa'at ki Misal hogi, Pas Hum Haazir hi the, k HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE (RAZI ALLAH ANHU) aae, to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Qayaam farmaya phir un ko Boosa diya aur Galay lage"..

(Ar Riyaaz Ul Nazrah Ul Ashrah, Jild#2, Page#28, RaqamUlHadees 435, Matboo'a Daar Ul Guroob Ul Islaami, Beroot)

Kisi ko Ahl-E-Jannat kehna kiya hai?? Haqeeqat aap k Saamnay hai... HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE ko Ahl-E-Jannat keh kar pukaara, yaani HUZOOR (ALEH SALAAM) jaantay they k woh Jannati hain, aur Jannat aur Dozakh k Baaray main Jaanna Yaani kon Jannati hai aur kon Dozakhi yeh ILM-E-GAIB hai ya nahin, is ka Faisla Aap hi kar len.

HADEES # 25:

SAB SE BAD BAKHT INSAAN KON HAI??:

Imaam E Kabeer Muhaddis Shaheer Haafiz Hadees Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri main is Riwaayat k Baad likhte hain:

Hazrat Ammaar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu) se Riwaaayat hai, kehte hain, Main aur Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) Gazwah E Asheerah main hum Ruqaab the, ek jagah hum ne parao kiya, wahaan hum ne chand choti se Khajooron ko dekha, aur un k neechay maati ki dhool par hi sogae, humen NABI (ALEH SALAAM) k siwa kisi ne bedaar na kiya, AAP tashreef lae, aur HAZRAT ALI (Razi ALLAH Anhu) k paaon ko Aahista Tatola aur Haalat yeh thi k hum Mitti se lat pat the, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya ALI utho! kiya main tumhen batlaon nahin k sab se Bad Bakht kon hai??

Ek to Qom E Samoood ka woh Mard Ahmer jis ne Saleh (Aleh Salaam) ki ooontni k paaon Kaate the, aur dusra woh jo tum par is jagah waar karega, AAP ne apne Sir ki ek jaanib Ishaara kiya aur yeh tar hojae gi, AAP ne apni Daarhi mubarak pakar li..(Yaani Sir se le kar Daarhi tak khon hi khoon hoga)

(Dalael Un Nabuwwah Laabi Naeem Asfahaani Urdu, Page#497, Matboo'a Ziya Ul Quran Publications Lahore)

Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main bhi yahi Riwaayat karte hain:

(Bahawaala: Fazael E Sahaba La Bin Hambal, Jild#1, Page#566, Raqam Ul Hadees 953, Matboo'a Mosasta Ur Risaala, Beroot)

Imaam Abu Abdullah Muhammad Bin Abdul Wahid Hambali 643 main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " to Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya k beshak RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne mujh se Uhad (Waada) farmaya k main us waqt tak nahin marunga, jab tak main khaleefa na ban jaoun, phir meri Daarhi ko mere khoon se rang diya jae.. to Aap (Razi ALLAH Anhu) bhi Qatal huwe, aur Abu Al Fazaalah (Razi ALLAH Anhu) bhi Yom E Safeen k roz Qatal huwe"..

(Al Ahaadees Ul Mukhtaar, Jild#2, Page#326, Raqam Ul Hadees 702, Makah Mukarrama)

Imaam Abu Ul Hasan Ali Bin Muhammad Bin Habeeb Ul Maawardi 429 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Main nahin Marunga jab tak Meri Daarhi ko meray chehray k khoon se Rang na diya jae"..

(Aalaam Un Nabuwwah Al Baaab As Saani Asharfi, page#79, Awwal Baab Us Shaer Feema Sama Min Mojizaat, Akhbaar Ul Ahad, Page#157, Matboo'a Daar Ul Kitaab, Beroot)

Imaam Muhammad Bin Saad (RehmatULLAH ALEH) Lihkte hain:

Tarjuma: " Hazrat UbaidULLAH se Marwih hai k NABI E KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ne HAZRAT ALI (RAZI ALLAH ANHU) se farmaya Ae ALI (RAZI ALLAH ANHU)Aglon aur Pichlon main Bad Bakht tareen kon hai??

Unhon ne kaha ALLAH aur us ka RASOOL (SALLALAHO ALEHE WASSALLAM) ziyaadah jaante hain, unhon ne farmaya, Aglon ka sab se ziyadah Bad Bakht Saleh (ALEH SALAAM) ki Ooontni k haath paaon kaatne waala tha, aur Pichlon ka bad bakht tareen woh hoga, jo tumhen Neza maaray ga, aur AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne is Muqaam par ishaara kiya, jahaan woh neza marey ga"

Imaam Jafar Suraiya Ali (Razi ALLAH Anhu) se marwih hai k main Hazrat ALI (Razi ALLAH Anhu) k haathon par paaani daal rahi thi, Yaka yak Unhon ne apna sir Uthaya, phir apni Daaarhi Pakar kar use naak tak buland kiya k tere liye Khushi hai k tu Zarur Zarur Khoon main rangi jaegi, phir Jummay k Din un par Hamla kiya gaya"..

(Tabkat E Ibn-E-Saad, Jild#3, Page#35, Matboo'a Dar Us Saadir, Beroot)

Imaam Jalal Ud Deen 911 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Hakim (REMATULLAH) ne sahi bata kar HAZRAT ALI (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat ki, Aap ne kaha mujh se RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassllam) ne farmaya,tumhen is jagah aur is jagah Zarb lagai jaegi, aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ne donon Kanpatiyon ki taraf ishaarah kiya, aur in donon se khoon Beh kar tumhari Daarhi ko Rangeen kar dega"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#210, Matboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)

Haafiz Abu Ul Qasim Sulemaan Suleman Bin Ahmed Tibraani 360 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Usman Bin Suhaib apne Baap suhaib (Razi ALLAH Anhu) se Naqal farmate hain, k ek din HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) ko farmaya yeh batlao, pehle logon main se Bad Bakht kon tha?

Aap ne Arz kiya jis ne Saleh (Aleh Salaam) ki Ooontni ko Qatal kiya, aur Paaon kaatey, AAP ne farmaya tum ne theek jawaab diya..

Phir pucha acha yeh batlao Pichlay logon aur aane waalay logon main se Bad Bakht kon hai??

Unhon ne Arz kiya maalom nahin, AAP ne farmaya, Jo Shakhs Aap ko Kanpati par waar kar k shaheed karega..

Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) Ahl-E-Iraq ko farmatey the, Ba KHuda main chahta hun aur pasand karta hun k oi bad bakht uthey aur is aur is jagah (yaani Daarhi Mubarak aur Sar-E-Aqdas ki isi jaanib) ko khoon Aalood karta aur main Darjah E Shahaaadat ko paa leta"..

(Al Mu'ajjim Ul Kabeer Ul Tibraani, Jild#8, Page#38, Raqam Ul Hadees 37311, Jild#2, Page#247, Raqam Ul Hadees 2037-2038, Matboo'a Maktab Ul Uloom O Al Hakam O Al Mosal)

Continue

Post 18

Post #18

HADEES#23:

* YEH BAKRI BAGER IJAAZAT K ZIBAH HUWI HAI:

Imaam Jalaal Ud Deen Seyooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH Aleh) ne ek Ansaari se Riwaayat ki, us ne kaha k ek Aurat ne NABI-E-KAREEM (Sallalaho Aleh Wassllam) k khaanay ki daawat ki, jab Khaana rakha gaya to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek Luqma le kar Moun main chabaya to farmaya, main is Gosht ko is Bakri ka pata hun, jise Na Haq pakar liya gaya tha, Us Aurat se Pucha gaya, us Aurat ne kaha, k is ki Hamsaaya ne us Gost ko apne Shohar ki Ijaazat liye Bager Bheja tha"..

(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, PAge#176, Matboo'a Daar Ul Qutub, Ilmiyah Beroot)

(Dalael Un Nabuwwah, Jild#6, Page#310, Matboo'a Dar Ul Qutub ilmiyah Beroot)

Imaam Abu Daaood 275 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Ansaar k ek Aadmi se Riwaayat hai, k hum RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassllam) k saath ek janaazay main gae, AAP Qabar Khodney waaalay ko Waseeiyat farma rahe the, k Peron ki Jaaanib se QABAR ko kushaada karo, aur Sar ki Jaanib se QABAR ko Kushaadah karo, jab AAP waaapis huwe to ek Aurat ki taraf se Daawat dene waala aaya, AAP ne us ki Daawat ko Qubool kar liya, aur Hum bhi AAP k Saath the pas khaana laaya gaya, AAP ne apna Haath rakha, phir Qoum ne Apna Haath rakha, Sab ne khaaya Hum ne HUZOOR (ALEH SALAAM) ki taraf dekha, AAPapne Moun main ek Luqma chaba rahe the, AAP ne farmaya, Muhjey yeh ILM huwa hai, k yeh US Bakri ka Ghosht hai, jise us k MAalik ki marzi k Bager Laaya gaya hai, Phir us Aurat ko Bulaaya gaya, us ne kaha YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh Wassallam) main ne kisi ko Mandi ki taraf bheja tha, Taa k Meray liye Bakri khared li jae, to bakri nahin mili, mene Apne Parosi ko pegaam bheja, Jis ne ek bakri khareedi thi, k woh Bakri Qeemat k Aewaz muhjey Bhej de to woh Parosi nahin mila, mene us ki biwi ko Peghaam bheja, to usne woh Bakri mujhey de si, tab RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassllam) ne farmaya, yeh Khaana QEDIYOn ko khila do"..

(Sunan Abi Daa'ood, Baab Fi Ijtanaab Us Shabhaat, Jild#3, Page#244, Raqam Ul Hadees 3332, MAtboo'a Daar Ul Fiqar, Beroot)

Imaam Ali Bin Umar Al Daar Qatni Ul Baghdaadi 385 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, main is GHOSHT ko is Bakri ka paata hun, jise is k Maalik ki ijaazat k Bager Zibah kiya gaya ho"..

(Sunan Al Daar Qatni, Jild#4, Page#285, Matboo'a Daar Ul Ma'arfatah, Beroot)

Imaam Ani Al Farj Abdur Rehmaan Bin Al Jazwi 597 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, yeh us Bakri ka GHOSHT hai, jo Maalik ki Ijaazat k Bager Haasil kar k Zibah ki gai"..

(Al Tehqeeq Fi Al hAdees Ul Khilaaf, Jild#2, Page#212, Raqam Ul Hadees 555, Matboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah Beroot)

Faisla Aap k Haath main hai, k GHOSHT ka Luqma moun main Rakhte hi, pata chal jaana k BAQRI Ijaazat le k Zibah ki gai, ya bager ijaazat liye Zibah kiye gae, GAIB hai ya nahin, aur is ka Jaan lena, ILM-e-GAIB hai ya nahin..

Continue

Post 17

Post #17

Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaaayat karte hain k:

Tarjuma: " Imaam Behki (Rehmatullah Aleh) farmate hain k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ka yeh farmana k " Main nahin dekhta magar yeh k woh Foat hogaya hai", Wallaho ILM AAP ne Hadiyon ko us ki taraf bhejne se pehle khabar kardene ka iradah farmaya, aur us k Foat hone se pehle AAP ne in kalimaat ko Saadir farmaya, is k Baad jab woh Foat huwa to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne usi din us k Foat hone ki khabar de di, aur us par Namaz parhi thi"..

(Khasaais Ul Kubra, Jild#2, Page#168, MAtboo'a Daar Ul Qutub Ul Ilmiyah Beroot)

Haafiz Amaa Duddeen Ismail Bin Umar Bin Kaseer 774 hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH Aleh) ne Hazrat Umme Kulsoom (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Inhon ne Kaha k RASOOL ALLEH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya jab Umme Salma (Razi ALLAH Anhu) se Nikah farmaya to AAP ne farmaya, main ne Nijaashi ki tarag se chand Mashq k Oqiyey aur Joray bhejey hain, main use nahin dekhta magar yeh k woh Foat hogaya hai, aur main in Hadiyon ko nahin dekhta magar yeh k ise Meri ise meri taraf Waapis kar diya gaya hai, to yeh Gaibi khabar aese hi Waaqey huwi jese k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya k Nijaashi Foat hogaya, aur Hadiyah Waapis Aagae"..

(Al Seerah Un Nabbuwah Na'i RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) Nijaashi Fi Yom-E-Zi Maat Fee Baariz Habsha, jild#3,Page#493, Matbo'a Daar ul Kitaab Ul Aa'raabi, beroot)

ILM-E-GAIB-E-MUSTAFA (Sallalaho alehe Wassallam):

Is HADEES-E-MUBARAKAH se HUZOOR (ALEH SALAAM) ka ILM-E-GAIB saaf Wazeh hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne HABSHA k Baadsha NIJAASHI (RAZI ALLAH ANHU) k Inteqaal ki khabar usi din di, jis din us ka Inteqaal huwa..

Aagay AAP khud Faisla kar sakte hain, k kisi k Batae Bager, kisi Hawaas k Bager kisi k Inteqaal ki Khabar de dena, yeh ILM-e-GAIB nahin to aur Kiya hai...

HADEES # 22:

HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Pehle hi bata diya tum mujh se Neki aur Badi k baaray main puchne aae ho:

Imaam Ismail Bin ul Fazal 535 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Wabsah Asadi (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k Unhon ne kaha, main NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ki Baargah main is liye Aaya k main NEKI aur BADI k baaray main puchon, Magar mere Puchne se Qabal HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya:

" Ae Wabsah (Razi ALLAH Anhu) kiya main tumhen bata dun, jo tum mujh se Puchna Chahtay ho?

Main ne Arz kiya, Ya RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh E Wassallam) mujhey bataiye,

Farmaya tum Muhj se Neki aur Badi k Baary main Puchne Aae ho??

Main ne Arz kiya.. Qasam hai us Zaat ki jis ne AAP ko Haq k Saath Mab'oos farmaya, AAP ne Bilkul Sahi farmaya..

Farmaya NEKI woh AMAL hai, jis se Inshrah Sadar tumhen Haasil ho, aur BADI woh hai, jis se tumharay Dil main Inqabaaz ho, Agar Chay Logon ne tumhen is ko karne se Kaha ho..

(Dalael Un Nabuuwah, Page#115, RaqamUL Hadees 119, Matboo'a Daar Ut TAEBAH Riyaaz)

Imaam Daarmi (RehmatULLAH) likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Wabsah Asadi (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain, k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Wabsah se farmaya tum NEKI aur GUNAH k Muta'alliq puchne aae ho?? Unhon ne kaha jee haan..

(Sunan Daarmi, Jild#2, Page#320, RaqamUL Hadees 2533, Daar Ul Kitaab Ul Arbi, Beroot)

Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Irshaad farmaya Ae Wabsah (Razi ALLAH Anhu)! Kiya main tumhen bata dun jo tum mujh se Puchna chahtay ho??

Mene Arz kiya Ya RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) mujheu bataeye..

Farmaya tum mujh se Neki aur Badi k baaray main Puchne aae ho,

Wabsah (Rzai ALLAH Anhu) ne farmaya AAP ne bilkul Sahi farmaya"..

(Musannad Ahmed, Jild#4, Page#228, Matboo'a Mo'sasta, Qurtuba Misar)

Imaam Jalaal Ud Deen Suyooti 911 Hijri main Riwayat karte hain:

Tarjuma: " Imaam Ahmed O Bazaar, Abu Ya'ali, Behki aur abu Naeem (RehmatULLAH Aleh) ne Hazrat Wabsah (razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha main NABI-E-KAREEM (Razi ALLAH anhu) ki Baargah main is liye Aaya k MAin NEKI aur BADI k Baaray main Puchon Magar Mere Puchne se Qabal HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya:

Ae Wabsah (Razi ALLAH Anhu)! kiya main tumhen yeh na bata dun jo tum mujh se puchna chahtay ho??

Mene Arz kiya, YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) mujhey bataiye,

Farmaya Tum Mujh se NEKI aur BADI k Baaray main Puchne aae ho??

Mene Arz kiya, Qasam hai us Zaat ki, jis ne AAP ko HAQ k saath Mab'oos farmaya, AAP ne Bilkul Sahi Farmaya..

Farmaya NEKI woh AMAL hai, jis se Inshrah Sadar tumhen Haasil ho, aur BADI woh hai, jis se tumharay Dil main Inqabaaz ho, Agar Chay Logon ne tumhen is ko karne se Kaha ho..

(Khasa-e-Sul Kubra, Jild#2, Page#171, Matboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot)

Ab AAP hi Bataen, k Kisi k DIL ki Baat jaan lena, kiya hai?? Kiya yeh ILM-E-GAIB nahin??

Continue

Post 16

Post #16

HADEES # 21:

NIJAASHI (RAZI ALLAH ANHU) k Inteqaal ki khabar dena:

Nijaashi Mulq-E-Habsha k Baasha ka laqab tha, jo koi wahaan ka Baadsha hota tha, useNijaashi kehte the, woh Nijaashi pehle Eesaai tha, Lekin jab HUZOOR( ALEH SALAAM) kaNaama-E-Mubaarak jis main us ko Daawat-e-Islaam di gai thi, mila to HUZOOR (ALEH SALAAM) pae Eemaan le aaya aur AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Risaalat ka Iqraar kiya..

Imaam Ali Bin Mehmood Bim Saood-Ul-Khazai 789 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Nijaashi (Razi ALLAH Anhu) Eemaan lae aur Gawaahi di Tauheed O Risaalat ki"..

(Takhreej-Ur-Dalaalaat Us Samee'a, Page#297, Matboo'a Daar-Ul-Garb Ul Islaami, Beroot)

Imaam Abi Ul Farj Abdur Rehman Bin Al Juzwi 597 Hijri main Likhte hain:

Nijaashi (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya:

Tarjuma: " Agar main Mulq (Hukmaraani) k Masael main na hota, to main AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) k Pass aa kar AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Naal'en ko Choomta"..

(Safoo'o Al Safoo'o, Jild#1, Page#518, Matboo'a Daar ulMa'arfatah, Beroot)

Haafiz Abu Al Qaasim Sulemaan Bin Ahmed Tibraani 360 Hijri main ek Taweel Riwaayat main likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) kharay huwe aur Wazu kiya aur phir 3 martaba yeh dua ki k Ae ALLAH Nijaashi ki MAgfirat farma Pas SAHABA (RAZI ALLAH ANHU) ne Aameen kaha"..

(Mo'ajjam Ul Kabeer Tibraani Ma Asnad Jaafar (Razi ALLAH Anhu), Jild#2, Page#110, Raqam Ul Hadees 478, Matboo'a Maktab Tul Uloom O Al haka, Ul Mosal)

Imaam Shamsuddeen Muhammad Bin Ahmed Zehbi 748 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) kharay huwe aur Wazu kiya aur phir 3 martaba yeh dua ki, Ae ALLAH Nijaashi ki Magfirat farma pas Sahaba (Razi ALLAH Anhu) ne Aameen kaha"..

(Seera Aalaaam Un Niblaal, Jid#1, Page#437, Matboo'a Mo'sasta, Ur Risaala, Beroot)

Imaam Abu Daaod 275 Hijri main riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Aayesha Siddique'ah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k woh Farmaati hain, hum Guftugoo kiya karte the k Nijaashi (Razi ALLAH Anhu) ki Qabar par hamesha ek Noor NAzar Aata hai"..

(Sunan Abu Daa'ood, Kitaab Ul Jihaad, Baab Fin Nooweri, Jild#1, Page#341,342, Matboo'a Maktab-a-Hukaaniyah Peshaawar)

(Sunan Abi Daa'ood, Kitaab Ul Jihaad, Baab Fin Nooreri, and Kabar Us Shaheed, Jild#3, Page#16, RaqamUl Hadees 2523, Matboo'a Dar Ul Fiqar Beroot)

Aur jab Nijaashi (Razi ALLAH Anhu) Wafaat paa gae, to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne usi din Sahaba-e-Karaam (Razi ALLAH Anhu) ko un ki Wafaaat ki khabar sunai aur un par Namaz-E-Janaza parha aur Namaz-E-Janaza k baad Hazarat Nijaashi k liye dua bhi farmai..

Imaam Muslim bin Hajjaj 261 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abu Hurera (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain, k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Habsha k Baadsha Nijaashi ki Wafaat ki khabar usi din di, jis din us ka Inteqaal huwa tha, AAP ne farmaya Apne Bhai k liye Astagfaar kar do"..

(Muslim Shareef, Jild#1, Page#309, Matboo'a Qadeemi Kutub khaana karachi)

(Akmaal Akmaal Ul Mu'allim, Sharah Sahi Muslim, Jild#3, Page#88, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiy, Beroot)

Imaam Abdur Rehman Ahmed Bin Shoib Nisaai 303 Hijri main Riwaayat karte hain k:

Tarjuma: " Hazrat Abu Hurerah (Razi ALLAH Anhu0 se Riwaayat hai k jab Nijaashi (razi ALLAH Anhu0 Ka Inteqaal huwa to, NABI-E-Kareem (Aleh Salaam) ne farmaya k in k liye Istagfaar karo"..

(Sunan Ul Kubra Ul Nisaai, Jild#1, PPage#657, Raqam Ul Hadees 2169-2168, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah, Beroot)

(Nisaai Shareef, Jild#1, Page#287, Mujtaba'i Pakistan, Lahore)

Imaam Abi MAnsoor Muhammad Bin Mehmood Al MA Taredi 333 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Hazarat Hasan Basri (Rehmatullah Aleh) se Riwaayat hai k jab Nijaashi (Razi ALLAH Anhu) ka inteqaal huwa to NABI-E-KAREEM (Sallalaho Aleh Wassallam) ne farmaya k Apne Bhai k liye IStagfaar karo"..

(Taawweelaat-E-Ahle Sunnah, Tafseer Ul Ma taredi, Jild#2, Page#567, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)

Haafiz Abu Ul Qasim Sulemaan Bin Ahmed Ut Tabraani 360 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat JAreer (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya Tumhara bhai Nijaashi Wafaat farma gaya hai, un k liye Istagfaar karo"..

(Al Mo'ajjam Ul Kabeer Ut Tabrani, Jild#1, Raqam Ul Hadees 2347-2348-2350, Matboo'a Ahya Ut Turaas Ul Islaami, Iraq)

Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Muhammad Al Tahawi 321 Hiri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abu Hurerah (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain k RAOOL ALLAH (Sallalaho Aleh E Wassalam) ne Habsha k Badsha Nijaashi ki khabar usi din di, jis din us ka Inteqaal huwa tha, AAP ne farmaya Apne Bhai k liye Istagfaar karo"..

(Sunan Ul Kubra, Jild#4, Page#57, Raqam Ul hadees 6932, Page#82, Raqam Ul Hadees 7026, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiya, Beroot)

Continue

Post 15

Post #15

Hadees # 18:

Tafseer-E-Khaazan main (Parah 4, Surah 3, Aayat 179) k Tehet hai:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya k Hum Par Humari Ummat Pesh farmai gai, apni apni Sooraton main, Matti main, jis tarah k HAZRAT ADAM (ALEH SALAAM) par pesh huwin thin, HUM ko bata diya gaya, k kon HUM par Eemaan Laawega, aur Kon Kufar karega, yeh Khabar Munaafiqeen tak Puhnchi to woh Hans kar kehne lage, k HUZOOR (ALEH SALAAM) farmate hain, k un ko logon ki Pedaish se Pehle hi Kaafir O Momineen ki khabar hogai, hum to un k saath hain, aur hum ko nahin Pehchaante, yeh khabar HUZOOR (ALEH SALAAM) tak Puhnchi to Mimbar par khare huwe, aur KHUDA ki Hamd O Sana ki Phir farmaya k Qomoun ka kiya haal hai k Hamaray ILM main Taana karte hain, Ab se Qayaamat tak kisi Cheez k Baaray main jo bhi tum hum se Pucho ge, hum tum ko Khabar Denge"..

Is Hadees se 2 Baaten Maaloom Huwin...

1) Ek yeh k HUZOOR (ALEH SALAAM) k ILM main Taana karna, Munaafiqon ka Tareeqah hai..

2) Dusray yeh k Qayaamat tak k Waaqiyaat saaray HUZOOR (ALEH SALAAM) k ILM main hain..

(Al Baab Ul Taaweel Fi Ma'ani Ut Tanzeel Ul Maaroof, Tafseer Khaazan, JILD#1, Page#324, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiya, Beroot)

HADEES # 19:

Mishkaaat Kitaab Ul Fitan, Baab Ul Malaahim, Fasal Awwal main Muslim se Ba Riwaayat Ibn-E-Mas'ood (Razi ALLAH Anhu) hai:

Tarjuma: " Hum in (Dajjal se Jihaad ki Tayyari katne waalon) k Naam, In k Baap Daadon k Naam, In k Ghoron k Rang Pehchaante hain, Woh Ro-E-Zameen par Behtareen Sawaar hain"..

(Muslim Raqam Ul Hadees 2224, Kitaab Ul Fitan, Baab Fasal Fi Ashraat Us Saa'a, JILD#2, PAGE#392, Matboo'a Qadeemi Qutub Khaana, Karachi)

HADEES # 20:

Mishkaat Shareef, Baab Minaaqib Abi Bakar O Umar main hai k HAZRAT AAYESHA (Razi ALLAH Anhu) ne Baargah Risaalat main Arz kiya k Kya koi Aesa bhi hai, jis ki Nekiyaan Taaron k barabar bhi hon, Farmaya woh Umar hai...

(Mishkaat Ul Musaabeh Baab Munaaqib Abi Bakar O Umar Ul Fasal Us Saalis, PAGE#560 Matboo'a Qademi, Kutub Khaana, Karachi)

Is se Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko QAYAAMAT tak k Saaray logon k Zaahiri aur Posheedah Aamal ki Puri khabar hai, aur Aasmaanon k tamaam Zaahiri aur Posheedah Taaron ka bhi Tafseeli ILM hai, Haalankay, Ba'az Taaray ab tak Sciencey Aalaat se bhi Maaloom na ho sake, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne in dono cheezon ko Mulaahiza farma liya, k UMAR ki Nekiyan Taaron k Barabar hain, Do Cheezon ki Barabari ya Kami Beshi wohi Bata sakta hai, jise Donon Cheezon ka ILM bhi ho aur Miqdaar bhi Maaloom ho....

Continue

Post 14

Post #14

HADEES # 16:

Muslim Jild#2, Kitaab Ul Jihaad Baab Gazwa-E-Badar main Hazrat Anus (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya yeh Falaan Shakhs k Girne ki jagah haiaur apne Dast-E-Mubaarak ko idhar Udhar Zameen par Rakhte the, Raawi ne farmaya k Koi bhi Maqtooleen main se HUZOOR (ALEH SALAAM) k Haath ki Jagah se Zara bhi na Hata"..

(Sahi Muslim Ul Jihaad Baab Gazwa-E-Badar, Jild#2,Page#102, Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana Karachi)

NOTE: Khayaal Rahe k kon kis Jagah Mare ga, Yeh Uloom E Khamsa main se hai, jis ki Khabar HUZOOR (ALEH SALAAM) Jang-E-Badar main ek Roz pehle de rahe hain..

Imaam Abu Daaod 275 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Anus (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain k (Jang-E-Badar k din) RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya Kal Yeh Falaan k Girne ki jagah hai aur AAP ne Zameen par Haath rakha aur Kal yeh Falaan k Girne ki jagah hai aur Zameen par haath rakha aur Kal yeh Falaaan k Girne ki Jagah hai aur Zameen par Haath rakha tha, koi Shakhs is k Bilkul Mutuwaajis nahin huwa. (Isi jagah gir kar mara), Phir RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh E Wassalaam) k Hukum se unko Ghaseet kar Badar k Kooen main Daal diya gaya"..

(Sunan Abi Daaod, Baab Fil Aseer, Jild#3, Page#58, Raqam Ul Hadees 2681, Matboo'a Dar Ul Fikar, Beroot)

ALLAMA YAHYA Bin Sharaf Noo'wi Shaafai 676 Hijri main is Hadees Mubaraka ki sharah main likhte hain:

Tarjuma: " Is Hadees Mubaraka main HUZOOR (ALEH SALAAM) k 2 Mojazon ka Zikar hai, jo kAAP ki nabuwat ki nishaaniyaan hain, Ek AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ka in Un k Jaabir Sardaaron k Qatal Gaahon ki Khabar dena k kisi ne apni Qatal Gaah se Tajaawuz na kiya, Dusra Mojaza AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ka yeh batana k jis Larkay ko woh Maar rahe the, jab use Chortay to woh such bolta, aur jab use Maarte to woh jhoot bolta aur yahi Haqeeqat thi"..

(Such kiya tha aur Jhoot kiya?? Is ko Sahaba E Karaam (Razi ALLAH Anhu) na samajh sake aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Waazeh farma diya, Yahi GAIB batana HUZOOR (ALEH SALAAM) ka Dusra Mojiza tha)..

(Sahi Muslim Ma Noo'wi Kitaab Ul Jihaad Baab Gazwa-E-Badar, Jild#2, Page#102, Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana Karachi)

HADEES # 17:

Mishkaat Baab Ul Mojizaat main HAZRAT ABU HURERA (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat hai:

Tarjuma: " Shikaari Aadmi ne kaha mene Aaj ki tarah kabhi na dekha k Bheriya Baaten kar raha hai, to Bheriya bola, k is se Ajeeb baat yeh hai k Ek Sahab (HUZOOR ALEH SALAAM) Do (2) Medaanon k Darmiyaani Nakhlistaan (Madina Munawaarra) main hain aur Tum ko Gusishta aur Aaendah ki Khabren de rahe hain".

(seerat Ibn-E-Ishaaq Aalaam Un Nabbuwwah, Page#261, Raqam Ul Hadees, 433, Matboo'a Ma'ahad Duraasaat Wala Bahas Ut Taareeb)

Imaam Abi Ul Farj Abdur Rehmaan Bin Al Jazwi 597 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Bheriye ne kaha yeh to koi Ta'ajub Khez Baat nahin hai, Dar Asal Herat aur Ta'ajub ka Mojib to yeh baat hai k Sangistaanon k darmiyaan Nakhlistan main ek Hasti Jalwah farma hain, jo Guzre huwe Waaqiyaat bhi Batlaate hain, aur Aane Waale bhi"..

( Al Wafa Ba Hawal Ul Mustafa, Baab Us Saani Zikar Aalaam Ul Hawash, JILD#1, PAGE159, Matboo'a Mustafa Ul Baabi, Misar)

ALLAMA Abu Abdullah Muhammad Bin Ahmed Maaliki Qurtubi 668 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Bheriya kehne laga, Ae Bakriyon Waale!! Is se kahin Ziyaadah Ajeeb Baat to yeh hai k In do (2) Sangistaanon k Darmiyaan Khajooron k Baagaat Waale Sheher main ek MArd Jalwah Farma hai, jo tumhen Maazi ki Khabren bhi Deta hai, aur jo kuch tumhare Mustaqbil main hone waala hai un Waaqiyaat ki khabren bhi deta hai"..

(At Tazkara Fi Ehwaal Al Moti Wa Umoor Takoon Ben Yadi Us Sa'at, Jild#2, Page#527, Matboo'a Saeediya, Kutub Khana, Sadaf Plaza Muhalla Jangi Peshawar)

Imaam Kabeer Muhaddis Haafiz Hadees Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahani 430 Hijri Main Likhte hain:

Tarjuma: " Bheriye ne Kaha is se bhi Ajeeb tar Baat yeh hai k Ek Aadmi Do (2) Medaanon k Darmiyaan, Waaqiye Nakhlistaan (Madina) main Beth kar Batla raha hai k Kiya ho chuka hai aur Aaendah kiya hoga"...

(Dalael Un Nabuwwah, Imaam Abu Naeem Asfahaani, Page#337-338, Matboo'a Ziya Al Qura'an , Publications, Lahore)

Haqeeqat Aap k Saamne hai..

Continue

Post 13

Post #13

HADEES # 13:

Bukhari Kitaab Ul Aatasaam Bil Kitaab Wa Sunna Aur Tafseer E Khazan main hai:

Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Mimbar par kharay huwe, Pas Qayamat ka Zikar farmaya k Is se Pehle Baray Bary Waaqiyaat hain, Phir farmaya jo Shakhs jo Baat puchna chahay Puch le, QASAM khuda ki Jab tak Hum is jagah Yaani Mimbar par hain, tum koi baat hum se na pucho ge, magar hum tum ko is ki Khabar denge, ek Shakhs ne khare ho kar Arz kiya, K mera Thikaana kahaan hai?? Farmaya Jahannum main... Abdullah Bin Huzaifa ne khare ho kar Dariyaft kiya k Mera BAAP kon hai?? Farmaya HUZAFA.. Phir Baar Baar farmate rahek Pucho Pucho"..

(Sahi Ul Bukhari Kitaab Ul Aatasaam, Jild#2, Page#1083, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi)

Khayaal Rahe k Jahannumi Ya Jannati hona Uloom E Khamsa main se hai k Saeed hai yaShakki, isi Tarah kon kis kaa Beta hai yeh aesi baat hai k Jis ka ILM Siwae is ki Maa k aur kisi ko nahin hosakta,

Qurbaan un Nigaahon k jo k Andheray Ujaalay, Duniya O Aakhirat sab ko Dekhti hain..

HADEES # 14:

Mishkaat Baab Minaakib Ali (Razi ALLAH Anhu) main hai:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Khebar k din farmaya k Hum Kal yeh Jhanda us ko den ge, jis k haath par ALLAH Khaibar Fatah Farma dega, aur Woh ALLAH aur US k RASOOL se Muhabbat karta hai"..

(Mishkaa Ul Musaahib, Page#563, Matboo'a Noor Muhammad Qutub Khaana, Karachi)

(Sahi Bukhari, Kitaaab Ul Fazail Us Sahaba Baab Min Fazail Ali Bin Abi Taalib (Razi ALLAH Anhu, Jild#4, Page#1872, Raqam Ul Hadees 2407, Al Hadees 3499, Matboo'a Dar Ibn E Kaseer, Beroot)

Imaam Muhammad Bin Saad 230 Hijri main Likhte hain:

Tarjma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Khaiber k din farmaya k Main Aese SHAKHS ko Jhanda dunga, jo ALLAH AZZAWAJAL aur s k RASOOL (ALEH SALAAM) ko Mehboob rakhta hai aur ALLAH aur Us k RASOOL use Dost Rakhte hain aur Woh Mehsoor Yahood K Qilay ko Fatah karega"..

(Tabqaat Ul Qubra Ibn-E-SAAD Gazwah E Khaibar, Jild#2, Page#110, Matboo'a Dar us Saadir, Beroot)

Imaam Abdul Maalik Bin Hashaam 213 Hijri Main Likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya Main Kal aese Aadmi ko jhanda Ata karunga jo ALLAH aur is k RASOOL se Muhabbat karta hai, ALLAH TA'ALA is k Haath par Musalmaanon ko Fatah Naseeb farmae ga woh Bhaagay ga nahin"..

(Al Seerah Annabuwwah Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hashaam Zikar Ul Muyyassar, JILD#4, Page#305, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

HADEES # 15:

Mishkaat Baab Ul Masaajid main Abu Zar Gaffari (Razi ALLAH Anhu) se hai:

Tarjuma: " Hum par Hamari Ummat k Aamaal Pesh kiye gae, ache bhi aur Buray bhi, Hum ne un k Achay Aamaal main woh Takleef de cheez bhi Paai jo Raaste se Hata di jae"..

(Sahi Muslim Kitaab Ul Masaajid Baab Ul Nahi An Ul Bassaaq Fil Masjid, Jild#1, Page#207, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi)

Upar dono Ahaadees se Saaf Saaf ILM-E-GAIB Saaabit hai..

k

Khaiber ki Jang kon Fatah karega yeh Batana GAIB nahin to aur kiya hai?? Gustaakhon se Sawaal.. Batao jawaab do??

Dusri Hadees se to ab Koi Shak hi nahin Bachta.. Are NABI (ALEH SALAAM) khud farma rahe hain.. k Un k Saamne Unki Ummat k Aamaal Pesh kiye jaate hain...

Are Shetaan k Chelon Doob Maro.. ALLAH k Azaab se daro..

Continue

Post 12

Post #12

HADEES # 9:

Mishkaat Baab Ul Fitan Fasal Saani Main HAZRAT HUZEFA (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai..

Tarjuma: " Nahin chora HUZOOR (ALEH SALAAM) ne kisi Fitna chalanay waalay ko duniya k khatam hone tak, jin ki taadaad 300 se ziyada tak puhnchay gi magar hum ko is ka naam is k baap ka naam aur is k Qabeelay ka naam bata diya"

(Mishkaat Ul Musaabeh, baab Ul Fitan Fasal Saani, PAGE#463, Matboo'a Qadeemi Kutub khana karachi)

HADEES # 10:

Mishkaat Baab Zikar Ul Ambiya main Bukhaari se Ba Riwaayat Abu Hurerah (Razi ALLAH Anhu) hai:

Tarjuma: " Hazrat Daaod (Aleh Salaam) par Qura'an (Zaboor) ko is Qadar halka kar diya gaya tha, k Woh Apne Ghoron ko Zain laganay ka Hukum dete the to AAP in ki Zain se pehle ZABOOR parh lete the"..

(Sahi Bukhari Kitaab Ul Ambiya, JILD#1, PAGE#475, Matboo'a Qadeemi Kutub khana karachi)

Yeh Hadees is jagah is liye bayaan ki gai k Agar HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek Wa'az main Az Awwal Ta Aakhir Waaqiyaat bayaan farma diye to yeh bhi AAP ka ek Mojiza tha jese k HAZRAT DAAOOD (ALEH SALAAM) AAN ki AAN main Saari ZABOOR SHAREEF parh lete the..

HADEES # 11:

Mishkaat Baab Munaakib Ahle Bait main hai..

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne khabar di k FATIMA ZOHRA (RAZI ALLAH ANHU) k farzand peda hoga, jo tumhari parwarish main rahe ga"..

(Mishkaat Ul Musaabeh Baab Munaaqib Ahle Bait Un NABI Ul Fasal Ul Awwal, PAGE#572, MAtboo'a Qadeemi Kutub Khana KArachi)

Tamaam baad k Hone waale Fitnon ka bata dena, aur aese batana, K fitnah karne waalon k naam batana, un k Baap ka naam batana, uar Qabeelay ka naam batan.. yeh kiya hai??? Jawaaaaab do???

Aap khud faisla kar sakte hain k FATIMA ZOHRA (RAZI ALLAH ANHU) ko batana k un k Yahaan farzand peda hoga.. yeh GAIB hai ya nahin??? Batao?? Jawaab do Gustaakhon???

HADEES # 12:

Bukhari Baab Asbaat Azaab Ul Qabar main HAZRAT IBN-E-ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) se Naqal hai:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) do Qabron par se Guzre jin main Azaab horaha tha, to farmaya k dono Shakhson ko azaab diya ja raha hai, aur kisi Dushwaar baat mai Azaab nahin ho raha in main se ek to Peeshaab se na bachta tha, aur dusra Chugli Kiya karta tha, phir Ek Tar SHAAKH ko le kar is ko aadha aadha Cheera Phir har Qabar main ek ek ko Gaarh diya aur Farmaya k jab tak yeh Tukray khushk naa honge, in dono shakhson se Azaab main kami ki jaawe gi"..

(Sahi Bukhari, JILD#1, PAGE#611, MAtboo'a Qadeemi Kutub khana Karachi)

Continue