async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: ilm e gaib e Mustafaﷺ hissa 3
Showing posts with label ilm e gaib e Mustafaﷺ hissa 3. Show all posts
Showing posts with label ilm e gaib e Mustafaﷺ hissa 3. Show all posts

Monday, November 2, 2015

Post 33

Post 33

HADEES # 42:

US TARAF SE KUCH SAWAAR TUMHAREY PASS AAENGE JO AHL-E-MASHRIK k BEHTAREEN LOG HONGE:

Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain 458 Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " Mazeeda Al Asri Bayaan karte hain, k Ek Dafa NABI E KAREEM (ALEH SALAAM),SAHABA E KARAAM (Razi ALLAH Anhu) k Saath Maho Guftugu the, k Doraan-E-Guftugu Farmaya, k AnQareeb is taraf se Kuch Sawaar tumhare Pass Aaenge, jo Ahl-E-Mashrik k Behtareen log hain, Yeh Irshaad sun kar, Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) Uthey aur us Jaanib Rawana hogae, to 13 Afraad par Mushtamil ek Wafd in se mila, Pucha: kis Qabeelay se Ta'alluq hai tumhara?? to unhon ne Bataya: Hum Bani Abdul Qes se hain"..

(Khasais Ul Kunra, Jild#2, Page#26, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Nibhaani (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:

Tarjuma: " Ibn-E-Shaaheen (RehmatULLAH Aleh) Sakhaar bin Abbas aur Mazeedah Bin Maalik se Riwaayat karte hain, (Yeh Mazeedah Wafd Abdul Qes k ek Rukan the) Woh Kehte hain, k Ashj Abdul Qes Daaren k Raahib ka ek Dost tha, ek Saal is se Mulaaqaat huwi, to us ne Bataya, k Makkah Shareef main ek NABI ka Zahoor hone waala hai, jo Hadiya Kabool karta hai, magar Sadqa nahin khaata, us k Donon Shaanon k Darmiyaaan ek Nishaani hai aur woh Saarey Adiyaan par Gaalib Aajae ga, is k Baad Raahib ki Moat Waaqey hogai, is k Baad Ashaj ne Tehqeeq-E-Haal k Liyeapney Bhaanjey ko MAkkah Shareef bheja, woh Hijrat k Saal aaya, aur NABI (ALEH SALAAM) se Mulaaqaat ki aur Nabuwat ki Nishaaniyon ko Sahi paa kar ISLAM le aaya, NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ne us ko Surah Al Hamd aur Surah Al Alaq ki Taaleem di, is k Baad use Hukum diya, k Ab jaa k Apney Maamoo ko Islam ki Daawat do, Lihaaza us ne Lot kar Apney Maamoo ko tamaam Haalaat se Aagah kiya, jis ki Wajah se Ashaj ISLAM laya tha, Magar ek Arsey tak Apney Eemaan ko Posheedah rakha, phir 16 Mardon k Saath Rawana huwa, aur Madinah Aaya, jis Subah yeh Wafd MAdina Puhncha, usi Raat NABI (ALEH SALAAM) ne Peshan Goi Farma di thi, k Mashriq ki taraf se ek Qaafila Aane Waala hai, jinhen ISLAM k Liye Majboor nahin kiya gaya, Balkey Barza O Ragbat Aarahe hain, in k Rehnuma ki ek Alaamat hai, Lihaaza Ashaj Abdul Qes apni Qoam k Chand Nafoos k saath aaya, yeh Fatah-E-MAkkah k Saal ka Waqiyah hai"..

(Hajjat ULLAH Ali Ul Aalameen Fi Mojizat SayedUL Mursaleen, Page#365, MAtboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Muhammad Saaad 230 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ne us Raat jis ki Subah ko Banu Abdul Qes ka Wafd Aaya tha, Afaq ki taraf dekh kar Irshaad farmaya, " Mashrekeen ki ek Jama'at Aae gi, jinhen ISLAM k liye MAjboor nahin kiya gaya, un logon ka Haal yeh hai k Safar ki Sobaton ne un k Jaanwaron ko Dubla kar diya hai, in ka Zaad rah khatam ho chuka hai, aur un k Sardar ki ek Nishaani hai, phir Dua Faramai, Ae ALLAH! Abdul Qes ko Maaf farma, Woh Hoosool E Maal k liye mere Pass nahin aae, woh Ahl-E-Mashrik k Behtareen log hain"

(Tabqaat Ul Kiubra, Ibn-E-Saad, Jild#1, Page#314, Matboo'a Daar Us Saadir Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Haakim (RehamtULLAH Aleh) ne Hazrat Anus (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k Ahl-E-Hijar se Abdul Qes ka ek Wafd RASOOL (ALEH SALAAM) ki Khidmat main Baaryaab huwa, woh Bethey the, k Achanak AAP (ALEH SALAAM) ne un ki taraf Mutawwajjah ho kar farmaya: " Tumharey Yahaan Kai Qisam ki Khajooren hoti hain, aur tum falaan Qisam ki KHajoor ko is naam se Pukaarte ho, yeh sun kar Ek Shakhs Bola, YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Meray Maa Baap AAP Par Qurban hon, Agar AAP (ALEH SALAAM) ki Wilaadat Muqaam E Hijar main hoti, to is se Ziyaadah AAP in k Muta'alliq ILM na rakhte, main Gawahi deta hun, AAP (ALEH SALAAM) ALLAH k RASOOL hain.. HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, Jab tum meray pass Bethay to Tumhari Sar Zameen utha kar meray Saamney kar di gai, aur mene use ek Siray se Dusray tak Bil Tafseel Dekha, tumhari Khajooron main se Behtareen khajoor "Barni" hao jo Bemaari dur karti hai, aur khud is main koi bemaari nahin"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#27, Matboo'a Daaar Ul Kutub Ilmiyah, beroot)

Muhaddis-E-Kabeer Imaam Muhammad Bin Ismail Bukhari 256 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Mazeedah Abdi (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain k Ashaj (Razi ALLAH Anhu) Pedal chalte huwe, Bargah-E-NABI (ALEH SALAAM)main Haazir huwe, aur Aap (ALEH SALAAM) k haath Mubarak ko Pakar kar Boosaa diya,to NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ne un se Farmaya, k tumharey ander 2 Khaslaten aesi hain, k jin ko ALLAH TA'ALA aur us ka RASOOL (ALEH SALAAM) pasand karte hain, us ne Arz kiya kya woh aesi Cheezen hain? jin par main PEda huwa hnu, (Yaani Fitrati) ya woh Baad main Peda ki gai hain, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya k Balkay yeh woh Fitri hain, jin par tum peda kiye gae ho, Ashaj (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya, Sab Taareefen ALLAH TA'ALA k liye hain, jis ne Meray ander aesi Khaslaten Peda farmain, jin ko ALLAH TA'ALA aur us ka RASOOL (ALEH SALAAM) Pasand farmatey hain"..

(Tibraani Kabeer,Jild#20, Page#345, Raqam Ul Hadees 812, Matboo'a Maktab Ul Uloom O Al Hakam Al Mosool)

Continue

Post 32

Post 32

HADEES # 41:

WOH DO (2) OONT KAHAAN HAIN, JINHEN TUM NE AQEEQ MAIN FALAAN FALAAN WAADI MAIN CHUPA DIYA HAI:

Imaam Abdul Maalik Bin Hashaam 213 Hijri main likhte hain:

TArjuma: " Hazrat IBn-E-HAshaam (RehmatULLAH Aleh) ne kaha, k kaha yeh jaata hai, k jabHUZOOR (ALEH SALAAM) Gazwah-E-Bani Mustalaq se Waapis huwe, jab k Hazrat Jaweriya (Razi ALLAH Anhu) Aap k Saath thin, AAP (ALEH SALAAM) ne Hazrat Jaweruyah ko Bator E Amaanat ek Ansaari k din, aur Hifaazat ka Hukum diya, HUZOOR (ALEH SALAAM) Madina E Teba puhnchay to, Hazrat Jaweriyah (Razi ALLAH Anhu) ka Baap Haaris Apni Beti ka Fidyah le kar Puhncha, jab Aqeeq k Muqaam par Puhcha to, Apne Ooonton ko dekha jo Fidyeh k tor par laaya tha, use Do (2) Oont bohat Achay lage, aur us ne Aqeeq ki Waadiyon main use Chupa diya, Phir HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Bargah-E-Aqdas main Haazir huwa, Arz ki AE MUHAMMAD Aap ne MEri Beti ko Pakar liya hai, yeh Oont us ka Fidya hain, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, woh Do (2) Oont kahaan hain, jinhen tum ne Aqeeq main Fulaan Fulaan Waadi k Peechey chupa diya hai, yeh sun kar Haaris ne kaha MAIN GAWAHI DETA HUN, k ALLAH TA'ALA k SIWA KOI MAABOOD NAHIN, AUR AAP ALLAH K RASOOL HAIN, ALLAH KI QASAM IS BAAT PAR ALLAH K SIWA KOI AAGAH NAHIN, Haaris Musalmaan hogaya, Saath hi us k Do (2) Betay bhi Musalmaan hogae, aur us ki Qoam k kafi Log bhi musalmaan hogae, Haaris ne Donon Oonton ko laane k liye ek Aadmi bheja, jo in donon Oonton ko le Aaya, Oont HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Bargah main pesh kiya gae, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat Jaweriyah (Razi ALLAH Anhu) ko Haaris k Hawaalay kar diya, Hazrat Jaweriyah (Razi ALLAH Anhu) ne Islaam kabool kar liya, aur Bohat achi Musalmaan Saaabit huwin, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne un k Waalid ko Daawt-E-NIKAH di, Un k Waalid ne Apni Beti ka Nikah HUZOOR (ALEH SALAAM) se kar diya, aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Chaar so (400) Darham Meher Ata kiya"..

(Al Seerat Al Nabuwwahiyah, Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hashaam, Jild#4, Page#259, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Imaam Ali Bin Barhaan Ud Deen Shaafai 1066 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Ziyaad Bayaan karte hain, ALLAH Ta'ALAH ne NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ko Gazwah E Bani Mustalaq main Jaweriya Bint-E-Haaris Bator E Ganeemat Ata farmai, to un ka Baap Haaris un ki Rihaai, k liye Fidyeh le kar Aaya, Jab Aqeeq main Puhncha, to Oont ki taraf dekha, jo Apni Beti k Fidyeh main diye the, us main se Do (2) Oont use Bohat pasand aae, Pas in Donon Oonton ko Waadiye Aqeeq ki ek Ghaati main Gayab kar diya,phir Deegar Oonton ko Hanka kar NABI (ALEH SALAAM) ki Khidmat main Haazir Hogaya, aur Arz ki YA MUHAMMAD! meri Beti AAP k Yahaan Giraftaar hai, yeh is ka Fidyah hai.. NABI (ALEH SALAAM) ne farmaya, woh Donon (2) Oont kahaan hain, jo tum ne Waadiyeh Aqeeq main Gayab kiya hain, Yeh sun kar Haaris ne kaha, k MAIN GAWAAHI DETA HUN K AAP (ALEH SALAAM) ALLAH K RASOOL HAIN, Waqai mene un donon (2) Oonton ko Aqeeq main Gayab kiya, aur Is Baat par Siwae ALLAH k Aur koi Aagah na tha, is k Baad Haaris ne Islam Kabool kar liya"..

(HajjatULLAH Ali Ul Aalameen Fi MojizaatSyed Ul Mursaleen, APge#361, Matboo'a DaarUl Kutub Ilmiyah, Beroot)

Fasila Aap khud karen.. k NABI (ALEH SALAAM) ka batana k Haaris ne Donon Oont aqeeq ki Wadiyon mai Gayab kiya k Yeh Gaib ka ILM hai ya nahin???

Continue

Post 31

Post 31

HADEES # 40:

TU USE BAIL KA SHIKAAR KARTE HUWE PAAE GA:

Allama Yousuf Bin Ismail Al Nibhaani 1350 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abi Bin Roman aur Hazrat Abdullah Bin Abi Bakar (Razi ALLAH Anhu)se Marwi hai k NABI (ALEH SALAAM) ne Khaalid Bin Waleed ko Domah k Hukmuraan Akedah ki taraf Bheja, Akedar Nasraani tha. HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Peshan Goi farmai k tum use us Haalat main Paao ge k woh ek Jangli Gaen (Cow) k Shikaar main MAsroof hoga, Lihaaza Hazrat Khalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) Rawaana huwe, yahaan tak k Hazrat KHaalid Bin Waleed Qilay k itne Qareeb Puhanch gae Jahaan se Aadmi Nazar Aaskata tha,Raat Chaandni thi, Akeedar apni Biwi k Hamrah Qilay ki Chat par tha,isi Asna main ek Jangli Gaen (Cow) Qilay k Darwaazay k Saath apna Sir Takraaney lagi, Akeedar ki Biwi ne us se Kaha kiya Aap ne Kabhi Aesa Manzar dekha hai?? Us ne kaha nahin, Phir us ki Biwi ne kaha kiya is tarah k Shikaar ko Chora jaa sakta hai? Akeedar ne kaha nahin, Koi yeh Moqa Haath se Zaaya nahin kar sakta, Woh Qilay se Neechey aaya, Hukum diya k Ghoray par Zain rakhi jae, Phir us par Sawaar huwa, aur us k Saath us k Gharaanay k Chand Admi the, woh Apne Shikaar k liye Rawaana huwe to, NABI (ALEH SALAAM) k Qaflay se se Unki Mad Bheeer huwi, Unhon ne use Giraftaar kar liya, aur us k Bhai Hassaan ko Giraftaar kar liya, jis par deebaaach ki Sunehri Qubaa thi, Hazrat KHaalid Bin Waleed ne Use Cheen kar HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Khidmat main Akeedar k Hamrah Bhej diya..

Ibn-E-Ishaaq (RehmatULLAH Aleh) kehte hain k jab Hazrat KHaalid Bin Waleed Akeedar ko le kar NABI (ALEH SALAAM) ki Khidmat main Haazir huwe to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne unhen Jaan Bakhshi farmai, aur Juziyah par Sulah kar li, phir use Riha kar diya, Banu Tay k ek Shakhs Bajeer ne is Waqiyeh ka yun Zikar kiya hai,

Ba Barkat hai woh jo Neel Gaenyon (Cows) ko Haank kar laaney waala hai, mene dekha k ALLAH ar Taalib-E-Hidaayat ko Hidaaya deta hai..

Pas jo Shakhs Tabook Waale NABI se Munharif hota ho, to woh to humen Jihaad ka hukum diya gaya hai..

Behki (RehmatULLAH Aleh) ne Zikar kiya, k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne is Shaair ko Dua dete huwe farmaya, ALLAH tumhary Moun ko Salaamat rakhey. is Dua ka Asar yeh hai k Nawway (90) ki Umar main bhius Shakhs ki na to Daar main Harkat huwi, na us ka koi Daant toota"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#1, Page#461, Matboo'a Daar Ul kutub Ilmiyah, Beroot)

(Tibkaat Ul Kubra Ibn-E-Saad, Jild#2, Page#166, Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot)

Imaam Abdul Maalik Bin Hashaam 213 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat Khaalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) ko Bulaaya, aur use Doma k Akeedar ki taraf bheja, yeh Akeedar Bin Abdul Maalik tha, yeh Banu kandah ka ek Shakhs tha, aur Domah ka Baadshah tha, yeh Nasraani tha, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat KHaalid Bin Waleed se farmaya, Tu Use Bail ka Shikaar karte huwe Paae ga"..

(Al Seerat Un Nabuwwahiyah Al Maaroof Seerat Ibn-E-HAshaam, Jild#5, Page#207, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Fasila khud karen.. k Hazrat KHaalid Bin Waleed ko Batana k woh Akeedar ko ek Bail ka shikaar karte huwe Paaen ge, yeh ILM-E-GAIB hai ya nahin..

Continue

Post 30

Post 30

HADEES # 39:

IN NEZON SE FIDYA ADA KARO JO JADDAY MAIN HAIN:

Imaam Muhammad Bin Saad 230 Hijri main likhte hain:

TArjuma: " HAzrat Abdullah Bin Haaris Bin Nofil (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain, kNofil Bin Haaris Badar main Giraftaar kiye gae to, un se RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya ae Nofil apni Jaan ka fidya do, Arz ki YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM)!! Mere Pass to kuch bhi nahin jis se main apni Jaan ka fidya Ada kar sakun, farmya, Apni Jaan ka fidya un Nezon se Ada karo jo Jadday main hain, is par Nofil (Razi ALLAH Anhu) ne Arz ki, MAIN GAWAHI DETA HUN, BESHAK AAP ALLAH K RASOOL hain".. (Subhan ALLAH)

(Tabqaat Ibn-E-Saad, Jild#4, Page46, Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Haaris Bin Nofil kehte hain, k jab Nofil Bin Haaris Badar k Muqaam par Qedi huwe, to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne un se farmaya, Apne Fidya de kar Azaadi haasil karlo, unhon ne farmaya mere pass to jaan churaane k liye koi cheez nahin, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya us maal se fidya do, jo Jaddah main hai, yeh sun kar Nofil Pukaar uthe, main GAWAHI deta hun, k AAP ALLAH k RASOOL hain, phir us maal ka fidya de kar, Rihaai Haasil ki"..

(Khasais Ul kubra, Jild#1, Page#342, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Allama Abu Al Qasim Abdur Rehman Bin Abdullah 571 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Musalmaan hone waale Aseeran-E-Badar main se ek Hazrat Nofil Bin Haaris Bin Abdul Mutallib (Razi ALLAH Anhu) hain, kaha jaata hai k Aap ne GazwahE Khandak k Saal Islam Qabool kiya, aur Madina E Teba ki taraf Hijrat ki, yeh bhi kaha Gaya hai k AAP usi Waqt Islam le aae the, jab Aap ko Qed kiya gaya, Waqiyah yun hai k NABI E PAK (ALEH SALAAM) ne farmaya, Apna Fidya ada karo, unhon ne Arz kiya, mere pass Fidyeh ki Adaegi k liye MAal nahin, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, un Nezon k Zariye Fidya Ada karo jo tum ne Jaddah main Rakhey hain, HUZOOR (ALEH SALAAM) ka yeh Irshaad sun kar woh kehne lage, Qasam Ba Khuda ALLAH TA'ALA k Siwa kisi ko is baat ka ILM na tha, k Jaddah main mere Nezay pare hain, Main GAWAHI DETA HUN K AAP ALLAH TA'ALA k SACHAY RASOOL hain"..

(Roz Al Anaf Tasmee'ah MAn Asar Man Al Mushrikeen Yom E Badar,Jild#3, Page#76, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Allama Yousuf Ismail 1350 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Haaris Bin Nofil kehte hain, k jab Nofil Bin Haaris Badar k Muqaam par Qedi huwe, to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne un se farmaya, Apne Fidya de kar Azaadi haasil karlo, unhon ne farmaya mere pass to jaan churaane k liye koi cheez nahin, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya us maal se fidya do, jo Jaddah main hai, yeh sun kar Nofil Pukaar uthe, main GAWAHI deta hun, k AAP ALLAH k RASOOL hain, phir us maal ka fidya de kar, Rihaai Haasil ki"..

(Hajjatullah Ali Ul Aalameen Fi Mojizaat Saiyyad Ul Mursaleen, Page#347, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Faisla Aap ka.. Kiya ab bhi Aap ko Yakeen Nahin k Mere NABI (ALEH SALAAM) ko ALLAH TA'ALA ne ILM-E-GAIB Ata kiya??

Continue

Post 29

Post 29

HADEES # 38:

WOH MAAAL KAHAAAN HAI JO TUM MAKKAH MAIN DAFAN KAR K AAE HO:

Imaam Ahmed bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Imaam Muhammad Bin Ishaaq (RehmatULLAH Aleh) ne Bayaan kiya k jis Shakhs ne Akrama (RehamtULLAH ALEH) se Suna, us ne Mujh se yeh Hadees Bayaaan ki k, Akrama (RehamtULLAH ALEH) HAZRAT IBN-E-ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat karte hain, k Jid SHAKHS ne JANG-E-BADAR main ABBAS BIN ABDUL MUTAL'LIB (RAZI ALLAH ANHU) ko Giriftaar kiya, woh Abu Ul Yasar Bin Umro the, Un ka Ta'alluq Banu Salma se tha, un se RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne pucha, Abu Ul Yasar tum ne is ko kese Giriftaar kiya tha ?? Unhon ne kaha, is Ma'aamlay main ek Shakhs ne meri madad ki thi, jis ko mene is se Pehle na dekha tha, is k Baad us ki Esi Esi Haeiyyat thi, Tab RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, tumhari Madad ek Mukarram Farishte ne ki thi, aur Abbas (Razi ALLAH Anhu) se farmya, Ae Abbas tum apna Fidya bhi do, aur Apne Bhateejay Aqeel Bin Abi Taalib aur Nofil Bin Al Haaris ka Fidya bhi do, aur apne Haleef Atba Bin Hajdam ka Fidya bhi do, aur jin ka Ta'alluq Banu Al Haaris Bin Fahar se hai, Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne In ka Fidya dene se Inkaar kiya, aur kaha main is Gazwah se pehle Islaam kabool kar chuka tha, yeh Log mujhey Zabardasti apne Saath lae hain, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, ALLAH tumhare Maamlay ko Khoob Jaanne Waala hai, aur agar tumhara, Daaawa Bar Haq hai, to ALLAH tum ko is ki Jaza dega, Lekin tumhara Zaahir Haal yeh hai k tum hum par Hmala Aawar huwe, so tum Fidya Ada karo, aur RASOOL (ALEH SALAAM) us se 20 Okiyah Sona (Bator E Maal E Ganimat) Wasool kar chukay the, ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) ne kaha YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM)!! is 20 Okiyah Sonay ko mere Fidye main Kaat len, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya: NAHIN! Yeh woh Maal hai jo ALLAH ne Humen tum se le kar diya hai, ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) ne kaha, mere Pass aur Maal to nahin hai, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, woh Maal kahaan hai, jo tu ne Makkah se Rawaangi k waqt Umm Ul Fazal k pass rakha tha, , us Waqt tum dono k pass aur koi nahin tha, aur tum ne yeh kaha tha k main is Muhim main Kaam aagaya to, is Maal main se Itna Fazal ko dena, itna Qasham ko dena aur Itna Abdullah ko dena, tab Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne kaha, us Zaat ki Qasam jis ne AAP ko Haq de kar Bheja hai, mere aur Umm Ul Fazal k ilaawah, is sab ko aur koi nahin jaanta, aur ab muhjey Yakeen hogaya k AAP ALLAH k RASOOL hain".. (Subhan ALLAH)

(Musnad Ahmed, Jild#1, Page#353, Raqam Ul Hadees 3310, Matboo'a Mosasta Qurtuba, Misar)

Imaam Ahmed bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Imaam Muhammad Bin Ishaaq (RehmatULLAH Aleh) ne Bayaan kiya k jis Shakhs ne Akrama (RehamtULLAH ALEH) se Suna, us ne Mujh se yeh Hadees Bayaaan ki k, Akrama (RehamtULLAH ALEH) HAZRAT IBN-E-ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat karte hain, k Jid SHAKHS ne JANG-E-BADAR main ABBAS BIN ABDUL MUTAL'LIB (RAZI ALLAH ANHU) ko Giriftaar kiya, woh Abu Ul Yasar Bin Umro the, Un ka Ta'alluq Banu Salma se tha, un se RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne pucha, Abu Ul Yasar tum ne is ko kese Giriftaar kiya tha ?? Unhon ne kaha, is Ma'aamlay main ek Shakhs ne meri madad ki thi, jis ko mene is se Pehle na dekha tha, is k Baad us ki Esi Esi Haeiyyat thi, Tab RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, tumhari Madad ek Mukarram Farishte ne ki thi".. (SubhanALLAH)

(Musnad Ahmed, Jild#1, Page#353, Raqam Ul Hadees 3310, Matboo'a Mosasta Qurtuba, Misar)

Imaam Muhammad Bin Saad 230 Hijri main Likhte hain:

TArjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, k woh Maal kahaan hai, jo tum ne Rawaangi k waqt Makkah Umm Ul Fazal Bint E Haaris k Pass rakha tha, jab k tum dono k Saath koi na tha?? Tum ne un se kaha tha, mujhey is Safar main Moat aagai, to Fazal k liye itna itna, aur Abdullah k liye itna itna hai, Unhon ne kaha, Qasam hai us Zaat ki jis ne Haq k saath AAP ko Mab'oos kiya, k is ka Siwae Mere aur Umm E Fazal k kisi ko ILM na tha".. (SubhanALLAH)

(Tabqaat Ibn-E-Saad, Jild#4, Page#14, Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot)

Allama Muhammad Bin Yousuf Al Saalhi 942 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne JANG E BADAR k din Ahl-E-Jahiliyat ka Fidya (400) Darham Muqarrar kiya, aur Hazrat Abbas ne yeh Daawa kiya, k un k Pass Bilkul Maal nahin hai, Tab RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, acha to woh Maal kahaan hai ,jo tum ne Umm Ul Fazal ne mil kar dafan kiya tha, aur tum ne kaha tha, k agar main is Moohim main kaam aagaya, to yeh mera Maal mere Beton ka hai, Al fazal, Abdullah aur Qasam, Hazrat Abbas (Razi ALLAH Anhu) kaha, ALLAH ki Qasam mujhey ab yakeen hogaya, k AAP ALLAH k RASOOL hain, is Baat ka mere aur Umm Ul Fazal k siwa kisi ko ILM na tha"..

(Naseem Ur Riyaaz, Sharah Shifa Ul Qaazi, Jild#4, Page#197, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain:

TArjuma: " Ibn-E-Ishaaq aur Imaam zehri se Naqal karte hain k Hazrat Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne kaha, k YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) mere pass Fidya dene k liye kuch nahin, AAP ne farmaya, woh maal kahaan hai, jo tum ne aur Umm Ul Fazal ne Dafan kiya tha, aur tum ne dam Rukhsat yeh kaha k agar main Mara jaaoun to yeh Maal mere Beton Fazal aur Qasam k liye hai, yeh sunkar Hazrat Abbas (Razi ALLAH Anhu)! ALLAH ki Qasam mujhey Yakeen hogaya, k AAP ALLAH k RASOOL hain, Ba Khuda is Ma'aamlay kja mere aur Umm Ul Fazal k ilaawa kisi ko Qat'an ILM na tha"..

(Khasais Ul Kubra, JILD#1, PAGE#341, Matboo'a Daar Ul Qutub ILMIYAH, BEROOT)

Muhammad Haroon Ma'aawiyah Deobandi Likhte hain:

Hazrat Abdullah Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) aur Umm Ul Momineen Ayesha (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k Jang E Badar main Kaafiron ko Shikast huwi, to HUZOOR (ALEH SALAAM) k chacha Abbas Bin Abdul Mutallaib jo us Waqt Eemaan nahin lae the, woh bhi Aseer ho kar aae the, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Qediyon k Aewaz Fidyah Talab kiya, to unhon ne Arz ki keh mere pass itna Maal nahin k Zar fidyah Ada kar sakun, HUZOOR (ALEH SALAAM ne farmaya, Woh Maal kiya hua, jo tum Umm Ul Fazal (Hazrat Abbas ki Zoja) k pass Dafan kiya hai aur us se keh aae the, k agar main maara jaoun to yeh Maal meri Aulaad k liye hai, Hazrat Abbas (RAzi ALLAH Anhu) ne kaha, YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Khuda ki Qasam is maal ki mere aur Umm Ul Fazal k siwa kisi ko Khabar na thi"..(Musnad E Ahmed)

(Khoososiyaat E Mustafa (ALEH SALAAM), Jild#2, Page#250-251,Matboo'a Daar Ul Isha'at, Karachi)

Faisla Khud karen k Aaya ab bhi HUZOOR (ALEH SALAAM) ko ILM-E-GAIB nahin??

Continue

Post 28

Post #28

HADEES # 37:

MUNAAFIQ ki KHABAR DENA:

IMAAM JALAAL UD DEEN SAYOOTI 911 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Muslim (RehmatULLAH ALEH) ne Abi Hameed (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k hum RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) k Hamrah the, Nasraaniyon k Hamaly ki khabar suni kar, Tabook ki taraf Rawaana huwe, Doraan E Safar Waadi E Qiraa'a main ek Khaatoon k Baag k paas se Guzre, Sarwar-E-Qonen (Aleh Salaam) ne farmaya, tum us Baag ki khajooron ka Takhmeena lagao, hum ne Takhmeena lagaya, HUZOOR (ALEH SALAAM) ka Andaaza 10 Wusaq tha, us Aurat se kaha tum apni Khajooron ka naam tol kar lena, aur hum INshaALLAH tumhare Paas wapis aaenge, Hum medaan E Tabook main the, k ek Roz AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Aaj Raat main Shadeed Huwa, aur Sakht Jharken chalen ge"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#1, page#458, Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)

Imaam Muslim (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:

TArjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Irshaad farmaya, Yeh Aandhi kisi Munaafiq ki Moat ki Alaamat hai, phir jab hum Madinay Puhnchay to Maaloom huwa, Munaafiqeen ka Peshwa mar chuka tha"..

(Muslim Shareef, Kitaab Us Sifaat Ul Munaafiqeen)

Imaam Abdul Maalik Bin Hasshaam 213 Hijri main likhte hain:

TArjuma: " Munaafiqeen k Sardaaaron main se ek Sardaar aaj mar gaya, Rafa'a Bin Zaid Taaboot ka Ta'alluq bhi isi Qabeelay se tha, Jab HUZOOR (ALEH SALAAM) Gazwah Bani Mustalaq se Waaapis Tashreef laa rahe the, to Raastay main Shadeed Aandhi ka saamna karna para, Musalmaan use Dekh kar bhaaag gae, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, Khofzada hone ki Zarurat nahin, yeh Aandhi Kufaar k Azeem Sardaaron main se ek Sardaar ki Moat k liye Aai hai, Jab HUZOOR (ALEH SALAAM) Madina E Teba main Ronaq Afroz hogae, to Maaloom huwa, k Rafa'a Bin Zed isi Din Mara tha, jab Shadeed Aandhi aai thi"..

(As Seerat Un Nabuwwiyyah Al Maaroof, Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#2, Page#60-61, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Yahi Imaam Abdul MAalik Bin Hasshaam 213 Hijri main dusri jagah Likhte hain:

TArjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya is Aandhi se na daro, yeh Aandhi ek Baray Munaafiq ki wajah se chali hai, jab Sahaba Madina E Teba Puhnchay to, unhon ne Rafa'a Bin Zaid ki Moat ki khabar suni jo Bani QenQah se Ta'alluq rakhta tha, yeh yahoodiyon ka ek sardaar tha, aur Munaafiqon ki Panah Gaah tha, aur yeh usi din mara jis Roz Aandhi chali thi"..

(As Seerat Un Nabuwwiyyah Al Maaroof, Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#4, Page#255, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Haafiz Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya yeh Aandhi kisi Munaafiq ki Moat ki Alaamat hai, phir jab hum Madinay puhnchay to Maaloom huwa, Munaafiqeen ka Peshwa Foat hogaya"..

(Dalael Un Nabuwwah, Jild#4, Page#61, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, ek Munaafiq ki Moat ki wajah se yeh Aandhi bheji gai hai, jab hum Madina Teba Puhnchay to ek Bohat Bara Munaaafiq Mar chuka tha"..

(Musnad Ahmed, Jild#3, Page#315, Raqam Ul Hadees 14418, Matboo'a Mosasta qurtuba Misar)

Imaam Abi Al Farj Abdul Rehman Al Jazwi 598 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: "HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, yeh Aandhi MAdina E Munawwarah main ek Munaafiq k Marne ki wajah se Chal rahi hai, Phir jab hum MAdina Puhnchay to Waqa'i Munaafiqeen main se ek bohat Bara Munaafiq isi din Jahannum O Asal ho chuka tha"..

(Al Wafa, Ba Hawal-E-Mustafa, Jild#1, Page#310, Matboo'a Mustafa Al Baabi, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAAM) ne farmaya, yeh Aandhi ksi Munaafiq ki Moat ki Alaamat hai, phir jab hum Madina Puhnchay to Maaloom huwa, Munaafiqeen ka Peshwa Foat hogaya"..

(Khasais Ul Kubra,Jild#1, Page#391, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Muhammad Haaroon Ma'aawiyah Deobandi Likhte hain:

" Hazrat Jaabir (Razi ALLAH Anhu) se Riwaaayat hai, k ekDafa RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ek Safar se Waapis Tashreef la rahe the, jab Madinay k Kareeb puhnchay to ek Shadeed hawa chali, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmya, yeh Hawa ek Munafiq ki Moat k liye chali hai, lihaaza jab AAP Madina main Daakhil huwe to logon ne khabar di k AAJ Rafa'a Bin Zaid mar gaya hai, yeh Shakhs Fil Haqeeqat Bohat Bara Munaafiq tha"..

(Khusoosiyaat E Mustafa (Aleh Salaam), Jild#2, PagE#250, Matboo'a Daar Ul Isha'at Karachi)

FAISLA AAP KHUD KAREN.. k Itna Kuch Batane k Baad bhi kiya NABI (ALEH SALAAM) ko GAIB ka ILM nahin??

Continue

Post 27

Post #27
HADEES # 36:

Usman Bin Af'aan (Razi ALLAH Anhu) aur ILM-E-GAIB E MUSTAFA (ALEH SALAAM)

Hafiz abu Al Qaasim Sulemaan Bin Ahmed Al Tabraani 360 Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " Tumhare Pass Ahl-E-Jannat main se ek Shakhs aaega, to Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) tashreef le aae, phir farmaya, tumhare pass Ahl e Jannat amin se ek Shakhs aega, to Hazrat Usman (Razi ALLAH Anh) tashreef le aae"..

(Tibraani Al Osatm Jild#7, Page#504, Raqam Ul Hadees 66998, MAtboo'a Maktaba Al Ma'aarif Ar Riyaaz)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayoti 911 Hijri main yahi Riwaayat karte hain:

(Bahawala: Khasais Ul Kubra, jild#2, Page#207, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Berooot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Tibraani (rehmatULAH Aleh) ne Zaid Bin Saabit (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k mene RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) se suna, k AAP ne farmaya, MEre saath Usman (Razi ALLAH Anhu) chaley, us waqt mere pass ek farishta tha, us na kaha yeh Shaheed honge, aur in ki Qoam in ko Shaheed karegi, aur hum tamaaam farishte in se Haya karte hain"..

(Khasais Ul Kubra, jild#2, Page#207, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Berooot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijir main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " Bazaar O Tibraani (RehamtULLAH Aleh) ne " Osat" main Hazrat Zubair Bin Awaam (Razi ALLAH Anhu)se Riwaayat ki, inhon ne kaha k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne Fatah E Maakkah k din ek Qureshi Aadmi ko Qatal kar k farmaya, aaj k baad Jabar k saath kisi Qureshi ko Qatal nahin kiya jaega, magar ek Aadmi Usman Bin Af'aan (Razi ALLAH Anhu) ko Qatal karega, Lihaaza tum us Aadmi ko qatal kardena, agar tum ne use Qatal na kiya to tum bakriyon ki Maanind Qatal kar diye jao ge"..

(Khasais Ul Kubra, jild#2, Page#207, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Berooot)

Imaam Jalaal Ude Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Haakim (RehmatULLAH Aleh) ne Sahi Bata kar aur Behki (RehmatULLAH) ne Abu Hurerah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, unhon ne us Waqt farmaya, jab k Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) ko Balwaaiyon ne Mehsoor kar rakha tha, k MAin ne RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) se suna hai, AAP ne farmaya, Fitnah ) Ikhtalaaf Ronama hoga, hum ne Arz kiya YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) hamaray liye is Waqt kiya Hukum hai??

AAP ne farmaya, Tum Ameer aur in Ashaab k Daaman se Waabasta rehna aur Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) ki taraf Ishaara kiya"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#207, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Abu Eesaa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " Hazrat KA'ab Marah Bin Ka'ab (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain, k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne Fitnon ka Zikar kiya, aur bataya, k woh Anqareeb waqey hone waalay hain, us waqt ek shakhs kapray se apne aap ko Dhaanpay huwe guzra, NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne farmaya, yeh Shakhs us Waqt Hidaayat par hoga, main ne kharay ho kar dekha to woh HAZRAT USMAN BIN AFAAN (Razi ALLAH Anhu), mene Phir AAP (ALEH SALAAM) ki taraf Rukh kar k Pucha, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya: Haan"..

(Sunan Tarmizi Baab Fi Manaaqib E Usman Bin Afaan (Razi ALLAH Anhu), Jild#5, PAge#628, Raqam Ul Hadees 3704, Matboo'a Daar Ul Ahya At Turaas, Al Arabi, Beroot)

Imaam Abu Eesaa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " Hazrat Abdullah Bin Umar (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Fitnon ka Zikar kiya, Phir AAP (ALEH SALAAM) ne Hazrat USman Bin Af'aan (Razi ALLAH Anhu) k Muta'alliq farmaya, k yeh Shakhs Fitnon main Mazlooman Qatal kiya jaega"..

(Sunan Tarmizi Baab Fi Manaaqib E Usman Bin Afaan (Razi ALLAH Anhu), Jild#5, PAge#630, Raqam Ul Hadees 3708, Matboo'a Daar Ul Ahya At Turaas, Al Arabi, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " Ibn-E-Maaja O Haakim (RehmatULLAH) ne SAHI bata kar, aur BEHKI O ABU NAEEM (REHAMTULLAH ALEH) ne HAZRAT AYESHA SIDDIQUE'AH (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat ki RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne HAZRAT USMAN (RAZI ALLAH ANHU) ko Bulaya aur AAP (ALEH SALAAM) in ki taraf ishara farma rahe tha, aur HAZRAT USMAN (Razi ALLAH Anhu) ka Rang Mutayaggar horaha tha, Aur JAb YOM Ud Daar yaani woh Din aaya, jis main unhen Mehsoor kiya gaya, to hum ne Arz kiya Aap jang nahin karen ge? to Hazrat USman (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya, Nahin, Q k NABI (ALEH SALAAM) ne is Amar ka mujh se Uhad (Waada) liya hain, Lihaaza main is par Apni jaan ka khayaal na rakhunga, aur Saabir rahun ga"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, PAge#207, MAtboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " Haakim O Ibn-E-Maaja Aur Abu naeem (Aleh Rehmah) ne Hazrat Ayesha Siddique'Ah (RAzi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne HAZRAT USMAAN E GANI (RAZI ALLAH ANHU) se farmaya, Bila Shuba ALLAH TA'ALA tumhen ek Qameez Pehnae ga"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#208, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, BerooT)

Continue

Post 26

Post #26

HADEES # 35:

AMMAR BIN YASIR (Razi ALLAH Anhu) se farmaya, TUMHEN BAAGI JAMA'AT SHAHEED KAREGI:

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Shekheen (RehmatULLAH) ne Abu Saeed O Muslim (RehmatULLAH Aleh) neUmme Salma (Razi ALLAH Anhu) aur Abu Qatadah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki kRASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne HAZRAT AMMAR (Razi ALLAH Anhu) se farmaya,Tumhen Baagi Jama'at Shaheed karegi, yeh Hadees Mutawatir hai, ise 10 Shabiyon ne Riwaayat kiya hai".

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#239, Matboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)

Imaam Ibn-E-Abdul Bar (rehmatULLAH Aleh) Likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) se aksar is baaray main Naqal ki gai hai k AMMAR (Razi ALLAH Anhu) ko ek Baagi Giroh Qatal karega, aur Yeh RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ka Akhbaar Ul GAIB hai aur yeh ALAAM UN NABUWWAH hai, aur Yeh HADEES SAHI hai"..

(Al Astiyaab, Zikar Hazrat Ammar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu), Jild#3, Page#1140, Ba Raqam 1863, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Imaam Abi Al Abbas Ahmed Bin Ahmed Al Khateeb 810 Hijri main bhi yahi Likhte hain:

(Bahwala: Waseela Tul Salaam Ba Nabi (ALEH SALAAM), Page#133, Matboo'a Daar Ul Garb Ul Islaami, Beroot)

Imaam No'wi (RehmatULLAH Aleh) ne bhi yahi likha:

(Bahawala: Tehzeeb Ul Asma, Jild#2, Page#351, Ba Raqam#465, MAtboo'a Daar Ul Fiqar, Beroot)

Imaam Ahmed Bin Umar O Bin Azhaak Abu Bakar As Shebaani 287 Hijri main bhi yahi Likhte hain:

(Bahawala: Al Ahaad O Al Mashaani Zikar Ammaar Bin Yaasir, Jild#1, Page#207, Raqam Ul Hadees 271, Matboo'a Daar Ur Ra'ya Ur Riyaaz)

Imaam Ibn E Abdul Bar (RehmatULLAH Aleh) bhi yahi Likhte hain:

(Bahawala: Al Isti'aab Zikar Hazrat Ammaar Bin Yasir (Razi ALLAH Anhu), Jild#3, Page#1139, Baraqam 1863, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Muhaddis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed bin Adullah Asfahani 430 Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: Hazrat Umar O Bin Deenaar (RehmatULLAH Aleh) Bayaaan karte hain, k ek Misri Shakhs ne farmaya, k Ek baar Hazrat Umar O Bin Al Aas (Razi ALLAH Anhu) ne logon mainHidaaya Taqseem kiya, Hazrat Ammaar (Razi ALLAH Anhu) ko dusron k Muqaablay main ziyaadah diya, Un se in ki Wajah Puchi gai, inhon ne farmaya, main ne in k Muta'alliq HUZOOR (ALEH SALAAM) ko yeh kehte huwe suna, Ae Ammaar tera Qaatil ek Baagi Giroh hoga"..

(Halyat Ul Oliya O Tabqaat O Al Asfiyah,Jild#7,Page#197,Matboo'a Daar Ul Kitaab Al Arabi, Beroot)

In k Ilawa Muhaddis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahani 430 Hijri main do (2) Sanadon k saaath Umm Ul Momineen Hazrat Umme Salma (Razi ALLAH Anhu) se aur Chaar (4) Sanadon k saath Hazrat Abu Saeed Khadri (RehmatULLAH Aleh) aur Ek Sanad k saath Hazrat Abdullah Bin Umar O (Razi ALLAH Anhu) se aur ek Sanad k saath Hanzla Bin Sawaid (Razi ALLAH Anhu) se is Riwaayat ko Naqal karte hain"..

(Halyat Ul Oliya O Tabqaat O Al Asfiyah,Jild#7,Page#196-197,Matboo'a Daar Ul Kitaab Al Arabi, Beroot)

Yahi Muhadis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahani 430 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Ataab Bin Saaeb k Silsila E Sanad se Abu Al Bakhtari aur Mesrah ka Qol MArwi hai:

Hazrat Ammaar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu) ko Jang Safeen k Roz Doodh pesh kiya gaya, AAP (Razi ALLAH Anhu) ne Nosh kar k farmaya, HUZOOR NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) k farmaan k Mutaabik, is k Baad mere Batan main koi cheez nahin jaegi, is k baad Ammaar (Razi ALLAH Anhu) Qataal main Mashgool hogae, aur Bil Aakhir, Qataal karte karte duniya se chale ge"..

(Hulyat Ul Oliya O Tabqaat Ul Asfiyah Zikar Ammaar Bin Yaasir, Jild#1, PAge#141, Matboo'a Daar Ul Kitaab Al Arabi, Beroot)

Imaa Abdul Maalik Bin Hasshaam 213 Hjiri main Likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Ammaar Bin Yasir (Razi ALLAH Anhu) Masjid ki jagah main daakhil huwe,Sahab E Karaaam ne in par Bohat Ziyaadah inten rekhin thin, inhon ne Arz ki YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) inhon ne mujhey halaak kar diya hai aur Mujh pe itna bojh daala hai jise main Utha nahin sakta, HAZRAT AMEER UL MOMINEEN UMME SALMA (Razi ALLAH Anhu) farmaati hain, mene NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ko dekha, AAP Apni Zulf Mubaarak ko Dast E Aqdas se saaf farma rahe the, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) k Baal Mubaarak k Baal Ghumgraalay (Curly) the, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Ae Sumaiyyah k Noor E Nazar yeh log tumhen Qatal nahin karenge, tumhen to ek Baagi Giroh Shaheed karega"..

(As Seerat Un Nabuwwah Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#3, Page#25, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Allama Abdul Qasim Abdur Rehman Bin Abdullah 571 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Jaama Mu'ammar Raashid main hai k Taameer Masjid E Nabwi k Waqt Hazrat Ammaar (Razi ALLAH Anhu) Bayak waqt Do Do (2,2) Eenten utha kar laa rahe the, Ek Eent Apni taraf se, aur Dusri Eent HUZOOR (ALEH SALAAM) ki taraf se, jab k Baaqi Log Ek Ek Eent Utha kar laa rahe the, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne HAZRAT AMMAR (Razi ALLAH Anhu) se farmaya, Logon k Liye ek Gunah jab k Tumharay liye Do (2) Gunah Ajar (Sawaab) hai, aur Dunya se Tumhari Aakhri Khuraak Doodh hoga, aur Tujhey ek Baagi Giroh Qatal karega"..

(Roza Al Anaf Zikar Sumiya Um Ammar, Jild#2, Page#338, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Muhammad Bin Saad (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:

Tarjuma: " Abi Al Bakhtari (RehmatULLAH Aleh) bayaan karte hain k Jang E Safeen main Ammaar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu) ne kaha k mere pass Doodh ka Sharbat laao q k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne mujh se farmaya k Dunya ka Aakhri Sharbat jo tum piyo ge, woh Doodh ka sharabat hoga, Doodh laya gaya, us Doodh ko unhon ne Nosh farmaya, Phir Aage barhe aur Shaheed hogae...

Abi Al Bakhtari (RehmatULLAH Aleh) bayaan karte hain k us roz Ammaar Bin Yasir (Razi ALLAH Anhu) k pass Doodh laya gaya, to woh Muskurae aur kaha k Mujh se RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, k sab se Aakhri Mashroob jo tum Piyo ge, woh Doodh hoga, yahaan tak ise pee kar tum Dunya se Rukhsat hojao ge"..

(Tabqaat Ibn-E-Saad, Jild#3,Page#257, MAtboo'a Daar Us Saadir, BerooT)

Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Ammaaar (Razi ALLAH Anhu) ki kaneez se Riwaayat hai k unhon ne kaha k HAZRAT AMMAAR (Razi ALLAH Anhu) ko Sakht Beemaari Laahak huwi aur un par Behoshi Taari hogai, phir unhen Afaaqa huwa, to dekha k hun sab in Gird ro rahe hain, unhon ne farmaya, kiya log dar rahe the k main apne Bistar par Mar jaounga, Mujhey mere HABEEB RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne khabat di hai k Mujhey Baagi Jama'at Qatal karegi aur Dunya main meri Aakhri Giza Paani Mila huwa Doodh hoga"..

(Dalael Un Nabuwwaah, Jild#6, Page#421, MAtboo'a Daar Ul Qutub, Ilmiyah, Beroot)

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#239, Matboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hiri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Imaam Ahmed Bin Saad O Tibraani O Haakim (RehmatULLAH Aleh) ne Sahikar behki O Abu Naeem (RehamtULLAH Aleh) se Abu Al Bakhtari (RehamtULLAH Aleh) se Riwaayat ki k, Yom E Safeen ko Hazrat Ammaar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu) k Paas doodh ka piyaala laaya gaya, use dekh kar unhon ne Tabassum kiya, logon ne pucha is main Hansne ki konsi baat hai, unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, Dunya main Aakhri Giza jise tum piyo ge, woh Doodh ka Sharbat hai, is k baad woh Aage Barhe aur Shaheed hogae"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#239, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)

Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Huzail (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) tashreef lae, Logon ne Arz kiya Hazrat Ammaar (RAzi ALLAH Anhu) par chat gir gai hai, aur woh foat hogae hain, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Woh FOAT nahin huwe hain"..

(Fazail E Sahaba, La Bin Hambal,Jild#2, Page#857, Raqam Ul Hadees 1597, Matboo'a Mosasta Ar Risaala, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hiri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Ibn-E-Saad (RehmatULLAH Aleh) ne Huzail (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat kik unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) tashreef lae, logon ne kaha k Hazrat Ammaar par chat gir gai hai, aur woh Foat hogae hain, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Hazrat Ammaar (Razi ALLAH Anhu) foat nahin huwe hain"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, PAge#239, MAtboo'a Daar ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)

Fasila Khud karen, Hazrat Ammaar ko batana, k Un ko Ek Baagi giroh Qatal karega aur un ki Aakhri Giza Doodh hogi, Yeh ILM-E-GAIb hai ya nahin??

Hazrat Ammaar (Razi ALLAH Anhu) ka ILM-E-GAIb ka Aqeeedah dekhen, k Un ko PAkka Yakeen tha, k Bas un k HABEEB NABI (ALEH SALAAM) ne keh diya, k Baagi Giroh Qatal karega, aur Aakhri Giza Doodh hai to bas... Yeh hota hai Ishq E RASOOL (ALEH SALAAM) aur un k Atai ILM-E-GAIB pe Aqeedah rakhna..

Continue

Post 25

Post #25

HADEES # 33:

LEKIN WOH SHAKHS NAALEN MUBARAK KO SEENAY WAALA SHAKHS HAI, YAANI HAZRAT ALI MURTAZA (RAZI ALLAH ANHU):

Imaam Muhib'Bud'Deen Abu Al Abbas Ahmed Bin Abdullah 694 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abu Saeed Khadri (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain, k mene HUZOOR (ALEH SALAAM) se suna k beshak tum main se ek Taaweel Qura'an pe Jhagra karega, jese k is k Nuzool par jhagra kiya tha to, Hazrat Abu Bakkar (Razi ALLAH Anhu) farmane lage, kiya woh main hun Ae ALLAH k RASOOL (ALEH SALAAM), to HUZOOR (ALEH SALAAM) farmaanay lage, nahin, Balkay Jootay k Seenay waala Hujray main hai,aur HAZRAT ALI (Razi ALLAH Anhu) ko Joota Mubaarak diya tha, taa k is ko si lay"..

(Zakhair Ul Aqi Fi Manaqib Zawi Al Qarbi, Page#76, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Masriyah)

Imaam ahmed Bin Hambal 241 Hijri main yahi Riwaayat karte hain:

(Ba Hawala: Fazail E Sahaba La Bin Hambal, Jild#1, age#571, Raqam Ul Hadees 966, Matboo'a Mosasta Ar Risaala, Beroot)

Imaam Bagdaadi (RehmatULLAH) ne bhi yahi likha:

(Ba Hawala: Taareekh E Bagdaadi, Jild#8, Page#433, Ba Raqam 4540, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah BerooT)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Haakim (RehmatULLAH) ne Sahi bata kar Behki (RehmatULLAH ALEH) ne Abu Saeed (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki unhon ne kaha k hum RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) k saath the, AAP ki Naalen Mubaarak toot gai, to HAZRAT ALI MURTAZA (Razi ALLAH Anhu) Peeche reh kar ise seenay lage, phir kuch door chal kar farmaya, tum main se ek Shakhs woh hai jo Quraan ki Taaweel par jang karega, jis tarah k main us ki Tanzeel par jang karta hun, Hazrat Abu Bakar Siddique (Razi ALLAH Anhu) ne Arz kiya, Kiya woh main hun??

Farmaya: Nahin

Hazrat Umar E Faarooq (Razi ALLAH Anhu) ne Arz ki Kiya YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) main hun??

Farmaya: Nahin

Lekin woh Shakhs Naalen Mubarak ko seenay waala shakhs hai, Yaani HAZRAT ALI MURTAZA (Razi ALLAH Anhu)"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#234,Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Faisla Khud karen, Pehle se hi Bata dena, k Woh Shakhs Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) honge, yeh Gaib ka ILM hai ya nahin..

HADEES # 34:

SAB SE PEHLE JO MERI SUNNAT KO BADLAY GA WOH BANI UMMAIYYAH KA AADMI HOGA (YAANI YAZEED):

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Ibn-E-Abi-Sheeba O Abu Ya'Ali Aur Behki (RehmatULLAH) Abu Zar (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k Mene RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) se suna hai k AAP ne farmaya, sab se pehle jo meri Sunnat ko Badlay ga, woh Bani Ummaiyah ka Aadmi hoga".

Behki (RehmatULLAH ALEH) ne farmaya, Shuba hota hai, k Gaaliban woh Aadmi YAZEED BIN MAAWIYAH HAI"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#236, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Haaris Bin Abi Usama 282 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abu Ubaidah Bin Al Jarah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, yeh Deen Hamesha Mu'at'tadal aur Adal O Insaaf par Qaem rahe ga, Al Bat'ta, Bani Ummaiyyah ka ek Aadmi jis ka naam Yazeed hai, us main Rakhna Daaley ga"..

(Bagyat Ul Baahis An Zawaid, Musannad Ul Haaris,jild#2, Page#642, Raqam Ul Hadees 616, Matboo'a Markaz E Khidmat Al Sunnah, Wa Seerat Un Nabuuwwah, Al Madina Tul Munawwarah)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayoti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Ibn-E-Mani O Behki Aur Abu nAeem (RehmatULLAH Aleh) ne Abu Ubaidah Bin Al Jarrah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k Unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, Yeh Deen Hamesha Mu'attadal aur Insaaf par Qaem rahe ga, Al Bat'ta Bani Ummaiyyah ka ek Aadmi jis ka naam Yazeed hai, is main Rakhna Daale ga"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#236, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Abu Naeem (RehmatULLAH ALEH) ne Maaz Bin Jabal (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne farmaya tum par Andheri raat k tukray ki maanind fitnay aaye, jab Ek RASOOL Gaya, aur Dusra RASOOL aa gaya,aur NABUWWAT mansookh hogai, aur Baadshahat Aagai, Ae Maaz (Razi ALLAH Anhu) Yaad rakho, aur Gino (Phir Fitnay batana Shoru kiye) aur jab 5 tak puhnchay, to Farmaya, Yazeed, ALLAH Azzawajal, Yazeed main Barkat na de, is k baad AAP (ALEH SALAAM) ki Aankhon se Behnay lage, aur farmaya, mujhey Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) ki Shahaadat ki khabar di gai, aur in k Maqtal ki Mitti lai gai, aur Mujhey in k Qaatil ki Khabar di gai, Is k Baad jab 10 Tak puhchay, to farmaya, Waleed, Yeh Firon ka naam hai, Woh Islami Shariyat ka Dhaanay waala hoga, is k Ahl-E-Bait ka ek Aadmi us ka khoon bahaega"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#237,Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Faisla Khud karen.. kiya yeh Ilm-E-GAIB nahin, k Pehle se Yazeed ka bata dena, k Sab se pehle Sunnat Badalna Wala Aadmi Yazeed hoga..

Note: Wahabi Yazeed ko Sahi ko Maante hain, ab Aage aap khud samajh jaen, k Wohi Pehla Aadmi tha, NABI (ALEH SALAAM) ki Sunnat ko badlne waala, to us k Chahne waale Kese honge, aur Yahi Baat hai, k Yeh log ILM-E-GAIB k Munkir hain..

Continue

Post 24

Post #24

HADEES # 31:

DO AZEEM GIROH K DARMIYAAN ALLAH AZZAWAJAL US K ZARIYE SULAH KARWAE GA:

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Bukhari (RehmatULLAH Aleh) ne, Abu Bakar (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat Imaam Hasan (Razi ALLAH Anhu) ki Baabat farmaya, Mera Yeh Farzand Sardaar hai, aur Tawwaqqah hai k ALLAH Azzawajal Musalmaanon k Do Azeem Girohon k Darmiyaan us k Zariye Sulah karae ga"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#226, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Ismail Bin Muhammad Bin Al Fazal Al As Subhani 535 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Imaam (RehmatULLAH Aleh) farmate hain k yeh Hadees Nabuwwat par Dalaalat karti hai k Isi tarah huwa jesa k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya tha, k ALLAH Azzawajal ne Us k Zariye Iraaqi aur Shaami Lashkaron main Sulah Farmadi"..

(Dalael E Nabuwwah, Page#112, Raqam Ul Hadees 114, Matboo'a Daar Ul Taeba Riyaaz)

Faisla Khud karen k NABI (ALEH SALAAM) ne pehle hi Bata diya k Imaam Hassan (Razi ALLAH Anhu) Do (2) Baray Giroh k Darmiyaan sulah karwaen ge.. Aur Aesa hi juwa, To yeh ILM-E-GAIB nahin to aur kiya hai??

HADEES # 32:

UMM E WARQAH BIN NOFIL (Razi ALLAH Anhu) SHAHEED HAI:

Imaam Behki (RehmatULLAH) Likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat UMM E Warqah Bint Al Haaris (Razi ALLAH Anhu) ki Mulaaqat k liyeRASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Tashreef le jaate, Aur AAP ne Un ka Naam As Shaheedah rakha tha, woh Quraan ki Haafiza thin, Jab RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Gazwah E Badar Tashreef le gae, to unhon ne kaha Aap Mujhey ijaazat den, to main bhi aap k saath jaaoun aur Mareezon ki Zakham Patti aur Beemaaaron ki Temaadaari karun, Shayad ALLAH TA'ALA mujhey Shahaadat Ata farmae, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, ALLAH TA'ALA tum ko Shahaadat Ata farmae ga, aur AAP in ko As Shaheedah kehte the, aur NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne in ko Hukum diya tha, k woh apne Ghar ki Khawaateen ki Imaamat kiya karen, in ko Maal E Ganeemat main se ek Baandi aur Ek Ghulaam mila tha, jin ko unhon ne Madbar kar diya tha, (Yaani un se keh diya tha, k mere marnay k baad tum azaad ho).. HAZRAT UMAR (RAZI ALLAH ANHU) k Dor E Khilaafat main in donon ne Hazrat Umme Warqah (Razi ALLAH Anhu) ko Qatal kar diya aur donon Bhaag gae, Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) k Hukum se unko pakar liya gaya, aur un donon ko Suli par latka diya gaya, Madinay Taebah main in ko sab se pehli Sooli di gai thi, Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) ne kaha, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Sach farmaya tha, AAP farmate the, Chalo As Shaheedah ki Ziyaarat k liye chalen"..

(sunan Al Kubra,Jild#3,Page#130,Raqam Ul Hadees 5136, Matboo'a Maktab Daar Ul Baaz, Makah Mukarrama)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Abu Daaod Naeem (Aleh Rehmah) ne Jamee aur Abdur Rehman Bin Khalaad Ansaari (Razi ALLAH Annhu) se in donon ne Umme Warqah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k NABI (ALEH SALAAM) jab badar gae to, Umme Warqah Bin Nofil (Razi ALLAH Anhu) ne Arz kiya, YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM)! Mujhey Gazwah E Badar main Apni Ma'yyat main Jaane ki Ijaazat Dijiye, Mumkin hai k ALLAH TA'ALA mujhey Shahaadat Naseeb farmae, AAP ne farmaya Tum Apne Ghar main Bethi raho, ALLAH Azzawajal tumhen Shahaadat Naseeb farmae ga, to in ko Lod Shaheedah k naam se Pukaarte the..

Is ki Shahaadat ka Waqiyah yeh huwa k woh Quraan E Kareem ki Tilaawat kar rahi thin, aur unhon ne Ek Ghulaam aur Baandhi ko Madbar kiya tha, woh donon raat k Waqt in k pass aae, aur ek Chaadar se in ka Gala Ghont diya, yahaan tak k woh Foat hogain, Yeh Waqiyah HAZRAT UMAR E FAROOQ (Razi ALLAH Anhu) k Zamana E Khilaafat ka hai, phir un ko pakar k Sooli de di gai, yeh Madine Munawwarah ki se Pehli Sooli Charne waalay the"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#228-229, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)

Imaam Ibn-E-Saad (Aleh Rehmah) likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Umar E Faarooq (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne sach farmaya tha, k AAP (ALEH SALAAM) farmate the, k Aao Shaheedah ki Mulaaqaat k liye Chalen"..

(Tabqaat Ibn-E-Saad, Jld#8,Page#475,Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot)

Faisla Hkud karen, k Umme Warqah ko Shaheed hone s pehle batana, k Woh Shaheed hongi, aur un ko As Shaheedah keh k Pukaarna Yeh ILM-E-GAIB hai ya nahin??

Continue

Post 23

Post #23

HADEES # 30:

OWAIS KARNI (Razi ALLAH Anhu) Aur ILM-E-GAIB-E-Mustafa (Sallalaho Alehe Wassallam):

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Muslim (Aleh Rehmah) ne Ameer Ul Momineen Hazrat Umar-E-Faarooq (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne hum se Irshaad farmaya k Ahl-E-Aman ka ek Shakhs Tumharay pass Aaega, aur Yaman main Sirf Apni Waalidah ko hi chor kar aaaega, Is k Jism par Safedi thi to, usne ALLAH Azzawajal se Use Dur karne ki dua ki to, woh Safedi dur Jati rahi, Sirf Ek Deenaar k barabar Safedi baaqi hai, is ka naam Owais (Aleh Rehmah) hai, to tum main se jo koi us se Mulaqaat kare, to use Chahiye k us se Magfirat ki Darkhuwaast ki dua kare"..

(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, Page#220, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH) ne Dusri Sanad k saath, Hazrat Umar-E-Farooq (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, K RASOOL (ALEH SALAAM) ne farmaya, k Taba'een main, Qur'n ka ek Shakhs hoga, jis ka naam Owais E Karni (Aleh Rehmah) hoga, is k Jisam main Safedi Zaahir hogi, woh ALLAH Azzawajal se use Dur karne ki dua karega, aur Woh Dur hojaegi,woh dua karega, " Ae Khuda! MEre jism se is Safedi ko dur kar de, aur mere jism main itni safedi chor de, k main teri nemat ko yaad rakhun, to ALLAH TA'ALA Azzawajal us k jism main itni safedi chor de ga, lihaaza tum main se agar koi us se mile, aur woh ista'taa'at rakhta ho k is se Istagfar kare to use Laazim hai k Us se Istagfaar ki darkhuwaast kare"..

(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, PAge#220, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Muhaddis E KAbeerImaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Sahaba E KAraam (Razi ALLAH Anhu) kehne lage, Ya RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) in Buzrugon main humen koi Aadmi mil sakta hai??

Farmaya: Haan " Owais Karni" hai, jis se tumhari Mulaaqaat hogi, Sahab E Karaam (Razi ALLAH Anhu) ne Owais Karni (Razi ALLAH Anhu) ki Alaamaat puchin,

farmaya: Jis ki Aankhen Surkh Maael Hongi, Surkh Baalon Waala hoga, Kushada Kaandhon waala, Darmiyaan E Qad Waala, Gandum Go, Seenay par Baalon Waala, Daayaan Baaen par rakhe ga, Qura'an ki Tilaawat kare ga, aur Apne par Bohat Rota hoga, Suno Us k Baa'en Kaandhay k neeche ek chamak hogi, Ahl E Zameen main use koi nahin jaanta, Ooon ka Ozaar Baandha hoga, Ooon hi ki Chaadar Orhi hogi, Khoob sun lo , Qayaamat k Din Aam logon se Kaha jawega, k Jannat main daakhil hojao, aur Owais Karni (Razi ALLAH Anhu) se kaha jaega, k Idhar kharey hojao, aur Shafa'at karo, tumhaari Shafa'at Kabool ki jae gi, Ae Umar O Ali jab tumhari in se Mulaaqaat hogi, to in se Istagfaar karwaana, ALLAH Tumhari Magfirat farmae ga"..

(Huliya Tul Oliya O Tabkaat, Jild#2, Page#82, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah Beroot)

Imaam Muhammad Bin Saad (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, is Ummat main mera Khaleel Owais Karni hai"..

(Tabkaat Ibn-E-Saad, Jild#6, Page#163, MAtbo'a Daar Us Saadir Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Ibn-E-Saad O Haakim (Aleh Rehmah) ne Abdur Rehman Bin Abu Laili (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, unhon ne kaha k Jang Safeen k Roz Ahl-E-Shaam k ek Aadmi ne Pukaara k kiya Tum main Owais Karni (Aleh Rehma) hain??

Logon ne jawaab diya, Haan hain..

Us ne kaha mene NABI (ALEH SALAAM) se suna hai, k Owais Karni (Aleh Rehma) Khair Ut Ta'ba'een hain..

Is k Baad woh Shakhs apne Ghoray ko Aerh laga kar apne lashkar main chala gaya"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#220, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)

Imaam Abu Naeem Asfahaani (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:

TArjuma: " Hazrat Muhaarib Bin Dasaar (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Irshaad farmaya, Bila Shuba meri Ummat main se aese log hain, jo nangay honay ki wajah se apni Masjid aur Eid Gah main nahin ja sakte, aur un ka Eemaan unko logon se maangne se Rokta hai, un main se Owais Karni aur Faraat Bin Hayaar (Razi ALLAH Anhu) hain"..

(Halya Tul Oliya O Tabkaat, Jild#9, Page#38, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Ibn E Saad O Haakim (RehmatULLAH) ne Batareek Aseer Bin Jaabir (Aleh Rehmah) Hazrat Umar (razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, inhon ne Hazrat Owais KArni (RehmatULLAH Aleh) se farmaya, Aap mere liye IStagfaar farmaen, Owais Karni (RehmatULLAH Aleh) ne famraya, main Aap k liye q kar Istagfaar karun?? Jab k AAP Khud RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) k Sahaabi hain..

Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya, Main ne RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) se Suna hai, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Khair Ut Taab'aeen woh Shakhs hai, jis ka Naam Owais Karni (RehmatULLAH Aleh) hai"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#221,Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Yeh Hadees Bad Aqeedah Fitnon k Moon par Tamacha hai.. Q k is main HUZOOR (ALEH SALAAM) k Ilm-E-Gaib ki Daleel bhi hai, aur Waseelay ka Saboot bhi...

HUZOOR (ALEH SALAAM) ka Sahaba E Karaam ko Owais Karni k Baaray main Batana, k Woh kis tarah k honge, aur Mulaaqaat bhi hogi, wagera.. aur woh Baroz E Qayaamat Shafa'at bhi karenge, yeh Ilm-E-Gaib ka Saboot hai..

Aur OWais Karni se Dua ki Darkhuwaast karna, aur ALLAH ka Istagfaar kabool karna, yeh Waseelay k Dalael main se hai..

Faisla Aap khud karen..

Continue