async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: meelad un nabi ﷺ
Showing posts with label meelad un nabi ﷺ. Show all posts
Showing posts with label meelad un nabi ﷺ. Show all posts

Thursday, November 19, 2015

Milaad-un-Nabi Par Khushiya Manane Ki Wajah *

Milaad-un-Nabi Par Khushiya Manane Ki Wajah *

Nabi-e-Paak ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Wiladat Par Khushi Manane Ki Wajah Quraan Se ! 

♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! 

» “Aap ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Keh Dijiye Allah Ke Fazal Aur Rehmat Ke Husool Par Khushi Manao”. 
-: (Surah Younus : Aayat-58) 

» “Aur Hum Ne Aap ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Tamam Jahano Ke Liye Rehmat Baana Kar Bheja”. 
-: (Surah Anbiyaa : Aayat-107)

Khud Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Ne Majma-A-Sahaba Ke Saamne Mimber Per Khade Hoker Apni Wiladat Pak Aur Apne Ausaaf Bayaan Farmaya! Jisse Malum Hua Ki Milaad Padhna Sunnat-A-Rasool SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Bhi Hain!

Chunanche, Hazrat Abbaas Radi-Allahu-Anhu Se Riwayat Hain Ki Ek Din Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Khidmat May Main Haazir Hua! Shayed Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Tak Khaber Pahuchi Thi Kuch Log Hamare Nasab Pak May Ta'an Karte Hain!

"Faka-Man-Nabiyu-Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam-Alal-Mimber-A-Fakala-Man-Ana!"

Bas Mimber Per Qayaam Farmaker Pucha Batao Main Kaun Hoon?

Sabne Arz Kiya Ki Aap Rasoolallah Hain, Farmaya Main Mohammad Ibne Abdullah Ibne Abdul Muttalib Hoon! ALLAH Ne Makhluk Ko Paida Farmaya, To Humko Behtarin Makhluk Mayse Kiya, Fir Unke 2 Hisse Kiye Arab Wa Ajam! Humko Unme Se Behter Yani Arab Mayse Kiya Fir Arab Ke Chnd Qabile Farmaye! Humko Unke Behter Yani Quraish Mayse Kiya! Fir Quraish May Chnd Khandaan Banaye! Humko Un Mayse Sabse Behter Khandaan Yani Bani-Haashim Mayse Kiya!

Ham Khatumun Nabiyeen Hain Aur Ham Hazrat Ibrahim Ki Dua, Hazrat Isa Ki Basharat Aur Apni Walida Ka Didaar Hain! Jo Ki Unohne Hamari Wiladat Ke Waqt Dekha Ki Unse Ek Noor Chamka Jisse Sham Ki Imaratain Unko Nazar Aayi!

Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Ne Apna Nasab Nama Apni Nath-Sharif Apni Wiladat Pak Ka Wakeya Bayaan Farmaya! Yahi Milaad Sharif May Hota Hain!

Aisi Sekdon Aa-Hadees Pesh Ki Ja Sakti Hain!

(Mishkaat Jild-2 Baab Fazayil-A-Sayyadul Mursalin Fasl-A-Saani Pg-513)

Eid-e-Miladun Nabi Mubarak Kyu Manate hai? …

∗ Eid-e-Miladun Nabi Mubarak Kyu Manate hai? …. 

12 Rabiul Awwal Sharif ka wo Mubarak Din hai jisme Aaftab-e-Risalat ne Tulue hokar tamam Duniya ko apni Roshni se Munawwar kar diya. Farjandane Tohid iss Din ko yaad karke Dili khushi ka izhar karte hai. Sham-e-Risalat ke parwane Sarwar-e-Qaynat Ki Muqaddas Sirat, Fazail wa kamalat, Humdo Naat ke Purkaif nagmo se apne Dilo ko Munawwar karke Rub Tala ka Shukriya Karte hai aur Apne Aaqa Ke Darbar me Dilse Durood-o-Salaam pesh karke sa’adat Darren hasil karte hai. 

Lekin baj aise Badnasib bhi hai jo Wiladat-e-Rasool par khushi ki iss badi sa’adat se Mehrum hai aur Dusre Musalmano ko bhi Mehrum Karne ki Koshish karte hai. 

Quran-e-Muqaddas me Allah irshad farmata hai, 
“Yad dilao Unhe Allah tala ke din” -: (Surah Ibrahim) 

Issi aayat ke tehat Hazrat Abdullah Bin Abbas farmate hai ke “Ayyamullah se Murada wo din hai jinme Allah Ta’ala ne Apne Bando par inaam aur nemato ki barish farmayi”. 

Toh Yakinan Rehmat-e-Aalam ki wiladat se badh kar aur kya neamat ho sakti hai. 
Sahibe Tafsire Ruhool bayan farmate hai ki, “Milad Sharif Karna bhi Rasool-e-Akram ki TaZim hai” 
-: (Jild 5, Safa 661) 

Beshak Milad-e-Mustfa Shab-e-Eid, Shab-e-Meraj, Shabe-Barat yaha tak ke Lailatul Qadra se bhi Afzal hai. Kyunki ye sub Raatein Huzoor hi ke Sadqe aur Tufail me Hum Musalmano ko nasib hui hai. Khushi jahir karne ka waqt Lailatul Qadra he toh Huzoor ke juhnor ka waqt Eid-e-Milad hai. Milaudun Nabi ka Sabut Quran-e-Pak me Para-3, Ruku-16 me bhi saf maujud hai. Jo iska inkar karte hai wo Quran ke Munkir hai. 
Allah pak Musalmano ko Milad-e-Mustfa ke tufail har gumrahi se mehfooz rakhe. Aur hum subko Humare Pyare Aaqa Ki Pyari Sunnato par amal karne ki tofik ata farmaye. Allah tala is Mubarak Din Ke Sadke aur tufail hum subki pareshaniya dur farmaye. 
Aameen 
(Ek Martba Durud-E-Paak Padhe)

KYA YE SAARE ULEMA, FUQAHA, MUFASSIREEN AUR MUHADISSEEN BIDATI THE nouzubillah

KYA YE SAARE ULEMA, FUQAHA, MUFASSIREEN AUR MUHADISSEEN BIDATI THE ????????

1. Imam Jalalludin Suyuti (born in 849 Hijri) ne apni kitaab " Husnul Maqsad fi Amalil Mawlid" mein Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.

2. Mulla Ali Qari - (1014 Hijri) ne apni Kitab "Al Morid ul Ruvi fi MaulidinNabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ " mein Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.

3. Muhaddis Imam Ibne Jawzi (born in 510hijri) ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha - kitab - Ibne Jawzi, Al Milad un Nabi.

4. Imam Shamsuddin al Juzri (660 hijri) ne Jaiz kaha -kitab - "Husnul Maqsid fi Amalil Mawlid"

5. Imam Nawawi ke shaykh Imam Abu Shama (born in 599 hijri) ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha - kitab- "Al Baais Ala inkaril Bada val Hawadis" and "Sublul Huda val Rushad by Imam Salihi.

6. Imam Zahbi (673 hijri) ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha - kitab -"Sayer ul A'alam van nubala"

7. Imam Ibne Kaseer (701 Hijri ) ne Al Bidaya wan Nihaya main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.

8. Imam Shamsuddin bin Naseeruddin Damashqi (777 hijri) ne apni Kitab "Mawridul Saadi fi Mawlidil Haadi" main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.

9. Imam Ibne Hajar Asqalani (773 hijri ) - ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha - kitab - "Suyuti - Husnul Maqsad fi Amalil Mawlid"

10. Imam Shamsuddin al Sakhawi (831 h) ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha - kitab- "Sublul Huda val Rushad by Imam Salihi

11. Imam Qustulani (851 hijri) ne apni kitaab "Al Mawahib ul Laduniya" main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.

12. Imam Qutubudin Hanafi (988) ne Apni kitab "Al a'alam be A'alam e Baitillahil Haram " main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.

13. Imam Ibne Hajar Makki (909 hijri) ne Fatawa Haadisia mein Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.

14. Shaykh Abdul Haq Muhaddis Dehelwi (958 hijri) ne "Ma sabat minas sunnah " main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.

15. Imam Zarqani (1055 hijri) ne "Sharah Mawahibul Laduniya " main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.

16. Hazrat Shah Abdur Rahim Dehelwi ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha - kitab - "Al dur rus sameen"

17. Shah Waliyyullah Muhaddis Dehelwi (1174 h) ne "Fuyuz ul Haramain " main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.

18. Haji Imdadullah Muhajir Makki (1233 h) ne "Shamaim e Imdadiya
Aur Faisala e Haft Mas'ala " mein Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.

19. Maulana Abdul Hay Lakhnawi (1264 h) ne "Fatawa Abdul Hay" main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manane ko jaiz kaha.

20. Aalahazrat azeemul barkat Imam Ahmed Raza (1272 h) ne Jashn e Eid Miladun Nabi manaane ko jaiz kaha. Farmaate hai

Hashr tak Daalenge hum Paidaish e Maula ki Dhoom
Misl e faaras najd k qile giraate jaayenge.

♥●● !! ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм

Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI WILADAT 12 RABIULAVVAL IJMA

Nabi
صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI WILADAT 12 RABIULAVVAL IJMA
 

HUZUR KI WILADAT KI TARIKH 12 RABIUL AVVAL HONE PAR AKSAR AKABIRIN KA IJMA ###

JO BADMAJHAB KEHTE HEKI 12 RABIUL AVVAL KO HUZUR KI WILADAT NAHI HUI IS PAR SABHI AKABIRIN YAHA TAK KI INKE BADE OLAMA KI BHI YAHI TEHKIK HE KI WILADAT KI TARIKH 12 HE....

¤ MILAD UN NABI صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ¤

¤ PART 1 ¤

¤ 12 RABI UL AWWAL - HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِKI WILADAT KI TAREEKH PAR IJMA ¤

¤ AIMAH E AHLE SUNNAT AUR ULEMA E WAHABIYA KI TEHQEEQ:

1. IMAM IBN ISHAAQ (TABAIEE) رضي الله تعالى عنه (Born in 85 h)
[Ibn Jawzi - Al wafa'a:87]

2. ALLAMA IBN HISHAAM رضي الله تعالى عنه (Died in 213h)
[Ibn Hishaam - Sirat un Nabwi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ, jild 1, pg
158]

3. IMAM IBN JAREER TABARI رحمۃ اللہ علیہ (225h - 310h)
[Tareekh ul Umam wal malook, jild 2, pg
125]

4. ALLAMA ABU AL HASAN ALI BIN
MUHAMMAD AL MAWARDI رحمۃ اللہ علیہ(370h -
429h)
[ A'laam ul Nubuwah: 192]

5. IMAM AL HAFIZ ABU AL FATAH AL
UNDLUSI رحمۃ اللہ علیہ(671h - 734h)
[Auyunul Aasar, jild 1, pg 33]

6. ALLAMA IBN KHULDOON رحمۃ اللہ علیہ (732h - 808h)
[Tareekh Ibn Khuldoon, jild 2, pg 394;
Ibn khuldoon , Sirat un Nubuwah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ : 81]

7. MUHAMMAD AL SAADIQ EBRAHIM
AURJOON رحمۃ اللہ علیہ
[ Muhammadur Rasulullah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ, jild 1, pg
102]

8. SHAYKH MUHAQIQ SHAH ABDUL HAQ
MUHADDIS DEHELVI رحمۃ اللہ علیہ(950h - 1052h)
[Madarijun Nubuwah, jild 2, pg 14]

9. NAWAAB MUHAMMAD SIDDIQ HASAN
KHAN BHOPALI
WAHABI
[Al Shama matul Ambariya fi Mawlude
khairul Bariya : 7]

10. MUFTI MUHAMMAD SHAFI USMAANI
DEOBANDI
[Sirat khatamil Ambiya awjazu sayrali
khairil Bashar]

11. MAULVI ASHRAF ALI THANVI DEOBANDI
[Nashrut teeb]

Eid-Milad Nabi Sallallaho alaihe wasallam ke din sirf Khushi

Eid-Milad Nabi Sallallaho alaihe wasallam ke din sirf Khushi
 

Eid-Milad Nabi Sallallaho alaihe wasallam ke din sirf Khushi manana chahiye, wisaal par Gham nahi:
.
Imam Suyuti farmate hain:
Nabi Sallallaho alaihe wasallam ki wiladat hamare liye bahot badi nemat hai aur apka wisaal hume udas karne wala bhi hai. Aur Shariat ne hume nematon par khushi manane ka hukm diya hai par Gham aur musibat ko chhupane aur sabr ka hukm diya hai.
Isiliye shariat ne Paidaish par Aqiqa karne ka hukm diya jo ki ALLAH ki shukr guzari ka tariqa hai.
jabki kisi ki maut par janwar zibah karna ya matam ka hukm nahi hai.
Isliye shariat ki roshni me Nabi Sallallaho alaihe wasallam ki Milad par khushi manani chahiye.

[Husn al-Maqsad fi Amal al-Mawlid Page No. 54-55]
.

12 Rabiul Awwal Par Wilaadat Ki Khushi Kyu?Wisaal Ka Gham Kyu Nahi? AlJawaab« Imaam Jalaluddin Suyuti rehmatullh aley )849 hijri( Imaam Jalaluddin Suyuti Se Jab ye Suwaal Kiya Gaya Toh Aap ne Farmaya Beshak Aap sallallahu alaihi wa aalihi wasallam Ki Wiladat Hamare Liye Naamat e Uzma Hai Aur Aap sallallahu alaihi wa aalihi wa sallam ki Wafaat Hamare Liye Sabse Badi Musibat Hai Ta'ham Shariat Ne Naamat Par Izhaar e Shukr Ka Hukm Diya hai aur Musibat Par Sabar W Sukoon Aur Ise Chupane Ka Hukm Diya Hai Isi Liye Shariat Ne Wiladat Ke Mauqe Par Aqiqa Ka Hukm Diya Hai Aur Ye Aqiqa Allah Ka Shukr Aur Khushi Ke Izhaar Ki Ek Surat Hai Jabke Maut Ke Waqt Nauha Waghaira Se Mana Farmaya Gaya Hai Lihaza Shariat Ke Qawaid Ka Taqaza Hai Ke Mahe RabiulAwwal Mei Wiladate Ba Sa'adat Par Khushi Ka Izhaar Kiya Jaye Na ke Wisaal Ki Wajah Se Gham Ka}

[Suyuti-Alhaawi lil Fatawa page206]

[As-Suyuti – Rahimuhullah in Al Hawi lil Fatawi, Volume 1, Page No. 298, Published by Maktaba al Asriya, Beirut, Lebanon]

12 Rabiul Awaal Sharif Ko Kis Rang Ka Jhanda Lehratay The?

12 Rabiul Awaal Sharif Ko Kis Rang Ka Jhanda Lehratay The?
 

SAWAL: Sahaba Karam (Radiallahanha Ajmain) 12 Rabiul Awaal Sharfi Ko Kis Rang Ka Jhanda Lehratay Thay? 

Answer :  

Sahaba Karam Nay Amad-E- Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Par Mukhtalif Kism Kay Jhanday Lehra Kar Apni Kushi Ka Izhar Kiya Hai { Madarajatul Nabuwat Vol 2 Page 62} Balki Mashoor Sahabi Hazrat Barida Aslami Nay To Apnay Amama Sharif Ko Jhnada Banakar Apnay Nezay Par Lehraya Tha 

{ Madrajajatul Nabuwat Vol2 Page 62}

Eid e Miladun nabi hum kyu manate hai kya quran ya Hadis me ye likha hai..?? 


????Eid e Miladun nabi hum kyu manate hai kya quran ya Hadis me ye likha hai..?? 

????Pehle yeh jaan lain ke ahl-e-sunnat k nazdeek eid milaad un Nabi manana koi farz ya wajib nahi, yeh aik MUSTAHAB amal hai, jo kare usko Sawab milega aur jo nahi manata usper koi gunah nahi.

????Ab baat yeh aati hai k kya ISLAM humain ijazat deta hai Eid milaad-un-nabimanane ki, ya nahi,

????Iska jawab yeh hai k

Quran-o-hadees ki roshni main Eid-MilaadUn nabi SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM manana bilkul jaiz hai,koi bhi dosre maslake ka aalim aaj tak sharai daleel milaad k HARAM ya najaiz hone ki na aaj tak laa saka hai na la sakey ga.

????Aaiye dekhte hain k Quran aur hadees ki roshnimain milaad manana kaisa

????Quran mainHazoor SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM Ko tamaam jahano k liye Rehmat kaha gaya

(????SuraAmbiya:107)

Aik aur jaga Quran main irshad hua:"ALLAH TA'ALA ki atta kar darehmaton ka khoob charcha karo"

(SuraYounus:58)

Lehaza yeh sabit hua k ALLAH ne Sarkar SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM ko tamaam jahano k liye rehmat banaker bheja,aur dusri ayat main khud Allah hi ne farmaya k ALLAH ki atta kerdarehmaton ka khoob charcha karo.

Lehaza yeh sabit hua k milaad mananajayez hai.

????Aik aur sawal jo badAqeeda logo ka hota hai tou wo yeh k milaad main jo kiya jaata hai jaise jaloos nikalna, jhande Lehraana, naatain pedhna yeh quran-o-hadis se sabit nahi ?

???? Iska jawab yeh hai k

Quran-o-hadees se yeh bhi sabit hai,

ALLAH TA'ALA ne Quran main wo waqaya bayan farmaya jab Huzoor SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM ka zikr kiya gaya tou tamaam ambiya ko ikattha kiya gaya aur Huzoor SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM ki sifaat ALLAH TA'ALA ne Ambiya ko ikattha kar k KHUD bayan fermayi.(Sura Al-Imran:81)

????Lehaza yeh sabit hua k logoko ikattha kr k HUZOOR SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM ki sifaat bayan karna Quran se sabithai.

MILAAD MAIN JHANDE LAHRANE KA SABOOT

????Hadees Shareef main Aata hai k jab SARKAR SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM Madina shareef main dakhil huye to Aap k hath main sabz jhanda tha,

(????Wafa al wafa,Vol:1, Pg:243)

AAQA kareem SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM har peer shareef ko roza rAkh ker apna yaom-e-wiladat manate"

(????Jamei-ul-Tirimzi V:2 Hadees:745)

Es killawa Huzoor SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM ki Paida-ish per Hazrat Jibraeel ALAIHISSALAM ne jhande Gaade,(????Khasais Alqubra,Vol:1, Page:82)

MILAAD PR NAAT PADHNE KA SABOOT

????Hadees main hai k aik SAHABI ney arz ki k mujhe Huzoor SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM ki wo waali naat sunao jo Taorait main hai"

(????Mishkaat shareef, babulfazail, syed-ul-mursaleen, Pg:512)

Is k ilawa badaqeeda yeh sawal boat common kerte hain,

????KYA SAHABA NE KABHI MILAAD MANAYA

Tou yeh jaan lain k sahaba ney bhi milaad manaya jis k hawale yeh hain,

????Hazrat Usman RADIALLAHO ANHU Ne Farmaya"Jo milaad per aik dir-ham kharch karega usko badr k shohda jitna sawab millega

HazratUmar RADIALLAHO ANHU ne farmaya:"Jissne milaad ki Tazeem ki usne deen ko zinda ker dia"

????Hazrat Abu Bakr Siddeeq RADIALLAHO ANHU ne Farmaya:"Wo shaks jannat main mere sath hoga jis ne milaad per aik dir-ham bhi kharch kiya"

????Hazrat Ali RADIALLAHO ANHU ne Farmaya:"Milaad manane wala duniya se Iman ki ne'mat lekar jayega, aur bila hisab jannat main dakhilhoga"

References of Sahaba

(????Ibn-e-Kaseer,

????Maulid-ul-MUSTAFA, Page:29-30)

(????Al-Mustadrak, Pg:327, vol:3)

(????Khasais UlQubra, Page:97, vol:1)

(????Anwar-ul- Muhammadiya, Pg:62)

(????Ibn-e-Kaseer,vol:4, Pg:321)

(Al-Mustadrak, Vol:2,Hadees:4174)

Na Raees Hu Na Ameer Hu,

Na Mai Badshah Na Wazir Hu,

Tera Ishq Hai Meri Saltanat,

Usi Saltanat Ka Faqeer Hu,

Aye JAMAL-E-AHMED-E-MUSTAFA

Huzoor ﷺ (Sallallahu Alayhi Wasallm)

Teri Roshni Ka Aseer Hu,

Mujhe Bakhsh De Mere KHUDA,

Main To MADINE Ka Faqeer Hu!!!!

WAHABIYO DEOBANDIYI LO JAWAB AUR JAO JAHANNAM MEIN YA TAUBA KARO ..

WAHABIYO DEOBANDIYI LO JAWAB AUR JAO JAHANNAM MEIN YA TAUBA KARO ..

AETRAAZ :- Jashn-e-Eid e MeeladunNabi ﷺ kyu kehte hein Islam mein to sirf 2 Eidey Hein ek Eid-ul-Fitar aur Dusri Eid-ul-Azha ? 

Al-jawab :-  
Qur'an-E-Majeed Furqan-e-Hameed mein Allah Tabarak Wa Ta'ala Ne Hazrat e Esa Alaihissalam ki Dua ka zikr kiya Irshad-e-Rabbani hota he " 

قال عيسى ابن مريم اللهم ربنا انزل علينا مائدة من السمآء تكون لنا عيدا لاولنا و اخر ناواية منك 

(Para-7, surah e Maaida,Aayat-114,Ruku-4) 

Tarjuma :- 
Esa Ibne Maryam ne Arz kiya A Hamare Rab Hum par Aasmaan se Khwaan(Ne'mat) Nazil farma taaki(Us ke utarne ka din) Hamare Liye Eid(Yani khushi ka din) ho jaye hamare Aglo-Peechlo ki aur teri taraf se Nishaani. 
Is Aayat E bayyanaat mein Hazrat e Esa Alaihissalam dua farma rahe hein k Mawla Kareem hum par Aasmaan Se Khwaan-e-Ne'mat Nazil farma aur jis din wo khwaan Nazil hoga wo din hamare liye Eid ka din hoga pata chala k jis din koi Ne'mat nazil hoti he wo din Eid yani khushi ka din hota he gaur karne ka Maqaam he k jis din Aasman se khwaan-e-Ne"mat Nazil ho wo din to Eid ka din ho aur jis din Jaan-e-Ne'mat Sallallahu Alaihe wa sallam tashreef Laaye wo din eid ka din kyu na ho,Dusri baat ye he k Eid-ul-Fitar Aur Eid-ul-Azha Mili kis ke Sadqe Mein Agar Huzoor Purnoor Sallallahu Alaihe wa sallam tashreef na laate to na Eid-ul-Fitar Hoti na Eid-ul-Azha. Na Zameen na Aasman,Na Loh na Qalam, 

Na Arsh na kursi, 

Na Charind na parind,Na Hewaan Na Insan Garz ye k Ye Duniya aur is mein maujud Saari Ne'matey Huzoor Sallallahu Alaihe wa sallam ke Sadqe mein humein Mili to jis Ne'mat Ke Sadqe me Saari Nematey mili un ki Aamad par khushi manana aur un ki Wiladat ya Sa'aadat ke din ko Eid kehna Yaqeenan Jaiz he. 

Sahih Bukhari Mein Hazrat e Umar RadiyAllahu Anho se riwayat he k ek yahoodi ne un se pucha k kya aap jis din Aayat 

" اليوم اكملت لكم دينكم "  

Nazil hui us din ko bagaur eid manaate hein ?? 

Agar Hamari Toraat mein aesi aayat utarti to hum usey Zaroor yaum-e-Eid Bana lete. 
Is ke jawab mein Hazrat e Umar RadiyAllahu Anho ne farmaya k hum us din aur us jagah ko jahaa ye aayat utri thi khoob pehchaante hein ye Aayat Yaum-ul-Haj aur yaum-e-Jum'a-tul-Mubarak ko Maidan e Arfaat mein utri thi aur hamare liye ye dono din Eid ke din hein. 

(Bukhari sharif,Kitab-ul-Eimaan,Baab Zayadat-ul-Eimaan o Nuqsaan 25,Raqam-45) 

Is se pata chala k Hazrat e Umar RadiyAllahu Anho ne us din ko eid ka din Qarar diya jis din Takmeel e Deen ki Aayat Nazil hui yani Takmeel e Deen ki Aayat ke Nuzool ke din Ko ba-taur Eid manana Hazrat e Umar RadiyAllahu Anho ke nazdeek Jaiz he kya Hazrat e Umar radiyAllahu anho nahi jante the k Islam mein Sirf 2 Eidey eid-ul-fitar aur Eid-ul-Azha hein phir unhone takmeel e deen ki aayat ke nuzool ke din ko eid kyu Qarar diya. Maalum huwa k jis din Allah Tabarak wa Ta'ala ki janib se koi fazl, 

Rehmat aur ne'mat Nazil ho us din ko eid ka din kaha ja sakta he aue ye baat Azhar Minash-shams he k Huzoor Sallallahu Alaihe wasallam ki zaat-e-Baa-Barkat,Allah Ta'ala ka sab se badaa fazl Rehmat aur sab se badi ne'mat he, 

Isi liye hum is Azeem-ush-shan Ne'mat ki Aamad ko jashn-e-Eid-e-MeeladunNabi SallAllahu Alaihe wasallam kehte hein....

WAHABIYO DEOBANDIYO MUHAJIR MAKKI SAHAB PAR BHI BID'AT KA FATWA LAGAAO

????WAHABIYO DEOBANDIYO MUHAJIR MAKKI SAHAB PAR BHI BID'AT KA FATWA LAGAAO... 

⛔ Wahabiyo Ke Mutabiq Eid-e-MeeladunNabi Sallallahu Ta'ala Alaihe wasallam Jesa Mubarak Bid"at he aur Bareilvi Shirk bid'at karte hein. 
(Ma'az Allah). 

⛔ Deobandiyo ke Molvi Mahir-ul-Qadri Ne Meelad aur Qayaam ko khurafaat aur mushrikaana Aqaaid likha he. 

????(Saheefa Ahle-Hadees Safha-22,16 Jamadi-ul-Awwal 1386 hijri) 

⛔ Deobandi Wahabi Mahir ul Qadri Ne likha he k Mehfil e Meelad mein Salat o salaam ke liye khade ho jana ye khaalis bid'at he. 
Aur bid'at Sahib e Eimaan ko gumrahi ki taraf Le jaati he. 

????(Saheefa Ahle-Hadees Karachi safha-16,Sha'baan 1386 hijri) 

⛔Eid-e-Meelad Bid'at he. 

(Fataawa Ahle-Hadees Safha-45,jild-3) 

⛔Al-Jawab :-  
???? Deobandi aur Gair Muqallid Molviyo ki ye Aadat he k Fatwa dete huwe ye nahi sochte k is fatwa mein Hamare akaabeer bhi aa jate hein.  

⛔ Mahir-ul-Padri ke is saraapa jahaalat fatwa ki zad mein aa kar  
Qasim Nanotwi, 
Rasheed gangohi, 

AUR DEO BANDIYO KA COMEDY KING 

Ashraf Ali thanvi, 

⛔Khaleel Ahmad ambethwi  
ke peer o Murshid  

⛔Haji Imadadullah Muhajir Makki bhi aa jate hein.  

⛔ Kyunki Unhone haft Mas'ala Mein apna Amal aur tareeqa likha he - 

"MASHRAB FAQEER KA YE HE K MEHFIL E MAWLUD MEIN SHAREEK HOTA HE. BALKI ZARIYA E BARKAAT SAMAJH KAR MUN'AQID KARTA HU. AUR QAYAAM MEIN LUTF O LAZZAT PAATA HU. 

????(Faisla Haft Mas'ala,Safha-5,Matbu'a Deoband) 

⛔Molvi Ashraf Ali thanvi ne Haji Imdadullah Sahab Muhaajir Makki ke Mut'eliq Likha he jis se Haji sahab ka Aqeedah Waazeh hota he. Wo bayan ye he- 
"Hazrat(Haji Imadullah Sahab) Se kisi ne pucha ke Qayaam e Mawlud kesa he... 
Farmaya mujhe to Lutf aata he. 

????(Arwaah e Salaasa,safha-220,Hikayat-161) 

⛔ Qara'een e Kiram!! WAHABIYO DEOBANDIYO ko apna muhasaba karna chahiye aur hamara in se mutalaba he k agar Mawlud sharif Bid'at he to Haji muhajir makki sahab jo tumhare guru-ghantaalo ke bhi peer he. 

Un par bid'ati hone ka fatwa lagaao... 

Agar nahi lagaa sakte to tum bhi bid'ati ho.... 

Aamna Ke Pyaare Ka,Sabz Gunbad Waale ka 

Jashn Hum Manaate hein, jalne waale jalte hein.

Eid E Milad Un Nabi صلى الله عليه وسلم. Ka Saboot Quran O Hadees Se Saath Me Tamam Aiterazat K Jawabat.

Eid E Milad Un Nabi صلى الله عليه وسلم. Ka Saboot Quran O Hadees Se Saath Me Tamam Aiterazat K Jawabat.

(1). “Tum Farmao ALLAH Hi Ke Fazal Aur Usi Ki Rehma...t Aur Usi Par Chahiye KeKhushiyaKare
(Surah Yunus Ayat 58)
Is Ayat Me Allah Azzawajal Ne Apne Fazal Aur Apni Rahamat Par Khushiya MananeKa Hukum Diya hai

(2). "Or Humne Tumhe Na Bheja Magr Rahmat Sare Jahan K Liye"
(Surah Ambiya Ayat 107)
Is Ayat Me Allah Azzawajal Apne Pyare Nabi صلى الله عليه وسلم. Se Farma Raha Hai K Humne Tumhe Sirf 1 Ya2 Aalam K Liye Nahi Balki Sare Aalam K Liye Rahamat Bana Kar Bheja Yaha GourKare Allah Ne صلى الله عليه وسلم. Ko Rahamat Kaha hai Aur Jo Paheli AyatPesh Ki Gai Hai Usme Allah Ne Apni Rahamat Par Khushi karne Ka Hukum Diya Hai
Jo In Ayato Ka Munkir Honga Jo Nabi صلى الله عليه وسلم.Ko Apne Liye Allah Ki Rahamat Aur Nemat Nahi Samajhta aur AAKA صلى الله عليه وسلم. Ki Wiladat Ki Khushi Se Aitaraz KaregaYani Wo Ghum manayega pyare AAKA صلى الله عليه وسلم.Ki Wiladat par

(3). “Apne Rab Ki Nemato Ka Khoob Khoob Charcha Karo”
(Surah Duha Ayat 11)
Is Ayat Me Allah Azzawajal Ne Hume Apni Nemato Ka Charcha karne Ka Hukum Diya.Har Momin Ye Janta Hai Ki Allah Azzawjal Ki Subse Badi Aur Azeem Nemat HamareLiye Uske Rasool humare pyare AAKA صلى الله عليه وسلم.Hai Is Baat Ko Samjhane K Liye Quran Ki Ek Ayat Mulahiza farmaiye
Allah Azzaajal Farmata Hai:

“Humne Momino per Ahesan kiya, ki jab unme apne صلى الله عليه وسلم. ko bhej diya”
(Sureh Al-Imran, Ayat 164)
Mere Pyare Islami Bhaiyo Aap Sara Quran Pad Lijiye Kisi Bhi Jagah AllahAzzawajal Ne Ye Nahi Kaha K Humne Tumhe Ye Nemat Dekar Tumpar Ahesan Kiya haiSiwae Apne Maheboob Nabi صلى الله عليه وسلم.Ke, Isse Malum Hua K Allah Ki Subse Badi Nemat Hamare Liye Uske rasool humareAaka صلى الله عليه وسلم. Hain.

Rabi Ul Awwal:

12 Rabi Ul Awwal Par Tamam Ulama E Islam Ka Ijma Hai K Is Din do jahan kesultaan pyare aaka Muhammad Mustafa صلى الله عليه وسلم.Sare Alam K liye Rahamat Bankar Duniya Me Tashreef Laye Aur Isi Din Sari DuniyaMe Musalman Apne Nabi Ki Wiladat Ka Jashan Karte Hai
Refrance:

1. Ibn-e-Ishaq (85-151 H): [Ibn Jawzi in al-Wafa, Page 87]

2. Allama Ibn Hisham (213 H): [Ibn Hisham in As-Sirat-un-Nabawiya, Vol. 1, Page158]

3. Imam Ibn Jarir Tabari (224-310 H): [Tarikh al-Umam wa al-Muluk, Vol. 2, Page125]

4. Allama Abu al-Hasan Ali bin Muhammad Al-Mawardi (370-480 H):[Ailam-un-Nabuwwa, Page 192]

5. Imam Al-Hafiz Abu-ul-Fatah Al-Undalasi (671-734 H): [Aayun al-Asr, Vol. 1,Page 33]

6. Allama Ibn Khaldun (732-808 H): [Ibn Khaldun in At-Tarikh Vol. 2, Page 394]

7. Muhammad As-Sadiq Ibrahim Arjoon: [Muhammad Rasoolullah, Vol. 1, Page 102]

8. Shaykh Abdul-Haq Muhadath Dehlvi (950-1052 H): [Madarij-un-Nabuwwah, Vol. 2,Page 14]

9. Imam Qustallani (Alaihir RaHma) [Al Muwahib al Laduniya, Vol. 1, Page 88]

Milad Kis Kis Ne Manaya............ ?

Huzoorصلى الله عليه وسلم. Ke Zamane Me Masjid-E-Nabwi Me MilaadHuyi Isme Khud Huzoor REHMAT E AALAM صلى الله عليه وسلم.NeApni Wiladat Ke Fazail Bayan kiye.
(Tirmizi Sharif, Jild 2 Safa 201)

Hazrat Abu Qatada ( ALLAH AAPSE RAAZI HAI ) Se Riwayat hai ki Rasool-E-Karim صلى الله عليه وسلم. Se Peer Ka Roza Rakhne Ke Bare Me SawalKiya Gaya To Aap صلى الله عليه وسلم. Ne Farmaya K Isi Din Meri Wiladat Hui AurIsi Din Mujh par Quran Nazil Hua"
(Sahih muslim Jild 2.hadith no 819 .page 1162)
(nasai al sunane kubra Jild 2 hadith 146 page 2777)

Jab Huzur صلى الله عليه وسلم. Ki Wiladat Hui Tab Abu lahab Ki LaundiSobiya Ne Abu Lahab Se Kaha K Tujhe Bhatija Hua hai Is Khushi Me Abu Lahab NeApni Us Laundi Ko Ungli K Ishare Se Aazad Kiya Tha"Pas Jab Abu-Lahab MarGaya To Uske Baad Ahl-e-Khana Ne Use Khuwab Mein Buri Haalat Mein Dekha To UssePuchha "Tera Kiya Haal Hai To Abu-Lahab Ne Kaha:
Maine Tumhare Baad Koi Bhalaa'ee Nahi Payi Lekin Mujhe Us Ungli Se Paani DiyaJata Hai Jis Se Maine Hazrat Muhammad (صلى الله عليه وسلم.) Ki Wiladat Ki Khushi Mein Sobiya (Abu-LahabKi Londi) Ko Aazad Kiya Tha
(Sahih Bukhari, Vol. 1, Page 153, Hadith No 5101, Kitaabun Nikaah)

Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Alaih Rehma nay
MA SABTA MINAS SUNNA main ( Sahih Bukhari, V1, P153, Hadith No. 5101Kitabunnikah ) Ki Ye Hadith naqal farmaya hai, Abu Lahab ki londi thee jiskanaam Sobia tha, usnay pyare aaka صلى الله عليه وسلم.ki peda'ish par Abu lahab ko khabar di thee to Aap صلى الله عليه وسلم. ki peda'ish ki khabar sunnay par AbuLahab nay Sobia ko azaad kardiya ...tha. Tou Abu Lahab k marnay k baad kisi nayusay khuwaab main dekha, poocha k 'kaho kia haal hay' to woh bola AAG main hoonalbatta itna karam hay k har Peer ki raat mujh par takhfeef kardi jaati hay aurisharay say bataya k APNI DO UNGLIYUN SAY PANI CHOOS LAYTA HOON, aur yeh inayatmujh par is waja say hay k mujhay Sobia nay bhatijay صلى الله عليه وسلم. ki peda'ish ki khabar di thee to isbasharat ki khushi main, mainay usay do ungliyun k isharay say azaad kardi thaaur phir usnay usay doodh pilaya tha.
ispar Allama Jazri Alaih Rehma farmatay hain k jab Abu Lahab jaisay kafir k yehhaal hai ki use huzoor صلى الله عليه وسلم.ki wiladat ki peda'ish ki raat khush honay par dozakh ki aag main bhe badla diajaraha hay to
Rasool Allah صلى الله عليه وسلم. ki ummat main say un logon k haal ka kiapoochna jo aap kipeda'ish k bayan say khush hotay hain aur jis qadar bhe taqathoti hay unki Muhabbat main kharch kartay hain, mujhay apni umar ki qasam! kunki jaza Khuda e Kareem ki taraf say yehi hogi k unko apnay fazal e ameem yanifazl e kamil say jannat un Naeem main daakhil farmaye ga.

Pyare Islami Bhaiyo Zara Gour kare Jab Abu Lahab Ko Apne Bhatije Yani Aaka صلى الله عليه وسلم. Ki Wiladat Par Unhe Nabi صلى الله عليه وسلم. Man Kar Nahi Balki Apna Bhatija Maan karKhushiya Manaya Tha To Use Ye faida Hua k Usi Ungli Se Use Pani Pilaya jata haiJisse Usne Apne Bhatije Ki Wiladat Ki Khushi Me Apni Laundi Sobiya Ko Azad KiyaTha
Hum Musalman To Nabi صلى الله عليه وسلم.Maan Kar Wliadat Ki Khushi Manate Hai To Socho K Hume Allah Ki Bargah Se KyaKya Inaam Milege Duniya Aur aakhirat Me

Khud ' NABI - E - PAAK ' صلى الله عليه وسلم.Ne Apne Milad Par ' ALLAH ' Ka Shukra Bajaa Lane Ki Talkin Farmayi Aur TargeebDi....!!

Iski Tafseel Yaha Check Kare Hadith Taweel Hai
[ Muslim Sharif, Jild - 2, Safa - 819 ]
[ Nisaai Sharif, Jild - 2, Safa - 147 ]
[ Baihaqi Sharif, Jild - 4, Safa - 286 ]........

Milad Un Nabi Ko Eid Kahena Kaisa?

Aaiye Pahele Hum Eid Ka Matlab Samaj Lete Hai Eid Ka Lugvi Mana Hai Khushi AgarKoi Arabi Khushi Ka Lafz Arabi Me Kahega To Wo Yahi Kahega Eid Ise Samjhane KLiye Quran Ki Ek Ayat Mulahiza farma leejiye.
Kaha Esa Aban E Mariyam Ne: Aye ALLAH! AyeHamare Rab!Hum Par Aasman Ss EkKhuwan Utar Ke Wo(Khuwan Utarne Ka Din) Hamare Liye Eid Ho,Hamare Aglon Aur PichloKi.
(Surah Maida Ayat 114)
Is Ayat Se Maloom Hua Ke Jis Din Allah Ki Khass Rahemat Nazil Ho Us Din Ko EidManana Aur Khushi Manana Allah Ka Shukar Ada Karna Ambiya Ka Tarika Hai TabhiTo Hazrat Esa Ne Dua Mangi
Aap Khud Faisla Kare Ke Jis Din Hazrat Esa Alihissalam Par Khuwan E Nemat UtryTo WoUn K Agly Aur Pichlon K Liye Eid Ho To Jis Din Sare Alam K Liye Jahan KLiye Jo Zaat Rahemat Hai Un Ki Wiladat Ho To Us Din Musalmano K Liye Eid YaniKhushi Kaise Na Ho?
Hazrat Allama Mulla Ali Qari Miskat Ki Shrah Me Imam raghim K Hawale Se Lafz EEid Ki Wazahat Farmate Hue Likhte Hai
Imam Raghib Ne Farmaya Ke Eid Ka Lugvi Aitebar Se Us Din Ko Kahete Hai Jo BarBar Laot Kar Aaye Aur Shariat Ki Istelat Me Eid Ul Fitar Aur Eid Ul Azha KoKahete Hai Aur Jab K Ye Shariat Me Khushi Manane K Liye MukarrarKiya Gaya HaiJis Tarha Nabi Sallallaho Alihe wasallam Ne Apne Is farman me Tambih Ki hai Ke(Aitam E Mina Khane Pine Aur Azdwajiyat Ke Din Ha) Lihaza Eid Ka Lafz HarKhushi K Din K Liye Istemal Hone Laga
(MiratUl Mafateh, Kitabul Salat Bab Ul Juma)
Dekha Aap Hazrat Ne Ke Itne bade Imam Mulla Ali Qari Aur Imam Raghib Bi YahiFarma rahe hai K Eid Ka Lafaz Har Khushi K Din K Liye Istemal Hota Raha Hai. NABIe Mu’ajjam, Sarapa Judo karam Salllaho Aliahe Wasallam ne farmaya ki Juma’a kadin sab dino ka sardar hai, ALLAH ke nazdik sabse bada hai aur wo ALLAH kenazdik Eid ul Azha aur Eidul Fitr se bada hai. ALLAH ne isi me Hazrate ADAMalaihissalam ko paida kiya, Isi me Zameen par unhe utara Aur Isi me Unhe wafatdi.
[Sunan Ibne Majah, Jild 2, Page No. 8, HadithNo. 1084]
Is Hadees me Teen khaslate Hazrate Aadam alaihissalam ke liye bayan ki gai,jisme aap ki wafat ka bhi zikr hai, to pata chala ki ek nabi ki paidaesh, unkazameen par utarna, aur unki wafat ke din ke bawajud bhi Mo’amino ke liye ALLAHne use Eid bana diya. Ki woh din Eidul Azha aur Eid ul fitr se bhi afzal kardiya.
Tou hamare Sarkar e do Jahan صلى الله عليه وسلم. jo ki tamam ambiya ke sardar hai, unkitashrif aavari parhum us din ko kyun Eid na kahe, balke hum tou use Eido ki Eidkahenge, ki unki tashrif aavri ki wajah se hi tou hume baki Eid mili aur harhafte me ek eid karke pure saal me 52 Eido (juma) ka tohfa mila woh isirahmatalil aalamin ki tashrif aavari se mila hai. tou hum kyun us din khushi nakare?

Naat E pak padna:

Huzur SallAllaho alaihe wasallm Hazrat Hassan ( ALLAH AAPSE RAAZI HAIO ) k lyeMasjid e Nabvi shareef me Minbar rakhte or Hazrat Hassan us par kharey ho karHuzur صلى الله عليه وسلم. ki shan e aqdas me naatia ashaar parhtethe or Huzur صلى الله عليه وسلم. farmate: jb tak Hassan mere baare me naatia orfakharia ashaar parhta rahe ga to beshak Allah taala roohul uqdas (Hazrat Jibrailalehsalam) k zarye Hassan ki madad farmata hai
(Sunan abu Dawood,Kitab ul adab, baab ma jau fi'shaar, Jild 5 Page 176 HadithNo 5015)
(Sunan Tirmizi,kitab ul adab,baab ma jau fi inshad'shaar, Jild 3 Page 562,561Hadith No 2846)

Ye The Milad Un Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Ko Eid Kahene Ki Dalil Ab AayeDekhte Hai Milad Un Nabi Sallallaho Aalihe wasallam K Mauke Par Kiye Jane WaleMustahab Aamal Hadith Ki Roshni Me
Juloos Nikalna Aur Usme Ya Rasool Allah K Nare lagana:
Jab Aaka صلى الله عليه وسلم. Hijrat Kar K MADINA Sharif Aaye To LogonNey Khoob Jashan Manaya
Nojawan Larkey Apni Chatton Par Charh Kar Aur Gulam, Khuddam Raasto Me PhirteThey Aur Nara'Aey Risalat Lagate Aur Kehte0 YA RASOLALLAH.
(Sahih Muslim Jild 2 Page 419)

Jhande Lagana:

Hazrate Amina farmati hai K Jab Mere ghar MUHAMMAD صلى الله عليه وسلم. KiWiladat Hui Us waqt Hazrat Jibrail Alaihissalam Ne 3 Jhande Nasab Kiye EkMagrib Me Ek Mashrik Me Aur Ek Kabe Ki Chatpar
Is Riwayat Ko Shah Abdul Haq Muhaddith Dahelvi Rahamatullah Ahlie Ne Apni KitabMadarijunnabuwa Jild 2 Me Naqal Kiya Hai

Ab Aaiye Dekhte Hai Tarikh Ki Kitabo Me K Nabi صلى الله عليه وسلم. Ki Wiladat Par Afsoos Kun Kun Karta Hai

Imam Qastallani (Rahimullah) farmate hain :
“ Chahiye Eeman walo ki tum Milad-e-Mustafaصلى الله عليه وسلم. ko Eid ketaur par manaya karo. Allah ApnaFazl aur Ehsan kare unn logo par jo Rabi ul Awwal ki raato’n ko Eid ke taur parmanate hain, kyunki iss maheene ko Eid ke taur par manane se Unn Dilo’n par aurUnn logo par Ghazab utarta hai Jinke Dilo’n mein Bughz aur Munafikat ki Bimarihai.”
(Imam Qastallani, Al Muwahib al Luduniya, Jild No. 1, Safa No. 148)

Shaitan Kaheta Hai Ki Mai Barso Jannat Me Raha, Farishto Ka Sardar Ban Gaya,Magar Jab Ye AADAM (Nabi) Paida Huwa To Mere Liye Badi Musibat Paida Ho Gai,Yaha Tak Ki Mujhe Jannat Se Bhi Nikal Diya Gaya!!! Phir Jab Jab Koi NABI PaidaHota Woh Gumraho Ko Sahi Raah Dikha Kar Jannat Me Le Jata AurTab Tak Ki MeriSari Mehenat Mitti Me Mil Jati. Aur Aakhir Me Jab Aakhiri NABI MUHAMMAD صلى الله عليه وسلم. Paida Huwa Tab To Mai Itna Roya JitnaPahele Jannat Se Nikalne Par RoyaTha, Aur Usne Meri Tamam Mehnat Par Pani PherDiya.

(Hafidh Ibn-Kathir in Al-Bidayah wal Nihayah, Volume No. 2, Page No. 166)

Note: AGAR AISI NISHANIYA KISI ME DIKHAI DE TO SAMJHO WOH SHAITAN KI NASIHATLEKAR AAYA HAI

Nisar Teri Chahal Pahal Par Hazar Eiden Rab Ul Awwal
Siwa E Iblees K Jahan Me Sabhi To Kushiya Mana Rahe Hai

Meelad un Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam -Hadith ki Roshni me

Meelad un Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam -Hadith ki Roshni mein

Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ke Youm-e-Wiladat (Milad) ki tazim kiya karo:
Rasoollallah Sallalalahu Alalhi wasallam khud Apney Milad ke din khas Roza rakh kar Allah ka Shukr Ada kartey they aur wo bhi every week aur Aajkal kuch nadan saal mein ek baar us Din ki Tazim karney walo ko Gumraah kahtey hain, kam se kam jo uski tazim na karey wo khamosh rahey:|

 Hadith: Abu Qatada Ansari radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alalhi wasallam

se pucha Peer ke din ( yani monday) ke rozey ke barey mein (yani aap us din roza kyun rakhtey ho) to Aap Sallalalahu alalhi wasallam

ne farmaya ki main us din Paida hua tha (ذلك يوم ولدت فيه ) aur us din mujh par wahi nazil huyee thi.

Sahih Muslim, 2747

Milad ki khushi mein Ghulam aazad karney par Kabr mein Abu Lahab ka bhi Azab halka hua:

Urwa radi Allahu anhu se rivayat hai ki Sobiya Radi Allahu Anha Abu lahab ki Ghulam (Khadima)thi (jab Rasoollallah sallallahu alaihiwasallam ke paida honey ki khabar usney di to) Abu Lahab ne usko Azad kar diya tha,usney Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam

ko doodh pilaya tha jab Abulahab mar gaya to usko kisi azeez ne marney ke baad khwab mein burey haal mein dekha, usney kaha ki jabse main tumse Juda hua hu kabhi Aaram nahi mila Ek zara sa pani (Peer ke din) mil jata hai wo bhi isliye ki mainey Sobiiya ko |

(wiladat ke khabar dene ki khushi mein)Aazad kar diya tha.

Sahih Bukhari, vol 6, 5101 (Ref: Sahih Bukhari, vol 7,Tashreeh 5372)

Agar koi ye kahey ki ye naya amal hai pahley nahi hota tha usey ye Hadith jarur parhni chahiye

Hadith: Jarer bin Abdullah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya

Jo Shaksh Islam mein achchi baat nikale phir log iskey baad us par Amal karey to usko itna sawab hoga jitna sab Amal karney walo ko hoga,

aur Amal karney walon ke sawab mein kuch kami na hogi aur Jo islam mein buri baat nikale log uskey baad us par amal karey to tamam Amal karney walo ke barabar Gunaah us par likha jayega aur Amal karney walo ka Gunaah kuch kam na hoga -

( Sahih Muslim, 6800 & jamia Tirmidhi, Vol 2, ilm ka Bayan, Haidth 570)

Milad ki Mehfil ya Julus mein Allah aur uskey Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam

ka zikr hota hai:

Abu Huraira Radi Allahu Anhu se aur Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi

Wasallam ne farmaya jab koi jamaat Allah ka zikr karti hai to farishtey unko gher lete hain, aur Rahmat Un par cha jati hai,

aur un par taskeen nazil kar di jati hai phir Allah apni majlis mein unka zikr karta hai -
jamia Tirmidhi, Vol 2, ilm ka Bayan, Hadith 1302

Jo log ye kahtey hain ki Rasoollallah ne us din Duniya se parda kiya tha to uska gam kyu nahi kartey to uska jawab ye hai ki khud Rasoollallah sallalllahhu alaliihi wasallam ne 3 din se ziyada Sog karney ko mana kaha ( sirf aurat apney khawind ke marney par 4 mahiney 10 din sog kar sakti hai) hai aur iska dusra jawab ye hai ki |

Rasoollallah Sallallahu Alalihi wasallam apni barazakhi hayat mein bhi Zinda hain aur uska sabut in sahi haidth se milta hai :

Hadith: Abu Hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya agar tum mein se koi mujhe salam karta hai to Allah taala meri rooh ko wapas lauta deta hai aur main uskey salam ka jawab deta hu

Sunan Abu Dawud, Vol2, 273

Jumaa ke din mujh par ziyada se ziyada durud bheja karo kyunki tumhara durud parhna mujh par pesh kiya jata hai, logon ne kaha Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Hamara Durud parhna Aap par kis tarah se pesh hoga jabki Aap to Mitti ho gaye hongey,to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah taala ne Anbiya karam ke Jism ko Mitti par haram kar diya hai.
Sunan Abu Dawud, Vol 1 1035

Jo log puchtey hain ki Sahaba radi allahu anhu ne Milad kyun nahi manaya wo pahley in sawalon ka jawab de de, unhey khud uska bhi Jawab mil jayega:

1.Kya Rasoollallah Sallalhu Aalihi wasallam aur sahabaa radi allahu anhuma kabhi zer, zabar aur tashdeed (punctuation) wala Quran use kartey they...?? Quran bina zer, zabar aur tashdeed ke nazil hua tha.

2. Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam aur sahaba radi allahu anhuma Eid ke din galey mithey they ? 

3. Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam aur sahabaa radi allahu anhuma apne Aapko salfi ya Ahl-e-hadith ya taablighi ya barelvi kahtey they  Rasoollallah Sallalhu Alihi wasallam aur sahaba apney naam ke saath kunniyat (yani walid ka naam) lagatey they na ki Salfi ya aur kuch.

4. Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam aur sahabaa radi allahu anhuma kabhi tasbeeh ke daney use kartey they ? wo sab apney Haath ki ungliyon par tasbeeh parhtey they

5.Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam ne Sarey Ramadhan tarweeh ek jamaat ke saath parhi thi ya parhayee thi ??Abu bakr radi allahu anhu ke zamaney tak log alag alag aur giroh giroh taraweeh parhtey they aur Hazrat umar radi allahu anhu ne sabko ek jamaat ke saath ada karney ka hukm diya aur ye bhi kaha ki نعم البدعة هذه kya hi Achchi Bidat hai

(Sahih bukhari, Vol 3, 2010)

6.Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam aur sahabaa radi allahu anhuma ne kabhi Quran ka Urdu ya English Tarjumah parha ?? Hona to ye chaiye tha ki jisey Quran ko samajhna ho wo Arbi sikhta aur usey samajhta kyunki Rasoollallah Sallalhu Alihi wasallam aur sahabaa radi allahu anhuma ne Quran kareem ko Arbi mein parha aur usi language mein samjha.

7. Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam aur sahabaa radi allahu anhuma ne kabhi internet par Dawat aur tablig ki thi.??

8.Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam ke zamaney mein Jumaa ke din Do Azan di jati thi ??... Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam aur Abu Bakr aur Umar radi allahu anhu ke zamaney tak sirf ek hi adhan thi .Uthman radi allahu anhu ne Logon ki taadad badney ki wajah se Do Adhan karwayee.

9. Kya Rasoolallah Sallallhu Alaihi wasallam ke zamaney mein Quran ko 30 paro mein jamaa kiya gaya tha ????? Abu Bakr radi allahu aur digar sahaba ne Umar radi allahu anhu ke kahney par Quran ko 30 paro mein jamaa kiya

Sahaba Radi Allahu nahuma ne bhi Deen mein naye naye kaam nikaley they jo Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ke zamaney mein nahi hotey they aur usey accept kiya gaya kyunki wo Bidat-e-Hasna (yani achchi Bidat) hai aur Hazrat umar ne to yahan tak kaha tha ki kya hi achchi bidat hai

Ab Aap ye soch rahey hain honegy ki EK Hadith mein ye hai ki Deen mein Achchi achchi baatein nikal saktey hain aur dusri Hadith mein ye hai ki "….. Har Naya kaam Bidat hai aur har bidat gumrahi hai aur har gumnrahi jahannam mein le janey wali hai " to ek baat sun lijiye ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ki ek haidth kabhi dusri haidth ya Aayat se nahi takrati bahut se Muhaddesin ka ye Qaul hai ki ye Haidth gumarahi ki bidat ke liye hain ....jisko ek aur Hadith mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne saaf farma diya hai…

"...Jisney Gumarahi ki Bidat nikali jisey Allah aur uskey Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam pasand nahi kartey to us par utna hi gunaah hai jitna us buraii ke karney walon par..aur is sey unkey gunaahon ke bojh mein bilkul kami nahi hogi."

Jamia Tirmidhi, Vol 2, ilm ka Bayan, Haidth 573

Is hadith mein Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne lafz Gumrahi ki bidat (بدعة ضلالة ) kah kar Ummat ko ye bata diya ki kuch Bidate Gumrahi ki hain aur Bidat-e-Hasna bhi hain tabhi to Sahaba Radi Allahu anhhuma ne Deen mein Achchi bidat nikali warna sahaba radi allahu anhuma aisa koi kaam nahi kartey jo Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne nahi kiya. Allah knows Best

Milad ki mehfil ya julus mein kya kya hota hai Aao check karey

Milad ki Mehfil ya Julus mein Allah aur uskey Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ka zikr hota hai:

Abu Huraira Radi Allahu Anhu se aur Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya jab koi jamaat Allah ka zikr karti hai to farishtey unko gher lete hain, aur Rahmat Un par cha jati hai, aur un par taskeen nazil kar di jati hai phir Allah apni majlis mein unka zikr karta hai -
jamia Tirmidhi, Vol 2, ilm ka Bayan, Hadith 1302

Milad Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ki Muhabbat mein manaya jata hai:

Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek Bedouin Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke pass aaya aur kaha ki Qayamat kab aayegi to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Afsos ! tumney us Qayamat ke liye kya tayyyari ki hai, usney kaha mainey uskey liye to koi tayyari nahi ki hai lekin main Allah aur uskey Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam se mohabbat rakhta hun, to Aap Sallallahu

Alaihi wasallam ne farmaya phir tum Qayamat ke din unkey saath rahogey jin se mohabbat kartey ho

Sahih Bukhari, 6167

Milad Sirf or Sirf Allah aur uskey Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki Raza hasil karney ki niyat se manaya jata hai:

Umar bin Al-Khattab Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Amal ka daromadar Niyat par hai aur har shaksh ko wohi milta hai jiski wo niyat karey isliye jiski hijrat (emigration) Allah aur uskey Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki Raza hasil karney ke liye ho to usko Allah aur uskey Rasool ki Raza hasil hogi lekin jiski hijrat duniya hasil karney ke liye ho ya kisi aurat se shaadi karney ke iradey se ho to uski hijrat uskey liye hai jiskey liye usney hijrat ki.

Sahih Bukhari, 5070

Milad ki Mehfil ya julus mein Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam par Durud aur Salam parha jata hai
Beshaq Allah Subhanahu aur uskey Farishtey Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam par Durud bhejtey hain, Eh Momeeno tum bhi un par Durud aur salam bheja karo.
Al Quran, Surah Al-Ahzab (33), Aayah 56

Ab ye batao ye sab kaaam Apaki nazar mein achchey hain ya nahi….Agar haan to phir is haidth parh lijiye aur us par imaan le aaeeye:

Hadith: Jarer bin Abdullah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo Shaksh Islam mein achchi baat nikale phir log iskey baad us par Amal karey to usko itna sawab hoga jitna sab Amal karney walo ko hoga, aur Amal karney walon ke sawab mein kuch kami na hogi aur Jo islam mein buri baat nikale log uskey baad us par amal karey to tamam Amal karney walo ke barabar Gunaah us par likha jayega aur Amal karney walo ka Gunaah kuch kam na hoga -

( Sahih Muslim, 6800 & jamia Tirmidhi, Vol 2, ilm ka Bayan, Haidth 570)