async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: najd ki haqiqat hissa 2
Showing posts with label najd ki haqiqat hissa 2. Show all posts
Showing posts with label najd ki haqiqat hissa 2. Show all posts

Monday, November 16, 2015

Najd ki haqiqat

Part 22 wahabi najdi ki haqiqat

11: Banu Saleem alfujahat ke sath murtad ho gaey, uska naam anas bin abd yalel tha.

12: Banu Asad (Najd Mein Rehne Wala Qabeela) Ka Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam Per Ehsan Jatlana Aur Us Per Qur'an Ki Ayaat Ka Nazool hona

Banu Asad Ka 10 afrad per mushtamil wafd Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ki khidmat mein hazir howa. Jin mein darar bin al'ardr, wabsa bin ma'bad aur taliha bin khaweld jis ne Nabuwat ka dawah kiya tha bad mein. Phir bad azaan acha musalman ban gia tha. Aur nafaza bin Abdullah bin khalf shamil thy in ke leader hadarmi bin aamir ne kaha Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ham Aap ke pass be'aab o giyah saal mein shab taar se guzar ker aaeye hain aur Aap ne hamari taraf koi fauj nahe bheji to in ke baray mein ye ayat Nazil hoi:

Ayaat

"woe Tujh per ehsan jatatay hain ke woe musalman ho gaey hain' keh do tum Mujh per apne islam ka ehsan na jatao balke Allah ka tum per ehsan hai ke us ne islam ki janib tumari rahnumai ki hai ager tum rast'baaz ho".

13: Bani tamim ki jamat khawarij

Hazrat ash'at bin qais bani tamim ki aik jama'at ke pass se guzray aur unhain tehreer sunai to urwah bin azeena (azeena iski maa hai, jo bani rabiya bin hanzla ka urwah bin jareer hai aur abu bilal bin mardas bin jarir ka bhai hai) aap ke pass aya aur kehne laga kiya tum Allah ke deen mein mardoon ko hukam banate ho? Phir us ne apni talwar ash'at bin qais ki sawari ki sareen per mari to hazrat Ash'at aur un ki qom ghazabnak ho gaey.

Al.bidaya wan'nahaya Vol 7, Page 364.

14: Hazrat Imam Hussain Per Qatlana Hamla kerne wale Tamimi Karbala ke Maidan Mein

Pass jawanoon ne her taraf se Hazrat Hussain radi Allah anho per hamla ker diya. Aur zarhat bin shareek tamimi ne aap ke baeen (left shoulder) kandhay per talwar maari aur daeen kandhay(right shoulder) per bhi talwar maari phir wo apko chhorr ker wapis chale gay.

Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 241

Jab hazrat Imam Hussain radi Allah anho peene ke qabil pani ki tarf gaey to aik shakhs ne jissay hassain bin tamim kaha jata tha, us ne aap ke taloo per teer maar ker chheed ker diya

Al.bidaya wan'nahaya, Vol 8. Page 240

15: Qaatleen Hussain Ke Group Mein Bani Tamim Ki Shamooliyat:

Mein habib hoon aur mera baap mazhar hai jo jung ka shehsawar aur jungoon ko bharkane wala hai, tum barri ta'dad wale ho aur ham tum se ziyada wafadar aur sabir hain

Neez ham hujjat ke lehaaz se aala aur haq ke lehaaz se namayaan hain aur tum se ziyada sabit qadam aur pak'baaz hain.(habib imam hussain ka sathi tha)

Phir is habib per bani tamim ke aik shakhs ne hamla kiya aur ussay naiza mara. Aur wo gir parra phir wo utthne laga to hassain bin numair ne us ke sar per talwar mari to wo gir parra aur tamimi ne us ke pass a ker us ka sar kaat liya aur ussay ibn ziyad ke pass le gia.

Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page

Najd ki haqiqat

Part 21 wahabi najdi ki haqiqat

7: : Taliha Bin Khaweld Asadi kahan in ka sardar tha, banu asad,banu tay aur ghatfan wale iske pass chale gaey, azeem musibat paida ho gai aur halaat kharab ho gaey. In ke sath banu abs aur banu zubiyan bhi iske sath shamil ho gaey thy.

(Issi ne jhooti Nabuwat ka dawa kiya tha)

Albidaya wannahaya vol 6 page 416

Najd mein he abad aik qabila banu asad (manjad hissa Tareekh page 141) ke aik fard taliha asadi ne nabuwat ka dawah ker diya tha aur ye bhi Hazoor sallallahu alaihe wasallam ke farman "al'zalzal wal'fittan" ki amli tasdeeq thi.

NAJD SE UTHNAY WALE FITNAY

8: : Kanda aur iske Aas Pass ke qabeelay bhi Murtad ho gaey, aur ash'at bin qais inka

Sardar tha.

Albidaya wannahaya vol 6 page 416

9: : banu Rabiyya bhi almahroor bin nauman bin al'munder ke sath murtid ho gaey.

Albidaya wannahaya vol 6 page 416

10: Banu Hanaifa, Musaylma bin Habeeb Kazzab ke sath apni (kuffriya) halat per qaim

Thy. Albidaya wannahaya vol 6 page 416

Jab Hazrat Khalid bin Walid radi Allah Anho Yamamah (Musaylma kazzab) se farigh howe to Hazrat Siddiq Akbar radi Allah anho ne unhain Iraq jane ka paigham bheja aur ye ke woe farj al'hind yanni Abla se aghaz krain aur Iraq ke balai ilaqay se Iraq aaeen.

Albidaya wannahaya vol 6 page 455

Comment:

Aaj kal kuch log awam ko gumrah kerne ke liye ye kehte phir rahe hain ke Yamamah Iraq Mein tha aur Musaylma Kazzab ne Iraq Mein jhoti nabuwat ka dawah Kiya tha.

Lakin haqeeqat ye hai ke musaylma kabhi iraq giya he nahe aur na he Yamamah Iraq ka hissa hai balke scholars ne saray Yamamah ko Najd kaha hai. Ibn wahhab ki burai per parda dalne ke liye her ilzam iraq per laga rahe hain aur information aur historic event ko ghalat tareeky se paish kiya ja raha hai. Gumrah logoon ki taraf se.

Najd ki haqiqat

Part 20 Wahabi najdi ki haqiqat
Hazrat Abu Bakra radi Allah anho se rawayat hai ke iqrah bin habs ne Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam se arz kiya ke siraaq al'hajeej jo aslam qabeela se hai aur Ghaffaar Mazeena aur Jaheena ne Aap Sallallahu Alaihe Wasallam se bait ki Hai to Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya Kiya tum Jante ho?

Aslam, Mazeena Aur Jaheena ye Sab Banu tameem, banu amir aur ghatfaan nakaam aur na'muraad se behter hain. Iqrah bin habs ne arz kia jee Haan! Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya us Zaat ki qasam jis ke qabza e qudrat mein meri jaan hai Aslam o Ghaffaar waghaira bani tamim waghaira se bahut achhay Hain.

Sahih Bukhari Vol 2 Hadees 732 Page 731

Hazoor sallallahu alaihe wasallam ne farmaya ke: Quraish, Ansaar,Jaheena,Mazeena, Aslam, Ghaffar aur ashjah Mere khair khawah hain aur Allah aur us ke Rasool ke siwa aur koi un ka hamaiti nhe.

Sahih Bukhari vol 5 Hades 3512

Comment:

In Ahadees se pata chala ke Bani tamim ki fazilat ki tareef per jo hadees hai wo sirf banu tamim ke liye he special nahe hai balke aur bhi bahut se qabeeloon aur qomoon ke liye hai. Jaise qabeela aslam Hazrat Ismail alaihessalam se hai. Aur Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ne khud farmaya tha ke "Mein Mudari Hoon" ]

Sajah banu tamim ki aik aurat thie jis ne nabuwat ka dawah kia tha to us ki qaum se aik jamaat uski pairokar ban gai.

Phir us tak musaylma ka mamla pohancha to us ne sajah ko dahoka de ker us se nikah ker liya. Ab sajah ki qaum banu tamim aur musaylma kazzaab ki qaum musaylma ki ata'at per mutafiq ho gai.

Imam Ibn hajjar asqalani , fathul bari page 91, vol 8

2: Hazrat Ali Ke Qaatil Aur Bani Tamim

Logoon ne bayan kia ke khawarij mein se 3 admi muntakhib kiye gay,

1: Abdur Rahman bin maljam al'muradi jo qabeela hamair se tha, is ka shumaar qabeela murad mein tha jo kanda ke bani jabla ke haleef tha.

2: Al'berk bin Abdullah Tamimi

3: Umroo bin bakeer al'Tamimi

Tabqaat e Ibn Sa'ad Vol 2, Page 162

Logoon ne bayan kiya ke khawarij mein se 3 admi select kiye gay

1: Abdur Rahman bin maljum al'muradi jo qabeela hamir se tha

2: Alberk bin Abdullah al'tamimi

3: Umroo bin bakeer al'tamimi

Ye teenoon Makkah mein jamah howe inhoon ne ehd o paimaan kiya ke in teenoon admiyoun ko zaroor zaroor qatal ker dain gay' Ali bin abi talib, Muawiya bin abi sufiyan, Umroo bin al'aas

Tabqaat ibn sa'ad vol 2

3: KHARJI TAMIMI QITRI

Qatri bin al'fajah al'tamimi abu nehama kharji ko qatal ker diya gia. Is ke sathi isko taqreebun 20 saal tak khalifa kehte aur samajhte rahe.

Al.bidaya wan'nahaya vol 9 Page 49

4: JHOOTA AHLE BAIT FROM NAJD

Aik shakhs ne Najd mein ye dawah kiya tha ke wo Ali bin Muhammad bin al'fazal bin al'hussain bin Abdullah bin abbas bin bin Ali bin abi talib hai. Iske sath he isne muqam hijer mein logoon ko ata'at ki dawat di, to wahan ke kuch logon ne uski ata'at bhi qabool ker li, jis se wahan zabardast qatal o qataal aur baray fitnay barpa howe aur bahut si larraiyaan bhi hoi,

Iska asli naam Ali bin Muhammad bin abdur raheem tha. Iski maa asad bin khazimah

(Najd) ke khandan se tha.

Al'bidaya wan'nahaya vol 11 page 53

6: : (Najd ke) Asad aur Ghatfan bhi Murtad Ho gaey

Albidaya wannahaya vol 6 page 416

Najd ki haqiqat

Part 19 Wahabi najdi ki haqiqat

Hazrat Abu Bakra radi Allah anho se rawayat hai ke iqrah bin habs ne Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam se arz kiya ke siraaq al'hajeej jo aslam qabeela se hai aur Ghaffaar Mazeena aur Jaheena ne Aap Sallallahu Alaihe Wasallam se bait ki Hai to Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya Kiya tum Jante ho?

Aslam, Mazeena Aur Jaheena ye Sab Banu tameem, banu amir aur ghatfaan nakaam aur na'muraad se behter hain. Iqrah bin habs ne arz kia jee Haan! Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya us Zaat ki qasam jis ke qabza e qudrat mein meri jaan hai Aslam o Ghaffaar waghaira bani tamim waghaira se bahut achhay Hain.

Sahih Bukhari Vol 2 Hadees 732 Page 731

Hazoor sallallahu alaihe wasallam ne farmaya ke: Quraish, Ansaar,Jaheena,Mazeena, Aslam, Ghaffar aur ashjah Mere khair khawah hain aur Allah aur us ke Rasool ke siwa aur koi un ka hamaiti nhe.

Sahih Bukhari vol 5 Hades 3512

Comment:

In Ahadees se pata chala ke Bani tamim ki fazilat ki tareef per jo hadees hai wo sirf banu tamim ke liye he special nahe hai balke aur bhi bahut se qabeeloon aur qomoon ke liye hai. Jaise qabeela aslam Hazrat Ismail alaihessalam se hai. Aur Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ne khud farmaya tha ke "Mein Mudari Hoon" ]

"میں مضری ہوں" halanke Mudar Qabeela woe qabeela hai jahan se shaitan ke seeng nikalne ki paish goi farmai gai. Lakin zahir hai Mudar Ki sari olad se to fitnay nahe niklain gay, phir farma diya ke Mein behtareen qaum Mein paida howa.

Phir qabeela Mudar se kaun se qabeelay shaitan ka seeng nikle ga usko basharat thokrane wali hadees wazeha kerti hai lakin aam insan ke dil mein shak rehta hai shyd nahe unhoon ne sirf basharat thokrai hai. Lakin teesri hadees jis mein qabeela aslam jaheena etc ko behtar qarar diya gia aur bani tamim bani ghutfan etc ko mehroom ker diya gia se baat wazeha ho jati hai. Banu tamim ko mehroom ker diya gia. Mehroom kerne wali ahadees sahih bukhari aur sahih muslim mein bahut si hain aur basharat thokrane wali hadees bhi her hadees ki kitab mein hain. Lakin hmara maqsad samjhana hai is liye sirf aik aik hadees paish ki.

نجد کے فتنے اور بنو تمیم

Najd Ke Fitnay Aur Banu Tamim

1: Sajah jhooti Nabiya aur Banu Tamim

Sajah jhooti nabiyya ko qabool kerne wale bani tamim ke sardar malik bin nowera, atard bin habs aur bani tamim ke sadaat amra ki aik jamaat bhi shamil thi

Al'bidaya wan'nahaya vol 6, page 425

Banu Tamim, Sajah Kahna ke sath Murtad ho gaey thy.

Albidaya wannahaya vol 6 page 416

Sajah (jhooti nabuwat ki dawedar aurat) jab bilad e bani tamim se guzri to is ne unhain apne amar ki taraf dawat di aur un (bani tamim) ke awam ne is ki baat ko qabool ker liya.

Al.bidaya wan'nahaya Vol 6, Page 425

The other ringleader of Najdi rebellion against the khilafa was a woman known as Sajah, whose full name was Umm Sadir bint Aws, and who belonged to the tribe of Tamim. She made claims to prophethood in the name of a rabb who was ‘in the clouds’, and who gave her revelations by which she succeeded in uniting sections of the Tamim who had argued among themselves over the extent to which they should reject the authority of Madina. Leading several campaigns against tribes who remained loyal to Islam, the Najdi prophetess is said to have thrown in her lot with Musaylima. Other than this, little is known of her fate.

(Ibn Qutayba, Ma‘arif, p.405; Baladhuri, Futuh, pp.99-100.)

Najd ki haqiqat

Part 18 Wahabi najdi ki haqiqat

Umm Salama narrated that Allah’s Messenger (sallallaho alaihi wa sallam) gave the following counsel on his deathbed: ‘By Allah, I adjure you by Him, concerning the Egyptians, for you shall be victorious over them, and they will be a support for you and helpers in Allah’s path.’ (Tabarani, classed by al-Haythami as sahih [Majma‘, X, 63].) (For more on the merit of the Egyptians

see Sahih Muslim, commentary by Imam al-Nawawi [Cairo, 1347], XVI, 96-7.)

Qays ibn Sa‘d narrated that Allah’s Messenger (sallallaho alaihi wa sallam) said: ‘Were faith to be suspended from the Pleiades, men from the sons of Faris [south-central Iran] would reach it.’

(Narrated in the Musnads of both Abu Ya‘la and al-Bazzar, classified as Sahih by al-Haythami. Majma, X, 64-5. See further Nawawi’s commentary to Sahih Muslim, XVI, 100.)

بنی تمیم نے بشارت ٹھکرا دی۔

Bani Tamim Ne Basharat Thokra Di

Hazrat imran bin hasain radi Allah anhuma farmaty hain ke bani tamim ke logoon ki aik jama'at Nabi Kareem Sallallahu Alaihe Wasallam ki khidmat mein hazir hoi.

Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:

"aey banu tamim!

Basharat ko qabool kro.

(bani tamim wale) lagay Ya Rasoolallah! Hamain basharat to de di, kuch maal bhi enayat farmaeiye.

Is jawab ka aser chehra anwar per per numayan tha. Phir Yemen ke logoon ki aik jama'at i. wo arz guzar hoey jab ke banu tamim ne to issay qabool nhe kiya.

Wo arz guzar hoey Ya Rasoolallah! Ham ne qabool ki.

Sahih bukhari vol 2, page 687, baab 535.hadees 1493

On the authority of Imran ibn Husayn (r.a.): ‘A group of Tamimites came to the Prophet (sallallaho alaihi wa sallam), and he said: "O tribe of Tamim! Receive good news!" "You promise us good news, so give us something [money]!" they replied. And his face changed. Then some Yemenis came, and he said: "O people of Yemen! Accept good news, even though the tribe of Tamim have not accepted it!" And they said: "We accept." And the Prophet (sallallaho alaihi wa sallam) began to speak about the beginning of creation, and about the Throne.’

(Bukhari, Bad’ al-Khalq, 1.)

Comment

Pata chala ke Banu Tamim ne to basharat khushkhabri he thokra di hai. Sirf maal ki hirs ki wajah se.

Ab ham Aik Aur Hadees Bayan Kerte Hain Jo Hamain Banu Tamim Ki Hesiyat Clear Ker De gi.

Bani Tamim Nakam aur namurad

Hazrat abu bakr radi Allah anho rawayat kerte hain ke Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne irshad farmaya ke tum jante ho jaheena, mazeena, aslam aur ghaffaar ke qabeelay bani tamim,bani asad,bani Abdullah bin ghatfan aur bani aamir bin sah'saha se bahut achhay hain to aik admi ne arz kiya ke bani tamim waghaira na'murad aur na'kaam ho gaey? Irshad farmaya Haan, Jaheena waghaira ke qabail bani tamim, bani asad, bani Abdullah bin ghatfan aur bani aamir bin sah'saha se bahut achhay hain.

Sahih Bukhari vol 2, Page 731, Hadees 7310

Najd ki haqiqat

Part 17 Wahabi najdi ki haqiqat

Is se pata chala ke ye imtiyaz sirf banu tamim ke liye he nhe balke aur bhi bahut se tribes aur mulkoon ko hasil hai. Jaisa ke Abi Ham point 3 mein Bataeen gay.

3: ye meri qaum ke sadqat hain. Even the most positive interpretation, however, allows us to conclude no more than that the Messenger (sallallaho alaihi wa sallam) was pleased with that tribe at the moment it paid its zakat. As we shall see, its payment of zakat proved to be short-lived.

Ye bhi sirf banu tamim ko imtiyaz hasil nhe jaisa ke point 2 mein qabeela aslam se wazeha hogia hai. Ab ham aik aur hawala de ker is baat ko Mazeed wazeha kerte hain

Ghalib b. Abjur said: ‘I mentioned Qays in the presence of Allah’s Messenger (s) and he said, "May Allah show His mercy to Qays." He was asked, "O Messenger of God! Are you asking for His mercy for Qays?" and he replied, "Yes. He followed the religion of our father Ismail b. Ibrahim, Allah’s Friend. Qays! Salute our Yemen! Yemen! Salute our Qays! Qays are Allah’s cavalry upon the earth."

’ (Tabarani, declared sahih by al-Haythami, X, 49.)

Allah’s Messenger (sallallaho alaihi wa sallam) said: ‘O Allah, bless [the tribe of] Ahmas and its horses and its men sevenfold.’ (Ibn Hanbal, in Haythami, Majma X, 49. According to al-Haythami its narrators are all trustworthy.)

Abu Hurayra narrated that Allah’s Messenger (s) said: ‘How excellent a people are Azd, sweet-mouthed, honouring their vows, and pure of heart!’

(Ibn Hanbal via a good (hasan) isnad, according to Haythami, X, 49.)

Anas b. Malik said: ‘If we are not from Azd, we are not from the human race.’

(Tirmidhi, Manaqib, 72; confirmed by Mubarakfuri, X, 439 as hasan gharib sahih.)

Abdallah ibn Mas‘ud said: ‘I witnessed Allah’s Messenger (sallallaho alaihi wa sallam) praying for this clan of Nakh‘.’ Or he said: ‘He praised them until I wished that I was one of them.

’ (Ibn Hanbal, with a sound isnad. Haythami, X, 51.)

Najd ki haqiqat

Part 16 wahabi najdi ki haqiqat

Comment: yahan per kuch logoon ko Hazoor sallallahu alaihe wasallam ki ata'at mein shirk nazar aya. Aur un ko Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ke farman mein kammi nazar eye. Bilkul isi tarah najd ke banu tamim qabeela ke dhil khawaysra tamimi ko bhi Hazoor sallallahu alaihe wasallam ki taqseem mein kammi nazar eye to us ne be'adli ka bohtan laga diya Hazoor sallallahu alaihe wasallam per.

Bani Tamim Ki Refutation
Kuch log aik he Hadees jo mukhtalif sihah e sitta ki kitaboon mein bayan hoi hai, us ke bahut se hawale de dete hain ye dekho bani tamim ki fazilat. Lakin wo ahadees nahe share krte jis mein Banu Tamim Ne Basharat ko thokra diya aur na wo hadees dekhate hain jis mein banu tamim ko mehroom ker diya gia. Ab ham sirf chand ahadees is hawale se bayan krain gy kion ke hamara maqsad aik baat ko chand misaloon se samjhana hai. Samajhne wale ke liye aik he baat kafi hoti hai aur na samajhne wale ke liye lakh batain bhi samajh nahe ati hain

Bani Tameem constitute the majority of the inhabitants of the Najd that is in Saudi Arabia.

The hadeeth of Saheeh Bukhaaree reported by Abu Hurayra (RA): "I have loved the people of the tribe of Bani Tameem, ever since I heard three things the Messenger of Allaah , sallallaahu alayhi wa sallam, said about them. I heard him saying, 'these people (of the tribe of Bani Tameem) would stand firm against the Dajjaal.' When the Saddaqat from that tribe came, the Messenger of Allaah , sallallaahu alayhi wa sallam, said, "these are the Saddaqat (charitable gifts) of our folk." Aa'ishah had a slave girl from that tribe, and the Prophet , sallallaahu alayhi wa sallam, said to Aa'ishah, 'manumit her as she is a descendant of Ismaa'eel, alayhis salaam.'" [Hadeeth no. 2543, 4366 of al-Fath].

Hazrat abu hurayra radi Allah anho se rawayat hai ke jab se mein ne Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam se bani tamim ke baray mein teen 3 batain suni hain mein un se hamesha mohabbat rakhhta hon, Aap ne farmaya un mein ye 3 batain pai jati hain.

1: meri ummat mein se wo dajjal per sab se ziyada sakht hoon gay.
2: aur hazrat Ayesha radi Allah anha ke pass un ki aik qaidi aurat thi, Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya: " issay azad ker do ye Hazrat Isma'il alaihessalam ki aulad mein se hai.
3: aur un ke sadqaat aaeye to Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya " ye meri qom ke sadqaat hain"

Comment: ooper bayan ki gai hadees mein 3 batain ba yan hoi hain.
1: wo dajjal per sab se ziyada sakht hongy. Is se pata chala ke banu tamim he woe maghroor aur sakht dil log hain jin ka zikr ahadees mein aya hai ke Diloon ki sakhti Aur Gharoor Mashraq mein hai.

2: doosra point hai Ye Hazrat Ismail Alaihessalam ki olad mein se hain. Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ne Qabeela Aslam ko bhi Hazrat Ismail Alaihessalam ki olad qarar diya hai.

Qabeela Aslam Olad Ismail Se Hai:

Hazrat Salma Radi Allah Anha se marvi hai: Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam Qabeela Aslam Ke Kuch Logoon ki taraf tashreef le gaey aur wo bazaar mein teer andazi ker rahe thy to Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:

Aey olad e Ismail! Teer andazi kro is liye ke tumaray baap (ismail) teer andaz thy aur mein falaan shakhs ke sath hoon kisi aik fareeq ke baray mein (Aap ne aisa farmaya) pas doosray fareeq ke logoon ne apne hath rok liye, Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke in ko kiya ho gia! Logoon ne arz kiya ham kaise teer andazi krain Aap to falaan ke sath hain farmaya: teer andazi kro mein sab ke sath hoon. Sahih Bukhari Vol 2 Hadees 723

Najd ki haqiqat

Part 15 Wahabi najdi ki haqiqat

Comment:
Shor machane wale dehation ko mashraq mein kaha gia hai. In shor machane wale dehatiyoun se kiya muraad hai?
Aaeye surat Al'Hujrat ayat Number 4,5:

Tarjuma
Beshak wo tumain hujroon ke bahir se Pukarte hain un mein aksar be'aqal hain aur ager wo sabr krte yahan tak aap un ke pass tashreef late to ye un ke liye achha tha.

Ye ayat bani tamim ke dehati logoon ke haq mein nazil hoi, qabeela bani tamim ke chand log dopehar ke waqt Masjid Nabvi mein aaey. Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam us waqt aram farma rahe thy to ye log bahir se awazain dene lage thy ke aey Muhammad bahir aeye.

Ibn kathir ayat number 4 aur 5 ki tafseer mein likhte hain:
un logoon ki muzammat bayan farmai ja rahi hai jo hujroon ke bahir se pukarte hain, Ye ummahat ul mo'maneen ke ghar thy. Ajad badwoon ( uneducated, jahil dehati logoon) ka yehi tarika tha. Ye iqrah bin habis tamimi ke baray mein nazil hoi.

Tafseer Ibn Kathir, Vol 4, page 363, Surat al'hujraat

Comment:
Ye ayat Najd ke logoon jo bani tamim ke thy un ke hawalay se nazil hoi. Aur ibn kathir tafseer mein likhte hain ke ajad badwoon ka yehi tarika hai.
(yanni zor se bolna, shor kerna). Badu dehati ko kehte hain.

ب ہم ایک اور آیت پیش کرتے ہیں جو نجد کے حوالے سے نازل ہوئی۔

Surat Al'fateh ki ayat aur uski tafseer bahawala najdi fitnah

"Anqareeb tum sakht larrai wali qaum ki taraf bulaey jao gay.
Surat Al'fateh :16
is ayat ki tafseer mein qadi thana ullah pati farmate hain
zahri muqatal aur aik jama'at ka ye qol hai ke is se banu hanifa yamamah ke bashinday aur musaylma kazzab ke sathi murad thy.

Hazrat Rafeh bin khadaij sahabi radi Allah anho farmate hain ke ham ye ayat parhte to thy mager ye maloom na tha ke ye kaun log hain? Jab hazrat Abu bakr sadiq radi Allah anho bani hanifa najdion ke khilaaf jehad ki dawat di to hamain pata chala ke is ayat se ye log muraad hain. Ye aksar mufasreen ka qol hai.
Tafseer Mazhari, vol 9, page 22

Comment:
is se andaza hota hai ke Najd ke fitnoon ke hawalay se ayaat mein pehle he bayan ker diya gia tha. Aur is se pata chalta hai ke yehi Najd Murad Hai jis ke hawale se ahadees bayan hoi hain.

Ab ham aik aur ayat paish kerte hain phir is ke nichay aik hadees bayan krain gay

Munafiq jo shirk ka fatwa lagate hain
Ayat ka tarjuma
Jis ne Rasool ki ata'at ki us ne meri ata'at ki

SHAAN E NAZOOL
Mufasir shaheer alama fakhrud din razi (wisal 606) apni shohra afaq tafseer kabeer mein likhte hain ke Nabi Sallallahu Alaihe wasallam ne farmaya jis ne meri ata'at ki us ne dar'haqeeqat Allah ki ata'at ki, Munafiqoon ne kaha ye hamain Ghair Allah ki ebadat se rokte hain halanke ye khud shirk ke qareeb hain. Ye chahte hain ke ham unhain Rab maan lain jaisa ke isaiyoun ne Isa bin maryam alaihessalam ko apna Rab Mana, is per Allah ta'ala ne ye ayat nazil ki :
Jis ne Rasool ki ata'at ki beshak us ne meri ata'at ki. Surat an'nisa Ayat 80.

(Tafseer Kabeer wa Tafseer Khazen)

Najd ki haqiqat

Part 14 Wahabi najdi ki haqiqat

Comment: is hadees se pata chala ke takabur aur gharoor aur kuffer mashraq waloon mein hai jo gorroon aur oontoon wale hain. Aur Najd ki taraf se he Dajjal Ohad paharr ke peechay aey ga aur ohad pahar madina ki mashraqi Riyaz Wali side mein hai. Aur zahir hai jab ohad tak aey ga to Najd se he guzar ker aey ga aur us dajjal ke sathi bhi najd se bhi hoongy.

Hadees:
Hazrat abu masaud radi Allah anho se rawayat hai ke mein ne Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam se suna hai ke ussi taraf yanni mashraq ki taraf se fitnay uthhain gay, zulm aur sangdilli shutter'banoon mein hai yanni ooni khaimoon waloon ke haan, oont aur gaey (cow) ki dummoon ke pass yanni rabiyya aur mudar ke qabeela mein hai.
Sahih Bukhari vol 2, Page 717 hadees 715

Hadees
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke diloon ki sakhti aur sakht mazaji mashraq waloon mein hai, imaan hijaaz waloon mein hai Sahih Muslim vol 1 page 192, Hadees 195

Comment:
In ahadees mein bahut si cheezain common hain aik hain.
1: fitnah aur sangdili oontoon ki dummoon
2: sakhti aur sangdili Rabiyya aur Mudar oontoon waloon
3: kuffer mashraqi hai
4: oont (camel) aur gorray (horse) waloon mein takabbur, gharoor aur darushtagi
5: kuffer ka markaz mashraq ki taraf hai
6: fakhr o takabbar gorray waloon mein aur oont waloon mein
7: gharoor aur riya kari, sakht mazaji aur badkhalqi gorroon waloon aur oontoon waloon mein hai.
8: ussi taraf yanni mashraq ki taraf se fitnay uthhain gay
9: diloon ki sakhti aur sakht mazaji mashraq waloon

Fitna sangdili oont waloon mein hai aur oont banu Mudar ke thy aur gorray Rabiyya ke thy. Takabbur aur gharoor bhi inhi mein hai. Aur inhi oont aur gorray waloon matlab bani Mudar aur Bani Rabiyya se he shaitan ke 2 seeng niklain gayl. In sab ahadees mein mashraq se jo cheez murad li gai hai wo Banu Mudar Aur Banu Rabiyya Hai.aur bani rabbiya hadees ke mutabiq Bahrain mein thi aur Bani Mudar Bahrain Aur Madina ke rastay mein hai. Aur rastay mein woe poora ilaqa Najd ata hai jis se shaitan ke seeng niklne ki paish goi farmai gai thi. Ye sari ahadees sahih bukhari aur muslim se li gai hain aur Allah ke karam se koi dhaeef hadees nahe hai. Aur baat sari clear ho gai hai Ahadees, Tareekh aur scholars ki opinion ki roshni mein najd yehi najd hai jo mojooda hai yehi shaitan wala najd hai. Beshak 12 najd hoongy lakin jo najd hadees mein muraad liya gia woe najd yehi hai.

AB HAM AYAAT E QUR'ANI AUR AHADEES SE DOBARA DEKHTE HAIN
اب ہم آیات قرآنی کی روشنی میں دیکھتے ہیں ان لوگوں کی خصوصیات جن کی نشاندہی احادیث میں بھی کی گئی اور جن کی مذمت قرآن میں بھی بہت ہوئی
اب ہم صحیح بخاری کی ایک اہم حدیث بیان کرنے لگے ہیں، بیشک اس سے پہلے مشرق اور فتنے سے متعلق احادیث پیش کی ہیں لیکن اس حدیث پر غور کرنے سے بہت کچھ سمجھ آجاتا ہے اور اس سے متعلق کچھ آیات بھی ملتی ہیں۔

Hadees
Hazrat Abu Hurayra Radi Allah Anho farmate hain ke mein ne Rasoolallalh Sallallahu Alaihe Wasallam se suna ke Aap Sallallahu Alaihe Wasallam farmatay hain ke Yemen Wale Aa Gaey hain ye log nehayat narm dil aur kamzor dil hain imaan bhi yemni aur hikmat bhi yemani aur maskeeni bakri waloon mein aur fakhr o gharoor shor machane wale dehatiyoun mein jo mashraq ki Taraf rehte hain.  Sahih Muslim, vol 1 Page 189, Hadees 191

Najd ki haqiqat

Part 13 Wahabi najdi ki haqiqat

Rasoolallah sallallahu alaihe wasallam ne yemen ki taraf ishara kiya aur farmaya ke imaan yemani hai aur agah ho jao ke fitnah aur sangdili oontoon ki dummoon ke qareeb rehne waloon Mudar aur Rabiya mein hai jahan se shaitan ke 2 seeng niklain gay.
Sahih muslim hadees  Page 52, vol 1, bukhari 466, vol 1

HADEES
Hazrat abu masaud radi Allah anho se rawayat hai ke Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne Yemen ki Taraf apne dast e Mubarak se ishara kerte hoey farmaya imaan to yahan (Yemen) hai aur sakhti aur sangdili Rabiyya aur Mudar oontoon waloon mein hai jo oontoon ki dummoon ke peechay peechhay hankte chale jate hain. Jahan se shaitan ke 2 seeng niklain gay yanni qabeela Rabiyya aur Mudar
Sahih Muslim vol 1, page 184, Hadees 183

Hadees
Abu Hurayra radi Allah anho se marvi hai ke Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke: Imaan Yemni hai aur kuffer mashraqi hai. Bakriyoun waloon ke liye sakoon o itminaan hai jab ke oont (camel) aur gorray (horse) waloon mein takabbur, gharoor aur darushtagi paee jati hai. Aur dajjal jab ohad ke peechhay pohanchay ga to farishtay uska rukh shaam ki taraf morr dain gay jahan wo halaak hoga. Ye hadees Hassan sahih hai
Jami'a Trimdi Vol 2, Page 139 Hadees 124

HADEES
Hazrat Ibn Umer radi Allah anho se rawayat hai ke Rasoolallah Sallallahu alaihe wasallam Hazrat Hafsa radi Allah anha ke darwazay ke pass kharray howy thy to Aap Sallallahu alaihe wasallam ne apne hath se mashraq ki taraf ishara farmaya aur farmaya fitnah yahan hoga jahan se shaitan ka seeng talooh hota hai, issay Aap sallallahu alaihe wasallam ne 2 ya 3 bar martaba farmaya. Aur ubaidullah bin saeed ne apni rawayat mein Aap Sallallahu Alaihe wasallam syeda Ayesha Radi Allah Anha ke darwazay ke pass kharray thy. Sahih Muslim, Vol 3, Page 1836 Hadees 2796

HADEES
Hazrat Ibn Umer Radi Allah anho rawayat kerte hain ke aik martaba Hazoor sallallahu Alaihe Wasallam ne 2 martaba ye dua ki ke
Aey Allah! Hamaray shaam aur Yemen Mein barkatain Nazil farma, Aik Admi ne arz kiya Ya Rasoolallah! Hamaray mashraq ke liye bhi Dua farmaiye! Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya: Wahan se to Shaitan Ka seeng talooh (nikalta) hota hai aur 10 mein se 9 feesad sher yehi hota hai.    Sahih Bukhari, Hadees 7094, Ibn Hibban 7301

AHADEES:
Hazoor Sallallahu alaihe Wasallam ne farmaya ke kuffer ka markaz mashraq ki taraf hai, fakhr o takabbar gorray waloon mein aur oont waloon mein hai jin ke dil sakht hain aur narmi akhlaqi aur maskeeni bakri waloon mein hai
Aik aur hadees mein farmate hain ke Imaan to Yemen Waloon mein hai aur kuffer mashraq ki taraf hai aur bakri waloon mein maskeeni, naram mazaji hoti hai aur gharoor aur riya kari, sakht mazaji aur badkhalqi gorroon waloon aur oontoon waloon mein hai.  Sahih Muslim Vol 1, Page 186/187, Hadees 187/188

Hadees 
Hazrat Abu Hurayra Radi Allah Anho se Rawayat hai ke Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya: Imaan Yemeni Hai Aur Kuffer Mashraqi hai, Bakriyoun waloon ke liye Sakoon o Itminaan Hai Jab ke oont aur gorray waloon mein takabbur, gharoor aur darushtagi Pai Jati Hai Aur dajjal jab ohad (Madina ke Mashriq) ke peechhay pohanchay ga To farishtay us ka Rukh shaam ki taraf Morr Dain gay, Jahan wo halak hoga. Ye hadees Sahih Hai
Jami'a Trimdi Vol 2, Page 139 Hadees 124

Najd ki haqiqat hissa 2

Part 12 Wahabi najdi ki haqiqat

Mein Mudar ki is Shajra e Nasb se itfaq nahe kerta kion ke is mein kahi aur shakoon ka bayan nahe howa hai lakin Phir bhi aik Shajrah ke tor per tasleem ker lete hain kion ke ham ne banu tamim ka shajra nasb dekhna hai na ke doosri shakhoon ka.

Is hawalay se badrud din aini farmate hain:
Tamim mudar ka bahut barra qabeela hai, ye tamim bin mer bin adban bin tabkha bin ilyas bin mudar ki taraf mansoob hai.
Umdatul Qari, Vol 13, page 104, page 83, vol 8.

Bani Tamim Kahan Rehti Hai
بنی تمیم کہاں رہتی ہے

Banu Tamim Najd Mein he Rehni wali hai.
Hazoor sallallahu alaihe wasallam ne najd ke sardaroon Hazrat Aqra bin habis , hazrat ainiya bin badr aur un ke digger sathiyoun ko sona ata kiya..

Is ki sharah mein Alama Badrud Din Aini najd ke sardar Hazrat Aqrah bin habis radi Allah anho ke baray mein likhte hain ke :

Ibn is'haaq farmate hain ke Hazrat aqrah bin habis tamimi radi Allah anho atard bin hajib ke sath bani tamim ke ashraaf ke sath bargah e risalat mein Hazir hoey.

Umdatul Qari vol 15, page 229

Alama Badrud din aini khawarij ke baray mein likhte hain ke:
علامہ بدرالدّین عینی شارح صحیح بخاری خوارج کے بارے میں لکھتے ہیں

Ye (zil khwaisra ki nasal ke ) log Najd ke us muqaam se niklay jahan banu tamim abad hain.
Umdatul Qari Vol 24, page 90

Comment:
Hadees aur Sharah se Wazeha howa ke Banu Tamim ka qabeela Najd ka rehne wala Hai. Aur issi nasl se sab se pehla gustakh nikla tha jis ka naam dhil khawaysra tamimi tha

Hazoor sallallahu alaihe wasallam ne Hazrat ainiya bin hasn fazari radi Allah anho ko banu tamim ki taraf maqam satya mein bheja aur ye banu tamim ki sarzameen hai. Aap moharam al'haram sun 9 hijri mein 50 arbi shahsawaroon ko le ker tashreef le gaey thy, jin mein koi mohajir aur Ansaar nhe thy ……. … in sawaroon ne sehra mein banu tamim ke logoon per achanak hamla kia ,,,,, more detail reference is:
Tabqaat ibn sa'ad vol 3 page 160

Hazoor sallallahu alaihe wasallam ke ghazwaat aur saryah ki kul tadad 82 hai, qazi sulman mansoor poori ne likha aur un mein se 23 ghazwat o sarya qabaail e najd ke sath paish aaey.

تبصرہ

اب تک کی ہونے والی بحث سے ثابت ہوا کہ نجد ان علاقوں کے درمیان کے علاقے کو کہتے ہیں جو شام، عراق،مدینہ اور یمن کے درمیان کا علاقہ ہے۔ اور قبیلہ قیس بحرین میں آباد تھا جن کو اہل مشرق کہا گیا ہے اور مضر کا قبیلہ مدینہ اور بحرین کے درمیان تھا۔ اور مضر قبیلہ قبل از اسلام سے ہی بہت خودسر تھے۔ اور یہ قبیلہ موجودہ نجد ریاض ہی کے علاقے میں آباد تھے۔ بنو تمیم قبیلہ مضر کی ایک بڑی شاخ ہے۔اور بنوتمیم آج بھی نجد ریاض کے شمال کی جانب ہے۔ جو مدینہ کے عین مشرق میں آتی ہے۔

اور یہ وہی نجد ہے جس میں23 غزوات اور سریہ قبائل نجد کے ساتھ تھے جبکہ حضور صلّی اللّہ علیہ وآلہ وسلّم کے غزوات اور سریہ کی کل تعدار 82 ہے۔

اب ہم اپنے اصلی مقصد کی طرف آتے ہیں اور وہ احادیث بیان کرتے ہیں جن میں فتنوں کا ذکر آیا ہے اور ان احادیث کا تعلق مشرق اور نجد سے ہے۔

AHADEES E MASHRAQ AUR HADEES NAJD
احادیث مشرق اور حدیث نجد

ان تمام احادیث میں "یطلع قرن الشّیطان " اور مشرق کا ذکر آیا ہے

رسول اللہ صلّی اللہ علیہ وسلّم نے یمن کی طرف اپنے دست مبارک سے اشارہ کرتے ہوئے فرمایا ایمان تو یہی ہے اور سخت مزاجی اور سنگ دلی ربیعہ اور مضر اونٹ والوں میں ہے جو اونٹوں کی دموں کے پیچھے پیچھے ہانکتے چلے جاتے ہیں جہاں سے شیطان کے دو سینگ نکلیں گے یعنی ربیعہ اور مضر۔

صحیح مسلم ، ج1، حدیث 183، ص 184