async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: najd ki haqiqat hissa 4
Showing posts with label najd ki haqiqat hissa 4. Show all posts
Showing posts with label najd ki haqiqat hissa 4. Show all posts

Monday, November 16, 2015

Najd ki haqiqat

Part 43 wahabi najdi ki haqiqat

Hadees

hle iraq ke shuhda

Hazrat Ali radi Allah anho ko bayan kerte hoey suna:

Aey Ahle iraq!

Anqareeb tum mein se 7 admi azrah ke muqam per qatal hongy unki misaal as'haab e khadood (khandqoon wale) ki hogi. Pas hajr bin adi aur un ke as'hab qatal ho gaey.

Hazrat Ayesha radi Allah anha ne farmaya, mein ne Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ko bayan kerte suna ke "anqareeb azrah mein kuch log qatal hongy jin ki khatir Allah aur asman wale ghussay ho jaen gay.

Ye Hazrat Muawiya radi Allah anho ke hukam per hamla kerne walon ke hath se shaheed hoey.

Al.bidaya wan.nahaya, Vol 6, Page 306

Baghdad ki khubiyaan

Younun bin abdul aala al'sadfi ne bayan kiya ke imam shafa'I ne mujh se pocha ke tu ne Baghdad dekha hai?
Mein ne kaha nhe

To aap ne farmaya tu ne duniya nhe dekhi. Aur imam shafa'i ne farmaya mein jis sheher mein bhi gia hoon mein ne ussay safar shumaar kiya hai, magar baghdad ko mein ne safar mein shumaar nhe kiya, mein jab is mein dakhil hua to mein ne issay watan shumaar kiya

Aur baz ne rawayat kiya ke duniya aik jungle hai aur Baghdad us ka sheher hai.

An alaihe ne bayan kiya ke mein ne talb e hadees mein ahle Baghdad se ziyada aqal'mand nhe dekha aur na un se achha aram wala dekha ha

i.Ibn mujahid ne bayan kiya hai ke mein ne khawab mein abu umroo bin al'ala ko dekha to mein ne pochha Allah ta'ala ne tumaray sath kiya salook kiya hai? Tu us ne mujhe kaha is baat ko chhorro jo Baghdad mein sunnat aur jama'at per qaiym raha aur mer gia to wo jannat mein mutaqil ho gia.

Abu bakr bin ayash ne bayan kia ke islam Baghdad mein hai. Ye aik shikari hai jo admiyoun ka shikaar kerta hai aur jis ne issay nhe dekha us ne duniya nhe dekhi

.

Abu muawiya ne bayan kiya ke Baghdad duniya aur akhirat ka ghar hai.

Baz ne rawayat kiya hai ke islam ki khubiyoun mein se Baghdad mein jumah ke din aur Makkah ki namaz e traweeh aur taraswas ka eid ka din bhi hai

Aur khateeb Baghdadi ne bayan kiya ke jo shakhs Madinat al'islam (Baghdad) mein jumah ke din hazir hoga Allah ta'ala us ke dil mein islam ki azmat ko barha dega kiyoun ke hamaray mashaiykh ka qol hai ke Baghdad mein jumah ka din aur doosry shehroon mein eid ke din ki tarah hai.

Aur aik shakhs ne bayan kiya ke mein mawazbat se jameha Mansoor mein Jumha parhta tha mujhe aik (masla) paish aa gia to mein ne doosri masjid mein namaz parh li to mein ne khawab mein aik shakhs ko kehte dekha tu ne sheher ki jameha masjid mein namaz parhi aur bila'shuba is mein her jumah ko 70 wali namaz parhte hain.

Aik shakhs ne bayan kiya ke mein ne Baghdad se muntaqil hona chaha to mein ne khawab mein aik shakhs ko kehte dekha; kiya tu aise sheher se muntaqil hona chahta hai jis mein Allah ke 10 hazar wali hain.

Jab kisi shakhs ka ilm hijaz, paidaish iraqi aur namaz shaami ho to wo kaamil ho jata hai.

(aise he baahut se fazail Baghdad ke bayan hoey hain)

Al.bidayah wan'nahaya Vol 10, Page 128,129

Hadees

Imam Mehdi ki khidmat mein Shaam Ke Abdaal aur Iraq ke ulma o fuzla groh dar groh hazir ho ker bait krain gay.'
Ahmad bin humble Musnad jild sadas, page 317
Sahih Ibn Hibban vol 15 page 59
Sunnan Abi dawood vol 4 page 464

([1]) في (ط) : إذ مرت به .

([2]) في (أ ط) : فأخبر النبي صلى الله عليه وعلى آله وسلم .

([3]) في المطبوعة : العليا .

([4]) أخرجه الحاكم في المستدرك ، كتاب معرفة الصحابة ، ذكر فضائل القبائل ، (4 / 73 ، 74) ، وهذا الحديث فيه محمد بن ذكوان ، ضعيف ، لكن الحديث يقوى بمجموع الشواهد التي ذكرها المؤلف .

Najd ki haqiqat

Part 42 wahabi najdi ki haqiqat

Hadees:

Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne shaam ki taraf nazar ki aur ye dua ki, Aey Allah ! in ke diloon ko apni ata'at ki taraf maiyl farma aur un ke ird gird apni rahmat gair de, phir Yemen ki taraf nazar ki aur us ki missal dua farmai, phir iraq ki taraf nazar farmai aur waise he dua ki.

Abdur Razzaq al'musnaf, vol 11, page 251, 252

Hadees:

Qayyamat us waqt tak qaim nhe hogi jab tak iraq ke achay log shaam aur shaam ke buray log iraq ki taraf muntaqil na ho jaeen

Musnad ahmad vol 5, page 249

Naeem ibn hamad kitab al'fittan, vol 2, page 631

Hashiya ibn qayyum, vol 7 , page 116

Comment: is se maloom howa ke Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ne Iraq ke liye dua bhi farmai hai. Aur iraq ki ye shaan rakhi ke Iraq ke achhay log jab tak shaam na aa jaeen tab tak qayamat nhe aey gi. Is se andaza hota hai ke iraq ke jo maqami log hain woe bahut achay hain.

IRAQ KI FAZILAT Kharooj Dajjal Ke Waqt

Hazrat ummul momaneen Ummay Salma radi Allah anha se rawayat hai ke:

Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke aik khalifa ki maut ke waqt logoon mein (agla khalifa muntakhib kerne mein) ikhtalaf ho jaey ga is doran aik admi Madina se nikal ker Makkah ki taraf bhagay ga. Log ussay khalafat ke liye nikalain gy lakin wo issay na'pasand kerte hoongy phir log un ke hath per hajr e aswad aur muqam e Ibrahim ke darmiyan bait krain gay phir wo (sufiyani) aik lashkar shaam se bheje ga to wo lashkar "baidah" ke muqam per zameen mein dahns jaey ga. Jo Makkah aur Madina ke darmiyan aik jagah hai. Jab log us lashkar ko dekhain gay to ahle shaam ke abdal aur iraq ki jamatain un ke pass aaeengi. Un se bait kraingi.Phir aik admi utthay ga Quraish mein se jis ki nanehaal bani kalb mein hogi. Wo un ki taraf aik lashkar bhejay ga to wo us lashkar per ghalba hasil kr lain gay.Aur wo bani kalb ka lashkar hoga aur na'kaami ho us shakhs ke liye jo bani kalb ke amwaal e ghanimat ki taqseem ke moqa per hazir na ho, mehdi maal e ghanimat taqseem krain gy aur logoon mein un ke Nabi ki sunnat ko jari krain gay aur islam per apni garden zameen per daal dega .(sari zameen per islam phail jaeyga) .Phir us ke ba'd 7 saal tak wo zinda rahain gay phir unka intaqaal ho jaeyga aur musalman un ki namaz e janazah parhain gay.

Imam abu dawood farmate hain ke baz ne ibn hisham ke hawale se ye kaha hai ke wo 9 saal tak zinda rahain gay jab ke baz ne kaha ke 7 saal tak zinda rahain gay.

Abu daood share, vol 3 page 703, hadees 882.

Hadees

Hazrat ummay Salma radi Allah anha kehti hain ke mein ne Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ko farmatay suna:

Aik khalifa ki wafat per logoon mein ikhtalaf ho jaey ga, banu hashim ka aik admi (madina se) Makkah aaey ga log us ko ghar se nikal ker (Masjid e Haram mein) le aaeen gay, hajr aswad aur muqam e Ibrahim ke darmiyan us ki bait krain gay. Shaam se aik lashkar Makkah Mukarma per charhai ke liye aaey ga. Jab wo baidah ke muqam per pohanchay ga to ussay dhansa diya jaey ga. Is ke ba'd iraq aur shaam se ulma wa fazla imam mehdi ke pass (bait ke liye) aaeen gay.

Issay tabrani ne rawayat kiya hai

Najd ki haqiqat

Part 41 wahabi najdi ki haqiqat

Salafi Daleel Miqat Ahle Mashraq Iraq
Dhaeef Hadees of miqaat

Ali bin Muhammad, wakeeh, Ibrahim bin yazeed, abu zubair ne jabir radi Allah anho se rawayat kiya hai ke: Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne hamain khutbah diya aur farmaya Ahle Madina dhul hulaifa, Ahle Shaam juhfa, ahle yemen yalmalm, ahle najd qarn aur ahle mashriq dhat irq se ihram bandhain Phir Aap sallallahu alaihe wasallam ne apna chehra uthha ker kaha ke aey Allah in ke diloon ko mutowajjoh ker de.

Ibn Majah Hadees 695

Sunni Reply salafiyoun ki bayan ki gai hadees mein Ibrahim bin yazid al'hawzy Matrook al'hadees hain

Inka pura naam Ibrahim bin Yazid al-Khwzy hay !

Aur yeh Matrook ul Hadith hain !

Kisi nain bhi inko thiqah nahi kaha including Imam Ahmad, Imam nisai, Imam Dar ul Qutuni, Imam Yahya bin Ma'in !

Aur Ibn e Hajr nain inko Matrook ul Hadith likha h

Ibn e Hajr Asqalani, Book : Taqreeb At Thzeeb, Hadith Narrator, Id:272. - pg:95

Han magar Imam Tirmidhi aur Imam Nisai nain in say apni sunan main rawayat li hy shawahid k tor par.

Ibrahim bin Yazid Al-Khwzy Al-Amwy

1. Imam Ahmad Bin Hambal nain inhain Matrook ul Hadith kaha.
2. Imam Yahya Bin Ma'in nain farmaya yeh Thiqah nahi hain aur in k pas kuch bhi nahi hy.
3.Imam Abu Zar'ah aur Imam Abu Haatim nain inko Munkar ul hadith aur Zaeef ul Hadith kaha.
4. Imam Nisai nain inko Matrook ul Hadith kaha.
5. Imam Ali Bin Madeeni nain inhain zaeef kaha aur farmaya k in say koi cheez na likhi jaay.
6. Imam Ibn e Sa'd nain farmaya k in k pas Zaeef ahadith hoti hain.
7. Imam Ali bin Junaid nain inko Matrook kaha.
8. Imam Dar Al Qutuni nain inko Mukar ul Hadith kaha.
9. Imam Ibn e Hibban nain farmaya k yeh kaseer tadad main Munkar ahadith rawayat karty hain.

From : Ibn e Hajr

Book : Tahdheeb al-Tahdheeb

Vol : 1

narratoe : 327

حضرت عبد اللہ ابن عباس رضی اللہ تعالی عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلّی اللہ علیہ وسلّم نے ا ہل مشرق کے لیۓ عقیق کو میقات قرار دیا ہے

سنّن ابو داؤد، جلد اول حدیث 1727، صفحہ 1111

Comment:Aqeeq ki wadi Madina ke miqaat dhul hulaifa ke baeen (left) janib 10 kilometer door hai. Is se wazahat ho jati hai ke najd bhi ahle mashraq mein he ata hai

Salafi Daleel

Hazrat Ali radi Allah anho Iraq Mein Qatal howy

Sunni Daleel Qatleen e Ali Mein Banu Tamim

عراق کی خوبیوں والی احادیث اور آئمہ کرام کے اقوال

Iraq Ki Khoobiyoun Wali Ahadith Aur A'immah Karam Ke Aqwaal

Hadees:

Hazrat zaid bin sabit radi Allah anho se rawayat hai ke:

Rasoolallah Sallallahu Alaihe wasallam ne Yemen ki taraf dekha aur ye dua farmai: Aey Allah in ke diloon ko meri taraf maiyl farma de aur iraq ki taraf dekha aur ye dua Aey Allah in ke diloon ko meri taraf maiyl farma de aur shaam ki taraf dekha to ye dua farmai Aey Allah un ke diloon ko meri taraf mayil farma de. Aey Allah hamaray liye hamaray saaa aur hamaray madah mein barkat ata farma .

Kunzul umaal jild 17. page 136
Al.majum saghir, vol 1, page 173
Al.majum al.kabeer vol 5, page 116
Majmuaz zawaid vol 3, page 304
Al'adab al'mufrad vol 1, page 169

Najd ki haqiqat

Part 40 wahabi najdi ki haqiqat
Ibn Hajr al-Asqalaanee said after quoting the words of al-Khattaabee explaining the meaning of Qarn (horn), "and others have said that the People of the East were disbelievers at that time and the Messenger of Allaah, sallallaahu alayhi wa sallam, informed us that the trials and tribulations would arise from that direction and it was as he said. And the first of the trials that arose, arose from the direction of the east and they were the reason for the splitting of the Muslim ranks, and this is what Satan loves and delights in. Likewise the innovations appeared from that direction."

[Fath al-Baaree 13/58 in commentary to the hadeeth of Najd]

Sunni Reply:

Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam! Ham sirf hurmat wale mahinoon mein he aap ki khidmat mein hazir ho sakte hain kion ke hamaray aur aap ke darmiyan ye mudar qabeela ke kuffaar hail hain.

Sahih bukhari vol 1 page 13

Hadees

Ibn Abbas radi Allah anhuma se marvi hai wo kehte hain ke wafd abdul qais Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam ki Khidmat Mein Aya aur Arz Kiya

Ya Rasoolallah! Ham rabiyya ka qabeela hain aur kuffaar mudar hamaray aur aap ke darmiyan rakawat hain lehaza ham aap ki khidmat mein siwaey sheher e haram ken he aa sakte.. …….

Reference full hadees : Sahih Bukhari, Hadees 1502, Page 1467

Aey Allah! Abdul qais ki maghfirat farma ke ye raza mandi se kisi ke jabr ke baghair musalman ho gaey hain ab ye sharminda hoongy aur na he halaak, Jab ke hamari qaum ke kuch log us waqt tak musalman nhe hote jab tak ruswa aur halaak na ho jaeen, phir Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam ne Apne Chehray ka rukh morrtay howe qibla ki janib kiya aur farmaya Ahle Mashraq mein sab se behtareen log Banu Abdul qais hain.

Musnad Ahmad bin Humble, vol 7, page 360 Hadees 17983.

Ye wafd Bahrain ka rehne wala tha. Matlab ke Madina ke mashraq mein Bahrain ata hai
Ibn Hajr al-Asqalaanee said after quoting the words of al-Khattaabee explaining the meaning of Qarn (horn), "and others have said that the People of the East were disbelievers at that time and the Messenger of Allaah, sallallaahu alayhi wa sallam, informed us that the trials and tribulations would arise from that direction and it was as he said. And the first of the trials that arose, arose from the direction of the east and they were the reason for the splitting of the Muslim ranks, and this is what Satan loves and delights in. Likewise the innovations appeared from that direction."

[Fath al-Baaree 13/58 in commentary to the hadeeth of Najd]

Comment: ibn hajjar asqalani ki xplaining in ahadees ke under bahut wazeh hoti hai ke un ke mashraq se kiya murad hai aur mashraq mein rehne wale kuffaar kaun se kuffaar murad thy

Aaj kal salafi ye kehte phirta hain ke safain ka waqiya iraq mein howa tha lakin ibn kathir ke mutabiq ye waqiya Shaam Mein howa tha

Safain ka maraca

Hazrat Ali radi Allah anho aur Hazrat Muawiya radi Allah anho donoon apni apni faujoon ke sath bilaad e shaam ke mashraq mein mein faraat ke qareeb safain ke muqaam per khharray thy.

Al'bidaya wan'nahaya vol 7 page 339

Najd ki haqiqat

Part 39 wahabi najdi ki haqiqat

Narrated Abdullah ibn Amr ibn al-'As:

The Prophet (peace_be_upon_him) said: He who recites the Qur'an in a period less than three days does not understand it.

Sunni Reply:

Aik raat mein Quran khatam kerna

Muhammad Bin seereen se marwi hai ke Usman Radi Allah anho shab baidari kerte aur aik rak'at mein Quran Khatam kerte thy.

Abdur rahman bin usman radi Allah anho se marwi hai ke mein Makkah mein muqam e Ibrahim ke peechhay kharra ho gia, chahta tha is shab (ebadat mein) mein koi mujh se barhne na paey, aik shakhs ne mere pehloo per hath rakhha mein ne iltafaat na kiya. Us ne phir hath rakhha,

Mein ne dekha ke wo Usman bin afwan radi Allah anho hain, mein kinaray hatt gia, wo aagay barhay aur aik raka'at mein poora Qur'an parha aur chalay gaey.

Ibn siren se marvi hai ke jab Usman radi Allah anho qatal kiye gaey to un ki bivi ne kaha tum logoon ne unhain qatal ker diya halan ke wo saari raat baidar reh ke aik raka'at mein poora Qur'an parhte thy.

Tabqaat e Ibn Sa'ad Vol 3, Page 145,146

Hazrat Nyla kharri ho gaeen, Unhoon ne kaha Rab e Ka'aba ki qasam! Aey Allah ke dushmano! Tum ne Usman Radi Allah anho ka khoon kiya ye bahut barra gunah hai, dekho Wallah tum logoon ne unhain qatal ker diya halanke wo barray namazi thy, Aik raka'at mein poora Qur'an parhte thy.

Tabqaat ibn sa'ad vol 3 page 115

Salafi Daleel Iraq Mein Bemari Wali Rawayat

Muwatta Imam Malik Book 054, Hadith Number 030.)

Malik related to me that he heard that Umar ibn al-Khattab wanted to go to Iraq,

and Kabal-Ahbar said to him, "Do not go there, amir al-muminin. There is nine-tenths of sorcery there and it is the place of the rebellious jinn and the disease which the doctors are unable to cure."

Ka'ab al'ahbaar ussi saal musalman hoey the, woh bole

Aey ameer ul Momaneen!(Hazrat Umer Radi Allah anho)

Iraq aap apne safar ka aaghaz kaun se muqaam se kerna chahte hain?

Aap (Hazrat Umer) ne farmaya Iraq se"

woh (ka'ab) bole

Aap aisa na krain kiyoun ke burai ke 10 hissay hain aur bhalai ke bhi 10 hissay hain, burai ka aik hissa maghrib mein hai aur 9 hissay mashraq mein hain isi tarah bhalai ka sirf aik hissa mashraq mein aur 9 hissay maghrib mein hain. Mashraq he shaitan ka seeng aur her muhlak bemari hai.

..Tareekh Tabri vol 3 page 70.

Sunni Reply:

Saif ki rawayat mein hai Hazrat Ali Radi Allah Anho ne farmaya:

Aey ameer ul mo'maneen!(Hazrat umer)

Khuda ki qasam! Koofa hijrat ke ba'd doosri hijrat ka muqaam hai. Ye islam ka markaz hai aik din aisa aaeyga ke momin wohe aeyga aur (wahan aane ka) mushtaq hoga"

Abu imama ki rawayat mein hai ke (is moqa per) Hazrat Usman Radi Allah Naho ne farmaya:

Aey ameer ul momaneen!(Hazrat Umer) maghrib sharartoon ki zameen hai. Burai ke 100 hissay hain us mein se sirf aik hissa (tamam dunia ke.) logoon mein hai aur baqi tamam (99) hissay wahan hain

Tareekh Tabri, vol 3, page 70

SALAFI Daleel Mashraq Ke Liye

Najd ki haqiqat

Part 38 wahabi najdi ki haqiqat

Comment: Ibn kathir ke Mutabiq dajjal Madina ke mashraq ohad paharr ke qareeb shinta

شنتا

Ke muqaam tak aey ga.aur ooper bayan ki gai ahadees mein bhi ata hai ke Dajjal ohad paharr tak aey ga phir Madina mein 3 baar zalzala aey ga jis se Kafir aur munafiq log dar ker dajjal ke pass chale jaeen gy. Aur farishtay iska rukh shaam ki taraf morr dain gay jahan shyd ye shaam aur iraq ke darmiyani rastay se jaey aur idher tabahi machata howa lud ke muqam tak pohanchay aur hazrat Issa alaihessalam isko qatal ker dain gay.

Ibn kathir likhte hain ke Madina ke Mashraq ki taraf ohad ke samne wadi valley shinta ki janib se (Aag ke) zahoor ki kaifiyat ko bayan kia gia hai aur is ne in wadiyoun ko bher diya hai aur is se chingariyaan nikalti thien jo hijaaz ko khati thien aur madina is ke sabab larz gia.

Salafi Daleel Hazrat Usman Radi Allah anho ke Qatal ke Baray Mein

Usman(Radiallah anh) was martyred in Iraq=========

Sahih Bukhari :: Book 58 :: Volume 5 :: Hadith 202 Narrated Qais:

I heard Said bin Zaid bin 'Amr bin Nufail saying in the mosque of Al-Kufa. "By Allah, I have seen myself tied and forced by 'Umar to leave Islam before 'Umar himself embraced Islam. And if the mountain of Uhud could move from its place for the evil which you people have done to 'Uthman, then it would have the right to move from its place."

Comment: Is rawayat ye farmaya gia ke Hazrat Usman Radi Allah anho ke sath jo kiya gia woe bahut ghalat tha lakin is mein kisi jagah zikr nhe aya ke Hazrat Usman radi Allah anho ko Iraq Mein shaheed kiya gia. Salafi,wahhabi Hazrat Ahadees ko ghalat manni dene mein apna saani nhe rakhte. Ab aaeye dekhte hain ke Hazrat Usman radi Allah anho ko kis ne aur kahan shaheed kiya.

Sunni Reply:

Qatleen e usman radi Allah anho

WO MISRI LOG jinhoon ne Usman Ghani radi Allah anho ka mo'aasra kiya wo 600 thy, un ke raees

abdur rahman bin adais al'balwi,

kanana bin basher bin ataab al'kundi aur

Umro ibn al'hamq al'khazai thy

YE TEENOON MISRI QATLEEN USMAN THY

TABQAAT IBN SA'AD , VOL 2, PAGE 145

HAZRAT KO SHAHEED KERNE WALA KALA MISRI THA JISKA NAAM HABLA THA.TABQAAT IBN SA'AD VOL 2 PAGE 151

Jis shakhs ne Hazrat Usman radi Allah anho ko shaheed kiya woe kanana ibn basher tajebi tha. Jo misar Egypt se aya tha

Tareekh Tabri Vol 3 Page 451

Hazrat Usman radi Allah anho ko Qatal Misriyoun ne kiya. Lakin Hazrat Usam radi Allah ke chehray per thapr marne wala tamimi tha. Hajjaj ne pocha ke tum kaun ho? Us ne jawab diya umair bin zaabi al'tamimi ….. yehi wo shakhs hai jo Hazrat Usman radi Allah anho ke qatal ke bad un ke qareeb aya aur us ne Hazrat usman radi Allah anho ke chehray per thhapar mary, ye sun ker hajjaj ne forum umair bin zabi ke qatal ka hukam diya.

Al'bidaya wan'nahay vol 8 page 20

Comment: Donoon Tarah ki rawayatoon se sabit howa ke Hazrat Usman Ko qatal Kerne wale misri thy agerchay baghyoun mein Koofa aur Basra ke log bhi aey thy lakin woe qatleen mein shamil nhe thy. Aik rawayat mein sab ne mil kr hamla kiya us rawayat mein charoon misri sardar thy aur doosri rawayat mein tajebi ne shaheed ki. Aur tajebi misri tha.

Salafi Daleel aik Raat Mein Qur'an Parhne Per

Abu-Dawud :: Book 6 : Hadith 1389

Najd ki haqiqat

Part 37 wahabi najdi ki haqiqat

Hadees:

Hazrat abu bakr radi Allah anho rawayat kerte hain ke Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne hamain agah farmaya "Dajjal Mashraq ki Sarzameen se niklay ga jis ka naam Khurasan hai. chamra bhari dahaloon wale uske sath hoon gay. Sahih Hadees ibn Majah

Kitab al'fittan, Baab fitna dajjal wa kharooj issa bin maryam 3292/2

Hadees

Hazrat Anas bin Malik radi Allah anho se rawayat hai ke Rasoolallah Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya ke (Iran Ke Sheher) Isfahan ke 70 hazar yahodi kali chadrain orhay howy dajjal ka sath dain gay.

Sahih Muslim, kitab al'fittan wa sharatus sa'at, Baab Zikr Dajjal

Imaam Nawawee mentions that one of the greatest trials to appear from the East will be the appearance of the Dajjaal.

[Sharh Saheeh Muslim 2/29]

Hazrat Abu Hurayra Radi Allah Anho se Rawayat hai ke Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya: Imaan Yemeni Hai Aur Kuffer Mashraqi hai, Bakriyoun waloon ke liye Sakoon o Itminaan Hai Jab ke oont aur gorray waloon mein takabbur, gharoor aur darushtagi Pai Jati Hai Aur dajjal jab ohad (Madina ke Mashriq) ke peechhay pohanchay ga To farishtay us ka Rukh shaam ki taraf Morr Dain gay, Jahan wo halak hoga. Ye hadees Sahih Hai

Jami'a Trimdi Vol 2, Page 139 Hadees 124

Comment: Subhaan Allah is hadees mein mashraq aur bhi clear ho gia hai ke dajjal mashraq ki sar'zameen khurasan se niklay ga aur phir iran se 70000 yahodi Isfahan ke sheher se us ke sath niklain gay phir woe Madina ke mashraq ohad ke paharr ke peechay pohanchay ga yanni Mashraq se najd ki taraf se aey ga phir usko farishtay uska rukh morr dain gay aur woe shaam ki taraf chala jaey ga.

Comment: ab Imaam Nawawee Ka qaul clear hogia ke woe kis east ki baat bayan ker rahe thy. Khurasan mashraq mein ata hai phir Isfahan bhi mashraq mein ata hai. Khurasan se nikal ke Isfahan ke yahodiyoun ke sath mil ker tabahi machaey ga.

Doosray Tarikay se Reply:

Hadees:

Hazrat Abu Hurayra radi Allah anho se rawayat hai ke Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya ke "Kana Dajjal Mashraq (khurasan) ki taraf se aaeye ga. Is ka maqsad Madinah Munawra aane ka hoga. Woe ohad paharr ke peechhay tak aaey ga phir Farishtay iska Rukh Shaam ki taraf Phair Dain Gay aur wohe halaak hoga.

Sahih Muslim kitab al'haj,baab siyanatul Madina Min Dakhool al'taoon wal'dajjal ilaiha

Hadees

Hazoor sallallahu alaihe wasallam ne farmaya "Makkah aur Madinah ke siwa her sheher ko dajjal rond dale ga in (Makkah aur Madinah) ki her gaati per saf basta farishtay kharray hoon gay, jo in ki hifazat krain gay Phir Madina ki zameen 3 Martaba kaanpay gi, jis se her aik kaafir aur munafiq ko Allah Ta'ala is se bahir nikaal dain gay.

Bukhari Kitab fazail Madina, baab la yadkhalul Madina dajjal hadees 1881

He(Dajjal) would appear on the way between Syria and Iraq and would spread mischief right and left.

(sahih Muslim Book 41, Number 7015)

Najd ki haqiqat

Part 36 wahabi najdi ki haqiqat

Hussain radi Allah anho ke Qatal ka Paigham Lane Wali Bani Tamim Ki Aurat

Hasain bin numair ne bayan kiya hai ke saeed bin ubaid ne mujh se bayan kiya hai ke ham umer bin sa'ad ke sath pani mein naha rahay thy ke achanak is ke pass aik admi aya aur usne us se sargoshi ki aur us ne us se kaha ke ibn ziyad ne jaweriya bin badar tamimi ko bheja hai aur ussay hukam diya hai ke ager tu ne un (hussain) logoon ke sath jung na ki to wo tujhe qatal ker de.

Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 222.

(yaad rhe k ibn ziyad ne ibn sa'ad ko qatal krne ka hukam diya aur aik khaas baat ke yahan bhi hukam lane wali bani tamim ki aurat thi…Hazrat imam hussain radi Allah anho ko aik shakhs jis ko hassain bin tamim kaha jata tha aap ke taloo mein teer maar ker chheed ker diya)

Hussain Radi Allah Anho Per Qatlana Hamlay Kerne Wale Tamimi

zarhat bin shareek tamimi ne Hazrat Hussain radi Allah anho ke baeen (left shoulder) kandhay per talwar maari aur daeen kandhay(right shoulder) per bhi talwar maari phir wo apko chhorr ker wapis chale gay.

Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 241

Bani tamim ke aik shakhs jissay umroo al'tehri kaha jata tha us ne Hazrat imam ke donon kandhoon ke darmiyaan teer mara aur mein us teer ko aap ke kandhon ke darmiyan aap ke jubbay ke sath latka hoey dekh raha hoon

Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 223

Comment: is se sabit howa ke beshak Imam Hussain radi Allah anho ki shahadat iraq mein hoi lakin in ko qatal kerne wale bani umayya aur banu tamim ke log thy.

Kuch log Hazrat Ali Radi Allah anho ki shahadat ka charcha barra kerty hain lakin asli fact nahe bataty ke un ko qatal krne ka mansooba banany wale kaun thy aur kis ne unko shaheed kiya

Hazrat Ali Ko Qatal kerne ka plan banana wale kaun aur kahan ke thy?

3 kharjion abdur rahman bin umroo al'maroof ibn maljam al'hameeri thummal kindi, haleef bani hanifa

Min kundatul misri, jo gandum goooon, khu'baroo, hans much, jis ke baal us ke kanoon ki loo tak thy aur us ke cheray per sajda ke nishan tha.

Alberk bin Abdullah tamimi

aur Umroo bin bakr tamimi ne ikathay ho kr aapas mein is baat ka tazkara kiya ke Hazrat Ali Radi Allah Anho ne un ke bhaiyoun ko jo ahle Neherwaan mein se thy' qatal kia hai.

Al.bidaya wan'nahaya Vol 7, Page 426.

Salafi Daleel Dajjal ke baray mein

He(Dajjal) would appear on the way between Syria and Iraq and would spread mischief right and left.

(sahih Muslim Book 41, Number 7015)

Imaam Nawawee mentions that one of the greatest trials to appear from the East will be the appearance of the Dajjaal.

[Sharh Saheeh Muslim 2/29]

Sunni Reply:

Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya: Agah raho! Dajjal Shaam ya Yemen ke samunder mein mojood hai. (phir farmaya) nahe nahe balke woe Mashraq ki taraf hai, woe mashraq ki taraf hai, phir Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne apne hath Mubarak se Mashraq Ki Taraf ishara farmaya.

Sahih Muslim, kitab al'malaham,baab qissatul jasamah

Najd ki haqiqat

Part 35 wahabi najdi ki haqiqat

Sunni Reply

Is Hadees Mein Ahle Iraq ko taba'ee Saalim Raheemullah ne Mukhatib Kia hai aur kaha hai ke tum chhotay gunahoon ka pochhte ho jab ke barray gunah kerte ho. Phir woe agay Hazrat Abdullah bin Umer radi Allah anho se sunni hoi hadees e mubarka bayan kerte hain ke Hazoor sallallahu alaihe wasallam ne Mashraq ki taraf hath ker ke farmaya ke fitnah wahan se nikle ga jahan se shaitan ke seeng zahir hote hain…….. yahan aik baat kehna chahta hoon ke aik taraf Salim Raheemullah taba'ee ko logoon ne apne pass se sahabi bana diya hai. Aur doosri taraf yehi log aik aur Taba'ee Hazrat Imam abu hanifa per ilzamat aur tohmatoon ki barish kerte hain aur un ko ahlul roy kehte hain aur doosri taraf aik taba'ee ko sahabi bana ker logoon ko bewaqoof bana rahe hain… kiya ye khulli munafqat nahe hai aise logoon ki.

Yahan mein Saalim Raheemullah ke isharay Hazrat Imam Hussain radi Allah anho ke qatal ki wazahat Tareekh ki mustanad kitaboon ke hawalay se wazeha kerta hoon

Qatleen E Hussain Kaun aur Kis Qabeelay ke thy aur kis qabeely ke logoon ne Hazrat Imam Hussain Radi Allah anho ko qatal kerne ka paigham laya:

HADEES

"60 Hijri Se Allah Ki Panah Mango Aur Bacho Ke Hukmrani Ke"

{Albadaiyah O Alnahiyah:8/31}

"Is Hadees Mein Ishara Hai Ke Un Larkoun Mein Sub Se Phele Larka 60 Hijri Mein Hoga.Woh Hi Howa,Kyoun Ke Yazeed Bin Maawiya 60 Mein Khalifa Bana Aur 64 Tak Baqi Raha Phir Mar Gaya"

{Fatha Ul Bari:13/8}

Hazrat Imran Bin Hassain Farmate Hain; "Aqa Ne Is Haal Mein Wafat Paai Ke App Teen Qabiloun Ko Na Pasand Farmate The:

1: QabilaSaqeef

2: bani Hanifa

3: Bani Ummaiya

"Shah Muhadis Hadees Ke Sharah Mein Likhte Hain;

"Qabila Saqeef Mein Zalim Baadshah Hajaj Bin Yousuf Howa Jisne Ne Kam o besh 124000 Muslamoun Ko Qatal KIya,

Aur Bani Hanifa Mein Kazab Howa Jis Ne Nabowat Ka Jhota Dawwa Kiya,

Aur Bani Ummaiyah Se YAZEED Aur Ibne Ziyad Jaise Paida Howe Jis Ne ALE RASOOL Ko Qatal Kiya

60 hijri mein yazeed hukamran tha aur yehi qatleen e Hussain tha Kion ke Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ne Banu umayya ko nasapnd farmaya, aur muhadseen ne yazeed aur ibn ziyad ko iski wajah qarar diya. Ager ye qatleen Hussain radi Allah anho na hote to is qabeela ko napasand kion kiya jata? Koi wajah to hoti hai naa!

ab ham kuch aur sabot paish kerte hain :

Imam Hussain radi Allah anho Ahle Iraq ke likhne per 10 dhul hajj ko apne ahle ka aik groh sath le ker jis mein chand mard, auratain aur bachay thy, koofa ko rawana hoey. Idher Yazeed ne Iraq ke hakim Ubaidullah bin ziyad ko aap se jung kerne ka hukam diya to us ne Umer bin Sa'ad bin abi waqas ke zair kamaan 4000 hazar lashkar rawana kiya…… … Khuda aap ke qaatil ibn ziyad aur yazeed per lannat kray.

Tareekh-Ul-Khulafa Page 298

Najd ki haqiqat hissa 4

Part 34 wahabi najdi ki haqiqat

Comment: khawarij ne Ma'azallah Hazrat Ali radi Allah anho ko shirk se bachane ke liye ye ayaat parhi jaise un ko Hazrat Ali radi Allah anho ke imaan per shak tha. Aaj bhi musalmanoon ka aik tola jisay ahle hadees/salafi/wahhabi kehte hain woe aaj bhi musalmanoon ko aisi ayaat sunate hain aur un ko shirk kerne wala samajh kr shirk se bachane ki koshish kerte hain aur her baat chahay sunnat he ho usko ye shirk kehte hain. Chahay Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ke waseelay se dua mangi jaey to bhi isko shirk kehte hain ye

Final Comment On Iraq:

Najd Se Bani Tamim Ka dhul khawaysra Tamimi nikla jis ke hawalay se farmaya gia ke Woe Qur'an parhain gay lakin in ke galoon se nichay nhe utray ga. Phir jab tehkeem per majboor kerne wale bhi bani tamim ke he log thy aur tehkeem ho jane ke ba'd is per objection ker ke kharooj kerne wale bhi banu tamim ke he log thy jinhoon ne "la hukmu illallah" ka nara lagaya. Aur Hadees e najd aur Hadees e iraq sach sabit hoi aur ye sach sabit howa ke Banu Mudar Aur Banu Rabiyya he ki shakhoon ne Najd Aur Iraq Mein fitnay paida kiye.Qur'an ki Ghalat Taweel Ki Aur Hazrat ali aur Hazrat usman radia Allah anhum ko kafir aur bidati qarar diya. Aaj bhi dekha jaey to in ke pairokar ahle hadees,salafi,wahhabiya ki surat mein mojood hain jo musalmanoon ko mushrik, qabar parast, bidati qarar dete hain, aur in ke maal o asbab ko lootna jaiz samajhte hain. Ye log butparastoon ke khilaaf jahad ko kuffer ki jung qarar dete hain lakin musalmanoon ko mushrik qarar de ker un per aslah utha lete hain… aaj ki khabr hai ke gulf countries specially Saudi Arabia iraq mein dehshatgardoon kharjiyoun ko tarbiyat de raha hai jo iraq mein khudkush bomb blast kerte hain aur Syria ke khilaf musallah baghawat ker rahe hain.

Banu Tamim Iraq Pohanch Gai

Mas'har bin fadki tamimi aur zaid bin hasain tai tham sabai ne un qara' ki jamat ke sath jo un ke sath thi aur us ke ba'd wo khawarij ban gaey thy. Aap se kaha: Aey Ali! Jab Aapko kitab Allah ki Taraf bulaya jaey to uska jawab diya kro wagerna ham aap ko sab kuch samait un logoon ki taraf dakail dain gay ya ham aap ke sath wo salook krain gy jo ham ne (Usman) Ibn afaan ke sath kiya tha.

Al'bidaya wan'nahaya vol 7 page 358

Tamimi iraq pohanch gaey

Ashtar ne hamla ker ke Abdullah bin al'munzar tanokhi ko qatal kr diya. Jo ahle shaam ke sawaroon mein se tha issay aik iraqi ne qatal ker diya jissay zabiyan bin amarat tamimi kaha jata

Al'bidaya wan'nahaya vol 7 page 337

Comment: bani tamim ke log iraq pohanch gaey thy

MUTAFARAQ SAWALAAT O JAWABAT

Salafi Daleel

Saheeh Muslim [041:chapter 14 Hadith no.6943]

Saalim bin Abdullaah bin Umar said: O people of Iraaq, how strange is it that you ask about the minor sins but commit the major sins? [The killing of al-Husayn] I heard my father, Abdullaah bin

Umar narrating that he heard the Messenger of Allaah, sallallaahu alayhi wa sallam, saying while pointing his hand to the east: "Indeed the turmoil would come from this side, from where appear the horns of Satan and you would strike the necks of one another...