Fazilat-E-Namaz Ka Bayan
(1). Har Namaz Pichli Namaz
Ke Baad Hone Wale Gunah
Mita Deti Hain
(Tanbihul Gafileen)
(2). Namaz Se Gunaah
Dhulte Hain.
(Ibne Maja)
(3). Namazi Ke Liye Jannat
Ke Darwaze Khol Diye Jate
Hain.
(Tabrani)
(4). Namaz Emaan Ki Alamat
Hain.
(Munyatul Musalli)
(5). Namaz Se Rozi Me
Barkat Hoti Hain
(Tanbihul Gafileen)
(6). Namaz Ki Toufiq Milna
Allah Ta’ala Ka Aehsan Hain.
(Mukashftul Quloob)
(7). Namaz Padhkar Wahi
Bethe Rahe To Firishte Dua-E-
Magfirat Karte Hain.
(Abu Dawood)
(8). Namaz Padhne Wale Par
Nekiyo Ki Barish Hoti Rahti
Hain.
(Ehyaul Uloom)
(9). Namaz Behtereen
Ibadat Hain.
(Delmi)
(10). Har Hissa-E-Zameen
Tamanna Karta Hai Ki Kaash!
Mujh Par Koi Namaz Padhe.
(Tabrani)
(11). Namaz Buraiyo Aur
Bimaariyo Se Bachati Hain.
(Tazqiratul Wayezeen)
(12). Namaz Padhne Wale Ke
Gunaah Muaf Ho Jate Hain.
(Mishkat Sharif)
(13). Ek Namaz Dusri Namaz
Tak Ke Gunaaho Ka Kaffara
Hain.
(Tanbihul Gafileen)
(14). Namazi Ke Gunaah Iss
Tarah Jhadte Hain Jis Tarah
Khiza Me Darkht Ke Patte.
(Mishkat)
(15). Namaz Se Farig Hote
Hi Gunaah Muaf Ho Jate Hain.
(Kanzul Ummal)
(16). Namaz Se Sagira
Gunaah Muaf Ho Jate Hain.
(Muslim Sharif)
(17). Namazi Ke Sare
Gunaah Jhad Jate Hain.
(Tanbihul Gafileen)
(18). Namazi Ko Pul-Sirat
Par Sawariya Milengi.
(Nuzhatul Majalis)
(19). Namaz Padhne Se
Darjaat Buland Hote Hain.
(Muslim Sharif)
(20). Namaz Jannat Ki Kunji
Hain.
(Muslim Sharif)
(21). Namaz Yakinan Duniya
Aur Usme Jo Kuch Hain Unn
Sab Se Behtar Hain.
(Tazqiratul Wayezeen)
(22). Sajde Me Banda Allah
Ta’ala Ke Karibtar Hota Hain.
(Muslim Sharif)
(23). Baccha 7 Baras Ka Ho
JayeTo Use Namaz Ka Hukm
Do.
(Muslim Sharif)
(24). Farz Namaaz Ke Baad
Afzal Namaaz-e-Tahhajjud
Hai.
(Ahmed)
Ya Allah Apne Habib Ke Sadke
Hum Musalman Ko Namaz Ki
Daulat Nasib Ata Farma.
Aameen
Awwal Aakhir Durood