async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: taaziya
Showing posts with label taaziya. Show all posts
Showing posts with label taaziya. Show all posts

Sunday, September 23, 2018

Huzoor mufti e Azam Hind Farmate Hain

*Haq Se Bad Hoke Zamaane Ka Bhala Banta Hai*
*Arey Mai Khoob Samajhta Hoon Mo'amma Tera*

*Taaziya Shareef Ke Khilaaf Zaher Ugalne Waale Mullaaon Ke Munh Par Zordaar Tamaancha*

TaaziyaDaari Ke Baare Me Jab Huzoor Mufti e Aazam e Hind Radi Allaahu Anhu Se Poochha Gaya,
Huzoor Mufti e Aazam e Hind Radi Allaahu Ta'ala Anhu Ne Wahaabiyat Ko BeNaqaab Karte Huwe Farmaaya:

*"Taaziyadaari K Khilaaf Wahaabiyo Ka Maqsad Dhhol Baaje Band Karwaana Nahi, Balki Buzurgaan e Deen Ki Yaado Ko Mitaana Hai, Jab Qaum Buzurgaan e Deen, Mehboobaan e Khuda Ko Bhula Degi To Wahaabiyo Ke Liye BadAqeedgi Phailaane Ka Raasta Saaf Ho Jaayega"*

(Fataawa Mustafviya Shareef)

Friday, October 16, 2015

Post no. 4


💥” TAZIYAH-DAAR AQEEDATAAN HUM MEIN SE HAIN “💥

Fatawa-e-Aala Hazrath{Radi Allahu Tala Anhu} Ka Mulahiza Karen..👇👇👇

“ Jabke Jama’at Ka Intezaam Sunni Hanafi As-haab Ne Kiya Aur Imaam Sunni Hanafi Jaami’ Sharaa-it Imaamat Hoga To Us Mein Bila-Shubhah Jamaa’at-e-Kaseer Ka Sawaab Milne Ki Umeed Waasiq (Pakki) Hai, Taaziyah-daari Ek Bid’at-e-Amali Hai Woh Is Had Tak Ke Uske Murtakib MazAllah Raafzi, Wahabi Waghairahum Khubsaa’Ki Misl Hon Ya MazAllah Unki Jama’at Jama’at Na Ho Ya Unse Ijtinaab(Parhez Karna) Aisa Hi Farz Ho Jaisa Un Khabeeson Se, Zaroriyaat-e-Deen Baalaa-e-Sar, Woh Aqaayid-e-Zarooriyah AhleSunnat Ke Bhi Munkir Nahin, Na Mehboobaan-e-Khuda Ki MazAllah Tauheen Karte Hain, Na Kisi Mehboob Bargah se MazAllah Dushmani Rakhte Hain, Phir Un Khabeeson Ko Inse Kya Nisbat, “Yeh Aqeedatan Hum Mein Se Hain” Or Jo Kuch  Karte Hain Pesh-e-Nisat “YEH AQEEDATAAN HUM MEIN SE HAIN” Aur Jo Kuch Karte Hain Pesh-e-Khud Muhabbat-e Mehboobaan-e-Khuda Ki Niyaat Se Karte Hain, Baraah-e-Jahaalat-O-Nadaani Usmein Lahv-O-La’ib (Khel Kood) Wa Af’aal-e-Naa-Jayez Shaamil Karte Hain Lihaaza Unki Jama’at Par Hukm-e-Jama’at Na Maan-na Mahez Zulm Hai Aur Jab Uski Niyat Tamaashaa Dekhne Ki Nahin, Namaaz Baa-Jama’at-e-Kaseer Ki Niyaat Hai To Raastey Mein Un Cheezon Par Nigaah Padhne Ka Uspar Ilzaam Nahin Jaisa Ke Zamana-e Urs Mein AajKal Mazaaraat-e Tayyibah Ki Haazri…”
WALLAHU TA’ALA A’LAM

📚Hawala:-
{Fatawa-e-Razwiyah Shareef Mutarjam, Jild;Hashtum, Safah-455}

Post no. 3


YAAD E HUSSAIN KYU AUR KAISE رضي الله عنه


➡Taaziya Ki Naql choonKe gair JaanDaar Ki Tasweer Hai, LeHaaza iska Ba-Niyyat e Tabarruk Shar'an Jaayez Hai. Ziyaarat Ke Jawaaz Me Bhi Koi Kalaam Nahi Ho Sakta, Balke Agar Taaziya Boseeda Ho Jaaye Ya Uske Baaqi Rehne Me Kisi BeAdabi Aur Tarke Taazeem Ka Khauf Ho To Uske Dafn Karne Me Shar'an Koi Harj Nahi. (FATAAWA E AJMALIYA)

Post no. 2

YAAD E HUSSAIN KYU AUR KAISE رضي الله عنه

➡Huzoor Aalahazrat Sarkaar Alaihir Rahmato War Ridwaan Irshaad Farmaate Hain, Ye Farqe Nafees Khoob Yaad Rakhne Ka Hai k isi se Gaflat karke Wahaabiya Asl  Haqeeqat Par Hukm e Awaariz Lagaate Haalaa'nKe Awaarize Qabeeha Se Nafse Shai Mubaah Ya Hasan Ya Qabeeh Nahi Ho Jaati Balke Wo Apni Hadde Zaat me Apne Hukme Asli Par Rehti Aur Unhi Awaarize Qabeeha Ki Taraf Muta'wajje Hoti Hai Jaise Reshmi Kapde Pahenkar Namaaz Padhna k Nafse Zaat Namaaz Ko Qabeeh Na KaheinGe Maaz'allaah Balke in awaariz o zawaayid ko....  (Risaala TaaziyaDaari)

Post no. 1


                                                                                                              
🌹🌹YAAD E HUSAIN KYUN AUR KAISE.🌹🌹

➡Huzoor Sarkaar e Aalahazrat Mujaddid e Deen o Millat Faazil e Barelwi Alaihir Rahmato War Ridwaan Jo Imaam e Ahlesunnat Hain, Jinka Fatwa Saari Duniya Me Maana Jaata Hai Wo Apne Fataawa e Mubaarka Me Tehreer Farmaate Hain K " TAAZIYA" Yaani Rauza e Purnoor ShahZaada e Gulgoo'nQuba Husain Shaheed e Zulm o Jafa Salaatullaahi Ta'ala wa Salaamuhu Alaa Jaddihil Kareem ki Sahi Naql Banaakar Ba-Niyyat e Tabarruk Rakhna k Tasweer  Makaanaat wagairha gair JaanDaar ki Banaana, Rakhna Sab Jaayez Aur Aesi Cheezein k Mo'azzamaane Deen Ki Taraf Mansoob Hokar Azmat Paida Karein Unki Tamsaal Ba-Niyyat e Tabarruk Paas Rakhna Qat'an Jaayez Jaise Sad'haa Saal Se Tabqatan faTabqatan A'imma e Deen Wa Olmaa e Mo'tamadeen Naalain Shareefain Huzoor Sayyed ul Kaunain ﷺ ke Naqshe BanaaNe aur Unke Fawaayid e Jaleela Wa Naafa e Jazeela Me Mustaqil Risaale Tasneef Farmaaye Hain Jis Tarah Harmain Tay'yabain Kaaba Mo'azzama Rauza e Aaliya Ke Naqshe (Risaala TaaziyaDaari)