Page 24
Allah gawahi deta hai Ke nabi ki shaan me be adabi ka lafz kalma-e-kufr hai aur us ka kehne wala agarche lakh musalmani ka muddayi carod bar ka kalma goho, kafir ho jata hai aur farmata hai:
Aur agar tum un Se puchho to. Beshaq zarur kehenge Ke hum to yonhi hansi khel me the tum farma do kya allah aur us ki ayate aur us Ke rasool Se thatha karte the bahane na banao tum kafir ho chuke apne imaan Ke baad!
Ibne abhi shiba-aur-ibne al-manzar aur ibne abhi hatim aur abul-shaq imaan muzahid talmid khas sayyadna abdullah bin Abbas radi allahu anhu Se riwayat farmate hai:
Yani kisi shakhs ki utani gum hogayi uski talash thi rasool Allah sallallahu alaihi wassallam ne farmaya utani fala jungle me fhala jagah hai us par ek munafik bola Mohammad sallallahu alaihi wassallam batate hai Ke utani fala jagah hai mohammad gaib kya Jane ?
Is par Allah az-wa-jal ne ye ayate karima utari Ke kya Allah aur rasool Se thatha karte ho bahane na banao tum musalman kehla kar is lafZ ko kehne Se kafir hogaye (dekho tafsis imaam bin zarir matba misr jild Dom 105 tafsis dare-mansur imaam jalaludin suyuti jild suwwam safa 258)
Musalmano! Dekho Mohammad rasool Allah sallallahu alaihi wassallam ki shaan me itni gustaki karne Se Ke woh gaib kya Jane kalma goyi kaam na ayi aur Allah ta'ala ne saaf farma diya Ke bahane na banao tum Islam Ke baad kafir ho gaye yahan Se woh Hazrat bhi sabak len jo