async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: tamheed e imaan shareef hissa 3
Showing posts with label tamheed e imaan shareef hissa 3. Show all posts
Showing posts with label tamheed e imaan shareef hissa 3. Show all posts

Friday, November 20, 2015

36

Page 36

2) umro ap to gaibdab nahi magar jin ilme gaib rakhte ho un  ke  bataye Se usse gaib ilm yakini asal ho jata hai ye bhi kufr hai
3) umro nazumi hai!
4) rummal hai!
5) samandrak janta hath dekhta hai!
6) kawwe wagaira ki awaz!
7) hashratul-arz ki badan par girna!
8) kisi parinda ya wehshi charinde Ke dahene ya baye nikal kar Jana!
9) ankh ya digar aaza Ke fadkane Se sagun leta hai! 10) pansa fehkta hai!
11) faal dekhta hai!
12) hazirat Se kisi ko mamul banakar us se  ahwal puchta hai!
13) masmarijam janta hai!
14) jadu ki mez!
15) Ruhon  ki takati Se half daryaft karta  hai!
16)qiyafadan hai!
17) ilm jayaraj Se wakif hai! In zaray Se gaib ka ilm katay yakini milta hai ye sab bhi kufr hai rasool Allah sallahu alaihi wassalam farmate hai:

18) umro pasahi risalat ati hai us Ke sabab gaib ka ilm yakini pata hai jis tarah rasoole ko milta tha ye ashad kufr hai

19 wahi to nahi aati
Magar bajraye ilham Jami guyub us par munakisif ho jaye hai us ka ilm tamam malumate ilahi ko muhit ho gaya! Ye youn kufr hai Ke us ne umro ko ilm me huzoore pur noor sayyade Alam sallahu alaihi wassalam par tarzih de di Ke huzoor ka ilm bhi Jami malumate ilahi ko muhit nahi!

20) Jami ka ihata na sahi magar Jo ulme-gaib use  ilham Se mile un me zahiran baatinan kisi tarah kisi rasool e inso malak ki wasa.at aur

35

Page 35

999 maane aur sirf ek na maane to qurane-azim farma raha hai Ke woh un  999 Ke manne  Se musalman nahi balke sirf un  ek Ke na manne Se kafir hai duniya me us ki ruswahi hogi aur akhirat me us par shakht tar azab Jo abdul-abad tak kabhi makuf hona kya mani ? Ek aan ko Halka bhi na kiya jayega na Ke 99 ka inkar kare aur ek ko maan le  to musalman thahere ye musalmano ka aqida nahi balke ba-shadat qurane-azim khud sarih kufr hai!

Khamsan asal baat ye hai Ke fukahaye-kiram par un  log ne jita aftara uthaya unhone hargiZ kahi aisa nahi farmaya balke unhone ba-khaaslate yahud

Yahudi baat ko us ke thikane Se badalte hai tehrif tabdil karke kuch ka kuch banaliya fukaha ne ye nahi farmaya Ke jis shakhs me ninanwe baat kufr ki aur ek Islam ki ho woh musalman hai! Hasha lillah! Balke tamam ummat ka ijma hai Ke jis me ninanwe hazar baate Islam ki aur ek kufr ki ho woh yakinan kat.an kafir hai!
99 karte gulab me ek bund paisab ka padjaye sab paisab ho jayega magar ye jahil kehte hai Ke  nin-anwe karte paisab me ek bund gulab ka dal de sab  tayyab tahir ho jayega hasha Ke fukaha to fukaha koi adana tazim wala bhi aisi jihalat bake! Balke fukaha-e-kiram ne ye. Farmaya hai Ke jis musalman Se koi lafz aisa sadar ho jis me 100 pehlo nikal sake un  me 99 pehlu kufr ki taraf jate  hai aur ek Islam ki taraf to jab tak sabit  na ho jaye Ke is ne khas koi pehlu kufr ka murad rakha  hai hum  us Se kafir na kahenge Ke akhir ek pehlu islam ka bhi to hai kya malum shayad us ne yahi pehlu murad rakha ho aur sath hi farmate hai Ke agar waqay me us ki murad koi pehlu e-kufr hai to hamari tawil Se usse  fayda na hoga woh indallah kafir hi hoga!
Us ki misal ye Hai Ke masalan zaid kahe umro ko ilme katayi yakini gaib ka hai kalma me itne pehlu hain
1) umro apni jaat Se gaibdan hai ye sarih kufr aur Shirk hai

34

Page 34

Qiyamat aur hashr aur sawab aur azab  aur jannat aur naar wagaira ba-kasrat Islamic baaton Ke kayel hain!  
Salesan us ki radd me Qurane-azim ki woh ayate Ke uper  guzri kafi aur wafi hai jinme ba-wasaf kalma goyi aur namaz khawani sirf ek ek baat par hukm takfir farma diya! Kahi irshad hua woh musalman ho kar is kalme ke sababkafir ho gaye! Kahi  irshad farmaya bahane na banao tum kafir ho chuke imaan Ke baad halake is makare khabis ki bina par jab tak 99 Se ziyada kufr  ki baate jama na ho jaye sirf ek kalme par hukme  kufr sahi. Na tha! Haan shayad is ka jawab de Ke ye khuda ki galti ya jald  Baji thi dhakke  de de kar sirf ek ek lafz par Islam Se nikala aur fir jabardasti ye Ke uzr bhi na karne diya
Na uzr sunne ka qasad kiya
Afsos hai khuda ne pairnechar ya nadwiya
lekchar ya un  Ke hum  khayal kisi wasiul Islam rifarmar Se maswara na liya
Rabian is makr ka jawab

Tumara rab az-wal-jal farmata hai:

To kya Allah ke kalam  ka kuch hissa mante ho aur kuch hisse Se munkir ho, to Jo koi tum me Se aisa kare us ka badla  nahi magar duniya ki zindagi me ruswahi aur qiyamat Ke din sab se  ziyada shakht  azab  ki taraf palte jayenge aur Allah tumhare kotako Se gafil nahi! Yahi log hai jinhone ukba bechkar duniya kharidi to na un  par Se kabhi kazab halka ho na un  Ke madad pohuche!

Kalame ilahi me farz kijiye agar. Hazar baate ho to un  me Se har ek baat ka manna ek Islamic aqida hai! Ab koi agar shakhs

33

Page 33

Muhakik alal-itlak ibne al-humam aur allama khusro Sahab dar-rou-garo allama zainn bin nazim Sahab behrul-rayek aur ashabah wal-nazayer aur allama umar bin nazim Sahab nehrul-fayek aur allama Abu abdullah Mohammad bin abdullah ghazi Sahab tanwirul-absar aur allama khairuddin romani sahabe fatawa khairiyah aur allama shaikhi jadhah Sahab mazma-ul-anhar-aur-allama mudikikak mohammad bin Ali haskfi sahabe-durre-muktar wagaira Ahmad kabar alaihim  rahmatullahhim-azizul gaffar ne iktiyar farmaya

Is liye Ke adami qabul tauba shifa hakime Islam Ke youn hai Ke woh us mamle me baad tauba bhi Sajah maut de warna agar tauba sidak dil Se hai to indallah makbul hai kahi ye badgo is masle ko dastawiz na banale Ke akhir to tauba qabul nahi fir kyon tayeb ho! Nahi nahi tauba Se kufr mit  jayega musalman hojaoge jahannam abadi se nijat paoge is kadr par izma hai

Is firke be-deen ka tisra  makr ye hai Ke fikah me likha hai jis me ninanwe baate kufr ki ho aur ek baat Islam ki to us ko kafir na kehna chahiye!

Awwalan ye makr khabis sab makaron Se bad-tar aur zaeef jis ka hasil ye Ke Jo shakhs din me ek baar azan de ya do rakat namaz padhle aur ninanwe bar but pooje sunkh foonke  ganti bajaye  woh musalman hai Ke us me ninanwe baate kufr ki baat Islam ki bhi hai yahi kafi hai halaki momin to momin koi akil us musalman nahi keh sakta!

Saniyan us ki ruse soulo harye Ke sire Se khuda ke wajud hi ka munakir ho tamam kafir mushrik majus hunud yahudi wagaira hum  duniya bhar ke kuffar sab musalman thahere jate  hai Ke aur baate ko munkir sahi akhir wajud e khuda ke to qayel hai! Ek yahi baat sab Se badh kar Islam ki baat balke   tamam Islamic baaton ki asal-al-usul hai khususan kuffar falasafa aur aryah wagaira hum  Ke bajam khud touhid Ke bhi kayel hai aur yahud-aur-nasara to bade bhari musalman tehrenge Ke touhid Ke saat Allah ta'al Ke buhat Se kalmon aur hazaron nabiyo aur

Wednesday, November 18, 2015

32

Page 32

Muwafikat ka kuch aitebar na hoga Ke khta Se masoom hone ki shahadat to ummat Ke liye ati hai aur woh ummat hi Se nahi agarche kibla ki taraf namaz padhta aur apne aap ko musalman etekad karta ho is liye Ke ummat kibla ki taraf namaz padhne wale ka nam nahi balke musalman ka nam hai aur ye shakhs kafir hai agarche apni Jaan lo kafir na Jane raddul-mehtar me hai

Yani zaruriyate Islam Se kisi chiz me khilaf karne wala bil ijma kafir hai agarche ahle kibla Se ho aur umar bhar ta-at me basar kare jaisa Ke Sarah tahrir imam ibn e al-humam me farmaya

Kutube aqide-fiqah aur usul  an tasrihat Se malamal hai! Rabe-an khud masla badi yahi hai! Kya Jo shakhs panch waqat kibla ki taraf namaz padhta aur ek waqt mahadew ko sajda karleta ho kisi aakil Ke nazdik musalman ho sakta hai halake Allah ko jhuta kehna ya Mohammad sallahu alaihi wassallam ki shaane akdas me gustakhi karna mahadew Ke sajde Se kahi badtar hai agarche kufr hone me barabar hai wajah ye Ke but ko sajda alamate takjibe khuda hai aur alamate takjibe ean  takjib Ke barabar nahi ho sakti aur sajde me ye ehtamam akili bhi nikal sakta hai Ke mahez tahiyat aur lihaz agar maslan kisi alim ya Arif ko tahiyat sajda kare gunahgar ho ga kafir na ho ga. Islam but me Sarah ne mutale kin hukm e kufr bar banaye Sahara khas kuffar rakha hai ba-khilaf badgoyih huzur pur noor sayyade Alam sallahu alaihi wassallam Ke fi nafse kufr hai jis me koi ahtemale Islam nahi! Agar me yuhi is fakah par bina nahi rakhta Ke sajide sanam ki tauba ba-jimah ummat makbul hai magar sayyade alam sallahu alaihi wassallam ki shaan me gustaki karne wale ki tauba hazarah ayimamah deen Ke nazdik asla qabul nahi aur is ko humare ulame hanfjya Se imam bazazi aur imam

31

Page 31

Yahi Jaan lo Ke alhe kibla Se murad woh log hain Jo tamam zaruriyat deen me muwafik hain jaise Aalam ka hadis hona izsam ka hashr hona Allah tala ka ilm tamam kulyat o juzaiyaat ko muhit hona
or Jo  muhim masle un  ki manind hain
to Jo tamam umr ta,aaton ibadaton me reh us Ke saath etqaaed rakhta ho Ke Aalam qadim hai ya hashr na hoga
Ya Allah tala juzaiyaat ko nahi janta woh alhe kibla Se nahi aur alhe sunnat Ke nazdik alhe kibla me kisi ko kafir na kehne Se ye murad hain Ke use kafir
Na kehenge jab tak us me kurf ki koi alamaton nishani na payi jaye aur koi baat moujabe kurf us Se sadir na ho
Imam e ajal sayyedi Abdul Aziz bin Mohammad bhukari hanfi
Teqiq sharah usle  hasaami me farmate hain:

Yani bad mazhab agar apni bad mazhabi me gali ho jis Ke  sabab use kafir kehna wajib ho to ijma me us ki mukhalifat

30

Page 30

Jo kisi nabi ki shan me gustaki Ke sabab kafir huwa us ki tauba kisi tarah Kabul nahi aur Jo us Ke azaab ya kurf me Shak karte khud kafir hai

alhamdulillah ye nafse masle ka woh giran bara juzaiya hai
jis me un badgoyon ke kufr par izma tamam ummat ki tasrih hai aur ye bhi Ke Jo in he kafir na Jane khud kafir hai!
Sarah fiqah Akbar me hai:

Yani muwafik me hain Ke ahle kibla ko kafir na kaha jawega magar jab zaruriyat din ya ijmae baaton Se kisi baat ka inkar kare jaise haraam ko halaal janna aur makhfi nahi Ke humare aulama Jo farmate hain
Ke kisi gunah ko ba.as ahle kibla ki takfir ru unhe us se nira kibla ko muh
Karna muraad nahi Ke gali rafzi Jo bakte hain ke jibarail alaihissalaam ko wahi me dhoka huwa !
Allah ta-Ala  ne unhe maula Ali radi Allahu anhu ki taraf bheja tha
Aur baaz to maula Ali ko khuda kehte hain!
Ye log agarche qibla ki taraf namaz padhen
Musalman nahi aur is hadis  ki bhi yahi muraad hai jis me farmaya Ke jo humari si namaz padhe aur humare qibla ko muh kare aur humata zabiha khaye woh musalman hai

Yani jab Ke tamam zaruriyato deen par imaan rakhta ho aur koi munafi imaan na kare isi  me hai:

29

Page 29

Muatazala aur kiramaya aur ruwafiz Ke Quran ko makhluk kahte hai us kible ki taraf namaz nahi padhte nafs e masle ka juziya lijiye imaam mazhab e  hanfi sayyadina imaam Abu Yusuf radi allahu anhu kitabe al- khiraj me farmate hai:

Jo shakhs musalman ho kar rasool Allah sallahu alaihi wassallam ka dushman de ya huzur ki taraf jhut ki nisbat kare ya huzur ko kisi tarah ka aib  lagaye ya kisi wajah Se huzur ki shaan gathaye woh yakinan kafir aur khuda ka munkir ho gaya aur us ki joru uske nikah Se nikal gayi!

Dekho kaisi saaf sarih hai Ke huzur akdas sallahu alaihi wassallam ki tankise shaan karne Se musalman kafir ho jata  hai us ki joru  nikah Se nikal jati hai! Kya musalman alhe- kibla nahi hota ya alhe-kibla nahi hota ? Sab kuch hota hai magar Mohammad rasool Allah sallahu alaihi wasallam ki shan me gustaki Ke sath na kibla qabool na kalma makbool

Salesan asal baat ye hai Ke istelahe aayimma me alhe kibla woh hai Ke tamam zaruriyate-deen par imaan rakhta ho un  me Se ek baat ka bhi munkir ho to katan yakinAn ijmaan kafir murtad hai aisa Ke Jo us kafir na kahe khud kafir hai shifa sarif dabzazayeh aur darro-garr aur fatwa khairayah wagairah me hai:

Tamam musalmane ka ijma hai Ke Jo huzur akdas sallahu alaihi wassallam ki shaane paak me gustaki kare woh kafir hai aur Jo uske muajjab ya kafir hone me Shak kare woh bhi kafir hai mazmul anhar aur dure  mukttar me hai

28

Page 28

Nisbat woh Ke jhuta hai jhut bolta  hai Jo use jhuta bataya musalman sunni saleh hai

Saniyan is wahme-shania ko   mazhabe sayyadina imame- azam radi allahu anhu batata Hazrat imam par shakt aftara aur atham imaam radi allahu anhu apne aqide karima  kitabe mazhabe fikahe Akbar me farmate hai:

Allah ta'ala ki shifat kadim hai na to peda hai na kisi ki banayi hui to Jo in he makhluk ya hadis kahe ya is baab me taffuk kare ya shak laye woh kafir hai aur khuda ka munkir nez imaame humam radi allahu anhu kitabul-wasiya me farmate hai:

Jo shashk kalamullah ko makluk kahe us ne azmat wale khuda Ke sath kufr kiya Sarah fiqah Akbar me hai:

Imam fakrul Islam rahmatullahi alaihi   farmate hai imaam Abu Yusuf rahmatullahi alaihi Se sehat Ke sath sabit hai Ke unone farmaya me ne imaame Azam Abu Hanifa radi allahu anhu Se masla-e-khalqe quran me munazirah kiya meri aur un ki raaye us par muttafik hui ke jo quran e majid  ko makluk keh woh kafir hai aur ye qoul imam Mohammad rahmatullahi alaihi Se ba-sehat sabut ko pahuncha

Yani hamare aimma e -salasa radi allahu anhu ka ijma aur  ittefak hai Ke Qurane-azim ko makluk kahne wala kafir hai! Kya

27

Page 27

Aur tumahare deen par tanah kare to kufr Ke peshwao Se lado un ki kasame kuch nahi shayad wo  baaz aaye!

Dekho namaz-aur-zakat wale agar deen par tana kare to unhen kufr ka peshwa kafiro ka sarguna farmaya kya khuda aur rasool ki shaan me woh gustakiyan deen par tana nahi us ka bayan bhi sunye:
Tumara rab az wa  jal
farmata hai:

Kuch yahudi baat ko us ki jagah Se badlte hai aur kehte hai hum ne suna aur na mana aur sunye ap sunaye na jaye aur rayena kehte hai zaban fer kar aur deen par tana karne ko aur agar woh kehte hum  ne suna aur mana aur sunye aur hume muhalat dijiye to un  Ke liye behtar aur bahut thik hota lekin un  Ke kufr Ke sabab Allah ne in par lanat ki hai to imaan nahi late magar kam!
Kuch yahudi jab darbare nabuwat me hazir hote aur huzur akdas sallah hu alaihi wassallam kuch irshad farmate aur ye pehle-e-zahir ye baat samaj lene Ke liye muhalat chahye to rayina kehte jis ka ek pehlue e-zahir ye Ke humari riayat farmayi aur murad kafi rakhe rauntawala aur baz kehte hai zaban dabakar rayina kehte yani humara charwah! Jab pehluwar baat deen me tana hui to sarih aur saaf kitna shakht tana hogi  balke insaf kijiye to un  baate ka sarih bhi un  kalmat Ke shanaat ko nahi puhchta behra hone ki dua ya raunat ya bakriyan charane ki taraf nisbaat ko un  alfaz Se kya nisbat ko saitan Se ilm kamtar ya pagalo chupayo Se ilm humsar aur khuda ki

26

Page 26

Makr ka jawab

Tumahara rab az wa  jal  farmata hai:

Asal neki ye nahi hai Ke apna muh namaz me purab ya pashchim  ko karo balke asal neki ye hai Ke adami imaan laye Allah aur qiyamat aur farishto aur Quran aur tamam ambiya par dekho saaf farma diya Ke zaruriyate-deen par imaan lana hi asal kar hai bagair is Ke namaz me kibla ko muh karna koi chiz nahi aur farmata hai:

Woh Jo khrch karte hai us ka qabool hona band na hua magar is liye Ke uhne Allah aur rasool Ke sath kufr kiya aur namaz ko nahi ate magar ji hare aur khrvh nahi karte magar bure dil Se!

Dekho in ka namaz padhna bayan kya aur fir unhe kafir farmaya kya woh kibla ko namaz nahi padhte the? Faqat kibla kaisa  kibla dilo. Jaan kab-e-deeno-imaan sarware almiyan sallahu alaihi wassallam ke piche janib kibla namaz padhte the aur farmata hai!

Fir agar woh tauba kare aur namaz barpa rakhe aur zakat de to humare deeni Bhai hai hum  pate ki baat saaf bayan karte hain ilm wale Ke. Liye aur agar qoul-aur-ikrar karke fir apni kasame todhen

25

Page 25

Rasool Allah sallallahu alaihi wassallam Ke Ulm-gaib Se mutalik munikar hai! Dekho ye qoul munafik ka hai aur is Ke kayl ko Allah ta'ala ne Allah aur Quran aur rasool Se tha  karne wala bataya aur saaf saaf kafir murtdad thaheraya aur kyon na ho Ke gaib ki baat janni shaan nubuwat hai jaisa Ke imaam huzutul Islam Mohammad ghazali aur imaam Ahmad kustan aur Mulana Ali qari aur allama Mohammad zarkini wagaira hum  akbir ne tasrih farmayi jis ki tafsil risale-ilm gaib me ba-fazal ta'ala ba-ruza ala mazkur hui fir us ki shakt  shamat kamal jalalat ka kya puch na Jo gaib ki ek baat bhi khuda ke bataye Se bhi nabi ko malum hona muhal aur namumkin batata hai is Ke nazdik Allah Se sab chizen gayab hai aur Allah ko itni kudrat nahi Ke kisi ko ek gaib ka ilm de sake Allah ta'ala shaitan ke dhokhon Se panah de! Aameen!
Haan be khuda Ke bataye kisi ko zara bhar ka ilm  manna zarur kufr hai aur jami malumat e ilahi ko ilm e makluk ka muhit hona bhi batil aur aksar Ulm Ke khilaf hai Lekin roz e-azal Se roz e akhir tak  ka makan aur mayakun Allah ta'ala Ke malumat Se woh nisbat bhi nahi rakhta Jo ek Zara Ke lakhvi carodvi hissa barabartari ko carodha carod samdaro Se ho balke ye khud ulme mohammadiya sallallahu alaihi wassallam ka ek chhota sa tukra hai! In tamam umur ki tafsil al-dultul-makhiyah wagaira me hai! Khir ye to zumla -e-matruza  tha aur buhat mufid tha Ab be has sabik ki taraf aud kijiye! Is firak-e-batilah ka makar e Dom ye hai imaame-azam radi allahu anhu ka mazhab hai Ke

ham  alhe kibla me Se kisi ko kafir nahi kehte aur hadis me hai Jo hamari namaz padhe aur humare kibl e ko muh kare aur humara zibah khaye woh musalman hai!
Musalmano! Is makare-khabis me un  logo ne niri kalma goyi Se adul  karke shife kibla ruyi ka naam imaan rakhdiya yani Jo kibla ruh  ho kar namaz padhle musalman hai agarche Allah az wa  jal  ko jhuta kehe Mohammad sallallahu alaihi wassallam ko galiyan de kisi Surat kisi tarah imaan nahi talta  chun wazu-e-mahkam bibi tazim awwalan is