SAHEEH BUKHARI KE KHILAF GHAIR MUQALLIDEEN KE BAAZ MASAEL
»
Ghair Muqallideen Aksar Ye baat Awaam ko kehte hai ke BUKHARI O MUSLIM ME AISA HAI AUR TUM AISA KARTE HO TO MALOOM HONA CHAHYE KE KHUD IN HAZRAAT KE BHOT SE MASAEL BUKHARI MUSLIM KI SAREEH RIWAYAAT KE KHILAF
HAIN.
Chand Masael ye hai.
1.Bukhari Shareef ki riwayat hai ke Qaza haja ke waqt QIBLA ki taraf Na Muh karo aur na Pusht.
(SAHEEH BUKHARI KITABUL WUZU)
Magar Ghair Muqallideen ka Masla ye hai “ISTENJA ke lye ISTEQBAL O ISTIDBAAR E QIBLA DONO MAKROOH NAHI HAIN.”
(NUZULUL ABRAAR 1/53)
2. Bukhari Shareef me Hazrat Ayesha Razi Allahu anha ki riwayat hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam Raat ko Tahajjud ki Namaz ada farmate to Mere pair Apke samne hote aur Ap jab Sajde me jate to Mere pair ko daba dete mai
samet leti thi(yani Namaz o Wuzu k haal me Ap Hazrat Ayesha ke badan ko hath lagate the aur Namaz padhte rehte the.
(SAHEEH BUKHARI, KITAB US SALAT, BAAB AURAT KE PEECHE NAFIL NAMAZ KA BAYAN)
Magar Ghair Muqallideen ka Mazhab ye hai ke “AURAT KA CHOONA NAQISE WUZU AUR WUZU TODNE WALA HAI.”
(TAISEERUL BAARI 1/143)
3. Bukhari Shareef me kayee riwayaat hai jin ka Mafhoom ye hai ke SHADEED GARMI ME NAMAZ ZOHAR TAKHEER SE ADA KI JAYE.
(SAHEEH BUKHARI KITAB MAWAQEETUR SALAAT BAAB AL IBRAAD BIZ ZUHAR FI SHIDDATIL HAR)
Lekin Ghair Muqallideen ka mazhab ye hai “NAMAZ HAR HALAT ME AWWAL WAQT ME PADHNI AFZAL HAI”
[FATWA SANAIYYA 1/553]
4. Bukhari Shareef ki riwayat hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam aur Hazrat Abu Bakr o Hazrat Omer Razi Allahu anhuma NAMAZ KE ANDAR QIRAT KO ALHAMDU LILLAHI RABBIL AALAMEEN se shuru karte the.”
(SAHEEH BUKHARI KITABUL AZAAN BAAB MAA YAQRAOO BAAD AT TAKBEER)
Magar Ghair Muqallideen ka kehna hai “JAHRI NAMAZ ME PUKAR KAR AUR SIRRI NAMAZ ME AHISTA (Bismillah
padhna) behtar hai.”
[DASTOORUL MUTTAQI SAFHA 92]
5. Bukhari Shareef ki riwayat hai ke Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ZOHAR KI PEHLI 2
RAKATON ME SURAH FATIHA AUR 2 SOORTEN PADHTE THE AUR BAAD KI
2 RAKATON ME SIRF SURAH FATIHA.” (SAHEEH BUKHARI KITABUL AZAAN BAAB YAQRAU FIL AKHIRAIN BI
FAATIHAL KITAB)
Magar ye Hazraat kehte hai “Admi ke lye jayaz hai ke 4 Rakaat wali Namaz me doosri 2 Rakaton ke Andar Surah Fatiha ke sath Doosri Surat padh le.”
[NUZULUL ABRAR 1/78]
6. Imam Bukhari ne likha hai aur Hadees bhi Zikr ki hai ke JUMA KA WAQT ZAWAAL KE BAAD HOTA HAI AUR HAZRAT ANAS RAZI ALLAHU ANHU KA BAYAN HAI KE RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM SURAJ DHALNE KE BAAD
JUMA ADA FARMATE THE.
(SAHEEH BUKHARI KITABUL JUMA WAQTUL JUMA IZAA ZALATISH SHAMS)
Magar Ghair Muqallideen ka Mazhab hai “JUMA KA WAQT US WAQT SHURU HO JATA HAI JAB KE SURAJ EK
NEEZAH KE BARABAR BULAND HOJAYE.”
[NUZULUL ABRAR 1/152]
7. Imam Bukhari ne riwayat zikr ki hai ke Madina Tayyiba o Masjid e Nabawi ke baad Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ke Ahad me Sab se pehla JUMA BEHRAIN (MULK) KI EK BASTI ‘JAWAASI’ ME HUA.”
(SAHEEH BUKHARI KITABUL MAGHAAZI)
Aur ye hazraat gau gau jagah jagah aur 2 Admi me bhi JUMA KI NAMAZ KO kehte hain.
(AL URFUL JAAWI 41,42)
8. Imam Bukhari ne JUMA KE DIN KHUTBA SE PEHLE 2 AZAANEN NAQAL KI HAIN EK KHUTBA WALI AUR EK USSE QABL JAISA KE MAMOOL HAI.
(SAHEEH BUKHARI KITAB UL JUMA BAAB AT TAZEEN INDAL JUMA)
Magar Ghair Muqallideen kehte hain “HAMARE ZAMANE ME MASJID ME 2 AZAANE HOTI HAI WO SAREEH BID’AT HAI.”
[FATAWA SATTARIYA 3/ 85]
Allah Ta’ala Is Fitne se Ummat ki Hifazat farmaye.
Ameen.