async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Aala Hazrat رضي الله عنه Ki Wiladate Ba Sa'adat.

Wednesday, November 11, 2015

Aala Hazrat رضي الله عنه Ki Wiladate Ba Sa'adat.

Aala Hazrat رضي الله عنه Ki Wiladate Ba Sa'adat.

Aala Hazrat رضي الله عنه ki wiladat 10 shawwal 1272 hijri bamutabiq 14 june 1856. Baroz e shumba zohar ke waqt shehair e bareilly muhalla jasooli mein huwi.

Aapka paidaishi naam Mohammad aur tareekhi naam Al-Mukhtar hai. Jadde Amjad Maulana Raza Ali ne aapka ism "Ahmed Raza" rakha.

Aapne apni 4 baras ki nanhi si umr mein Quraan Shareef nazra khatam kar liya. 6 saal ki umr mein maah e rabi ul awwal shareef ki taqreeb mein mimbar par raunaq afroz ho kar bahot bade maj'me ki maujoodgi mein zikre Meelad Shareef padha.

 Aala Hazrat رضي الله عنه  ka pehla Fatwa

13 saal 10 maah aur 5 din ki umr shareef mai 14 shabaan 1286 hijri 19 november 1869 ko aap farig-ul-tehseel hue aur dastaar e fazeelat se nawaze gaye

Ussi din masaeel e raja'at muta'alliq ek fatwa likh kar apne walid e majid ki khidmat mein pesh kiya. Jawab bilkul sahih thha

Walid e majid ne ye dekh kar ussi waqt se fatwe nawesi ki jaleelush shaan khidmat aap ke supurd kar di.

6 baras ki hee umr mai aapne maloom kar liya tha ke Baghdad Shareef kidhar hai, phir uss waqt se dameay aakhir tak Baghdad shareef  ki jaanib paaun (leg) nahi phailaya.
Jis qadar aap kafiro'n ,murtado'n, mulhido'n aur be deeno'n par sakht the yu'n hee sunni musalmano aur ulmaa e haqq ke liye abre karam the jab kisi sunni aalim se mulaaqat hoti to dekh kar baagh baagh ho jaate aur aisi izzat o qadr karte jis ke laayak woh apne aap ko na samajhta.
Jab koi sahab Hajje BaitulLLAH shareef karke apke khidmat mai haazir hote toh unse pehle yahi puchte "Sayyede Aalam Sallalahu alaihe wasallam ki baargahe bekas panah me bhi haazri di ??" Agar wo Haa kehte to fauran unke kadam choom lete aur agar kehte ke nahi to phir unki jaanib bilkul tawajjo na farmate.

No comments:

Post a Comment