async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Allah ne alahazrat ko quwwate

Wednesday, November 11, 2015

Allah ne alahazrat ko quwwate

Allah Ta'ala ne Sarkaar Aalahazrat رضي الله عنه
ko quwwate haafiza mai bada kamaal diya tha yun toh Quraan e majeed ka aksar wa beshtar hissa aapko zubani yaad tha lekin puray Quran e Majeed ke aap hafiz nahi they.

Ek martaba kisi na waqif shaks ne apne ek areeza mai aapke alqaab ke saath Hafiz likh diya husne ittefaaq se uska woh areeza 29 shabaan ko aapki khidmat mai pahuncha.

Dusre hi din se aapne Qurane majeed hifz karna shuru farma diya aur har roz ek parah hifz karke taraweeh ki namaz me aap suna dete yaha tak ke ramzan ki 27vi ko magrib se pehle hifz e Quran e majeed pura kar liya aur sirf ek mahine ki mukhtasar muddat me aap haafiz hogaye.

SubhanAllah.

Kis Tarah Itne Ilm Ke Dariya Baha Diye ,
Ulmaa e Haqq Ki Aql To Hairaa'n Hai Aaj Bhi.

huzzor ﷺ ki tazeem aur unki aulad se muhabbat aur unse judi har chiz se be- panah  muhabbat yahi Aala hazrat رضي الله عنه ka maqsad e zindagi thha aur yahi sachhe aashique e rasool ﷺ ki pehchan hai

Aala hazrat رضي الله عنه apne ilm, amal aur ishq e rasool ﷺ ki bina par pehchane jate hai wo aise aashique e rasool ﷺ thhe jiski misaal duniya pesh nahi kar sakti

Aala hazrat رضي الله عنه farmate hai: huzoor ﷺ ki adna si gustakhi karne wala tumhara kaisa hi aziz kyo na ho usse dil se aise nikal feko jaise dudh se makhhi. Ishq e rasool ﷺ ne aap ko wo takat ataa ki thhi jisse aap kisi duniyadar se na dare na dabe jo haqq thha wo farmaya chahe achha lage ya bura
Aur farmate hai,

"Jinke talwo ko dhowan hai aabe hayat,
Hai wo jaane masiha hamara nabi ﷺ"

Aur Aala hazrat رضي الله عنه ki badmazhabo ke liye sakhti ke iss andaz ko huzoor tajushsharia  maddazillahul aali aage badhate hue apne kalam mai farmate hai,

"Nabi ﷺ se jo ho baigaana,
Usse dil se juda karde,
Pidar maadar biradar maal o jaa'n unn par fida karde"

Aur yahi maslak e ahle Sunnat hai jisse aaj ke dor mai pehchan ke liye maslak e Aala hazrat kaha jata hai

Allah rabbul izzat apne pyare habib kul jaha ke mukhtar janab  e Ahmad e mujtaba muhammed Mustafa ﷺ ke sadke hame aur hamari aane wali naslo ko issi haq maslak par zindagi de aur issi haqq maslak par hamara khatma bil khair ho

         آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ

No comments:

Post a Comment