async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Farman e gouse azam radiAllahu anhu

Sunday, November 8, 2015

Farman e gouse azam radiAllahu anhu


Farman e (Qaul) Saiyedna Shaikh Abdul Kadir Jilani Radiallahu Anhu
Waah Kya Martabaa A_GAUS Hai Baala Teraa..
Unche Unchuu K Saraun Se Qadam Aala Teraa...

Sar Bhala Kya Koi Jaane K Hai Kaisa Teraa..
Auliya Malte Hain Aankhein Woh Hai Talwa Teraa...

Mit Gaye Mit'te Hain Mit Jaayenge Aada Tere..
Na Mita Hai Na Mitega Kabhi Charcha Teraa...



HAZRAT ALLAMA NOORUDDIN SHATNOUFI Alayhirrahma Tehrir Farmate He Ke SARKAR E BAGHDAD HAZRAT SAYYEDNA GOUS E AAZAM SHAIKH ABDUL QADIR JILANI radiyallahu anhu Irshad Farmate He Ke…
" JAB TUM ALLAH SE KOI HAAJAT TALAB KARO TO MERE VASILE SE TALAB KARO “
(Bahatul Asrar P.NO.23)

 “TERE HATH ME HATH MENE DIYA HE
TERE HATH HE LAAJ YA GOUS E AAZAM”
“QASAM HE KE MUSHKIL KO MUSHKIL NA PAYA
KAHA HAMNE JIS WAQT YA GOUS E AAZAM”
Sabak:- SARKAR E GOUS E AAZAM radiyallahu anhu Ke Is Farman Se Aapka Ye Aqida Sabit Hua Ke Allah Ke Mehboob Bando Wasila Lekar Dua Karna Jaiz He...


FARMAN E SAIYEDNA SHAIKH ABDUL KADIR JILANI REHMATULLAH ALAIH

Hazarte Shaikh Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih) Farmate Hai –
“Shirk Sirf Boot Parsti Hi Nahi Hai Balki Nafsani Khwahishat Ki Pairwi Aur Duniya Ki Kisi Bhi Chiz Ke Sath Ishq Ki Kefiyat Se Munsalik Ho Jana Ye Sarahatn Shirk Hai,
Khuda Ke Siwa Har Chiz Gaire Khuda He Aur Har Gaire Khuda Ki Khwahish Shirk Hai,
Lihaza Is Se Parhez Karo .
Apne Nafs Ki Buraiyyo Se Darte Raho, Haq Ki Talash Me Koshish Karte Raho, Gaflat Ki Zindgi Ko Apna Shiaar Na Banawo ..
Musalman Kabhi Gafil Nahi Rehta…
Aye Imanwalo! Jab Tum Bimaar Ho Jao Tou Sabr Aur Shukr Se Uska Istaqbal Karo Taa’ke Wo Tumhare Liye Rehmat Ban Jaye.
– Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih)

Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih) Farmate Hai –
“Quraan Ka Ek Kinara Allah Ke Hath(Dast-e-Qudrat) Me Hai Aur Dusra Makhlooq Ke Hath Me,
Bas Isi Ko Allah Ta’ala Tak Pahuchne Ka Wasila Banaao Amal Karke!
Pehle Makaan Ko Ander Se Banaya Jata Hai, Baaher Baad Me!
Isi Tarha Tum Apne Baatin Ko Sawaaron, Baaher (Jaahir) Ko Baad Me!”
– (Sirat-A-Gaus-A-Alal-Aazam)

Momin Ke Dil Me Jab Tak Lalach
Ya Makhlooq Me Se Kisi Ka Khauf Baaki Hai, Tab Tak Uska Emaan Qaamil Nahi Ho Sakta”
– Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih)

Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih) Farmate Hai Ki –
“(Aye Ibn-e-Aadam !) Taqdeer Se Ladayi-Zagda Aur Mukhalifat Na Ker Warna Tu Tabah Ho Jayega,
Tu ALLAH Ke Her Kaam Per Raazi Reh! Jab Dil Durust Hota Hain Tou Nazar Bhi Durust Hoti Hain, Aur Jab Dil Durust Hota Hain To Banda Apne Rab Se Karib Hojata Hain!”.
– (Sirat-A-Gaus-A-Alal-Aazam)

Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih) Farmate Hai Ki,
“Saahibo! Roza Rakho, Lekin Jab Iftaar Karo Tou Thodasa Khana
Apni Iftaari Me Se Faqeeron Aur Gareebon Ko Bhi De Do!
Akele Mat Khao! Kyonki Jo Shakhs Tanha Khata Aur Dusron Ko Nahi Khilaata,
Usper Khauf Hain Ki Mohtaj, Faqeer Aur Bhik-Manga Na Ban Jaye!”
– (Sirat-A-Gaus-A-Alal-Aazam)

Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih) Farmate Hai Ki,
Allah Ta’aala Tumhare Jaahiri Amaal Ko Nahi Dekhta, Wo Tumse Taqwa Aur Ikhlas Chahta Hain, Usney Apni Kitaab(Qalaam) Me Saaf-Saaf Farma Diya Hai Ki
“Mujh Tak Tumahra Qurbani Ka Gosht Aur Khoon Nahi Pahuchta ! Balki Tumahra Taqwa Pahuchta Hain!”
– (Sirat-A-Gaus-A-Alal-Aazam)

Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alayh) Farmate Hai,
*Taqdeer Ke Saaye Me Aaraam Karo, *Sabr Ko Apna Takiya Banalo,
*Taqdeer Ki Muafiqat Ko Apne Gale Ka Haikal (Locket) Banalo!
*Mote-Mote Kapde Pahen Lene Se Bujurgi Nahi Paida Hoti,
*Asal Bujurgi Tou Rooh Ki Bujurgi Hain Fir Uskey Baad Uska Asar Zaahir Hota Hain!
– (Sirat-A-Gaus-A-Alal-Aazam)

Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih) Farmate Hain –
“(Aye Ibne Aadam !) Aisi Jagah Mat Baith Jahan Teri Tabiyat Ka Josh Bhadak Ker
Khud Tere Hi Emaan Ke Ghar Ko Aag Laga De,
Jab Teri Tabiyat, Khwaish, Nafs Aur Tere Ander Ka Shaitaan Yeh Sab Bhadak Uthenge
Tou Wo Deen Ka Safaya Kerdenge!”.
– (Sirat-A-Gaus-A-Alal-Aazam, Pf-105,106)

“Mout Ko Yaad Rakhna Nafs Ki Tamaam Bimaariyo Ki Dawaa Hai”.
– Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alayh)

“Tanha Shakhs Mehfooz Hai. Har Gunaah Ki Takmeel Do Afraad Se Hoti Hai”.
– Shekh Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alayh) 
Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih) Farmate Hai,
“Woh Insan Kitna Bad’Naseeb Hai, Jiske Dil Me Jaandaaro Par Reham Karne Ki Aadat Nahi”.
– (Mazhare Jamal Mustafaai)
Abdul Qadir Jilani (Rahmatullah Alayh) Farmate Hai –
“Tamaam Khubiyon Ka Majmua Ilm Sikhna, Uspar Amal Karna Aur Doosro Ko Sikhana Hai”.
Hazrat e Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alayh) Farmate Hai..
“Din To Sirf 3 Hai …
EK Kal Jo Guzar Gaya …
Ek Aaj Jo Amal Ka Din Hai…..
Ek Aane Wala Kal Jiski Bas Ummid Hi Ummid Hai…
Kaha Nahi Jaa Sakta Ke Wo Uske Liye Aayega Ya Nahi…
Guzra Huwa Kal Ek Naseehat Hai.
Aajka Din Ghaneemat Hai.
Aane Wala Kal Sirf Ek Khayaali Cheez Hai.
Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rahmatullah Alayh) Farmate Hain –
“Qaul Wa Amal Ka Goodah Ikhlas Hain, Qaul Wa Amal Jab Ikhlas Se Khali Ho Jaye Tou Bagair Goodeh Ka Chilka Reh Jayega, Aur Jaante Hi Ho Ki Chilka Siway Jalane Ke Aur Kisi Bhi Kaam Me Nahi Aata!”
– (Sirat-A-Gaus-A-Alal-Aazam, Pg-105)
 

No comments:

Post a Comment