Khaaq-E-Karbala: Kufawalo Ki Bewafai Aur Imam Muslim Radiallahu Anhu Ki Shahadat
Part: 10
Hazrat Haani Ki Sahadat Ki Khabar Saare Kufa Me Hawa Ki Tarah Fai'al Gayi Kufawale Ibne Ziyad ke Jabr Se Pahele Hi Kaufjhada The Ab Ye Khabar Suni To Aur Ghabra Gaye...
Hazrat Haani Ki Sahadat Ke Baad Hazrat
Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Qiyamgaah Se
Uthe Miyaan Se Talwar Nikali Aur ek Sher Ki Tarah kufa Ke Bazar Me Aa Gaye Aap Ki Ye Jurrat-O-Dileri Dekh Kar Haani Qabile Ke Kuch Log Aap Ke Saath Ho Gaye Ibne Ziyad Ko Jab Ye Ittelah Mili To Is Mukhtasar Daste Par Teero Ki Barish Kar Di Aur Is Khaufnaak Manzar Ko Dekh Kar Woh Log Jo Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Himayat Me Nikle The Tamam Ke Tamam Bhag Gaye Aur
Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Phir Tanha Rahe Gaye Ab Kufa Ke Bazar Me The Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Aur Un Ke Do Mazloom Bachche Ajib Dardnaak Halat The...
Jis Darwaze Par Jaate Koi Jawab Na Deta Nadan Bachche Saath Hai Koi Khairkhwah Nahi Kufa Ka Saher Hai Magar Panahgaah Koi Nahi Har Makan Ke Darwaze Band Ho Chuke The Aur Kufa Ki Zameen Ka Zarra Zarra Aap Ke Khoon Ka Pyasa Tha Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Dono Bachcho Ko
Sine Se Chimataye Hue Ja Rahe The Ki
Achanak Ek Darwaza Khula Aur Ek Budha Insan Jis Ka Naam Qazi Sureh Tha Bahar Nikle Andheri Raat Me Qazi Sureh Ko Chand Saye Nazar Aaye Qazi Sureh Ne Pucha Kaun Hai? Aur Is Waqt Bazar Me Kyu Ghum Rahe Ho? Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne Farmaya Hum Musafir Hai Humara Watan
Bahut Door Hai Aur Yahan Humara Koi
Hamdard Nahi Hai Agar Tum Mere Dono
Mazloom Bachcho Ko Apne Paas Rakh Lo Aur Mai Kahi Bhi Raat Basar Kar Lunga Subah Hote Hi Hum Yahan Se kisi Aur Jagah Chale Jayege Aaj Raat Hume Panah Do Aur Qiyamat Ke Din Hum Aap Ko Panah Denge...
Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Is
Dardnaak Gufatgu se Qazi Sureh Ke Aakho Me Aasu Aa Gaye Aur Darwaza Khol Kar Arz Kiya Aap Andar Tasrif Le Aaiye Madina Ke Ye Teeno Musafir Qazi Sureh Ke Makan Me Dakhil Ho Gaye Qazi Sureh Ne Dekha To Pahechan Gaye Aur Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Kadmo Me Geer Gaye Bachcho
Ko Gale Lagaya Aur Saari Raat In
Mahemano Ka Pahera Dete Rahe....
Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne Fajr Ki Namaz Ada Ki Aur Sochne Lage Ki Kis Tarah Imam Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Kufawalo Ki Bewafai Aur Ibne Ziyad Ke Zulm-O-Sitam Ki Ittelah Du Magar Ab Kar Kya Sakte The Khat Likh Chuke The Aur Teer Kaman Se Nikal Chuka Tha....
Suraj Nikalte Hi Kufa Ke Kucha O Bazar Me Munadi Kara Di Gayi Ki Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Jiske Ghar Se Bhi Pakde Gaye Us Ke Baal Bachcho Ko Bhi Zibah Kar Diya Jayega Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne Jab Ye Dil Kharash Aawaz Suni To Is Khayal Se Ki Meri Wajah Se Ye Budha Mubatala-E-Musibat Kyu Ho???
Josh Me Aa Gaye Talwar Mi'aan Se Nikali Aur Qazi Sureh Se Kaha...
Baba!!! Aap Ki Mehmaan Nawazi Aur
Muhabbate Ahele Bait Ka Sukriya Mai Is
Ka Badla Qiyamat Ke Din Ada Karunga Aur Dekho Ye Mere Do Mazloom Bachcche Aap Ke Paas Amanat Hai Agar Koi Waqt Mile To In Ko Madina Ke Raaste Par Daal Dena Thokre Khate Girate Uthte Pahuch Jayege
Itna Farma Kar Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Nara-E-Taqbeer Bulanad Kiya Shamshir-E-Haidari Ko Hawa Me Laherate Hue Maidan Me Aa Gaye Aur Lalkara;
"Aye Kufa Ke Be Wafa Logo!, Tum Ne Mere Haath Par Bai't Ki Mujhe Apna Mazhabi Peshwa Tasleem Kiya Aur Mai Khud Nahi Aaya Tumhare Bulane Par Aaya Hu Tum Ne Mere Piche Namaze Padhi Aur Ab Apne Bulaye Hue Mahemaan Peer-E-Mazhabi Aur
Imam Ke Khoon Ke Pyase Ho Gaye Ho
Jawab Do ??? Qiyamat Ke Din Tum Kya Jawab Donge??? Aur Mere Nana Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ko Kya Muh Dikhaoge... Hasmi Jawan Ki Is Imaanafroz Taqreer Ne Kufa Me Ek Aag Laga Di Aur Kufawalo Ke Dil Hila Diye Aur Ek Baar Phir Hazaro Talware Yazeed Ki Gair Islami Huqumat Ke Khilaf Mi'aano Se Nikal Aayi ..."
Ibne Ziyad Ne Shaher Ke Bade-bade Sarkarda Logo Me Lalach Ka Ek Jaal Bichaya Hua Tha Aur Tamam Umra Aur Ra'usha Ko Apne Haath Me Le Chuka Tha Unho Ne Apne Apne Qabile Ke Logo Ko Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Saath Na Dene Par Aamada Kar
Liya Jis Ka Natija Ye Nikla Ki Woh Phir Saath Chod Gaye Aur Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Phir Tanha Rahe Gaye Phir Har Taraf Se Mayus Wa Naumeed Ho Kar Bhuke Pyase Ek Taraf Ko Chal Diye Kufa Ke Bazaro Aur Galiyo Se Guzrte Hue Dekha Ki Ek Budhi Aurat Jis Ka Naam Tauha Tha Kauf Se Sahemi Hui Makan Ke Darwaze Par Khadi Thi. Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne
Farmaya Maa'i Pyasa Hu Do Ghunt Pani Pila De Qiyamat Ke Din Hauj-E-Kausar Ka Jaam Pilaunga Tauha Ne Pucha Aap Kaun Hai?
Farmaya Mai Nawasa-E-Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Hu Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Bhai Hu. Kufa Ke Logo Ka Bulaya Hua Mahemaan Hu Mera Naam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Hai..
Muslim Naam Suna To Tauha Qurbaan Ho Gayi Khakh-E-Kadam Chuma Aur Sajda-E-Shukr Ada Kiya Ki Kahan Mera Garib Khana Aur Kahan Khandaan-E-Nabuwat Ka Sahezada Ghar Le Gayi Aur Khidmat Me Lag Gayi Aadhi Raat Hui To Tauha Ka Ladka Ibne Ziyad Ke Darbaar Se Ghar Aaya Budhi Maa Ne Bete Ko Khusi Se Bataya Ki Humare Ghar
Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Raonak-E-Afroz Hai Saari Raat Apne Mehmaan Par Maa Aur Beta Dono Khus The Magar Dono Ki Khusiya Mukhtalif Thi Maa Apni Nijat Ka Zariya Samzati Thi Aur Beta Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Giraftaar Kara Kar Ibne Ziyad Se Ina'am Paane Ka Khawahismand Tha. Chunanche Us Jannati Maa Ke
Jahannami Bete Ne Aisa Hi Kiya Phichli Raat Ghar Se Nikla Aur Ibne Ziyad Ko Imam Muslim Ka Pata De Aaya.
Subah Ki Namaz Ke Baad Abhi Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ziqr O Azkar Hi Kar Rahe The Ki Bahar Ghodo Ke Ki Tapo Ki Awaz Sunai Di Ye Muhammad Bin Asa'as Jo Kotwal-E-Kufa Tha. Us Ke Ghodo Ki Aawaz Thi. Aap Ne Farmay Ki Ye Aawaz Kaisi Hai? Tauha Ne Hasarat Bahari Nigaho Se Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Dekha Aur Arz
Ki Aaqa Malum Hota Hai Ki Mere Makan Ka Muhasira Kar Liya Gaya Hai....
Hasmi Kachaar Ka Ye Sher Ek Baar Phir
Nara-E-Taqbeer Buland Karta Hua Tauha Ke Makan Se Bahar Aaya Haath Me Talwar Thi Aur Sar Par Mustafai Dastaar Hasmi Jawan Ki Shamsheer-E-Haidari Kufa Ke Bad Fitrat Insano Par Chamki Aur Aan Ki Aan 150 Dusmano Ka Khoon Pi Gayi Kufa Ke Ahed Sikan Aur Ahele Baith Ke Dusman is Hasmi Sher Ki Taab Na Sake Aur Bhaag Khade Hue...
Muhammad Bin Asa'as Ne Ibne Ziyad Ko
Iikha Ki Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Muqabila Karna Aasan Nahi Ibne Ziyad Ne 500 Sawar Aur Bhej Diye Aur Allah Ka Ye Sher Zara Bhi Na Ghabraya Aur Taza Dum Ho Kar Phir Se Hamla Aawar Hua Aur Kufa Ke Bewafa Insano Ke Liye Ajal Ban Jar 400 Ko Phir Wasile Jahannam Kiya Muhammad Bin Asa'as Ne Surat dekhi To Apne Saathiyo
Ko Huqm Diya Ke Sab Mil Kar Hamla Karo Aur Phir Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Par Teero Aur Pattharo Ki Barish Hone Lagi Hasmi Shezade Ki Dege Burra Fizao Me Chamak Rahi Thi Aur Aur Kaher-E-Khuda Wandi Ban Kar Saro Ko Kaat Rahi Thi Subah Se Dopaher Ho Gayi Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ladte-ladte Thak Chuke The Pyas
Ki Siddat Ne Nidhal Kar Diya Tha Jism
Zakhmo Se Chur Ho Chuka Tha Behosh Ho Kar Zamin Par Aaye Aur Phir Aage Badh Kar Muhammad Bin Asa'as Ne Giraftaar Kar Liya...
Raah Me Jate Waqt Dekha Ki Ek Aurat Paani Ki Suraiya Utha Rahi Hai Aap Ne Farmaya
Khuda Ke Liye Do Ghut Paani Pila Do
Muhammad Bin Asa'as Ne Pani Pesh Kiya Hazrat Muslim Paani Pine Lage To Ek Zalim Badbakht Ne Talwar Mari Jis Se Upar Ka Hont Kat Gaya Aur Paani Ka Pyala Khoon Se Bhar Gaya Aur Phir Ibne Ziyad Tha Au Hasmi Khandaan Ka Zakmi Sahezaada
Ibne Ziyad :- Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ab
Bhi Khalifa Mante Ho ya Nahi
Hazrt Muslim :- Nahi
Ibne Ziyad :- Kyu?
Hazrat Muslim :- Is Liye Ki Woh Faisq-O-Fajir. Hai Zaani Aur Sharabi Hai Duniya Ka Kutta Hai Aur Deen Ka Dusman...
Ibne Ziyad :- Zuban Band Karo...
Hazrat Muslim :- Is Ko Muh Se Nikala To Ja Sakta Hai Lekin Kalmae Haq Kahene Se Roka Nahi Ja Sakta...
Ibne Ziyad :- Tumhari Gardan Kaat Li
Jayegi...
Hazrt Muslim :- Magar Batil Ke Aage Jhuk Nahi Sakti
"Hari Hai Saakh-E-Tamanna Abhi Jali To
Nahi....
Ishq Ki Aag Hai Dil Me Abhi Bujhi To
Nahi !!!!
Jafa Ki Teg Se Gardan Wafa Sa'aaro Ki....
Kati Hai Bar Sare Maidan Magar Jhuki To Nahi!!!!"
Ibne Ziyad :- Ab Bhi Apni Zuban Se Yazeed Ki Khilafat Ka Iqraar Kar Lo Tumhari Jaan Bach Sakti Hai
Hazrat Muslim :- Qura'n-E-Paak Ki Tilawat Karne Wali Zuban Yazeed Ki Khilafat Ka Iqraar Nahi Kar Sakti Aur Ye Jaan Meri Nahi Khuda Ki Hai Aur Haq Ke Liye Jaan Dena Ye Shaan-E-Muslim Hai Aur Mai Muslim Hu. Deen-O-Shariat Ki Rakhwali Ke Liye Marna Maut Nahi Zindagi Hai Aur Islam Ki Hado Ko
Qayam Rakhne Ke Liye Fana Hona Fana
Nahi Baqa Hai.. Aur Woh Dekh Nana Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Aur Dada Ali-E-Muratza ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Hauje Kausar Ka Pyala Liye Mujhe Bula
Rahe Hai Aye Ibne Ziyad Mai Janta Hu Mera Aakhiri Waqt Hai Meri 4 Wasiato Ko Pura Kar Dena
1. Meri Laash Ko Barbaad Mat Karna
2. Mai Ne Kufa Walo Se Kuch Qarz Liya
Tha Mera Ghoda Bech Kar Ada Kar Dena
3. Hazrt Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Likh Dena Ki Woh Kufa Na Aaye
4. Mujhe Mere Mazloom Bachccho Ka
Kuch Pata Nahi Ki Woh Kahan Hai Woh
Musafir Hai Be Watan Hai Aur Yateem Hai. Un Par Taras Khana Gusl De Kar Un Ki Zhulfe Sawarna Aur Madine Pahucha Dena...
Abhi Aap Farma Hi Rage The ki Ibne Ziyad Ne Bukair Ko Huqm Diya Ki Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Shahi Mahel Me Le Ja Kar Un Ki Gardan Kaat Di Jaye. Zalim Bukair Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Shahi Mahel Ki Chat Par Le Gaya Aur Hasmi Jawan Ki Zhulfe Pakad Kar Talwar Mari Sar Us Zalim Ke Haatho Me Rahe Gaya Aur Dhad Farsh Par Aa Gira...
INNA LILLAHE WA INNA ILAIHI RAJEOON
Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab
No comments:
Post a Comment