async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Maah e ramzan 3

Thursday, November 12, 2015

Maah e ramzan 3

Masla - Agar kisi masjid mein 1 khatm e Quraan hota hai toh yeh mustahab hai ke 27vi shab mein khatme Quraan karey. Aur Quraan Shareef iss shab yaa isse pehle kisi shab mein mukammal hogaya ho toh bhi Namaz e Taraweeh Maah e Ramzaan ki aakhiri shab tak padhna hai ke yeh namaz Sunnat e mu'akkadah alal kifaya hai.

# Alamgiri Jild.1 Safah.118.

Huzoor Nabi e Kareem ﷺ Hazrat e Abbas رضي الله عنه se irshad farmate hai. Agar mumkin ho toh salatul tasbeeh roz ek martaba padhna. Agar roz padhna mumkin nahi toh har jummah ke din padhna. Agar har jummah ke din padhna mumkin na ho toh har mahine mein iss namaz ko padhna. Agar har mahine mein yeh namaz mumkin na ho toh iss namaz ko saal mein ek martaba padhna. Agar saal mein ek martaba padhna bhi mumkin na ho toh zindagi mein ek martaba isse zarur padhna.

# Abu Dawood Shareef. Jild 2 Safah 44-45.

https://fbcdn-sphotos-h-a.akamaihd.net/hphotos-ak-xpf1/t31.0-8/335911_10150903522070334_1239077798_o.jpg

Salat ul Tasbeeh kaise padhna hai uska tareeka aap iss link se haasil kar sakte hai.!

Shab e Qadr mubarak ho. Iss khaas shab mein Kanzul Imaan team ko apni duaon mein zaroor yaad rakhna.!
جزاک الله خیر

EK ZARIYA JO SABKO
DIKHATE HAI HUMARE NABI ﷺ
DOZAKH KI AAG SE
PAA LO HIFAZAT SABHI

Hazrat Kab bin Ajrah رضي الله عنه se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne humein irshad Farmaya:

Mimbar ke paas Jama ho jao hum sab jama ho gaye, Huzoor ﷺ ne Jab Mimbar ki Pehle sidhi par kadam rakha to farmaya: "Aameen"

Dusri sidhi par qadam rakha to phir farmaya: "Aameen"

Jab Teesri sidhi par qadam rakha to phir farmaya: "Aameen"

Sahaba ne Arz kiya Ya RasoolAllah! ﷺ Aaj humne Aapse aisi baat suni hai jo pehle kabhi nahee suni, rasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya:
"Mere paas Jibraeel Alaihis Salaam Aaye the.

Jab maine pehli sidhi par Kadam rakha to unhone kaha Halak o Barbad ho jaye wo shaks jo Ramzaan ul Mubarak ka mahina paye phir bhi us ki Bakhshish na ho Maine kaha: "Aameen".

Jab Maine dusri sidhi par kadam rakha to unhone kaha Halak o Barbad ho jaye wo Shaks jiske samne Aap ka Naam Mubarak liya jaye aur wo Aap ki khidmat Aqdas mein Darood Shareef na bheje, Maine kaha: "Aameen".

Jab maine Teesri sidhi par kadam rakha to unhone kaha Halak o Barbad ho jaye wo Shaks jo Apne Waldain ko budhape ki halat mein paye lekin woh (un ki khidmat kar ke) Jannat mein dakhil na ho, Maine kaha: "Aameen".

Mustadrak Al Hakim Shareef

No comments:

Post a Comment