async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Najd ki haqiqat

Monday, November 16, 2015

Najd ki haqiqat

Part 8 Wahabi najdi ki haqiqat

Aamir bin jaffar abu brawo malaheb al'asta al'kalabi Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ke pass aaya. Aur Aap ko hadya diya' magar Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne Qabool nhe farmaya. Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne us per islam paish kiya. Magar us ne islam qabool nhe kiya aur door bhi nhe hua.

Aamir ne darkhawast ki ke ager Aap Sallallahu Alaihe Wasallam as'haab mein se chand admi mere hamrah meri qom ke pass bhej dain to umeed hai ke wo AAP Sallallahu Alaihe Wasallam ki dawat qabool ker lain gay aur Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ki dawat Qabool ker lain gay. Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke Mujhe Ahle Najd ka khauf hai. Us ne kaha mein to in ke humrah hoon' phir kaise koi un ke samne aaeyga.  Tabqaat ibn sa'ad vol 1 page 285, 

9: ghazwa za'at ar'riqah Aur Ghazwa e Najd Qabeela moharab kahan per hai
Ghazwa za'at ar'riqah qabeela moharab se hoi jo qabeela ghatfan ki aik shaakh hai,Hazoor Sallallahu alaihe wasallam Nakhl se zaat ar'riqah ki larrai mein gaey wahan ghatfan mile lakin larrai na hoi.

Ghazwa e najd
Hazrat Jabir radi Allah anho farmate hain ke ham ne Aap Sallallahu alaihe wasallam ke sath Najd ki taraf jahad kiya tha.
Sahih Bukhari, Vol 2, Hadees 1305.

Commentary: Jis Najd ke Liye Dua Nahe Farmai aur Jis Najd ki kisi ne tareef ki aur farmaya ke tum ne jhoot kaha aur jis Najd ke khilaaf ghazwa mein Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ne khud shirkat ki aur apne sahaba e karam ko lashkar de ker bar bar bheja ho. Aur jis Najd ke logoon ke khilaaf Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ki zindagi guzar gai woe Najd Saudi Arabia hai is najd ke markazi mein aaj Riyaz ka Main city hai Ham ne Sahih Hadees, Tareekhi waqiyaat aur scholars ke aqwaal ki roshni mein ye sabit ker diya hai ke Najd Iraq Nahe Balke Riyaz Saudi Arabia wala Najd hai. Is Najd se related aur bahut se waqiyaat hain jo ham agay kuch aur topics ke under laeen gay.

TOPIC 2:
Bani Mudar Aur Bani Rabiyya Kaun Hain Aur Kahan Rehte Hain
بنی مضر اور بنی ربیعہ کہاں ہیں اور کہاں رہتے ہیں

Bani Mudar aur Bani Rabiyya Ka Tareekhi Pas manzar
بنی مضر اور بنی ربیعہ کا تاریخی پس منظر

Mudar Bin Nazaar Aur Rabiyya

Iska aik haqeeqi bhai iyaad tha aur 2 illati bhai Rabiyya aur anmaar thy. Jab nazaar bin ma'd ka akhri waqt aya to us ne apne betoon ko wasiyat ki aur apne maal ko un mein taqseem ker diya, apne betoon ko mukhatab ker ke kaha ke:

1: khaimah jo surkh chamrray ka tha aur is tarah ka doosra maal ye Mudar Ka hai, is wajah se Mudar ka naam Mudar al'hamra howa

2: ye mera siyah black shamiyana aur is rang ka mera doosra maal ye Rabiyya Ka Hai, choonke issay siyah gorra horse mila is liye is ka naam Rabiyya tul fars howa.

3: Aur ye khadim aur is ke mushaba mera jo maal hai wo iyyaad ka hai ye bhoray rang ka tha. Chunanchay iyaad ne ablaq janwar aur khhur ghhassi bhairr bakriyaan le lien.

Tareekh Tibri Vol 2 page 41

Surkh Khaimah, dinar aur oont jo surkh thy wo Mudar ko diye aur siyah shamiyana aur siyah gorray horse Rabiyya ko diye in ke baap ne. Tareekh Tabri Vol 1 Page 42

BANI MUDAR KA QABL AZ ISLAM IKHLAQI HAAL

بنی مضر کے قبل از اسلام اخلاقی حالات

Agerchay Quraish ko Makkah mein aik gona Hakoomat Hasil ho gai aur qabail e Mudar atraaf o jawanib Mumalik ko Shaam O Iraq mein aur kuch hijaaz mein bhi muntashir o mutafariq ho gaey aur baz in mein badiya nasheen o khana badosh ho gaey, aur baz asbaab e ishrat aur samaan e tumaddun ki farahmi mein masroof howe, Kabhi ye Fars o Room se Iraq O Shaam ke Maidanoon Mein Larrte Nazar Ate Thy aur kabhi apni hadood ki hifazat ki gharz se apni qaum ko jamah ker ke ahle Iraq o Shaam se Muqabla kerte dekhai dete thy. In larraiyoun mein aur khoon raiziyoun mein kabhi ye maghloob ho ker kharaj guzari per majboor ho jate thy lakin jab kabhi phir koi moqa hath aa jata tha to kharaaj guzari ata'at e shahi se Mun'harif ho ker mukhalifat ker baithte thy. Algharz thanday kalejay na ye khud pani peete thy aur na peene dete thy. Hamesha shahaan e Iraq o Shaam ko istisaal fasaad o itfa naira fitna mein rehna parta tha.  TAREEKH IBN KHALDOON VOL 1 PAGE 31

No comments:

Post a Comment