Part 7 wahabi najdi ki haqiqat
Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne ussay islam ki dawat di thi lakin wo dil se musalman nhe hua tha. Ta'ham Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne us ke mazkoora'bala mashwaray ke ba'd Ahle Najd ke Islam lane aur ata'at qabool kerne ke baraey mein andesha zahir kiya tha to Albarah aamir bin maalik ne Aap Sallallahu Alaihe Wasallam se arz kiya tha ke Ahle Najd us ke hamsaey hain wo iski baat nhe talain gay.
Al.bidaya wan'nahaya Vol 4, Page 55,56.
3: Sarya abu bakr sadeeq radi Allah anho bani kalab ki janib najd ke muqam per hua.
Sha'ban 7 hijri mein abu bakr sadeeq radi Allah anho dariya ke nawah mein ba'muqaam najd sarya bani kalab hua.
سریہ ابو بکر صدیق رضي اللہ عنہ کلاب کی جانب نجد کے مقام پر ہوا۔
شعبان 7 ہجری میں ابو بکر صدیق رضی اللہ تعالی عنہ کا ضریہ کے نواح میں بمقام نجد سریہ بنی کلاب ہوا۔
Tabqaat ibn sa'ad, vol 1, page 340.
4: Imam bukhari wafad bani hanifa aur qissa samama bin aasaal radi Allah anho k baab mein bayan kerte hain ke Abdullah bin yousuf ne ham se bayan kiya woh kehte hain ke ham se lais bin sa'ad ne bayan kiya woh kehte hain ke mujh se saeed bin abi saeed ne bayan kiya ke us ne Hazrat abu hurayra radi Allah anho se suna woh bayan kerte hain ke
Rasoolallah sallallahu alaihe wasallam ne najd ki janib kuch sawar bhejay jo bani hanifa ke aik admi ko laey jissay samam aasaal radi Allah anho kaha jata tha aur unhoon ne ussay masjid ke aik satoon se bandh diya aur Rasool sallallahu alaihe wasallam ne us ke pass a ker farmaya:
..phir lmba waqia hai.al,bidaya wan'nahaya vol 5 page 79
5:Hazrat abu qatada bin rabai ansari radi Allah anho ka shaban sun 8 ad mein muqaam e khizra ki taraf sarya hai
Ye jagah najd mein banu maharab ki zameen hai.Nabi akram sallallahu alaihe wasallam ne unke hamrah 15 afrad banu ghatfaan ki taraf bhejay .Al'mawahib ladunya vol 1, page 406
:6 سریہ غالب بن عبداللہ اللیثی بجانب المفیعہ:
رسول اللہ صلّی اللہ علیہ وسلّم نے غالب بن عبداللہ کو بنی عوال اور بنی عبد بن ثعلبہ کی طرف بھیجا جو المیفعہ میں تھے کہ بطن نخل سے النقرہ کی جانب اسی طرف علاقہ نجد میں ہے۔ اسکے اور مدینے کے درمیان آٹھ برد (96میل) کا فاصلہ ہے۔
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne ghaalib bin Abdullah ko bani awaal aur bani abd bin thalba ki taraf bheja jo al'maifha mein thy ke batan nakhl se al'naqra ki janib ussi taraf ilaqa najd mein hai. Us ke aur madina ke darmiyan 8 bard(96 miles) ka fasla hai. Tabqaat ibn sa'ad vol 1, page 241.
:7: سریہ زید بن حارثہ رضی اللہ تعالی عنہ
ید بن حارثہ رضی اللہ تعالی عنہ کا سریہ القروہ کی جانب ہجرت کی اٹھائیسویں مہینے کے شروع جمادی الآخر میں پیش آیا۔ یہ سب سے پہلا سریہ ہے۔ جس میں زید امیر بن کر نکلے، القروہ نجد کی زمین االزبدہ اور الغمرہ کے درمیان ذات عرق کے نواح میں ہے۔
Zaid bin hartha radi Allah anho ka sarya al'qarwah ki janib hijrat ki 28ween mahinay ke shuru jamadil aakhir mein paish aya. Ye sab se pehla sarya hai jis mein zaid ameer ban ker niklay. Al'qarwah najd ki zameen al'zabda aur al'ghamrah ke darmiyan zaat irq ke nawah mein hai. Tabqaat ibn sa'ad vol 1. page 272
Comment: is sarya se pata chalta hai ke Najd dhaat irq ke nawah mein hai. Matlab jahan dhat irq khatam hota hai wahan se iski hadood shuru hoti hain.
8: Sarya al.munder bin umroo
Rasoolallallah Sallallahu Alaihe Wasallam ki hijrat ke 36wain mahinay safar mein bair e ma'oona ki taraf Al'munder bin umroo as'sa'adi ka sarya hua
No comments:
Post a Comment